Imagini ale paginilor
PDF
ePub

11 Ham sunte hain ki tum men se kaí ek kajrauí ke sath chalte, aur kuchh kám nahín karte, balki auron ke kám men dakhl karte hain.

12 Ham apne Khudáwand Yisú Masíh se aison ko hukm dete hain, aur un kí minnat karte hain, ki we chupcháp kám karke apní hí rotí kháen.

13 Aur, ai bháío, tum nek kám karne men hár na jáo.

14 Par agar koí hamárí is bát ko, jo khatt men hai, na máne, to use ján rakho, aur us se mile

[ocr errors][merged small]

PÚLÚS KÁ PAHLÁ KHATT TIMTÁÚS KO

www

1

I BÁB.

ÚLUS kí taraf se, jo hamáre bachánewále Khudá, aur hamárí ummedgáh Khudáwand Yisú' Masih ke hukm se, Yisú' Masíh ká Rasúl hai;

2 Timtáús ko, jo ímán men farzand haqíqí hai, fazl, rahm, aur salámatí, hamáre Báp Khudá aur hamáre Khudáwand Yisú' Masíh kí taraf se, tujh par howe.

3 Main ne Maqadúniya játe waqt tujh se iltimás kiyá thá, ki Afasús men rahiyo, taki tú ba'zon ko tákíd kare, ki aur tarah kí ta'lím na dewen,

4 Aur kaháníon aur be-hadd nasabnámon par liház na karen; yih sab kuchh takrár ká bá'is hotá hai, na ki tarbiyat iláhí ká, jo ímán se hai.

5 Aur hukm ká khulása wuh

muhabbat hai, jo pákdilí aur nekníyatí, aur be-makr ímán se hotá hai:

6 Jis se ba'ze phirke behúda bakwás kí taraf mutawajjih húe; 7 Ki shari'at ke ustád baná chahte hain; aur nahín samajhte, ki kya kahte, aur kin báton par hujjat karte hain.

8 Par ham jante hain, ki sharí'at achchhí hai, basharte ki koí use shari'at ke taur par kám men láwe;

9 Aur yih jáne, ki sharíat rástbáz ke wáste nahín, balki be-shar'a o ná-farmánbardár, o be-dín, o gunahgár, o nápák, o shuhdá, aur má báp ká már ḍálnewálá, aur khúní;

10 Aur harámkár, aur laundebáz, aur barda-farosh, aur jhúthbolnewále aur jhúthí qasam khảo newálon ke wáste, aur un ke siwá

shukrguzáríán, sáre ádmíon ke liye kí jáwen;

jo kuch sahíh ta'lim ke barkhilaf | aur du'áen aur sifarishen, aur howe, us ke wáste hai; 11 Us mubárak Khudá kí jalálwálí Injil ke muwáfiq, jo mujhe sompí gaí.

[blocks in formation]

14 Aur hamáre Khudáwand ká

fazl, ímán aur piyár samet, jo Masíh Yisú' men hai, bahut ziyada húá.

15 Yih diyánat kí bát, aur bilkull pasand ke láiq hai, ki Masíh Yisú gunahgáron ke bacháne ko dunyá men áyá; aur main un sab men bará gunahgár hún.

[merged small][ocr errors]

2 Bádsháhon aur martabawálon ke liye; táki ham kamál díndárí aur munásib taur se, chain aur árám ke sáth, zindagání guzránen. 3 Kyúnki hamáre najátdenewále Khudá ke áge yihí khúb aur pasandída hai.

4 Wuh cháhtá hai, ki sáre ádmí naját páwen, aur sacháí kí pahchán tak pahunchen.

5 Ki Khudá ek hai, aur Khudá aur ádmíon ke bích ek ádmi darmiyání hai, wuh Masíh Yisứ hai; 6 Jis ne apne taín sab ke kafare men diyá, ki bar-waqt us ki gawáhí dí jáwe.

7 Us ke liye main manádí karnewálá aur rasúl muqarrar húá, (main Masih men sach boltá hún, aur jhúth nahin kahtá;) aur gairqaumon ko ímán aur sacháí ká sikhlánewálá hún.

8 Pas merí marzí yih hai, ki mard har makán men be-gussa aur be-hujjat pák háthon ko uṭháke du'á mánge.

16 Lekin mujh par is liye rahm húá, ki Yisú' Masih mujh bare gunahgár par kamál sabr záhir kare, taki main un ke wáste, jo us par hamesha ki zindagi ke liye 9 Aur yún hí 'auraten bhí muímán láwenge, namúna banún. násib poshak se sharm aur tamíz 17 Ab 'azalí bádshah, gairfání, ke sáth áp ko sanwáren, na ki bál ná-dídaní, wáhid, hakím Khudá kígúndhne, aur sone, aur motion, 'izzat aur jalál hamesha hamesha aur qímatí libás se; ko howe. Ámín.

