Imagini ale paginilor
PDF
ePub

húá; wuh Masih Khudáwand 25 Aur, dekho, ki Yarúsalam

hai.

12 Aur tumháre liye yihí patá hai; ki tum us larke ko kapre men lapeţá aur charní men rakhá húa

páoge.

13 Aur ekbárgí, us firishte ke sáth ásmání lashkar kí ek jama'at Khudá kí ta'rif kartí, aur yih kahtí záhir húí, ki,

14 Khudá ko ásmán par ta'ríf, aur zamín par salámatí, aur ádmíon se razámandí howe.

15 Aur aisá húá, ki jab firishte un ke pás se ásmán par gae, garariyon ne ápas men kaha, ki Áo, ham Baitlaham ko jáen aur is bát ko jo húí hai, jis kí Khudáwand ne ham ko khabar dí hai, dekhen. 16 Tab unhon ne jaldí jáke, Mariyam, aur Yúsuf ko, aur us larke ko charní men rakhá páyá. 17 Aur dekhke, us bát ko, jo larke ke haqq men un se kahí gaí thí, phailáyá.

is

18 Aur sab sunnewálon ne in báton se, jo garariyon ne unhen kahin, ta'ajjub kiya.

19 Par Mariyam ne in sab báton ko, apne dil men gaur karke, yád ra khảo

20 Aur garariye in sab báton ko sunke, aur jaisí un se kahí gaí | thín, dekhke, Khudá kí ta'rif aur baráí karte húe phire.

21 Aur jab áth din púre húe, ki larke ká khatna ho, us ká nám YISU' rakhá gayá, jo us ke pet men parne ke áge, firishte ne rakhá tháo

22 Aur jab Músá kí sharî'at ke muwafiq us ke pák hone ke din púre húe, we us larke ko Yarúsalam men lá,e, táki Khudáwand ke áge házir karen;

23 (Jaisá ki Khudáwand kí sharî'at men likhá hai, ki har ek palauthá larká Khudáwand ko nazr kiyá jáegá ;)

24 Aur Khudáwand kí sharî'at ke hukm ke muwáfiq, Qumríon ká ek joṛá, yá kabútar ke do bachche qurbán karen.

[ocr errors]

men Shama'ún nám ek shakhs thá, jo rástbáz aur díndár aur Israel kí tasallí kí ráh dekhtá thá, aur Rúh i Quds us par thí.

26 Us ko Rúh i Quds ne khabar dí thí, ki jab tak Khudáwand ke Masíh ko na dekh le, wuh na maregá.

27 Wuh Rúh ke batáne se haikal men áyá: aur jis waqt má báp us larke Yisú' ko andar láte the, táki us ke liye shara' ke dastúr par 'amal karen,

28 Us ne use apne háthon par uțhá liyá, aur Khudá kí ta'rif karke kahá; ki,

29 Ai Khudáwand, ab tú apne bande ko apne kalám ke muwafiq salámatí se rukhsat detá hai : 30 Kyúnki merí ánkhon ne terí naját dekhí,

31 Jo tú ne sab logon ke áge taiyár kí hai;

32 Qaumon ko roshan karne ke liye ek núr, aur apne log Isráel ke liye jalál.

33 Tab Yusuf aur Yisứ kí má ne un báton se, jo us ke haqq men kahí gaín, ta'ajjub kiya.

34 Aur Shama'ún ne unhen du'á dí, aur us kí má Mariyam ko kahá, Dekh, yih Israel men bahuton ke girne aur uțhne ke liye, aur khilaf kahne ke nishan ke wáste rakhá húá hai;

35 (Aur talwár terí ján ke bhítar guzar jáegí,) táki bahuton ke dilon ke khiyál khul jáen.

36 Aur Asír ke gharáne se, Anná nám Fánúel kí betí jo bahut búrhí thí: aur us ne apne kunwárípan se sát baras ek khasam ke sath nibáh kiyá thá;

37 Aur wuh bewá qarib chaurásí baras kí thí, ki haikal se judá na hoke roza rakhtí, aur du'á mángne men rát din bandagí kartí rahí.

38 Us ne usí gharí ákar, Khu dáwand ká shukr kiyá, aur un sab ko, jo Yarúsalam men chhutkáre kí ráh dekhte the, us kí bábat kahá.

