Imagini ale paginilor
PDF
ePub
[blocks in formation]

6 Ki un hí ke sabab se Khuda | ká gazab náfarmánbardár farzandon par paṛtá hai:

7 Aur áge jab tum un ke bích jíte the, tum bhí un kí ráh par chalte the.

8 Par ab tum in sab ko bhí, ya'ne, gusse, aur gazab, aur badkhwáhí, aur badgoí, aur badzubání ko apne munh se nikál phenko.

9 Ek dúsre se jhúth na bolo, kyúnki tum ne purání insániyat ko us ke fi'alon samet utár phenká;

10 Aur nayí insániyat ko, jo ma'rifat men apne paidá karnewále kí súrat ke muwáfiq nayí ban rahí hai, pahina hai :

11 Wahán na Yúnání hai, na Yahúdí, na khatna, na námakhtúní, na Barbarí, na Sqútí, na gulám, na ázád, par Masíh sab kuchh, aur sab men hai.

12 Pas Khudá ke chune húon kí mánind, jo muqaddas aur piyáre hain, dardmandí, aur mihrbání, aur farotaní, aur halímí, aur bardásht ká libás pahino; 13 Aur agar koí kisí par da'wá rakhta ho, to ek dusre kí bardásht kare, aur ek dúsre ko bakhshe; jaisá Masíh ne tumhen bakhshá, waisá hí tum bh karo.

14 Aur un sab ke úpar muhabbat ko pahin lo, ki wuh kamál ká kamarband hai.

15 Aur Khudá kí itmínán jis kí taraf tum ek tan hokar buláe gaye ho, tumháre dilon par hukumat kare, aur tum shukrguzár raho. 16 Masíh ká kalám tum men bahutayat se rahe; aur tum ek dúsre ko kamál dánáí se ta'lim aur nasihat karo, aur zabúr aur gít aur rúhání gazalen, shukr guzárí ke sáth, Khudáwand ke liye dilon se gáo.

17 Aur jo kuchh karte ho, kalám aur kám, sab kuchh Khudáwand Yisú' ke nám se karo, aur us ke wasíle se Khudá Báp ké shukr bajá láo.

18 Ai 'aurato, jaisá Khudáwand men munásib hai, apne apne khasam kí farmánbardarí karo.

19 Ai mardo, apní jorúon ko piyár karo, aur un se kaṛwe na ho.

20 Ai larko, tum apne má báp kí har ek bát men farmánbardar ho, ki Khudáwand ko yihí pasand

hai.

21 Ai bachchewálo, apne larkon ko mat chhero, na howe ki we be-dil hojáwen.

22 Ai naukaro, tum un ke, jo dunyá men tumháre kháwind hain, sab báton men farmánbardár raho; par khushámadí logon kí mánind dikháne ko nahín, balki sáf dil se Khudá-tarson kí tarah : 23 Aur jo kuchh karo, so jí se aisá karo jaisá Khudáwand ke liye karte hain, na ki ádmíon ke liye;

24 Ki tum jánte ho, ki tam Khudáwand se badle men mírás páoge; kyúnki tum Khudáwand Masíh kí naukari bajá láte ho. 25 Par wuh jo burá kartá hai, wuh apne kiye ke muwáfiq buráí kamáwegá; aur kisí kí tarafdárí nahín hai.

ká bhánjá hai, (jis kí bábat tum
ne hukm páe, agar wuh tumhare
pás áwe, to us kí khátir karo ;)

11 Aur Yisú' jo Justus kahlátá
hai, ye sab, jo makhtúnon men se
hain, tum ko salám kahte hain.
Sirf ye hí, jo Khudá kí bádsháhat
ke wáste mere hamkhidmat the,
mere liye tasallí the.

12 Ipafras, jo tum men se Masíh ka banda hai, tum ko salám kahtá hai, aur wuh tumháre wáste du'á mángne men hamesha koshish karta hai, táki tum Khudá kí marzí kí har ek bát men kámil ka-aur púre bane raho.

13 Main us ká gawáh hún, ki wuh tumháre aur un ke wáste jo Láodíqíá men hain, aur jo Hírápulis men hain, bahut sargarm hai.

|

IV BÁB.