18 Ai farzand Timtáús, main tujhe un nubúwaton ke muwáfiq, jo áge terí bábat kí gaín, yih hukm detá hún, táki tú un nubúwaton ke wasíle se achchhí laṛáí lare;

19 Aur ímán aur nekniyati par qáim rahe; jis se ba'zon ne kanára karke ímán kí náo tori:

20 Unhín men se Humanaiús aur Sikandar hain, jinhen main ne Shaitan ke hawále kiyá, táki we tambíh pake kufr na baken.

II BÁB.

|

|

10 Balki (jaisá 'auraton ko, jo Khudá-parastí ká iqrár kartí hain, munasib hai), áp ko nek kémon se sanwáren.

11 Chahiye ki 'aurat chupcháp kamál farmánbardárí se síkhe.

12 Aur main parwánagí nahín detá, ki aurat sikhlawe, aur áp shauhar par hakim ban baithe, balki khámoshí ke sath rahe. 13 Kyunki pahle Adam banáyá gayá, ba'd us ke Hawah.

14 Aur Adam ne fareb nahín kháyá, par 'aurat fareb kháke gunáh men phansí.

15 Lekin yih janne ke sabab bach jáegí, agar ímán, aur muB main iltimás kartá hún, habbat, aur pákízagí men, hosh

A ki sab se pahle munájáten, yárí ke sáth páedár rahen.

1

IH

ука

III. BÁB.

bát sach hai, ki jo koí kalísiye kí nigáhbání kí árzú rakhtá, achchhe kám ko cháhtả hai.

2 Pas chahiye, ki nigáhbán be'aib, ek jorú ká shauhar, parhezgár, sáhib i tamíz, sháyasta, musáfirdost, ta'lím dene men qábil ho; 3 Na ki sharábí, ya márpít karnewálá, yá ná-rawá naf'a hásil karnewálá; balki miyána-rau ho, takrárí aur lálchí na ho;

4 Aur apne ghar ká ba-khúbí bandobast kare, aur kamál durustí ke sath larkon ko hukm men rakhe;

5 Ki agar Κοί apne hí ghar ká bandobast na kar jáne, wuh Khudá kí kalísiye ki khabardárí kyúnkar karegá?

6 Aur nayá muríd na ho; kahín wuh gurúr karke Shaitán kí tarah 'azáb men pare.

7 Aur chahiye ki wuh baharwálon ke nazdík bhí neknám ho; tá na ho ki wuh malámat utháwe, | aur Shaitán ke phande men phans jáwe.

8 Isí tarah khádim-ud-dín bhí durustí ke sath rahen, na ki dozubán, ya sharábí, yá ná-rawá naf'a uṭhánewále;

9 Aur ímán ke bhed ko sáf dil se yád kar rakhen.

10 Aur ye pahle ázmáe jáwen; us ke ba'd agar be-'aib thahren, to khidmat karen.

11 Isi tarah un kí jorúán bhí durustí ke sath rahen, na ki tuhmatíán, balki parhezgár, aur sárí báton men diyánatdár howen.

12 Khádim-ud-dín ek ek jorú karen, aur apne bachchon aur apne gharon ká ba-khúbí bandobast karte hon.

13 Kyunki jinhon ne achchhí tarah wuh khidmat kí, so apne liye achchhá darja, aur us ímán men, jo Masíh Yisú' par hai, bahut sí himmat paidá karte hain.

14 Main is ummed par ki jald

[blocks in formation]

Rakhiri zamane men kitne

ákhirí

ímán se bargashta honge, ki we
gumráh karnewálí rúhon aur de-
won kí ta límon se já liptenge:
2 Jo makr se jhúth bolenge:
jin ká dil sun ho gaya hai;

3 Aur we byáh karne se man'a karenge; aur hukm karenge, ki wuh kháná na kháo, jinhen Khudá ne paidá kiyá, ki ímándár aur sachái ke jánnewále shukrguzárí ke sáth unhen kháwen.

