Imagini ale paginilor
PDF
ePub

PÚLÚS KÁ DÚSRÁ KHATT
QURINTÍON KO.

www

PULUS

1. BÁB.

8 Kyúnki, ai bháío, ham nahín cháhte, ki tum hamárí us musíbat se, jo Asia men ham par parí, náwáqif raho, ki ham taqat se báhar bahut hí dab gae, yahan tak ki ham ne zindagí se bhí háth dhoyá: 9 Balki apne úpar qatl ká hukm

ÚLÚS kí jo Khudá kí marzí se Yisú' Masíh ká rasúl hai, aur bháí Timtáús kí jánib se Khudá kí kalísiye ko jo Qurintus men hai, un sab muqaddas logon samet, jo tamám Akh-yaqin kar chuke the, táki ham na aia men hain:

2 Fazl aur salámatí hamáre Báp Khudá aur Khudáwand Yisú' Masíh kí taraf se tumháre liye howe. 3 Mubárak hai wuh Khudá, jo hamáre Khudáwand Yisu' Masíh ká Báp, aur rahmaton ká bání, aur sárí tasallí ká Khudá hai;

4 Wuhí hamárí har ek musíbat men ham ko tasallí detá hai, táki ham us hí tasallí ke sabab, jo hamen Khudá se miltí hai, un ko bhí jo kisí tarah kí musíbat men hain, tasallí de saken.

5 Kyúnki jis tarah Masíhí dukh ham par barhte játe hain, usí tarah hamárí tasallí bhí Masih ke sabab se barhtí hai.

6 Aur ham agar musíbat uṭháte hain, to tumhárí tasallí aur naját ke waste hai, jo tumháre un dukhon kí, jinhen ham bhí sahte hain, bardásht karne se asar kartí hai; aur agar ham tasallí páte hain, to tumhárí tasallí aur naját ke waste hai.

7 Aur hamárí ummed tumhárí bábat mazbút hai; ki ham jánte hain, ki jis tarah tum dukhon men sharík ho, us hí tarah tasallí men bhí hoge.

|

apná balki Khudá ká, jo murdon ko jilátá hai, bharosa rakhen:

10 Us ne ham ko aisí baṛí halákat se chhuṛáyá, aur chhuṛátá bhí hai, aur ham ko us se yih ummed hai, ki wuh áge ko bhí chhuráwegá;

11 Aur tum bhí milke du'a se hamáre madadgár ho, táki us ni'amat ke sabab jo bahut se logon kí du'á se ham ko milí, bahut se log shukr bhí hamárí taraf se karen.

12 Kyúnki hamárá fakhr yih hai, ki hamárá dil gawáhí detá hai, ki ham ne Khuda kí safáí aur sacháí ke sáth, jismání hikmat se nahín, balki Khudá ke fazl se, dunyá men guzrán kí, kháss kar tumháre darmiyán.

13 Kyúnki ham aur baten tumhen nahin likhte, magar wuhí jinhen tum parhte aur mánte ho; aur mujhe ummed hai, ki tum akhir tak mánte rahoge;

14 Chunánchi tum ne ham ko bhí ek taur par mán liyá hai, ki ham tumháre fakhr hain, jaise Khudáwand Yisú' ke din tum bhí hamáre.

15 Aur main ne isí bharose par pahle tumháre pás áne ká iráda

kiyá, táki tum dúsrí ni'amat 3 Aur main ne tum ko yih likhá hai, tá na howe ki main ákar un se,

páo.

16 Aur phir tum pás hokar Ma-jin se cháhtá ki main khush hoún, qadúniya ko jáún, aur Maqadú- gamgín hoún; ki tum sabhon kí niya se phir tumháre pás aún, taraf se mujhe yaqin hai, ki jo aur ki tum mujhe áge Yahúdiya merí khushi hai, so wuhí khushí ko pahunchá do. tum sabhon kí hai.

17 Pas main ne jo yih iráda kiyá, to kya halkápan se kiyá ? yá jo iráda main kartá hún, so kya jismání taur par karta hún, ki hán hán, aur nahín nahin bhí merí bát men ho?

18 Par Khudá e barhaqq jántá hai, ki hamárí jo bát tum se thí, so hán aur nahín na thahrí.

19 Ki Khuda ká Bețá Yisú' Masih jis kí manádí ham ne, ya'ne main ne aur Silwánus aur Timtáús ne, tumháre bích kí, so | hán aur nahín na thahrá, balki hán us se thahrá.

4 Kyúnki main ne baṛí musíbat aur dilgírí se bahút se ánsú bahá bahákar tumhen likhá; aur is wáste nahín, ki tum gamgín ho, par is wáste ki tum merí us barí muhabbat ko, jo tum se hai, jáno. 5 Aur agar kisí ne gamgín kiyá, to us ne mujhí ko nahin gamgin kiyá, balki ek taur par tum sab ko bhí; main us par ziyáda bojh dálne nahín cháhtá hún.