1 Al khawindo, naukaro k I kháwindo, naukaron ke yih jánkar ki tumhárá bhí ek Kháwind ásmán par hai.

2 Du'á mángne men mashgúl, aur us men shukrguzárí ke sath hoshyár raho;

3 Aur sáth us ke hamáre liye bhí du'á karo, ki Khudá hamáre wáste bolne ká darwáza khole, ki main Masih ke bhed ko, jis ke sabab qaid húá hún, bayán karún:

4 Táki main use aisá záhir rún, jaisá mujhe lázim hai.

5 Tum waqt ko ganímat jánke báhar ke logon ke sáth hoshyárí se chalo.

6 Chahiye ki tumhárá kalám hamesha fazl ke sáth aur namkín ho, táki tum jáno ki har ek ko kyúnkar jawab diyá chahiye.

7 Tukhikas jo piyárá bháí, aur diyanatdár khadim, aur Khudáwand kí khidmat men sharík hai, mere sáre ahwál kí tumhen khabar degá:

8 Us ko main ne is liye tumháre pás bhejá hai, ki wuh tumhárá hál daryáft kare, aur tumháre dilon ko tasallí de;

9 Aur us ke sáth Unesimus ko, jo diyánatdár aur piyárá bháí, aur tum men se hai, bhej diya. We tumhen yahán kí sárí khabaren pahunchaenge.

10 Aristarkhus jo mere sath qaid hai, aur Marqus jo Barnabás

14 Lúqá, piyárá tabíb, aur De-
mas, tumhen salám kahte hain.
15 Tum un bháion ko jo Láo
díqíá men hain, aur Numfás ko,
aur us kalísiye ko, jo us ke ghar
men hai, salám kaho.

16 Aur jab yih khatt tum men
parha jáe, to aisa karo, ki Láo
díqíá kí kalísiye men bhí parhá
jáe; aur Láodíqíon ká khatt tum
bhí parho.

17 Aur Arkhippus se kaho, ki tú us khidmat men jo tú ne Khudáwand men páí hai, hoshyár rah, ki use anjám de.

18 Mere háth se jo Púlús hún, salám. Merí zanjíron ko yád rakho. Fazl tum par howe. Amín.

[ocr errors][ocr errors][ocr errors][ocr errors]
[merged small][ocr errors]

I BÁB.

jo Khudá par hai, mashhúr húá, yahan tak ki hamáre kahne kí kuchh hájat nahín.

1

PULUS

|

aur Silwánus, aur Timtáús kí taraf se Tassaluniqí kalisiye ko, jo Báp Khudá, aur Khudawand Yisú Masih men hai, fazl aur salámatí hamáre Báp Khudá aur Khudáwand Yisứ Masih ki taraf 'se tumháre liye howe.

9 Is waste ki we áp hamará zikr karte hain, ki ham ne tum men kaisá dakhl páyá, aur tum kyúnkar buton se Khudá kí taraf phire, táki Khudá kí, jo zinda aur sach chá hai, bandagi karo;

|

10 Aur us ke Bețe kí, jise us ne murdon men se jiláyá, ráh tako, ki ásmán par se áwegá: ya'ne, hain, aur apní du'áon men tum-Yisú', jo ham ko ánewále gazab se hen yád karte;

chhurátá hai.

3 Aur apne Báp Khuda ke huzúr tumháre ímán ke 'amal, aur muhabbat kí mihnat, aur ummed kí páedárí ko, jo hamáre Khudáwand Yisứ Masíh kí taraf hai, bilá nága yád karte hain;

2 Tum sab ke wáste Khudá ká shukr hamesha ham bajá láte

4 Ki, ai bháío, Khudá ke piyáro, ham jante hain, ki tum Khudá ke chune húe ho.

5 Kyúnki hamárí Injíl na faqat lafz se, balki qudrat, aur Rúh i Quds, aur púre i'atiqád ke sáth, tumháre pás pahunchỉ; chunánchi tum jánte ho, ki ham tumháre wáste tum men kaise the.

