Imagini ale paginilor
PDF
ePub

karke, apne Báp se jo poshídagí | jam'a na karo, jahán kírá aur men hai, dưa máng; aur tera |morcha kharáb karte hain, aur Báp jo poshída dekhta hai, záhir jahán chor sendh deke churáte men tujhe badlá degá. hain.

7 Aur jab du'á mángte ho, ghair qaumon kí mánind befaida bak bak mat karo; kyúnki we samajhte hain, ki un kí ziyádagoí se un kí suní já,egí.

8 Par un kí mánind na ho, kyúnki tumhárá Báp, tumháre | mángne ke pahle, jántá hai, ki tumhen kin kin chízon kí zarúrat hai.

9 Is waste tum isí tarah du'á mángo, ki Ai hamáre Báp, jo ásmán par hai, tere nám kí taqdís ho. 10 Terí bádsháhat áwe. Terí marzí, jaisí ásmán par hai, zamín par bhí bar áwe.

11 Hamárí rozíne kí roțí áj ham ko bakhsh.

12 Aur jis tarah ham apne qarzdáron ko bakhshte hain, tú apne dain ham ko bakhsh de.

12 Aur hamen ázmáish men na dál, balki buráí se bachá: Kyúnki bádsháhat aur qudrat aur jalál hamesha tere hí hain. Ámín. 14 Is liye ki agar tum ádmíon ke gunáh bakhshoge, to tumhárá Báp bhí, jo ásmán par hai, tumhen bhí bakhshegá.

20 Balki mál apne liye ásmán par jam'a karo, jahán na kíṛá na morcha kharáb karte, aur na chor sendh deke churáte hain. 21 Kyúnki jahán tumhárá khazána hai, wahín tumhárá dil bhí lagá rahega.

22 Badan ká chirág ánkh hai; pas agar terí ánkh sáť ho, to terá sárá badan roshan hogá.

23 Par agar terí ánkh sáf nahín, to terá sárá badan andherá hogá; is liye, agar wuh núr, jo tujh men hai, táríkí ho, to kaisí táríkí ṭhahregí.

24 ¶ Koí ádmí do kháwindon kí khidmat nahin kar saktá, is liye ki yá ek se dushmaní rakhegá, aur dúsre se dostí, yá ek ko mánegá, aur dúsre ko náchíz jánegá. Tum Khudá aur daulat donon kí khidmat nahin kar sakte.

25 Is liye main tum se kahtá hún, apní zindagí ke liye fikr na karo, ki ham kyá khá,enge, aur kyá pí,enge, na apne badan ke, ki kya pahinenge; kya zindagí khurák se bihtar nahín, aur badan poshák se ?

15 Par agar tum ádmíon ke 26 Hawa ke parandon ko dekho; gunáh na bakhshoge to tumhárá we na bote, na laute, na koṭhí men Báp bhí tumháre gunáh na bakh-jam'a karte hain, taubhí tumhárá shegá. Báp, jo ásmán par hai, un kí parwarish karta hai. Kyá tum un se bihtar nahin ho?

16¶ Phir jab tum roza rakho, makkáron kí mánind apná chihra udás na banáo, kyúnki we apná munh bigárte hain, ki log unhen rozadár janen. Main tum se sach kahta hún, ki We apná badlá pá chuke.

17 Par jab tú roza rakhe, apne sir par chikná lagá, aur munh dho.

18 Táki ádmí nahín balki terá Báp jo poshída hai, tujhe rozadár jáne: aur terá Báp jo poshídagí men dekhtá hai, záhir men tujhe badlá de.

19 ¶ Mál apne wáste zamín par

27 Tum men se kaun hai jo fikr karke apní 'umr men ek ghaṛí barhá sakta hai?

28 Aur poshák kí kyún fikr karte ho? janglí sosan ko dekho, kaise barhte hain.; wuh na mihnat karte, na káṭte hain :

29 Par main tumhen kahtá hún, ki Sulaimán bhí, apní sárí shán o shaukat men, un men se ek kí mánind pahine na the.

30 Pas jab Khudá maidán kí ghás ko, jo aj hai, aur kal tanúr men jhonkí játí, yún pahinátá hai,

to kya tum ko, ai sust i'atiqádo, | us ká beṭá us se roțí mánge, wuh

ziyáda na pahiná,egá?

|

use patthar dewe ?