E

39 Aur jab we Khudáwand kí shari'at ke muwafiq sab kuchh kar chuke, to Galil men apne shahr Násarat ko phir ga,e.

40 Aur larká barhtá, aur hikmat se bharke rúh men qúwat pátá rahá aur Khudáwand ká fazl us par thả.

41 Us ke má báp har baras 'íd i fasah men Yarúsalam ko játe the.

42 Aur jab wuh bárah baras ká húá, we 'íd ke dastúr par Yarúsalam ko ga,e.

43 Aur un dinon ko púrá karke, jad phirne lage, wuh laṛká Yisú' Yarúsalam men rah gaya; par Yusuf aur us kí má ne na jáná. 44 Balki yih samajhke, ki wuh qáfile men hai, ek manzil ga,e; aur use rishtadáron aur jánpahchánon men dhúndhá.

45 Aur na pákar, us kí talásh men Yarúsalam ko phire.

46 Aur aisá húá, ki unhon ne tín roz píchhe use haikal men ustádon ke bích baithe húe, un kí sunte, aur un se púchhte páyá. 47 Aur sab jo us kí sunte the, us kí samajh aur us ke jawábon se dang the.

48 Tab we use dekhkar hairán húe: aur us kí má ne us se kahá, Ai Bețe, kis liye tú ne ham se aisá kiyá? dekh, terá báp aur main kurhte húe tujhe dhúndhte the. 49 Us ne unhen kahá, Kyún tum mujhe dhúndhte the? kya tum ne na jáná, ki mujhe apne báp ke yahán rahná zarúr hai

50 Par we is bát ko, jo us ne unhen kahí, na samjhe.

51 Aur wuh un ke sath rawána hokar, Násarat men áyá, aur un ke tabi' rahá. Aur us kí má ne yih sab báten apne dil men rakhín. 52 Aur Yisú', hikmat, aur qadā, aur Khudá ke aur insán ke piyár men, barhá.

[blocks in formation]

baras, jab Pantús Pilátús Yahúdiya ká hákim, aur Herodís Galíl kí chautháí ká, aur us ká bháí Failbús Itúríya kí chautháí aur Trákhonítis ke mulk ká, aur Lisániyas Abilíní kí chautháí ká hákim thá,

2 Jis waqt Anná aur Qayáfá sardár káhin the, Khudá ká kalám bayábán men Zakariyah ke bețe Yuhanná ko pahunchá.

3 Aur wuh Yardan ke sáre áspás ke mulk men áke, gunáhon kí mu'afi ke liye tauba ke baptisma kí manádí kartá rahá;

4 Chunánchi Yas'aiyah nabí kí kitáb men likhá hai, ki Bayábán men ek pukárnewále kí áwaz hai, ki Tum Khudáwand kí ráh ko durust karo, aur us ke ráston ko sídhá karo.

5 Har ek garhá bhará jáegá, aur sab pahár aur tíle níche kí,e jáenge; aur terhí jághen sídhí, aur bihar ráhen barabar banengín:

6 Aur har ek shakhs Khudá kí naját dekhegá.

7 Tab us ne un logon ko, jo us se baptisma páne ko nikle the, kahá, Ai sámpon kí nasl, tumhen kis ne batáyá, ki ánewále gazab se bhágo?

8 Pas tauba ke láiq mewe láo, aur apne dilon men khiyál na karo, ki Abirahám hamárá báp hai; kyúnki main tumhen kahta hún, kỉ Khudá Abirahám ke liye in pattharon se laṛke paidá kar sakta hai.

9 Aur darakhton kí jar par kulhárí rakhí hai: so jo darakht achchhe phal nahín látá, káṭá aur ág men dálá játá hai.

10 Tab logon ne us se púchhá, ki Phir ham kya karen?

11 Us ne un se jawab men kahá, ki Jis ke do kurte hon, us ko, jis ke pás nahin hai, bánt de; aur jis ke pás kháne ko ho, wuh bhí aisá hí kare.

12 Tab mahsúl lenewále bhí baptisma pane ko á,e, aur us se

kahá, ki Ai ustád, ham kyá karen?

