Imagini ale paginilor
PDF
ePub

INJIL I MUQADDAS,

YA'NE,

HAMÁRE KHUDAWAND AUR NAJÁT-DENEWÁLE

YISÚ MASÍH

KÁ NAYÁ 'AHD-NÁMA.

IS KÁ TARJUMA YÚNÁNÍ ZUBÁN SE ZUBÁN I URDU MEN
BANÁRAS TRANSLATION COMMITTEE se kiyá gayá, JISE
TAS,HÍH KARKE AB TISRI BAR CHHAPWATE.

LONDON:

PRINTED FOR THE

BRITISH AND FOREIGN BIBLE SOCIETY,

INSTITUTED IN THE YEAR 1804.

MDCCCLX.

[merged small][merged small][merged small][ocr errors]

NAYE 'AHD-NÁMA

SAB KITÁBON, AUR UN KE BÁBON KÍ FIHRIST.

BÁB

28

16

24

21

28

16

16

13
6

Matí kí Injil ke
Marqus kí Injil ke
Lúqá kí Injil ke
Yuhanná kí Injil ke .

Rasúlon ke A'amál ke

[ocr errors]
[ocr errors]
[ocr errors]

Púlús ká Khatt Rúmíon ke nám par, us ke
Púlús ká Pahlá Khatt Qurintíon ke nám par, us ke
Púlús ká Dúsrá Khatt Qurintíon ke nám par, us ke .
Púlús ká Khatt Galatíon ke nám par, us ke
Púlús ká Khatt Afsíon ke nám par, us ke .
Púlús ká Khatt Filippíon ke nám par, us ke.
Púlús ká Khatt Qulassíon ke nám par, us ke
Púlús ká Pahlá Khatt Tassalun qíon ke nám par, us ke .
Púlús ká Dúsrá Khatt Tassaluníqíon ke nám par, us ke .
Púlús ká Pahlá Khatt Timtáús ke nám par, us ke.
Púlús ká Dúsrá Khatt Timtáús ke nám par, us ke
Púlús ká Khatt Títus ke nám par, us ke

Púlús ká Khatt Filemún ke nám par, us ká

Khatt 'Ibráníon ke nám par, us ke

Ya'qúb ká Khatt, us ke
Patras ká Pahlá Khatt, us ke
Patras ká Dúsrá Khatt, us ke
Yuhanná ká Pahlá Khatt, us ke
Yuhanná ká Dúsrá Khatt, us ká
Yuhanná ká Tísrá Khatt, us ká
Yahúdáh ká Khatt, us ká.

Yuhanná ke Mukáshafát kí kitáb ke

[ocr errors]
[ocr errors]
[ocr errors]
[ocr errors]
[ocr errors]
[ocr errors]
[ocr errors]
[ocr errors]
[ocr errors]

4

4

5

3

6

4

3

1

13

5

5

3

5

1

1

1

22

MATÍ KÍ INJÍL.

I BÁB.

1 VISÚ' Masíh, ibn i Dáúd, ibn i Abirahám, ká nasabnáma. 2 Abirahám se Izhák paidá húá; aur Izhák se Ya'qúb paidá húá; aur Ya'qúb se Yahúdáh aur us ke bháí paidá húe ;

3 Aur Yahúdáh se Pháras aur Zaráh Támar ke pet se paidá húe; aur Pháras se Hasrom paidá húá, aur Hasrom se Arám paidá húá;

4 Aur Arám se 'Aminadáb paidá húá; aur 'Aminadáb se Nah-jo sún paidá húá; aur Nahsún se Salmon paidá húá;

5 Aur Salmon se Bo'az Ráhab ke pet se paidá húá; aur Bo'az se 'Obed, Rúth ke pet se paidá húá; aur 'Obed se Yassí paidá húá, aur Yassí se Dáúd bádsĥáh paidá húá; 6 Aur Dáúd badshah se Sulaimán, us se jo Uriyáh kí jorú thí, paidá

há;

7 Aur Sulaimán se Rahabi'ám paidá húá; aur Rahabi'ám se Abiyáh paidá húá, aur Abiyáh se Asá paidá húá;

8 Aur Asá se Yahúsafat paidá húá; aur Yahúsafat se Yúrám paidá húá; aur Yúrám se 'Uziyáh páidá húá;

9 Aur 'Uziyáh se Yútám paidá húá; aur Yútám se Akhaz paidá húá; aur Ákhaz se Hizqiyá paidá húá;

13 Aur Zarubábul se Abiúd paidá húá; aur Abiúd se Eliyáqím paidá húá; aur Eliyáqím se 'Ázúr paidá húá;

14 Aur 'Ázúr se Sádúq paidá húá; aur Sádúq se Akhím paidá húá; aur Akhím se Eliúd paidá háá; 15 Aur Eliúd se Ele'ázar paidá húá; aur Ele'ázar se Mattán paidá húá; aur Mattán se Ya'qúb paidá húá;

16 Aur Ya'qúb se Yusuf, jo Mariyam ká shauhar thá, jis se Yisú,

Masíh kahlátá hai, paidá húá. 17 Pas, sab pushten Abirahám se Dáúd tak chaudah pushten hain, aur Dáúd se Bábul ko uth jáne tak chaudah pushten, aur Babul ko uth jáne se Masih tak chaudah pushten hain.

10 Aur Hizqiyá se Manassí paidá húá; aur Manassí se Amún paidá húá ; aur Amún se Yúsíyáh paidá húá;

11 Aur Yúsíyáh se Yakúniyáh aur us ke bháí, jis waqt Bábul ko uth jane pará, paidá húe;

12 Aur Bábul ko uth jáne ke ba'd Yakúniyah se Salatiel paidá húá, aur Salatiel se Zarubábul paidá húá;

|

18 ¶ Ab Yisú' Masíh kí paidáish yún húí; ki jab us kí má Mariyam kí mangní Yúsuf sáth húi, un ke ikaṭṭhe ane se pahle, wuh Rúh ul Quds se hámila pá‚í ga,í.

19 Tab us ke shauhar Yusuf ne, jo rástbáz thá, aur na cháhá ki use tashhír kare, iráda kiyá, ki use chupke se chhor de.

20 Wuh in báton ke soch hí men thá, ki dekho, Khudáwand ke firishte ne us par khwab men záhir hoke, kahá, Ai Yusuf, Ibn i Dáúd, apní jorú Mariyam ko apne yahán le ane se mat dar; kyúnki jo us ke rihm men hai, so Rúh ul Quds se hai.

21 Aur wuh bețá janegí, aur tú us ká nám YISU rakhegá; kyúnki wuh apne logon ko un ke gunáhon se bacháegá.

22 Yih sab kuchh húá, ki jo Khudáwand ne nabí kí ma'rifat kahá thá, púrá ho; ki,

23 Dekho, ek kunwárí hámila hogí, aur bețá janegí, aur us ká nám 'Immánúel rakhenge, jis ká

B

« ÎnapoiContinuă »