6 Pas, yih ilzám jo bahuteron se utháyá, us ke waste bas hai.

7 So bihtar hai ki tum barkhilaf us ke us ko mu'áf karo, aur tasallí do, tá kahín aisá na ho, ki bahut gam use khá jáe.

20 Kyúnki Khudá ke jitne wa'de hain, sab us se hán aur us se Ámín hain, táki hamáre wasíle 8 Is liye main tum se 'arz kartá se Khudá ká jalál záhir ho. hún, ki tum us ke sáth apní mu21 Aur jo ham ko tumháre sáthhabbat sábit karo. Masih men qáim karta hai, aur jis ne ham ko mamsúh kiyá, so Khudá hai;

22 Aur us ne ham par muhr bhí kí, aur Rúh ká bai'ána hamáre dilon men diya.

23 Garaz, main Khudá ko apne dil par gawáh látá hún, ki main ne tum par rahm kiyá, ki ab tak Qurintus men nahín áyá.

24 Lekin ham tumháre ímán par khudáwandí nahin karte, balki tumhárí khushí ke madadgár hain; kyúnki tum ímán se qáim rahte ho.

II. BÁB.

MAIN ne apne dil men yih pás phirke gamgín na aún.

2 Kyunki agar main tumhen gamgin karún, to kaun siwá us ke, jise main ne gamgín kiyá, mujhe khush kar sakta hai?

9 Ki main ne is waste bhí likhá thá, ki tumhen jánchún, ki tum sárí báton men farmánbardár ho, yá nahín.

10 Jise tum kuchh mu'áf karte ho, use main bhí mu'af kartá hún aur main ne jise kuchh mu'áf kiyá, tumhárí khátir se Masih ke qáim-muqám hokar mu'áf kiyá ;

11 Tá na howe ki Shaitán ham par ziyádatí kare, kyúnki ham us kí tadbíron se ná-wáqif nahín hain.

12 Aur jab main Masíh kí Injil sunáne ko Troás men áyá, aur Khudáwand se mujh par ek darwáza khul gayá,

13 Tab mere dil ko árám na

rahá, ki main ne apne bháí Títus

hokar wahan se Maqadúniya men áyá.

14 Ab shukr Khudá ká, jo Masíh men ham ko hamesha fath bakhshua hai, aur apne 'ilm kí

khushbú ham se har ek jagah záhir karwata hai.

15 Kyúnki ham Khudá ke áge un ke liye jo bacháe játe hain, aur un ke liye jo halák hote hain, Masih kí khushbúí hain:

16 Baʼzon ko marne ke liye maut kí bú, aur ba'zon ko jíne ke liye zindagí kí bú hain. Aur kaun in báton ke láiq hai?

17 Ki ham bahuton kí mánind Khudá ke kalám men milauní nahin karte, balki sacháí se, aur Khudá kí taraf se, ham Khudá ke huzúr Masih men hoke bolte hain.

III. BÁB.

chihre par thá, aur nest honewálá
thá, nazar na kar sake:
8 To Rúh kí khidmat kitne zi-
yáda jalál ke sath na hogí?
9 Ki jab ilzám dilánewálí khid-
mat jalál hai, to rástbází kí khid-
mat ká jalál kitná ziyáda na
hogá?

10 Balki wuh jo jalálí záhir húá, is bare jalálwále kí nisbat se, jalál hí na rakhtá thá.

11 Kyúnki agar nest honewálí chíz jalál ke sath thí, to wuh, jo qáim rahnewálí hai, kitne hí ziyáda jalál ke sath na ho.

12 Pas ham aisí ummed rakhke barí be-parwáí se bolte hain:

13 Aur ham Músá kí tarah 'amal nahin karte, jis ne apne

KYA ham phir apní nená chihre par parda dálá, táki bant

mí jatáná shuru' karte hain? ya ham auron kí tarah muhtáj hain, ki neknámí ke khatt tumháre pás láwen, yá tum se neknámí ke khatt lejáwen?

2 Hamárá khatt jo hamáre dilon par likha hai, tum ho, aur use sáre ádmí jánte, aur parhte hain: 3 Ki tum záhir Masih ke khatt ho, jis ke taiyár karne men ham khidmat karnewále húe, aur wuh siyahí se nahín balki zinda Khudá kí Rúh se, aur patthar ki takhtíon par nahín, balki dil kí takhtíon par jo gosht kí hain, likhá gayá hai.