4 Kyúnki Khudá kí paida kí húí har ek chíz achchhí hai, aur inkár ke láiq nahin; agar shukr karke kháwen:

5 Is wáste ki wuh Khudá ke kalám aur du'á se pák hoti hai. 6 So agar tú bháíon ko yih báten yád diláwe, to tú ímán aur us achchhí ta'lim kí báton se, jis ko tú ne sire se ba-khúbí daryáft kiyá, tarbiyat páke, Yisú' Masíh ká achchhá khádim baná rahegá. 7 Par behúda aur burhíon kí kaháníon se munh mor, aur díndárí men riyázat kar.

8 Ki badaní riyázat ká fáida kam hai; par díndárí sab báton ke wáste faidamand hai, ki ab kí aur áyanda kí zindagí ká wa'da usí ke liye hai.

9 Yih bát sạch aur kamál qabúliyat ke láiq hai.

10 Hamárá mihnat karná aur la'n ta'n sahná is liye hai, ki ham ne zinda Khudá par, jo sab ádmíon ká, kháss kar ímándáron ká, bachánewálá hai, bharosa kiyá hai.

11 Un báton ko farmá aur sikhá. 12 Kisí ko apní jawání kí hiqárat na karne de: balki bol chál, aur muhabbat, aur rúh, aur ímán, aur pákízagí se ímándáron ke liye

namúna ban.

13 Jab tak main aún, tú parhtá, nasihat kartá, ta'lím detá rah. 14 Tú us ni'amat se jo tujh men hai, aur tujhe nubúwat kí ráh se, qissíson ke háth rakhne ke sáth milí, gáfil na ho.

15 Un báton ko dhyán men rakh; un hí ká ho rah; táki terí taraqqí sabhon par záhir howe.

16 Apní aur apní ta'lim kí chaukasí kar; un par qáim rah; kyunki, yih karke, tú áp ko aur un ko jo terí sunte hain bacháegá.

1

Τί

V. BAB.

U kisí buzurg ko malámat na kar, balki us kí us tarah minnat kar, jis tarah báp kí karta hai; aur jawánon kí yún, jaise bháíon kí;

2 Aur burhíon kí yún jaise má kí; aur jawán 'auraton kí yún, jaise bahinon kí, kamál pákízagí se. 3 Rándon kí, jo haqiqat men ránd hain, hurmat kar.

4 Agar kisí ránd ke bete yá pote hon, to we yih síkhen, ki pahle apne ghar men díndárí záhir karen, aur bápdádon ká haqq adá karen; kyúnki yih bhala aur Khuda ke áge pasandída hai.

5 Aur sachchí ránd aur be-kas wuh hai, jo Khudá par bharosá rakhtí, aur rát din munáját aur du'áon men lagí rahtí hai.

6 Par jo 'aish o 'ishrat kartí, so jíte jí murda hai.

7 Aur tú ye báten farmá, táki we be-'aib thahren.

[ocr errors]

8 Agar koí apnon kí aur kháss kar apne ghar kí khabargírí na kare, to ímán se munkir, aur beímán se badtar hai.

9 Wuh ránd shumár men áwe, jo sáth baras se kam kí na ho, aur us ne ek hí shauhar ká munh dekhá ho,

10 Aur nekokárí ke sabab námwar ho, aur us ne larkon kí tarbiyat kí ho, musáfiron ko apne yahán utárá ho, aur muqaddason ke pánwon dhoe hon, aur un kí jo musíbat men giriftár hain, madad kí ho, aur har ek nek kám kí dhun rakhtí ho.

11 Par jawán rándon ko kanáre kar de; kyúnki jab we Masih ke barkhilaf nazákaten jatátíán hain, to byáh kiyá cháhtí hain;

12 Aur agle ímán ko chhorke sazá ke láiq hotí hain.

13 Aur siwá us ke we álasí hoke

|ghar ghar daurte phirná síkhí hain; aur faqat álasí nahín, balki bakwásí aur har kám men dakhl karnewálí hotí hain, aur bejá báten baktí hain.

14 Is wáste merí marzí yih hai, ki jawán ránḍen byáh karen, bachche janen, aur ghar ká károbár karen, aur mukhálif ko la'nta'n karne kí jagah na dewen.

15 Kyúnki kaí ek abhí Shaitán ke píchhe ho lí hain.

16 Agar kisí ímándár mard yá 'aurat kí ránḍen hon, to wuhí un kí madad kare, aur kalísiye par bár na ho, táki wuh un kí, jo sach sach ránden hain, madad kare.

17 Un qissíson ko jo achchhí ta rah peshwáí karte hain, khásskar un ko jo kalám aur ta'lím men mihnat karte hain, dúní jazá ke láiq jáno.