10 Yá agar machhlí mánge, use sámp de ?

31 Is liye yih kahke fikr mat karo, ki Ham kyá khá,enge, yá Kyá pí,enge, yá Kya pahinenge; 11 Pas jab ki tum jo bure ho, 32 Kyúnki in sab chízon kí ta- apne larkon ko achchhí chízen lásh men gair qaumen rahti hain, dene jánte ho, to kitná ziyada aur tumhará Báp, jo ásmán par | tumhárá Báp, jo ásmán par hai, hai, jántá hai, ki tum un sabunhen jo us se mángte hain, achchízon ke muhtáj ho. chhí chízen dega.

33 Par tum, pahle, Khudá kí badshahat aur us kí rástbází ko dhúndho, to, un ke siwá, yih sab chízen bhí tumhen milengí. 34 Pas, kal kí fikr na karo, kyunki kal apní chízon kí áp hí fikr kar legá; áj ká dukh, áj hí ke liye bas hai.

19

A

VII BÁB.

IB na lagáo, ki tum par 'aib na lagayá jáwe.

2 Kyunki jis tarah tum 'aib lagáte ho, usí tarah tum par bhí 'aib lagáyá já,egá; aur jis paimáne se tum nápte ho us hí se tumháre wáste nápá já,egá.

3 Aur us tinke ko, jo tere bháí kí ánkh men hai, kyún dekhta hai, par us kánṛí par jo terí ánkh men hai, nazar nahín kartá?

4 Yá, kyúnkar, tú apne bháí ko kahtá, Us tinke ko, jo terí ánkh men hai, lá nikál dún; aur dekh, khud terí ánkh men kánṛí hai.

5 Ai riyákár, pahle kánrí ko apní ánkh se nikál, tab us tinke ko apne bháí kí ánkh se achchhí tarah dekhke nikál sakegá.

12 Pas jo kuchh tum chahte ho, ki log tumháre sáth karen, waisá tum bhí un ke sáth karo; kyúnki tauret aur anbiyá ká khulása yihí hai.

13¶ Tang darwáze se dákhil ho; kyúnki chaurá hai wuh darwáza, aur kusháda hai wuh rásta, jo halákat ko pahunchátá hai, aur bahut hain, jo us se dákhil hote.

14 Kyá hí tang hai wuh darwáza, aur sakrí hai wuh ráh, jo zindagí ko pahunchátí, aur thore hain jo use páte.

15 ¶ Jhúthe nabío se khabardár raho, jo tumháre pás bheron ke bhes men áte, par haqiqat men pháṛnewále bheríye hain.

16 Tum unhen un ke phalon se pahchánoge. Kyá kánton se angúr, yá únṭkatáron se anjír torte hain?

17 Usí tarah har ek achchhá darakht achchhe phal látá, aur burá darakht bure phal látá hai.

18 Achchhá darakht bure phal nahín lá saktá, na burá darakht achchhe phal lá saktá.

19 Jo darakht achchhe phal nahín látá, káṭá aur ág men dálá játa hai.

20 Pas un ke phalon se tum unhen pahchánoge.

6 ¶ Pák chíz kutton ko mat do, aur apne motí súaron ke áge na phenko; aisá na ho, ki we unhen pámál karen, aur phirkar tumhen pháren. 21 ¶ Na har ek, jo mujhe Khu7¶ Mángo, ki tumhen diyá já,egá; dáwand Khudáwand kahta hai, dhundho, ki tum paoge; khatásmán kí bádsháhat men dákhil khatáo, to tumháre wáste kholá já,egá.