13 Usne un se kahá, ki tumháre liye jo muqarrar hai, us se ziyáda na lo.

14 Sipáhíon ne bhí us se púchhá, ki Ham kya karen? Us ne unhen kahá, ki Na kisí par zulm karo, na tuhmat lagáo, aur apne rozíne par rází raho.

15 Aur jab log sochte, aur sab apne dil men Yuhanná kí bábat khiyál karte the, ki kyá wuh Masíh hai;

16 Yuhanná ne un sab ke jawab men kahá, ki Main to tumhen pání se baptisma detá hún; par mujh se ek qawítar átá hai, jis kí jútí ke band kholne ke main láiq nahín hún: wuh tumhen Rúh i Quds aur ág se baptisma degá. 17 Us ke hath men súp hai, aur wuh apne khalíhán ko khúb sáf karegá, aur gehún ko apní koṭhí men jam'a karegá; par bhúsí ko us ág men, jo nahín bujhtí, jaláwegá.

18 Aur wuh logon ko nasíhat kí bahut aur baten kartá, aur khushkhabarí detá rahá.

19 Par Herodís chautháí ke hákim ne, apne bháí Failbús kí jorú Herodiyás ke sabab, aur aur sab badíon ke liye, jo us ne kín, Yuhanná se malámat uthake, 20 Sab par yih ziyáda kiyá, ki us ko qaid rakhá.

21 Aur aisá húá, ki jab sab log baptisma pá chuke the, aur Yisu' bhí baptisma pákar du'á máng rahá thá, ásmán khul gayá,

22 Aur Rúhi Quds jism kí súrat men kabútar kí tarah, us par utrí, aur ásmán se yih áwáz á,í, ki Tú merá piyárá Betá hai; tujh se main rází hún.

23 Aur Yisú baras tís ek ká hone lagá, aur (jaisá ki samjhá játá thá) wuh Yusuf ká bețá thá; Yúsuf Helí ká,

24 Helí Matthát ká, Matthát Lewí ká, Lewí Melkhí ká, Melkhí Yánná ká, Yánná Yúsuf ká,

[ocr errors]

25 Yusuf Matthátiyás ká, Matthátiyás Ámús ká, Ámús Náúm ká, Náúm Eslí ká, Eslí Naggáí ká,

26 Naggáí Má'ath ká, Má'ath Matthátiyás ká, Matthátiyás Simá'í ká, Simá'í Yúsuf ká, Yúsuf Yahúdáh ká,

27 Yahúdáh Yuhanná ká, Yuhanná Resá ká, Resá Zarubábul ká, Zarubábul Salatíel ká, Salatíel Nerí ká,

28 Nerí Melkhí ká, Melkhí Addí ká, Addí Kosám ká, Kosám Elmodám ká, Elmodám Er ká,

29 Er Yuses ká, Yuses Ele'azar ká, Ele'azar Yorím ká, Yorím Matthát ká, Matthát Lewí ká,

30 Lewí Shama'ún ká, Shama'ún Yahúdáh ká, Yahúdáh Yúsuf ká, Yusuf Yúnán ká, Yúnán Eliyaqím ká,

31 Eliyáqím Meliyá ká, Meliyá Mainán kn, Mainan Mattathá ká, Mattathá Náthán ká, Náthán Dáúd ká,

32 Dáúd Yessí ká, Yessí 'Obed ká, 'Obed Bo'az ká, Bo'az Salmon ká, Salmon Nahsún ká,

33 Nahsún 'Aminadáb ká, 'Aminadáb Arám ká, Arám Hasrom ká, Hasrom Pháras ká, Pháras Yahúdáh ká,

34 Yahúdáh Ya'qúb ká, Ya'qúb Iz,hák ká, Iz,hák Abirahám ká, Abirahám Tárah ká, Tárah Nahúr ká,

35 Nahúr Sárukh ká, Sárukh Ra'ú ká, Ra'ú Fálik ká, Fálik 'Íbr ká, 'Íbr Silah ká,

36 Silah Qínán ká, Qínán Arfaksad ká, Arfaksad Sim ká, Sim Núh ká, Núh Lamak ká,

37 Lamak Matúsilá ká, Matúsilá Hanúk ká, Hanúk Yárid ká, Yárid Malaliel ká, Malaliel Qínán ká,

38 Qínán Anús ká, Anús Set ká, Set Adam ká, Ádam Khudá ká thá.

1

AUR

IV BÁB

14 Aur Yisú' Rúh kí qúwat se Galíl ko phirá: aur sáre áspás ke mulk men us kí shuhrat húí.

se

UR Yisú' Rúh i Quds se bhará húá, Yardan phirá, aur Rúh kí rahnumáí se bayábán men gayá,