18 Kyúnki kitáb yih kahtí hai, Khalíhán ke bail ká munh mat bándh. Aur yih, ki Kám karnewálá apní mazdúrí ká haqqdár hai.

19 Jo da'wí qissís par ho, ba gair do tín gawáhon ke mat sun.

20 Gunahgáron ko sab ke sámhne malámat kar, táki auron ko khauf ho.

6 Díndári to qaná'at ke sáth bará naf'a hai.

7 Kyúnki ham dunyá men kuchh na láe, aur záhir hai, ki kuchh le

21 Main Khudá, aur Khudáwand Yisú' Masíh, aur chune húe firish-já nahín sakte. ton ke áge, yih hukm kartá hún, ki tú in báton ko bagair pachh ke 'amal men lá, aur kisí kí tarafdárí na kar.

8 Pas agar ham ne kháná kaprá payá, to hamáre liye bas hai. 9 Ki we jo daulatmand húá chahte hain, so imtihan aur phan22 Háth kisí par jald na rakh, de men, aur bahut sí behúda aur aur na dúsron ke gunáhon men burí khwahishon men parte hain, sharík ho apne taín pák rakh.jo ádmíon ko tabáhí aur halákat 23 Aur ab tú sirf pání na piyá ke daryá men dubá detí hain. kar, balki apne házima aur aksar kamzoríon ke wáste thorí mai pí. 24 Ba'ze ádmíon ke gunáh áge záhir hain, aur 'adálat men pahle hí pahunch játe hain, aur ba'zon ke gunáh píchhe.

25 Isi tarah nek kám bhí áge záhir hain; aur we jo aur waz'a ke hain, chhip nahín sakte.

VI BÁB.

ITNE chákar júe ke níche hain, apne kháwindon ko kamál 'izzat ke láiq jánen, táki Khudá ke nám aur ta'lím ko koí burá na kahe.

10 Kyúnki zar kí dostí sárí buráíon kí jar hai; jis ke baze árzúmand hoke ímán kí ráh se bhatak gaye, aur áp ko tarah tarah ke gamon se chhedá.

11 Par tú, ai mard i Khudá, in chízon se bhág, aur rástbází, díndárí, ímán, muhabbat, sabr, aur farotání ká píchhá kar.

12 Koshish karke ímán kí achchhí laṛáí laṛ, hamesha kí zindagi ko pakar rakh, jis ke liye tú buláyá gayá, aur tú ne bahut gawáhon ke áge achchhá iqrár kiyá hai.

13 Main Khudá ke sámhne jo sab ko jilátá hai, aur Masíh Yisu'

huzúr jis ne Pantús Pilátús ke áge achchhá iqrár kiyá, tujhe tákíd kartá hún:

2 Aur we jin ke kháwind ímán-ke dár hain, unhen, is wáste ki bháí hain, náchíz na jánen; balki zi- | yáda is liye khidmat karen, ki we ímándár aur 'azíz aur ni'amat men sharík hain. Ye báten sikhlá, aur nasihat kar.

3 Aur agar koí dúsrí ta'lím detá hai, aur hamáre Khudáwand Yisú' Masih ke sahíh kalám, aur us ta'lím ko jo díndárí ke munasib hai, qabúl nahin kartá:

4 Wuh ghamand karta hai, aur kuchh nahín jántá, balki use bahs aur lafzí takrár karne ká marz hai, jin se ḍáh, aur qaziya, aur badgoíán, aur badgumáníán,

5 Aur un logon kí radd badal, jin kí'aqlen kharab ho gayi hain, aur jo sacháí se khálí hain, aur gumán karte hain, ki naf'a jo hai, wuhí díndárí hai; tú waison se pare rah.

14 Ki tú us hukm ko be-dág o be-ilzám hamáre Khudáwand Yisú' Masih ke záhir hone tak hifz kar rakh;

15 Jise wuh bar-waqt záhir karegá, jo mubárak aur akelá qudratwálá, bádsháhon ká bádshah, aur Khudáwandon ká Khudáwand hai:

16 Baqá faqat usí ko hai; wuh us núr men rahta hai, jis tak koí nahín pahunch saktá, aur use kisí insan ne na dekhá aur na dekh sakta hai; usí kí’izzat aur qudrat abadí rahe. Ámín.

17 Is jahán ke daulatmandon ko hukm kar, ki magrúr na howen, aur be-bunyád daulat par bharosá na karen, balki zinda Khudá par jis ne hamen sab kuchh

« ÎnapoiContinuă »