8 Kyúnki jo koi mángtá hai, use miltá, aur jo koí dhúndhtá, so pátá hai; aur jo koí khatkhatátá, us ke wáste kholá já,egá. 9 Tum men se kaun hai, ki agar

hogá, magar wuhí, jo mere ásmání Báp kí marzi par chalta hai.

22 Us din bahutere mujhe kahenge, Ai Khudáwand, ai Khudáwand, kyá ham ne tere nám se nubúwat nahín kí, aur tere nám se deon ko nahín nikálá, aur

tere nám se bahut sí karámát | pás áyá, aur us se minnat karke záhir nahín kín P kahá, ki,

23 Us waqt main un se sáf kahúngá, ki Main kabhí tum se wáqif na thá; ai badkáro, mere pás se dúr ho.

24 Pas, jo koí merí yih báten suntá, aur unhen 'amal men látá hai, main use us aqlmand kí mánind thahrátá hún, jis ne chatán par apná ghar banáyá;

25 Aur menh barsa, aur bárhen | á,ín, aur ándhíán chalín, aur us ghar par sadma pahuncháyá; par wuh na girá, kyúnki us kí new chatán par dáli gayí thí.

26 Par jo ko merí ye báten suntá, aur 'amal men nahín látá, wuh us bewaqúf kí mánind thahregá, jis ne apná ghar retí par banaya ?

27 Aur menh barsá, aur báṛhen á,ín, aur ándhíán chalín, aur us ghar ko sadma pahuncháyá, aur wuh gir pará, aur us ká girná haulnák wáqi húa.

28 Aur aisá húá, ki jab Yisú' yih báten kah chuká, to wuh bhír us kí ta lím se dang núi.

29 Kyúnki wuh Faqihon kí mánind nahín, balki ikhtiyarwále ke taur par sikhlátá thá.

1

ho lí.

VIII BÁB.

AB wuh us pahár se utrá, bahut sí bhir us ke píchhe

2 Aur, dekho, ek korhí ne áke use sijda kiyá aur kaha, Ai Khudáwand, agar tú cháhe, to mujhe pák sáf kar sakta hai.

3 Yisú' ne háth barháke use chhúá aur kahá, Main cháhtá hún, tú pák sáf ho. Wunhín us ká korh játá rahá.

4 Tab Yisú' ne use kahá, Dekh, kisí se na kahiyo; par jáke apne taín kahin ko dikhá, aur jo nazr Musá ne muqarrar kí, guzrắn, táki un ke liye gawáhí ho.

5 ¶ Aur jab Yisú' Kafarnáhum men dákhil húá, ek súbadár us

|

6 Ai Khudáwand, merá chhokrá jhole ká márá ghar men pará, aur niháyat dukh men hai. 7 Yisú' ne us se kahá, Main áke use changá karúngá.

8 Súbadár ne jawáb men kahá, Ai Khudáwand, main is láiq nahín, ki tú merí chhat tale awe; balki, sirf ek bát kah, to merá chhokra changá họ jáega.

9 Kyúnki, main bhí, jo dúsre ke ikhtiyár men hún, aur sipáhí mere hukm men hain, jab ek ko kahtá hún, Já, wuh játá hai; aur dúsre ko, ki Á, wuh átá hai; aur apne gulám ko, ki Yih kar, wuh karta hai.

10 Yisú' ne yih sunkar ta'ajjub kiyá, aur un ko jo píchhe age the, kahá, Main tum se sach kahtá hún, ki main ne aisá ímán Israel men bhí nahín paya.

11 Aur main tum se kahtá hún, ki Bahutere púrab aur pachchhim se áwenge, aur Abirahám o Iz,hák aur Ya'qúb ke sáth ásmán kí bádsháhat men baithenge.

12 Par badshahat ke farzand báhar andhere men dále já,enge, jahán roná aur dánt písná hogá.

13 Tab Yisú' ne us sardár ko

kahá, Já, aur jaisá tú ímán láyá, tere liye waisá hí ho; aur usi gharí us ká chhokrá changá ho gayá.

14 ¶ Aur Yisú' ne Patras ke ghar men áke dekhá, ki us kí sás parí, aur us par tap charhí hai.

