Imagini ale paginilor
PDF
ePub

tumháre wáste Masíh ká diyánat-, chízon ko, kyá we jo zamín par dár khádim hai, aisá hí síkhá; hain, kyá we jo ásmán par hain, 8 Usí ne tumbárí Rúhí muhab-usí ke wasíle apne se milá le. bat ko ham par záhir kiyá.

9 So ham bhí jis din se yih suná, tumháre wáste du'á mángne se aur yih 'arz karne se báz nahín rahte hain, ki tum tamám hikmat aur rúhání samajh se us kí marzí kí pahchán men kamál tak pahuncho;

10 Táki tum Khudáwand kí kámil razámandí par láiq chál chalo, aur har ek nek kám men phal láte raho, aur Khudá kí pahchán men taraqqí karo;

11 Aur us kí jalálí qudrat se sab tarah kí mazbútí paidá karo, táki tum khushi ke sath har súrat se sabr o bardásht kar sako:

12 Aur Báp ká shukr karte raho, jis ne ham ko is láiq kiyá, ki núr men muqaddas logon ke sath mírás men hissa páwen:

13 Usí ne ham ko táríkí ke qabze se chhuṛáyá, aur apne piyare Bete ki bádsháhat men shamil karáyá;

14 Us men ham us ke lahú ke sabab se naját, ya'ne gunáhon kí mu'áfí, páte hain :

15 Wuh andekhe Khudá kí súrat hai, aur wuh sárí khilqat ká palauthá hai:

16 Kyúnki us se sárí chízen jo ásmán aur zamín par hain, dekhí aur andekhí, kya takht, kyá kháwindíán, kyá riyásaten, kya mukhtáríán paidá kí gayín; sárí chízen us se, aur us ke liye paidá húín :

17 Aur wuh sab se áge hai, aur us se sárí chízen bahál rahtí hain.

18 Aur wuh badan, ya'ne kalísiye ká sir hai; wuhí shurú' men murdon men se palauțhá hai, táki sab báton men us ká auwal darja

ho.

19 Kyúnki Báp ko yih pasand áyá, ki sárá kamál us men base; 20 Aur ki, us ke khún ke sabab jo salíb par bahá, sulh karke sárí

21 Aur tum ko bhí jo áge begáne, aur bure kámon ke sabab dil se dushman the, ab us ke jismání badan se maut ke wasíle milá liya.

22 Táki wuh tum ko muqaddas aur be-'aibo be-ilzám apne huzúr házir kare:

23 Basharte ki tumhárí bunyád ímán par qáim howe, aur tum us se mazbút raho, aur us Injíl kí ummed se jise tum ne suná, tal na jáo, jis kí manádí har ek makhlúq ke liye jo ásmán ke níche hai ki gayi, aur us hí ká main Púlús khadim hún.

24 Main apní un musíbaton se jo tumhare wáste khínchtá hún ab khush hún, aur Masíh kí musíbaton kí kamtíán us ke badan ke, ya'ne, kalísiye ke liye, apne jism se bhare detá hún :

25 Jis kalísiye ká main khádim húá, chunánchi yih mukhtárí Khudá kí taraf se mujhe tumháre liye milí, táki main Khudá ke kalám ko púrá bayán karún;

26 Ya'ne, us bhed kò jo agle zamáne se pusht ba pusht poshída rahá, par ab us ke muqaddas logon par záhir húá:

27 Jin par Khudá ne záhir karná cháhá, ki gair qaumon ke liye us bhed kí hashmat kí firáwání kya hai: jo yih hai, ki Masih tum men jalál kí ummed hai:

| 28 Jis kí khabar deke ham har ek ádmí ko nasihat karte, aur har shakhs ko kamál dánáí se sikháte hain, táki ham har ek ádmí ko Masíh Yisú' men kámil karke házir karen:

29 Aur isí liye main us kí us tásír ke muwáfiq, jo qudrat se mujh men asar kartí hai, jánfishání se mihnat kartá hún.

II BÁB.

MAIN cháhtá hún ki tum

jáno, ki tumháre aur un ke wáste jo Láodíqíá men hain, aur un sab ke liye jinhon ne merí jismí súrat nahin dekhí, kyá hí jánfishání kartá hún;

2 Ki un ke dilon ko tasallí ho, aur we muhabbat se ápas men gathe rahen, táki we púrí samajh kí tamám daulat ko pahunchen, aur Khudá, ya'ne Báp, aur Masíh ke bhed ko jánen;

3 Jis men hikmat aur ma'rifat ke sáre khazáne chhipe hain. 4 Main yih kahtá hún, tá na howe ki koí ádmí chikní chuprí báton se tumhen bhuláwe.

