Imagini ale paginilor
PDF
ePub

to machhlíon ká bará gol gher áyá: aisá ki un ká jál phatne lagá. 7 Tab unhon ne apne sáthíon ko, jo dúsrí kishtí par the, ishára kiya, ki áke madad karen. We á,e, aur donon kishtíán aisí bhar diyán, ki ḍúbne lagín.

8 Shama'ún Patras ne yih dekhkar, Yisứ ke páon par girke| kahá, ki Ai Khudáwand, mere pás se já; ki main gunáhgár hún.

9 Kyunki un machhlíon ke háth lagne se Shama'ún, aur us ke sab sáthí hairán the:

10 Aur us ke sharík Zabadí ke bete Ya'qúb aur Yuhanná bhí hairán the. Tab Yisú' ne Shama'ún ko kahá, Mat dar; is dam se tú ádmíon ká shikár karegá. 11 We kishtíon ko kanáre par khainch lá,e, aur sab kuchh chhorke, us ke píchhe chale.

12 Aur aisá húá, ki wuh ek shahr men thá, aur dekho ki ek mard ne, jo korh se bhará thá, Yisú' ko dekhá, aur munh ke bal girke us kí minnat karke kahá, ki Ai Khudáwand, agar tú cháhe, mujhe changá kar sakta hai.

13 Us ne háth baṛháyá, aur yih kahkar use chhúá, Main cháhtá hún: tú changá ho. Aur wonhín us ká korh játá rahá.

14 Aur us ne use tákíd kí, ki kisú se mat kah: balki jákar apne taín kahin ko dikhlá, aur jaisá Músá ne hukm kiya hai, apne change hone ki qurbání kar, táki un par gawáhí hộ.

15 Lekin us ká ziyada charchá phailá aur bahut se log jam'a ĥúe, ki us kí sunen, aur us ke háth se apní bímáríon se change hon. 16 Aur wuh bayábán men alag jáke, du'á mángtá thá.

17 Ek din aisá húá, ki jab wuh ta'lím de rahá thá, ka,í Farísí aur shari'at ke sikhlánewále Galíl kí har ek bastí aur Yahúdiya aur Yarúsalam se áke baithe the: aur Khudáwand kí qúwat changá karne ko maujud thí.

18 ¶ Aur, dekho, ki ka,í mard ek shakhs ko, jise jhole ne márá thá, chárpáí par lá,e: aur chahte the, ki use andar láke, us ke áge rakhen,

19 Par bhír ke sabab se andar le jáne kí ráh na páí; tab kothe par charh ga,e, aur khaprail káṭke use chárpái samet bích men Yisứ ke áge laṭká diyá.

20 Us ne un ká ímán dekhkar, use kahá, ki Ai mard, tere gunáh mu'af húe.

21 Tab Faqih aur Farísí sochne lage, ki yih kaun hai, jo kufr bolta hai? Khudá ke siwa, kaun gunáhon ko mu'áf kar sakta hai? 22 Tab Yisú' ne un ke khiyál daryáft karke, jawáb men un se kahá, ki Tum apne dilon men kya sochte ho?

i

23 Kaun ziyáda ásán hai, yih kahná, ki Tere gunáh mu’áf húe; yá yih kahná, ki Uṭh, aur chal? 24 Lekin táki tum jáno, ki Ibn Ádam ko zamín par gunáh mu'af karne ka ikhtiyar hai, (us ne us jhole ke máre húe ko kahá,) main tujhe kahtá hún, Uth, aur apní chárpáí lekar apne ghar já.

25 Aur wuh jhat un ke áge uṭhá, aur jis par pará thá, use lekar, Khudá kí ta'rif kartá húá, apne ghar chala gayá.

26 Tab un sab ke hosh játe rahe, aur Khudá kí ta'rif karne lage, aur bahut darke bole, Áj ham ne bará achambhá dekhá.

27 Aur us ke ba'd wuh báhar gayá, aur Lewí nám ek mahsúl lenewále ko chaukí par baithe dekhá: aur use kahá, Mere píchhe á.