15 Aur us ká háth chhúá; tab tap us par se utar ga,í, aur wuh uthí aur un kí khidmat karne lagí.

16 ¶ Jab shám húí, us ke pás bahut se díwánon ko lá,e, aur us ne rúhon ko nikál diyá, aur sab ko, jo bímár the, changá kiyá.

17 Aisá, ki jo Yas'aiyah nabí ne kahá thá, pura húa, ki, Us ne áp hamárí mándagíán le lín, aur hamárí bímáríán uthá lín.

18 ¶ Jab Yisú’' ne bahut sí bhir

apne ás pás dekhí, us ne hukm | karáre par se daryá men kúdá,

kiyá, ki pár jáwen.

19 Aur ek Faqih ne áke us se kahá, Ai ustád, jahán kahín tú já,e, main tere píchhe chalúngá. 20 Yisú' ne us se kahá, ki Lomríon ke liye mánden aur hawá ke parandon ke wáste basere hain, par İbn i Ádam ke liye jagah nahín, jahán apná sir dhare. 21 Us ke shagirdon men se dúsre ne us se kahá, Ai Khudáwand, mujhe rukhsat de, ki pahle jákar apne báp ko gárun.

22 Par Yisu' ne us se kahá, Tú mere píchhe á, aur murdon ko apne murde gárne de.

23 ¶ Aur jab wuh náw par charhá, us ke shagird us ke pichhe á,e. 24 Aur, dekho, darya men aisí | barí ándhí á,í, ki náw lahron men chhip ga,í, par wuh sotá thá.

25 Tab us ke shagirdon ne áke use jagáyá aur kaha, Ai Khudá- | wand hamen bachá, ki ham dúbe.

26 Us ne unhen kahá, Ai kam i'atiqádo, kyún darte ho ? Tab us ne uthke hawa aur daryá ko dántá, to bará níwá ho gaya.

27 Aur log ta'ajjub karke kahne lage, ki Yih kis tarah ká ádmí hai, ki hawá aur daryá bhí us kí mánte hain.

28 ¶ Jab us pár Gargasínon ke mulk men pahunchá, do díwáne qabron se nikalkar use mile; we aise tund the, ki koí us ráste se chal na sakta tháo

29 Aur, dekho, unhon ne chilláke kahá, Ai Yisú', Khuda ke Bete, hamen tujh se kyá kám? tú yahán áyá, ki waqt se pahle hamen dukh de?

30 Aur un se kuchh dúr súaron ká ek bará gol chartá thá.

31 So deon ne us kí minnat karke kahá, Agar tú ham ko nikáltá hai, to hamen un súaron ke gol men jáne de.

32 Tab us ne unhen kahá, Jáo; we nikalke un súaron ke gol men e; aur dekho súaron ka sárá gol

aur pání men dúb mará.

33 Tab charánewále bhage, aur shahr men jákar, sab májará aur un díwánon ká ahwál bayan kiya.

34 Aur, dekho, sárá shahr Yisú ki muláqát ko niklá, aur usé dekhke, us kí minnat kí, ki un kí sarhadd se báhar jáwe.

IX BÁB.

1 PHIR náw par charhke pár utrá, aur apne shahr men

áyá.

2 Aur dekho, ek jhole ke máre ko, jo chárpá,í par pará thá, us pás lá,e. Yisú ne, un ká ímán dekhke, us jhole ke⚫máre se kahá, Ai bețe, khátir jam'a rakh, tere gunáh mu'af húe.

3 Tab ba'ze Faqihon ne apne dil men kahá, ki Ÿih kufr baktá hai.

4 Yisú' ne un ke khiyál daryáft karke kahá, Tum kyún apne dilon men badgumání karte ho?

5 Kyá kahná ásán hai, yih, ki Tere gunáh mu'áf húe, yá yih, ki Uth aur chal.

6 Lekin táki tum jáno, ki Ibn i Ádam ko zamín par gunáh mu'áf karne ká ikhtiyar hai, us ne us jhole ke máre se kahá, Uth, apní chárpá,í uțhá le, aur apne ghar chala já.