5 Kyúnki agarchi main jism se dúr hún, par rúh se tumháre pás, aur tumhárí tartíbí hálat, aur tumháre ímán kí mazbútí ko, jo Masíh par láye ho, dekhke, khush hún.

6 Pas jaisá tum ne Masíh Yisú Khudáwand ko qabúl kiya, waisá hí us men chalo:

7 Aur us men jar bándho, aur us par banáe jáo, aur jaisí tum ne ta'lim páí, ímán men mazbút raho, aur us 'men shukrguzárí ke sáth taraqqí karo.

8 Khabardár, aisá na ho, ki koí failsúfi aur behúda fareb se jo Masih ke muwáfiq nahín, balki ádmíon ke dastúr aur dunyáwí 'ilm ke 'usúl ke muwáfiq hain, tumhen lút na le.

9 Kyunki Ulúhíyat ká sáró kamál us men mujassam ho rahá. 10 Aur tum us men, jo sárí sardárí aur mukhtárí ká sir hai, kámil bane ho:

11 Aur us men tumhárá aisá khatna húa, jo háth se nahín, ya'ne, Masíhí khatna, jo jismání gunáhon ká badan utár phenkná hai:

12 Aur us ke sath baptisma men gáre gaye, aur usí men Khudá kí qudrat hí par, jis ne us ko murdon men se jiláyá, ímán láke us ke sath jí bhí uthe ho.

[ocr errors]

13 Aur us ne tumhen, jo gunáhon aur apne jism kí námakh

túní se murde the, us ke sath zinda kiyá, ki us ne tumháre sab gunáh bakhsh diye;

14 Aur hukmon ká dastķhatt, jo hamárá mukhalif thá, hamárí bábat miţá dálá, aur us ko bích men se uṭháke salíb par kílen ja rín;

15 Aur sardáron o ikhtiyarwálon ká iqtidár chhín liyá, aur unher barmalá ruswá karke un par shádiyáne bajáe.

16 Pas kháne píne, yá 'íd, yá naye chánd, yá sabt ke din kí bábat koí tum par ilzám na lagáwe;

17 Ki ye ánewálí chízon ke saya hain; par badan Masíh ká hai. 18 Koí záid-ul-farz kháksárí karke, aur firishton kí parastish karke, tum ko tumháre ajr se mahrúm na kare, ki aisá shakhs, apní jismání 'aql se 'abas phúlke, un chízon men, jinhen us ne nahín dekhín, bejá dakhl karta hai,

19 Aur us sir ko nahín pakṛe rahtá, jis se sárá badan, bandon aur patthon se paiwasta hoke, aur ápas men juṭke, Khudá kí barhtí se barhta hai.

20 Pas agar tum Masih ke sáth dunyáwí 'ilm ke 'usúl kí nisbat mar gaye ho, to tum kyún un kí mánind jo dunyá men zinda hain dastúr-parast ho,

21 (Mat chhúná; mat chakhná ; mat háth lagáná;

22 Ye sárí chízen kám men láne se nest ho játí hain;) ádmíon ke hukmon aur ta'límon ke muwáfiq?

23 Ye chízen to, záid-ul-farz 'ibádat, aur kháksárí, aur badaní riyázat, aur tan kí 'izzat na karní ki us kí khwahishen púrí howen, hikmat kí súrat rakhtí hain.

[blocks in formation]

kí talásh men raho, jo úpar hain, jahán Masih Khuda ke dahine baitha hai.

2 Úpar kí chízon se dil lagáo, na un chízon se jo zamín par hain.

3 Kyúnki tum mar gaye ho, aur tumhárí zindagi Masih ke sath Khudá men chhipí húí hai.

4 Jab Masih, jo hamárí zindagí hai, záhir hogá, us ke sáth tum bhí jalál men záhir ho jáoge.

5 Is waste tum apne 'azúon ko jo zamin par hain, ya’ne, harám- | kárí, aur nápákí, aur shahwat, aur burí khwahish, aur lálach ko, jo butparastí hai, kushta karo:

6 Ki un hí ke sabab se Khuda | ká gazab náfarmánbardár farzandon par paṛtá hai:

7 Aur áge jab tum un ke bích jíte the, tum bhí un kí ráh par chalte the.

8 Par ab tum in sab ko bhí, ya'ne, gusse, aur gazab, aur badkhwáhí, aur badgoí, aur badzubání ko apne munh se nikál phenko.