2 Aur chálís din tak Shaitán se ázmáyá gayá. Aur un dinon men kuchh na kháyá: jab wuh din púre húe, ákhir ko bhúkhá húá.

3 Tab Shaitán ne us se kahá, ki Agar tú Khudá ká Beta hai, to is patthar ko kah, ki Rotí ho jáe. 4 Yisu' ne jawab men use kahá, Likhá hai, ki Insán sirf roțí se nahín, balki Ķhudá kí har ek bát se jítá hai.

5 Aur Shaitán ne use ek únche pahár par le jáke dunyá kí sárí badshahaten ek dam men dikháín.

6 Aur Shaitán ne us se kahá, ki Main yih sárá ikhtiyár, aur un kí shán o shaukat tujhe dúngá: kyúnki yih mujh ko sompá gayá hai; aur jis ko cháhtá hún, detá hún.

7 Pas agar tú mujhe sijda kare, sab terá hogá.

8 Yisú' ne use jawab men kahá, ki Ai Shaitán, mere sámhne se já: kyúnki likha hai, ki Tú Khudáwand ko, jo terá Khudá hai, sijda kar, aur sirf us hí kí bandagí kar. 9 Wuh use Yarúsalam men láyá, aur haikal kí munder par khara karke, us se kahá, Agar tú Khudá ká Beta hai, to apne taín yahán se girá de:

10 Kyúnki likhá hai, ki Wuh tere liye apne firishton ko farmáwegá, ki terí khabardárí karen : 11 Aur tujhe háthon par utha len, tá na ho ki tere paon ko patthar se thes lage.

12 Yisú' ne jawab men use farmáyá, ki kahá gayá hai, Tú Khudáwand ko, jo terá Khudá hai, mat ázmá.

13 Aur Shaitán jab tamám ázmáish kar chuká, muddat tak us se dúr rahá.

15 Aur wuh un ke 'ibádatkhánon men ta'lím detá rahá, aur sab us kí ta'rif karte the.

16 Phir wuh Násarat ko, jahán parwarish páí thí, áyá, aur apne dastúr par sabt ke din 'ibádatkháne men gayá, aur parhne ko khará húa.

17 Aur Yas'aiyah nabí kí kitáb us ko dí gaí. Aur kitáb kholkar, wuh maqám páyá, jahán yih likhá thá, ki,

18 Khudá kí Rúh mujh men hai; us ne is liye mujhe Masíh kiya, ki garíbon ko khushkhabarí dún; mujh ko bhejá, ki túte dilon ko durust karún, qaidíon ko chhútne, aur andhon ko dekhne kí khabar sunáún, aur jo beríon se gháyal hain unhen chhuráún,

19 Aur Khudáwand ke sál i maqbúl kí manádí karún.

20 Aur kitáb band karke, khidmat karnewále ko deke wuh baith gaya. Aur sabhon kí ánkhen, jo 'ibádatkháne men the, us par lagí thín.

21 Tab wuh unhen kahne lagá, ki Áj yih nawishta jo tum ne suná, púrá húá.

22 Aur sab ne us par gawáhí dí, aur un 'umda báton se, jo us ke munh se nikaltí thín, taʼajjub karke kahá, Kyá yih Yúsuf ké bețá nahín?

23 Us ne unhen kahá, ki Tum beshakk yih masal mujh par kahoge, ki Ai hakím, apne taín changá kar: jo jo ham ne suná, ki tujh se Kafarnáhum men húá, yahan apne mulk men bhí kar.