4 Aur ham aisá bharosá Masíh kí ma'rifat Khudá par rakhte hain :

5 Isliye nahin ki ham láiq hain, ki áp se kuchh khiyál bhí kar saken; balki hamárí liyáqat Khudá se hai;

6 Jis ne ham ko yih liyaqat bhí dí hai, ki ham naye ’ahd ke khá dim howen; harf ke nahín, balki Rúh ke; kyúnki harf már dáltá,

par

Rúh jilátí hai.

7 Aur agar maut kí wuh khidmat, jo harfi aur pattharon par khodí gaí thí, aise jalál ke sath húí, ki baní Israel Músá ke chihre par ba-sabab us jalál ke, jo us ke

Israel us uth-jánewálí kí gáyat tak bakhúbí na dekhen:

14 Lekin un ká fahm tárík ho gayá: kyúnki áj tak puráne 'ahdnáma ke parhne men wuhí parda rahtá hai, aur uth nahín játá; ki wuh parda Masih se játá rahtá hai.

15 Pas áj tak jab Músá kí paṛhí játí hai, to wuh parda un ke dil par pará rahta hai.

16 Lekin jab Khudáwand kí taraf phirega, tab wuh parda har taraf se uth jaegá.

17 Aur Khudáwand wuhí Rúh hai, aur jahán kahin Khudáwand kí Rúh hai, wahín ázádagí hai.

18 Par ham sab be-parda Khudáwand ke jalál ko áína men dekh dekhke, jalál se jalál tak, Khudáwand kí Rúh ke wasile, us kí súrat par bante játe hain.

IV BÁB.

pat paí, aur ham par aisá PAS jab ham ne yih khid

rahm húá, to ham udás nahín hote;

2 Balki ham ne sharm ke poshída kámon se kanára kiya, aur dagábází kí chál nahín chalte, aur na Khudá kí bát men milauní karte

[blocks in formation]

3 Aur hamárí Injíl agar poshída howe, to un hí par poshida hai, jo halák hote hain:

4 Ki is jahán ke khudá ne un kí 'aqlon ko jo be-ímán hain tárík kar diya hai, tá na howe ki Masíh, jo Khudá kí súrat hai, us kí jalálwálí Injíl kí roshní un par chamke.

5 Ki ham apní nahín, balki Masíh Yisú' Khudáwand kí manádí karte hain; aur apne taín Yisú' ke liye tumháre khádim záhir karte.

6 Kyunki Khudá jis ke hukm ke mutabiq táríkí se roshní chamkí, us ne hamáre dilon ko roshan kiya, táki Khudá ke jalál kí pahchán ká núr Yisú' Masíh ke chihre se ham men jalwagar ho.

7 Par ham yih khazána mittí ke básanon men rakhte hain, táki záhir howe, ki qudrat kí buzurgí hamárí taraf se nahín, balki Khudá kí taraf se hai.

8 Aur ham to har taraf se musíbat men hain, lekin shikanja men nahín; hairán hain, par náummed nahín;

9 Satáe jate hain, par akele chhore nahín gae; giráe játe hain, par halák nahín húe;

10 Ki ham Khudáwand Yisú' Masih kí maut ko apne badan men hamesha liye phirte hain, táki Yisú' kí zindagí bhí hamáre jism men záhir howe.

11 Ki ham jo zinda hain, Yisú' kí khátir hamesha maut ke hawále kiye játe hain, táki Yisú' kí zindagi bhí hamáre fání jism men záhir howe.

12 Pas maut ká ham men, aur zindagi ká tum men, asar hotá

[blocks in formation]

is liye bolá, ham bhí ímán láe, aur isí wáste bolte hain;

14 Ki ham jante hain, ki wuhí jis ne Khudáwand Yisú' ko jiláyá, so ham ko bhí Yisú' ke sabab se jiláwegá, aur tumháre sáth apne huzúr men házir karegá.

15 Kyúnki sárí chízen tumháre waste hain, táki wuh fazl jo nihayat húá, Khudá ke jalál ke liye bahuton ke wasíle se shukrguzárí barháwe.

16 Is liye ham udás nahín hote hain; balki har chand ki hamárí záhirí insániyat nest hotí hai, lekin bátiní roz ba roz nayí hotí játí hai.

17 Ki hamárí pal bhar kí halkí musíbat kya hí be-niháyat aur abadí bhárí jalál hamare liye paidá kartí rahtí hai;

18 Ki ham na un chízon par jo dekhne men átí hain, balki un chízon par jo dekhne men nahín átí, nazar karte hain; kyúnki jo chizen dekhne men átí hain, chand roz kí hain, aur we jo dekhne men nahín átín, hamesha kí hain.

1

V BÁB.