28 Wuh sab kuchh chhorkar uțhá, aur us ke píchhe chalá.

29 Aur Lewí ne apne ghar men us kí barí ziyáfat ki: aur wahán mahsúl lenewálon aur auron kí, jo us ke sáth kháne baithe the, barí bhír thí.

30 Tab wahan ke Faqihon aur Farísíon ne us ke shágirdon se takrár karke kahá, ki Tum kyún

mahsúl lenewálon, aur gunáhgáron ke sath kháte píte ho? 31 Yisú' ne jawab men unhen kahá, Bhale-changon ko hakim darkár nahín; balki bímáron ko. 32 Main rástbázon ko tauba ke liye buláne nahín áyá, balki gunáhgáron ko.

33¶ Aur unhon ne us se kahá, ki Yuhanná ke shagird kyún aksar roza rakhte aur du'á mángte hain, aur isí tarah Farísíon ke bhí; par tere kháte píte hain?

4 Wuh kyúnkar Khudá ke ghar men gayá, aur nazr kí roțíán, jo káhinon ke siwa, dúsre ko kháná rawá na thá, lekar kháín, aur apne sáthíon ko bhí dín ?

5 Phir us ne unhen kahá, ki Ibn i Ádam sabt ká bhí Khudáwand hai.

6 Aur dúsre sabt ko bhí yún húá, ki wuh 'ibádatkháne men jáke taʼlím dene lagá: aur wahán ek ádmí thá, jis ká dahná háth súkh gayá thá.

7 Tab Faqih o Farísí us kí ták men lage, ki shayad wuh sabt ke din changá kare, to us par faryád karen.

34 Us ne un se kahá, Kyá tum barátíon ko, jab tak dulha un ke sáth hai, roza rakhwá sakhte ho? 35 Par wuh din áwenge, ki dulhá un se judá kiyá jáegá; un 8 Par us ne un ke khiyálon ko dinon men we albatta roza rak-jánkar, us ádmí se, jis ká háth henge. súkhá thá, kahá, ki Uth, aur bích men khaṛá ho. Wuh uth khaṛá húa.

36 Aur us ne un se ek masal bhí kahí; ki Koí puráne kapre par na,e kapre ká paiwand nahín lagátá; nahín to, nayá us ko pháṛtá hai, aur na,e kapre ká paiwand puráne se mel bhí nahin khátá.

37 Aur na,í mai purání mashkon men koí nahín bhartá; nahín to, na,í mai mashkon ko phárke bah jáegí, aur mashken bhí barbád hongí.

38 Balki na,í mai na,í mashkon men rakhní chahiye; ki donon bachí rahengí.

39 Aur purání píke, koí usí dam na,í nahín cháhtá: kyúnki kahtá hai, ki Purání bihtar hai.

[merged small][ocr errors][merged small][merged small]

9 Tab Yisu' ne unhen kahá, Main tum se ek bát púchhtá hún; ki Sabt ke din kya karná rawa hai? bhalá karná, ki burá? ján bacháná, ki ján márná?

10 Aur un sab kí taraf dekhke us ádmí se kahá, Apná háth phailá. Us ne aisá kiyá: aur us ká háth dúsre kí mánind changá ho gaya. 11 Tab we sab díwánon kí mánind hoke, ápas men kahne lage, ki Ham Yisú' ke sath kya karen?

12 Aur un dinon men aisá húá, ki wuh pahár par du'á mángne ko gayá, aur Khudá se du'á mángne men rát bitáí.

13 Aur jab din húá, us ne apne shágirdon ko buláke, un men se bárah ko chuná, aur un ká nám rasúl rakhá;

14 Ya'ne Shama'ún, (jis ká nám Patras bhí rakhá,) aur us ke bháí Andryás, Ya'qúb aur Yuhanná, Failbús o Barthúlamá,

15 Matí o Thúmá, Halfá ke bețe Ya'qúb, aur Shama'ún jo Zilotis kahlátá thá,

16 Ya'qúb ke bháí Yahúdáh, aur Yahúdáh Iskaryútí ko, jo us ká pakaṛwánewálá húá.

17 ¶ Aur un ke sáth utarke maidán men khará húá; wahán us ke shágirdon kí jamaat thí, aur logon kí barí bhír, jo sáre Yahudiya aur Yarúsalam, aur Súr o Saidá ke samundar ke kináre se us pás á,í thí, ki us kí sunen, aur apní bímáríon se change hon;