9 Ek dúsre se jhúth na bolo, kyúnki tum ne purání insániyat ko us ke fi'alon samet utár phen

ká;

10 Aur nayí insániyat ko, jo ma'rifat men apne paidá karnewále kí súrat ke muwáfiq nayí ban rahí hai, pahina hai :

11 Wahán na Yúnání hai, na Yahúdí, na khatna, na námakhtúní, na Barbarí, na Sqútí, na gulám, na ázád, par Masíh sab kuchh, aur sab men hai.

12 Pas Khudá ke chune húon kí mánind, jo muqaddas aur piyáre hain, dardmandí, aur mihrbání, aur farotaní, aur halímí, aur bardásht ká libás pahino;

13 Aur agar koí kisí par da'wá rakhtá ho, to ek dúsre kí bardásht kare, aur ek dusre ko bakhshe; jaisá Masíh ne tumhen bakhsha, waisá hí tum bh karo.

14 Aur un sab ke úpar muhabbat ko pahin lo, ki wuh kamál ká kamarband hai.

15 Aur Khudá kí itmínán jis kí taraf tum ek tan hokar bulae gaye ho, tumháre dilon par hukumat kare, aur tum shukrguzár raho.

16 Masíh ká kalám tum men bahutayat se rahe; aur tum ek dúsre ko kamál dánáí se ta❜lím aur nasihat karo, aur zabúr aur gít aur rúhání gazalen, shukrguzárí ke sáth, Khudáwand ke liye dilon se gáo.

17 Aur jo kuchh karte ho, kalám aur kám, sab kuchh Khudáwand Yisú' ke nám se karo, aur us ke wasíle se Khuda Báp ká shukr bajá láo.

18 Ai 'aurato, jaisá Khudáwand men munásib hai, apne apne khasam kí farmánbardarí karo.

19 Ai mardo, apní jorúon ko piyár karo, aur un se kaṛwe na ho.

20 Ai larko, tum apne má báp kí har ek bát men farmánbardar ho, ki Khudáwand ko yihí pasand hai.

21 Ai bachchewálo, apne larkon ko mat chhero, na howe ki we be-dil hojáwen.

22 Ai naukaro, tum un ke, jo dunyá men tumháre kháwind hain, sab báton men farmánbardár raho; par khushamadí logon kí mánind dikháne ko nahín, balki sáf dil se Khudá-tarson kí tarah :

23 Aur jo kuchh karo, so jí se aisá karo jaisá Khudáwand ke liye karte hain, na ki ádmíon ke liye;

24 Ki tum jánte ho, ki tum Khudáwand se badle men mírás páoge; kyúnki tum Khudáwand Masíh kí naukarí bajá láte ho.

25 Par wuh jo burá karta hai, wuh apne kiye ke muwafiq buráí kamáwegá; aur kisí kí tarafdárí nahin hai.

[blocks in formation]

I kháwindo, naukaron ke sáth 'adl aur insaf karo, yih jánkar ki tumhárá bhí ek Kháwind ásmán par hai.

2 Du'á mángne men mashgúl, aur us men shukrguzárí ke sáth hoshyár raho;

ká bhánjá hai, (jis kí bábat tum ne hukm páe, agar wuh tumhare pás áwe, to us kí khátir karo ;)

11 Aur Yisú' jo Justus kahlátá hai, ye sab, jo makhtúnon men se hain, tum ko salám kahte hain. Sirf ye hí, jo Khudá kí bádsháhat ke wáste mere hamkhidmat the, mere liye tasallí the.

12 Ipafras, jo tum men se Masíh ká banda hai, tum ko salám kahta hai, aur wuh tumháre waste du'á mángne men hamesha ko

3 Aur sáth us ke hamáre liye bhí du'á karo, ki Khudá hamáre wáste bolne ká darwáza khole, ki main Masih ke bhed ko, jis ke sabab qaid húá hún, bayán ka-shish karta hai, taki tum Khudá rún:

4 Táki main use aisá záhir karún, jaisá mujhe lázim hai. 5 Tum waqt ko ganímat jánke báhar ke logon ke sáth hoshyárí se chalo.

6 Chahiye ki tumhárá kalám hamesha fazl ke sáth aur namkín ho, táki tum jáno ki har ek ko kyúnkar jawab diyá chahiye. 7 Tukhikas jo piyárá bháí, aur diyánatdár khádim, aur Khudáwand kí khidmat men sharík hai, mere sáre ahwál kí tumhen khabar degá:

8 Us ko main ne is liye tumháre pás bhejá hai, ki wuh tumhárá hál daryáft kare, aur tumháre dilon ko tasallí de;

9 Aur us ke sath Unesimus ko, jo diyánatdár aur piyárá bháí, aur tum men se hai, bhej diya. We tumhen yahán kí sárí khabaren pahunchaenge.