24 Par us ne kahá, Main tum se sach kahtá hún, ki Koí nabí apne mulk men maqbúl nahín hotá.

25 Lekin main tum se sach kahtá hún, ki Пliyás ke dinon men, jab sárhe tín baras ásman band rahá, yahan tak ki sárí zamín men bará kál pará, bahut sí bewáen Isráel men thín;

26 Par Iliyás un men se kisí ke pás na bhejá gayá, magar Saidá ke Saraptá men ek bewá ke pás.

ga,í: aur us ne jhaṭ uthke un kí khidmat kí.

40 Aur jab súraj dúbtá thá, we sab, jin ke yahán maríz the, jo tarah tarah kí bímáríon men giriftár the, un ko us pás lá,e; us

27 Aur Ilíshá nabí ke waqt Israel men bahut se korhí the; par un men se koí Na'mán Su-ne un men se har ek par háth riyání ke siwa changá na húá. rakhkar unhen changá kiyá. 28 Tab we jo 'ibádatkhane men the, un báton ko sunte hí, gusse se bhar ga,e,

29 Aur uthe, aur use shahr ke báhar nikálke, us pahár kí chotí par, jis par un ká shahr baná thá, le chale, ki use dhakel den. 30 Lekin wuh un ke bích se nikalke, rawána húá,

31 Aur Kafarnáhum men, jo Galíl ka ek shahr hai, áyá, aur sabt ke din unhen ta'lím diyá kiyá.

32 Aur we us kí ta'lim se dang húe: kyúnki us ká kalám qudrat ke sáth thá.

33 Aur 'ibádatkháne men ek shakhs thá, jis men shaitán kí nápák rúh thí; wuh barí áwaz se yih kahkar chilláyá, ki,

34 Ai Yisú' Násarí, ham ko chhor; hamen tujh se kyá kám? tú hamen halák karne áyá hai ? main jántá hún, ki tú kaun hai; Khudá ká Quddús.

'35 Yisú' ne use dhamkáke kahá, Chup rah, aur us men se nikal já. Aur shaitán use bích men patakke, benuqsán pahuncháe ke, us se nikal gaya.

36 Aur sab nihayat hairán húe, | aur ápas men kahne lage, ki Yih kaisá kalám hai! ki wuh ikhtiyar aur qudrat se nápák rúhon par hukm karta hai, aur we nikal játí hain.

37 Aur áspás ke mulk kí har jagah us kí shuhrat phailí.

38 Phir wuh 'ibádatkháne se uthkar Shama'ún ke ghar gaya. Shama'ún kí sás ko baṛí tap chaṛhí thí; aur unhon ne us ke liye us se 'arz kí.

39 Tab us ne us ke pás khará hoke, tap ko dhamkáyá, to utar

41 Aur bahuton men se shayátín chillákar yih kahke nikal ga,e, ki Tú Masih Khudá ká Beta hai. Par us ne dhamkákar un ko bolne na diyá: ki unhon ne use pahcháná, ki wuh Masíh hai.

42 Aur jab din húá, wuh nikalkar ek wíráne men gayá: aur log use dhúndhte húe us pás á,e, aur use roká, ki un ke pás se na jáe.

43 Par us ne unhen kahá, Mujhe zarúr hai, ki aur shahron men bhí Khudá kí bádsháhat kí khushkhabarí dún: kyúnki main is hí liye bhejá gayá hún.

44 Aur wuh Galíl ke'ibádatkhánon men manádí kartá rahá.

1

A

V BÁB.

ISA húá, ki jab Khuda ke kalám sunne ko log us par gire parte the, wuh Gannesarat kí jhíl ke kináre khará thán

2 Aur us ne jhíl ke kináre do kishtí lagí dekhí: par machhwe un par se utarke, apne jál dho rahe the.

3 Us ne un kishtíon men se ek

par, jo Shamaún kí thí, charhke, us se darkhwást kí, ki kanáre se thorá hatá lechalen. Aur wuh baithke, logon ko kishtí par se ta'lim dene lagá.

4 Aur jab kalám kar chuká, to Shama'ún se kahá, ki Gahre men le chal, aur tum shikár ke liye apne jál dálo.

5 Shama'ún ne jawab men us se kahá, ki Ai Sáhib, ham ne sárí rát mihnat kí, par kuchh na pakṛá: magar tere kahne se jál dáltá hún.

6 Aur jab unhon ne yih kiyá,

« ÎnapoiContinuă »