18 Aur we bhí, jo nápák rúhon se dukh páte the, á,e, aur change húe.

19 Aur sab log cháhte the, ki use chhúwen: kyúnki qúwat us se nikaltí, aur sab ko changá kartí thí.

20 Phir us ne apne shágirdon par nazar karke kahá, ki Mubárak ho tum, jo garíb ho: kyúnki Khuda kí badshahat tumhaři hai. 21 Mubárak ho tum, jo ab bhúkhe ho: kyúnki ásúda hoge. Mubárak ho tum, jo ab rote ho: kyúnki hansoge.

22 Mubarak ho tum, jab Ibn i Ádam ke liye, log tum se kína rakhen, aur tumhen nikál den, aur ruswá karen, aur tumhárá nám badí men nikálen.

23 Us din khush raho, aur khushí se uchhlo: is liye ki dekho, ásmán par tumhára bará badlá hai: kynki un ke bápdádon ne nabíon ke sáth aisá hí kiyá. 24 Magar afsos tum par, jo daulatmand ho, kyúnki tum apní tasallí pá chuke.

25 Afsos tum par, jo ásúda ho! kyúnki bhúkhe hoge. Afsos tum par, jo ab hanste ho! kyúnki gam karoge, aur rooge.

26 Afsos tum par, jab log tumhen bhalá kahen! kyúnki un ke bápdáde jhúthe nabíon se aisá hí sulúk karte the.

27 Par tumhen jo sunte ho, main kahtá hún, ki Apne dushmanon ko piyár karo; jo tum se kína rakhen, un ká bhalá karo;

28 Jo tumhen la'nat karen, un ke liye barakat cháho: jo tumhen satáwen, un ke liye du'á. mángo.

29 Jo tere ek gál par máre,

|

|

dúsrá bhí pher de; aur jo koí terí qabá lewe, kurtá lene se bhí man’a na kar.

30 Jo koí tujh se kuchh mánge, use de; aur us se, jo terá mál le, phir mat máng.

31 Aur jaisá tum cháhte ho, ki log tum se karen, tum bhí un se waisá hí karo.

32 Aur agar tum unhen, jo tumhen piyar karte hain, piyár karo, to tumhárá kyá ihsán hai? kyúnki gunáhgár bhí apne piyár karnewálon ko piyár karte hain. 33 Aur agar tum un ká, jo tumhárá bhalá karen, bhalá karo, to tumhárá kyá ihsán hai? ki gunáhgár bhí yih karte hain.

34 Aur agar tum unhen, jin se phir páne kí ummed hai, qarz do; to tumhárá kyá ihsán hai? kyúnki gunáhgár bhí gunáhgáron ko qarz dete hain, táki us ká badlá páwen.

35 Pas apne dushmanon ko piyár karo, aur bhalá karo, aur phir páne kí ummed na rakhke qarz do, to tumhárá badlá bará hogá, aur tum Khudá Ta'álá ke farzand hoge: kyúnki wuh náshukron aur sharíron par bhí mihrbán hai.

36 Pas, jaisá tumhárá Báp rahím hai, tum rahím ho.

37 'Aib na lagáo, to tum par bhí 'aib lagáyá na jáegá: aur mujrim na thahráo, to tum mujrim na thahráe jáoge: mu'af karo, to tum bhí mu'áf kiye jáoge :

38 Do, to tumhen bhí diyá jáegá; achchhá napuá dáb dab, aur hilá hiláke, munhámunh girtá húá bharke tumhárí god men denge. Kyunki jis paimáne se tum nápte ho, usí se tumháre liye bhí nápá jáegá.