YÚNKI ham jante hain,

Kki jab hamárá yih khaima

sá khákí ghar ujar jáwe, to ham ek 'imárat Khudá se páwenge; wuh ek ghar hai, jo háthon se nahín baná, balki abadí aur ásmán par hai.

2 Ki ham is men áhen khínchte, aur barí árzú rakhte hain, ki apne ásmání ghar se mulabbas howen:

3 Ba-sharte ki ham mulabbas hoke nange na páe jáenge.

4 Kyúnki ham to jab tak is khaima men hain, bojh se dabkar áhen khínchte hain: lekin nahín cháhte, ki ise utáren, balki yih ki is ke úpar use pahin len, táki zindagi maut ko nigal jáwe.

5 Aur jis ne ham ko usí ke liye taiyár kiyá, so Khuda hai, aur us

hí ne hamen Rúh ká bai'ána bhí 17 Is liye agar koí Masih men diyá. hai, to wuh nayá makhluq hai: 6 Is liye hamárí hamesha khátir-purání chízen guzar gayin; dekho, jam'aí hai; ki jante hain, ki jab sárí chízen nayí húín. tak ham badan ke ghar men 18 Aur yih sárí chízen Khudá hain, ham Khudáwand se dúrkí taraf se hain, jis ne Yisu' Mahain. síh ke sabab ham ko áp se miki|láyá, aur miláp kí khidmat hamen dí;

7 (Ki ham ímán se, aur na dekh dekhke chalte hain:)

8 So hamárí khátir-jam'aí hai; aur ham beshtar chahte hain, ki badan se widá' howen, aur Khudáwand ke huzúr men já rahen. 9 Is liház se ham koshish karte hain, ki kyá házir howen yá gair házir howen, us ko pasand áwen. 10 Kyúnki ham sab ko zarúr hai, ki Masíh kí masnad i 'adálat ke áge házir howen, táki har ek jo kuchh us ne badan men hoke kiya, kya bhalá, kyá burá, muwáfiq us ke, páwe.

11 Is waste ham Khudáwand ke khauf ko samajhkar ádmíon kí minnat karte hain; aur Khudá par hamárá hál záhir hai; aur

ummed hai, ki tumháre dilon par

bhí záhir ho.

12 Ki ham phir apní neknámí tum par nahin jatáte hain, par tumhen hamáre sabab fakhr karne kí jagah dete hain, táki tum un ko, jo záhir par fakhr karte hain aur bátin par nahin, jawáb de sako. 13 Kyunki agar ham bekhud hain, to yih Khudá ke wáste hai; aur agar hoshyár hain, to yih tumháre wáste hai.

14 Ki Masíh kí muhabbat ham ko khínchtí hai; kyúnki ham yih samjhe, ki jab ek sab ke waste múa, to sab murde ṭhahre :

15 Aur wuh sab ke wáste múá, ki jo jíte hain, so áge ko apne liye na jiwen, balki us ke liye jo un ke wáste múá, aur phir jí uthá.

16 Pas ab se ham kisí ko jism kí ráh se nahín pahchánte hain: aur agarchi ham ne Masih ko bhí jism kí ráh se pahcháná hai, par ab use phir ham nahín pah

chánte.

19 Ya'ne, Khudá ne Masíh men hoke dunyá ko apne sáth yún milá liyá, ki us ne un kí taqsíron ko un par hisáb na kiya: aur mel ká kalám hamen sompá.

20 Is liye ham Masih ke elchí hain, goyá ki Khuda hamáre wasíle minnat karta hai: so ham Masih ke badle iltimás karte hain, ki tum Khudá se mel karo.

21 Kyunki us ne us ko jo gunáh se wáqif na thá, hamáre badle gunáh thahráyá, táki ham us ke sabab iláhí rástbází thahren.

VI BÁB.

1PAS ham baham ham-khid

mat hoke tum se minnat bhí karte hain, ki Khudá ká fazl 'abas mat páte jáo.

2 (Kyúnki wuh kahta hai, ki main ne qabúliyat ke waqt men terí suní, aur naját ke din terí madad kí: dekho, ab, qabúliyat ka waqt hai; dekho, ab naját ká din hai.)

3 Ham kisí ke thokar kháne ke bá'is nahín hote, táki yih khidmat badnám na ho:

4 Par áp ko har ek bát men Khudá ke khádim kí tarah záhir karte hain, baṛí bardásht se, musíbaton se, ihtiyájon se, tangíon se,

5 Kore kháne se, qaid se, hangámon se, mihnaton se, bedáríon se, faqon se;

6 Pákízagí se, ma'rifat se, sabr se, mihrbání se, Pák Rúh se, beriyá muhabbat se,

7 Kalám i haqq se, Khudá kí qudrat se, rást bází ke hathyáron se, jo dahine báen hain,

« ÎnapoiContinuă »