6 Aur tum hamáre aur Khudáwand ke pairau húe, ki tum ne kalám ko baṛí musíbat ke sáth Rúh i Quds kí khushí se qabúl kiyá :

7 Yahán tak ki tum Maqadúniya aur Akhaia ke sáre ímándáron ke liye namúna bane.

8 Kyúnki tum se Khudáwand ke kalám kí shuhrat faqat Maqadúniya aur Akhaia men na húí, balki har ek jagah tumhárá ímán

II BÁB.

A I bháo, tum to áp jánte ho, be-faida na thá:

2 Agarchi ham ne áge shahr Filippí men bará dukh aur ruswáí utháí, chunánchi tum is se wáqif ho, taubhí apne Khudá ke sabab be-parwáí ke sáth Khudá kí Injíl kamál koshish se tumhen sunáte the.

3 Ki hamárá wa'z gumráhí aur ná-pákí aur dagábází se na thá: 4 Balki, jaisá Khudá ne ham ko maqbúl jánke Injíl ká amánatdár kiya, waisá hí ham bolte hain; aur ádmíon ko nahín, balki Khudá ko, jo hamáre dil ázmátá hai, razámand karte hain.

|

5 Ki ham hargiz khushámad kí bát nahín bolte the, jaisá tum jánte ho, na lálach ká parwá rakhte the; Khudá gawáh hai: 6 Aur na ádmíon se, na tum se, na dúsron se 'izzat chahte the; agarchi is sabab se, ki ham Masíh

N

266

1 TASSALUNÍQÍON, II. III.

ke rasúl hain, tum par bojh dálkyúnki un par gazab intihá ko sakte the.

7 Balki ham tumháre darmiyán aise muláim rahe, jaise dáí jo apne bachchon ko páltí hai:

8 Waise hí ham tumháre dilsoz hoke, na faqat Khudá kí Injil, balki apní ján tak bhí tumhen dene ko rází the, is wáste ki tum hamáre piyáre the.

9 Kyúnki, ai bháío, tum hamárí mihnat aur mashaqqat ko yád rakhte ho, ki ham ne is liye ki tum men se kisí par bár na ho, rát din dastkárí karke tumhen Khudá kí Injíl kí manádí kí.

10 Tum gawáh ho, aur Khudá bhí hai, ki tum men jo ímán láe, ham kyá hí pákí aur rástí aur be'aibí se guzrán karte the:

11 Chunánchi tum jánte ho, ki ham tum men har ek kí yún minnat karte, aur dilásá dete, aur nasíhat karte the, jaise báp apne bachchon ko,

12 Táki tum us Khudá ke láiq chalo, jis ne tumhen apní bádsháhí aur jalál men bulaya.

13 Is waste hamesha Khudá ke ham shukrguzár hain, ki jab wuh kalám jo Khudá ká hai, jise ham sunáte hain, tum ko milá, tum ne use ádmíon ká kalám nahín, balki Khudá ka kalám jánkar, ki wuh haqiqat men aisá hí hai, qabúl kiya, aur wuh tum ímándáron men asar karta hai.

|

14 Is liye ki tum, ai bháío, Khudá kí kalísiyaon ke, jo Yahúdiya men Masih Yisú' kí hain, pairau húe: kyúnki tum ne bhí apne ham-qaumon se wuhí dukh páe, jo unhon ne Yahúdíon se: 15 Jinhon ne Khudáwand Yisú' aur apne nabíon ko már ḍálá, aur hamen satáyá; aur we Khudá ko khush nahín áte, aur sáre ádmíon ke mukhalif hain:

16 Aur is liye, ki un ke gunáh hamesha kamal ko pahunchte rahen, we ham ko man'a karte hain, ki ham gairqaumon ko wuh kalám ná sunáwen, jis se un kí naját ho;

pahunchá.

17 Par ham ne, ai bháío, tum se thorí muddat tak dil se nahín, záhir men, judá hoke kamál árzú se niháyat koshish kí, ki tumhárá munh dekhen.

18 Is waste ham ne, ya'ne, main ne jo Púlús hún, ek yá do bár cháhá, ki tumháre pás áún; par Shaitán ne hamen roká.

19 Ki hamárí ummed aur khushí aur fakhr ká táj kya hai? Kyá tum hí hamáre Khudáwand Yisú' Masih ke sámhne us ke áte waqt na hoge?