39 Phir us ne un se ek tamsíl kahí, ki Kyá andhá andhe ko ráh dikhá sakta hai? kyá we donon garhe men na girenge?

40 Shagird apne ustád se bará nahín: balki jab taiyár húá, apne ustáð sá hogá.

41 Aur us tinke ko, jo tere bháí kí ánkh men hai, kyún dekhá hai, par us kándí par, jo terí áhkh men hai, nahín khiyál kartá?

42 Yá tú kyúnkar apne bháí ko kah saktá, ki Ai bháí, rah, yih tinká, jo terí ánkh men hai, nikál dún, par us kánḍí ko, jo terí ánkh men hai, nahín dekhtá? Ai riyakár! pahle us kándí ko apní ánkh men se nikál, tab tú us tinke ko, jo tere bháí kí ánkh men hai, achchhí tarah dekhke nikál sakegá.

43 Kyúnki achchhe darakht men burá phal nahin lagtá; aur na bure darakht men achchhá phal lagtá.

44 Pas har ek darakht apne phal se pahcháná játá hai. Is liye ki log kanton se anjír nahín torte, aur na bhatkaṭaiyá se angúr.

45 Achchhá ádmí apne dil ke achchhe khazane se achchhí chízen nikáltá hai; aur burá ádmí apne dil ke bure khazáne se burí chízen báhar látá: kyúnki jo dil men bhará hai, so hí munh par átá hai.

46 Aur tum kyún mujhe Khudawand Khudáwand kahte ho, aur jo main kahtá hún nahín

karte?

[blocks in formation]

VII BÁB.

1 AUR jab wuh logon ko apní Asari baten suná chuká, to Kafarnáhum men áyá.

2 Aur ek súbadár ká gulám, jo us ká bahut piyárá thá, bímárí se marne par thá.

3 Us ne Yisú kí khabar sunke, Yahúdíon ke kaí ek buzurgon ko us pás bhejkar, us kí minnat kí, ki ákar us ke gulám ko changá kare.

4 Aur unhon ne Yisú' ke pás áke, us kí baṛí minnat karke kahá, ki Wuh is láiq hai ki tú us par yih ihsán kare:

5 Kyúnki wuh hamárí qaum ko piyár kartá hai, aur hamáre liye ek 'ibádatkhána banaya hai.

6 Tab Yisú' un ke sáth chalá. Aur jab wuh us ke ghar se dúr na thá, súbadár ne doston se us pás kahlá bhejá, ki Ai Khudáwand, taklif na kar: kyúnki main is láiq nahín, ki tú merí chhat tale áwe:

7 Isí sabab main ne apne taín bhí is láiq na jáná, ki tere pás áún; sirf kah de, to merá chhokrá changá hogá.

8 Kyúnki main bhí dúsre ke ikhtiyár men hún, aur sipáhí mere hukm men hain: jab ek ko kahtá hún, Já, wuh játá hai; aur dúsre ko, Á, wuh atá hai; aur apne gulám ko, ki Yih kar, wuh karta hai.

9 Yisú' ne yih sunkar, ta'ajjub kiyá, aur phirke, un logon se jo us ke píchhe áte the kahá, Main tum se kahtá hún, ki Aisá bará ímán Israel men bhí na páyá.

10 Aur we, jo bheje gae the, jab ghar men phir á,e, to us bímár gulám ko changá páyá.

11 Aur dúsre din aisá húá, ki wuh Náin nám shahr ko rawána húá; aur us ke bahut se shágird aur baṛí bhír us ke sáth thí.

12 Jad wuh us shahr ke pháṭak ke nazdík pahunchá, to dekho,

ki ek murde ko bahár le játe the, jo apní má ká, ki bewa thí, iklautá bețá thá: aur shahr ke bahut se log us ke sáth the.