10 Aristarkhus jo mere sath qaid hai, aur Marqus jo Barnabás

kí marzí kí har ek bát men kámil aur púre bane raho.

13 Main us ká gawáh hún, ki wuh tumháre aur un ke wáste jo Láodíqíá men hain, aur jo Hírápulis men hain, bahut sargarm hai.

14 Lúqá, piyárá tabíb, aur Demas, tumhen salám kahte hain. 15 Tum un bháion ko jo Láodíqíá men hain, aur Numfás ko, aur us kalísiye ko, jo us ke ghar men hai, salám kaho.

16 Aur jab yih khatt tum men parhá jáe, to aisa karo, ki Láo díqíá kí kalísiye men bhí parhá jáe; aur Láodíqíon ká khatt tum bhí parho.

17 Aur Arkhippus se kaho, ki tú us khidmat men jo tú ne Khudáwand men páí hai, hoshyár rah, ki use anjám de.

18 Mere háth se jo Púlús hún, salám. Merí zanjíron ko yád rakho. Fazl tum par howe. Ámín.

[merged small][ocr errors][merged small][merged small][merged small][merged small]

Timtáús kí taraf se Tas

saluníqí kalisiye ko, jo Báp Khudá, aur Khudáwand Yisú Masíh men hai, fazl aur salámatí hamáre Báp Khudá aur Khudáwand Yisứ | Masih ki taraf se tumháre liye howe.

|

jo Khudá par hai, mashhúr húá, yahan tak ki hamáre kalıne kí kuchh hájat nahín.

9 Is waste ki we áp hamará zikr karte hain, ki ham ne tum men kaisá dakhĺ páyá, aur tum kyúnkar buton se Khudá kí taraf phire, táki Khudá kí, jo zinda aur sach chá hai, bandagi karo;

10 Aur us ke Bețe kí, jise us ne 2 Tum sab ke wáste Khudá ká murdon men se jiláyá, ráh tako, shukr hamesha ham bajá láte ki ásmán par se áwegá: ya'ne, hain, aur apní du'áon men tum-Yisú', jo ham ko ánewále gazab se hen yád karte; chhurátá hai.

3 Aur apne Báp Khuda ke huzúr tumháre ímán ke 'amal, aur muhabbat kí mihnat, aur ummed kí páedárí ko, jo hamáre Khudáwand Yisứ Masíh kí taraf hai, bilá nága yád karte hain;

4 Ki, ai bháío, Khudá ke piyáro, ham jante hain, ki tum Khudá ke

chune húe ho.

5 Kyúnki hamárí Injíl na faqat lafz se, balki qudrat, aur Rúh i Quds, aur púre i'atiqád ke sáth, tumháre pás pahunchí; chunánchi tum jánte ho, ki ham tumháre waste tum men kaise the.

6 Aur tum hamáre aur Khudáwand ke pairau húe, ki tum ne kalám ko baṛí musíbat ke sáth Rúh i Quds kí khushí se qabúl kiyá :

7 Yahán tak ki tum Maqadúniya aur Akhaia ke sáre ímándáron ke liye namúna bane.

8 Kyúnki tum se Khudáwand ke kalám kí shuhrat faqat Maqadúniya aur Akhaia men na húí, balki har ek jagah tumhárá ímán

[ocr errors]

II BÁB.

1 AI bháo, tum to áp jánte ho, ki hamárá dakhl tum men be-faida na thá:

2 Agarchi ham ne áge shahr Filippí men bará dukh aur ruswáí uṭháí, chunánchi tum is se wáqif ho, taubhí apne Khudá ke sabab be-parwáí ke sath Khudá kí Injíl kamál koshish se tumhen sunáte the.

3 Ki hamárá wa'z gumráhí aur ná-pákí aur dagábází se na thá: 4 Balki, jaisá Khudá ne ham ko maqbúl jánke Injíl ká amánatdár kiya, waisá hí ham bolte hain; aur ádmíon ko nahín, balki Khudá ko, jo hamáre dil ázmátá hai, razámand karte hain.

5 Ki ham hargiz khushámad kí bát nahín bolte the, jaisá tum jánte ho, na lálach ká parwá rakhte the; Khudá gawáh hai :

6 Aur na ádmíon se, na tum se, na dúsron se 'izzat chahte the; agarchi is sabab se, ki ham Masih

N

« ÎnapoiContinuă »