20 Ki yaqínan tum hamáre jalál aur khushi ho.

III BÁB.

S wáste jab ham ziyáda bar

húe ki ham Atení men akele rah jáwen;

2 Chunánchi ham ne Timtáús ko jo hamárá bháí, aur Khudá ká khádim, aur Masíh ki Injil men hamárá hamkhidmat hai, bhejá, ki wuh tum ko tumhare ímán men mazbút kare, aur tasallí de:

3 Táki tum in musíbaton se lagzish na kháo; kyúnki tum áp jante ho, ki ham un hí ke liye muqarrar húe hain.

4 Aur jab ham tumháre pás the, tumhen áge se kahá, ki ham musíbat men parenge: chunánchi wuhí húá, aur tum jante ho.

5 Is wáste, jab main aur ziyáda bardásht na kar saká, tab tumhárá ímán daryáft karne ko bhejá, na howe, ki imtihan karnewåle ne tumhárá imtihán kiyá ho, aur hamárí mihnat be-fáida ho gayí ho.

6 Par ab Timtáús jab tumhárí taraf se hamáre pás áyá, aur tumháre ímán aur muhabbat kí khushkhabarí láyá, aur kahá, ki tum hamárá zikr i khair hamesha karte ho, aur tum hamáre dek hne

[blocks in formation]

5 Na shahwat kí badmastí men, gair qaumon kí mánind jo Khudá ko pahchante nahín;

6 Aur koí kisí bát men apne bháí se bejá aur us par ziyadatí na kare: kyúnki Khudáwand un sab kámon ká badlá lenewálá hai; chunánchi ham ne áge bhí tum se kahá, aur gawáhí dí.

7 Ki Khuda ne ham ko ná-pákí ke liye nahín, balki pákízagí ke wáste buláyá.

8 Is wáste, jo hiqárat karta hai, so ádmí kí nahín, balki Khudá kí hiqárat karta hai, jis ne hamen apní pák Rúh bhí dí.

9 Ab bháíon kí muhabbat kí bábat hájat nahín, ki tumhen kuchh likhún; kyúnki tum ne ápas men muhabbat karne kí Khudá se ta'lím páí.

10 Chunánchi tum un sab bháíon se jo tamám Maqadúniya men hain, aisá hí karte ho; lekin, ai bháío, ham tumhárí minnat karte hain, ki tum ziyada taraqqí karo; 11 Aur jis tarah ham ne tumhen hukm kiya, tum garíbí ke sáth rahne, aur áp apne károbár karne, aur apne háthon se kám karne kí 'izzat ke cháhnewále ho;

Tse Khudáwand Yisú' ke wáste 'arz aur minnat karte hain,

ki jaisá tum ne ham se síkhá, ki kis tarah chalná aur Khudá ko khush karná zarúr hai, un men taraqqí karo.

2 Ki tum jánte ho, ki ham ne tum ko Khudáwand Yisú' kí taraf se kya hukm diye.

3 Kyúnki Khudá kí marzí yih hai, ki tum pák hoke harámkárí se apne taín báz rakho :

4 Táki har ek tum men se apne badan ko pákízagí aur 'izzat ke sáth rakhná jáne;

12 Táki tum un ke áge, jo báhar hain, durustí se chalo, aur kisí chíz kí ihtiyáj na rakho.

13 Ai bháío, main nahín cháhtá hún, ki tum un ke ahwál se jo so gaye hain, ná-wáqif raho, táki tum

kí mánind jo ná-ummed

hain gam na karo.

14 Kyúnki ham ne jo yaqin kiyá, ki Yisứ múa, aur utha, to yih bhí yaqín kiyá cháhiye, ki Khudá unhen, jo Yisú' men so gaye hain, us ke sath le áegá.

15 Ki ham tumhen Khudáwand ke hukm se yih kahte hain, ki we jo ham men se Khudáwand ke áne tak zinda aur báqí rahenge, un se jo so gaye hain, áge na baṛh jáenge.

16 Kyunki Khudáwand áp chúm se muqarrab firishte kí awáz ke sáth Khudá ká narsingá phúnkte

« ÎnapoiContinuă »