13 Aur us ko dekhke Khudáwand ko us par rahm áyá, aur use kahá, Mat ro.

14 Aur pás áke, tábút ko chhúá, aur uṭhánewále thahar gae. Tab us ne kahá, Ai jawán, main tujh se kahtá hún, Uth.

15 Aur wuh murda uth baiṭhá, aur bolne lagá. Aur us ne use us kí má ko sompá.

16 Aur sab dar ga,e,aur Khudá kí ta'rif karke bole, ki Bará nabí ham men uṭhá; aur Khudá ne apne logon par nazar kí.

17 Aur us kí yih bát sáre Yahúdiya, aur tamam áspás ke mulk men phailí.

18 Aur Yuhanná ke shágirdon ne use in sab báton kí khabar dí.

19 Aur Yuhanná ne apne shágirdon men se do ko bulákar, Yisú' ke pás kahlá bhejá, ki Kyá jo ánewálá thá tú hí hai? yá ham dúsre kí ráh taken ?

20 Un mardon ne us pás jáke kahá, ki Yuhanná baptisma denewále ne ham se tere pás kahlá bhejá, ki Wuh, jo ánewálá thá, tú hí hai? yá ham dúsre kí ráh taken ?

21 Us ne, usí gharí, bahuton ko bímáríon aur baláon aur bad rúhon se changá kiyá; aur bahut se andhon ko ankh dí.

22 Aur Yisú' ne jawab men un se kahá, ki Jáke, jo tum ne dekhá, aur suná, Yuhanná se kaho, ki Andhe dekhte hain, langre chalte hain, korhí change hote hain, bahre sunte hain, murde jiláe játe hain, garíbon ko khushkhabarí sunái játí hai.

23 Aur mubárak wuh hai, jo mujh se thokar na kháe.

24 Jab we, jinhen Yuhanná ne bhejá thá, gae, tab Yisú' Yuhanná kí bábat logon se kahne lagá, ki Tum jangal men kyá

dekhne gae? kya ek sarkanḍá, jo hawá se hiltá hai?

25 Phir tum kyá dekhne gae ? kyá ek mard, jo muláim kapre pahine hai? Dekho, we, jo 'umda poshák pahinte, aur 'aish men guzrán karte, bádsháhon ke mahallon men hain.

26 Phir tum kyá dekhne ga,e? kyá Ek nabí? Hán, main tum se kahtá hún, balki nabí se bará. 27 Yih wuhí hai, jis kí bábat likhá hai, ki Dekh, main apne rasúl ko tere áge bhejtá hún, jo terí ráh ko tere áge durust karegá. 28 Kyúnki main tum se kahtá hún, ki Un men se jo 'auraton se paidá húe, Yuhanná baptisma denewále se koí nabí bará nahín : lekin jo Khudá kí bádsháhat men chhota hai, us se bará hai.

29 Aur sab logon ne sunke, aur mahsúl lenewalon ne Khudá ko sach mánke, Yuhanná se baptisma liya.

30 Par Farísíon, aur shari'at sikhlánewálon ne, apní nisbat Khudá ke iráde ko náchíz jánke, us se baptisma na liya.

31 Aur Khudáwand ne kahá, Pas is zamána ke logon ko kis se nisbat dún, aur kis kí mánind kahún ?

32 We un larkon kí mánind hain, jo bázár men baithke ek dúsre ko pukárkar kahte, ki Ham ne tumháre liye bánslí bajáí, aur tum na náche; aur ham ne tumháre liye mátam kiyá, par tum na

roe.

33 Kyunki Yuhanná baptisma denewalá áyá, jo na roțí khátá, aur na mai pítá thá: aur tum kahte ho, Us par ek shaitán hai.

34 Ibn i Adam áyá, jo khátá pítá hai; aur tum kahte ho, ki Dekho, ek bará kháú aur maikhor, aur mahsúl lenewálon aur gunáhgáron ká dost!

35 Par hikmat apne sab laṛkon se tasdiq pátí.

36 Phir ek Farísí ne us se 'arz kí, ki mere sath khá. Aur

« ÎnapoiContinuă »