7 Wuh uṭhkar apne ghar chalá gayá.

8 Tab logon ne yih dekhkar ta'ajjub kiyá, aur Khudá kí ta'rif karne lage, ki aisí qudrat insán ko bakhshí.

9¶ Phir jab Yisú' wahán se áge barhá, to Matí náme ek shakhs ko mahsúl ki chaukí par baithe dekhá, aur use kahá, Mere píchhe á. Wuh uthke us ke píchhe chalá.

10 ¶ Aur yún húá, ki jab Yisú' ghar men kháne baitha, dekho, bahut se mahsúl lenewále aur gunahgár áke us ke shágirdon ke sáth kháne baithe.

11 Jab Farísíon ne yih dekhá,

us ke shágirdon se kahá, Tum- | hárá ustád mahsúl lenewálon aur gunahgáron ke sáth kyún khátá hai?

12 Yisú' ne yih sunkar unhen kahá, Bhale changon ko hakím darkár nahín, balki bímáron ko. 13 Par tum jáke us ke ma'ne daryáft karo, ki Main qurbání ko nahín, balki rahm ko cháhtá hún; kyúnki main rástbázon ko nahín, balki gunahgáron ko tauba ke liye buláne ko áyá hún.

14 ¶ Us waqt Yuhanná ke shágirdon ne us pás áke kahá, ki Ham aur Farísí kyún aksar roza rakhte hain; par tere shagird roza nahín rakhte?

15 Yisú' ne unhen kahá, Kyá barátí, jab tak dulhá un ke sáth hai, udás ho sakte hain? lekin, wuh din áwenge, ki dulhá un se judá kiyá já,egá; tab we roza rakhenge.

16 Ko,í purání qabá par kore kapre ká paiwand nahin lagátá, kyúnki wuh paiwand qaba se kuchh khainch letá hai, aur us ká chír barh játá.

17 Aur na,í mai purání mashkon men nahín bharte, nahín to mashken phat játín, aur mai bah játí, aur mashken kharáb ho jatín, balki na,í mai na,í mashkon men bharte hain, to donon bachí rahtí hain.

18 Jab wuh yih báten un se kah rahá thá, dekho, ek sardár ne ákar use sijda kiyá aur kahá, Meri bețí ab tamẩm húí, par tú chal aur apná háth us par rakh, ki wuh jí uthegí.

19 Yisú uthke apne shágirdon ke sáth us ke píchhe chalá.

20 ¶ Aur, dekho, ek 'aurat ne, jis ká bárah baras se lahú járí thá, us ke píchhe áke us ke kurte ká dáman chhúa.

khátir jam'a rakh, ki tere ímán ne tujhe changá kiyá. Pas, wuh 'aurat usí gharí se changí ho ga,í. 23 Aur jab Yisú' us sardár ke ghar pahunchá, aur us ne bánslí bajánewálon aur jama'at ko gul macháte dekhá, to unhen kahá, 24 Kináre ho, ki larkí marí nahín, balki sotí hai. We us par hanse.

25 Jab we log bahar nikále ga,e, us ne andar jáke us ká háth pakrá, aur wuh laṛkí uṭhí.

26 Tab us kí shuhrat us tamám mulk men phailí.

27 Jab Yisu' wahán se rawána húá, do andhe us ke píchhe pukárte á,e, ki Ai Ibn i Ďáúd, ham par rahm kar.

28 Aur jab wuh ghar men pahunchá, we andhe us pás á,e; Yisú' ne unhen kahá, Kyá tumhen i'atiqád hai, ki main yih kar saktá hún? We bole, Hán, ai Khudáwand.

29 Tab us ne un kí ánkhon ko chhúke kahá, ki Jaisá tumhárá i'atiqád hai, waisá tumháre liye ho.

30 To un kí ánkhen khul gaín, aur Yisú' ne unhen tákíd karke kahá, Khabardár, ko,í na jáne. 31 Par unhon ne jáke us tamám mulk men us kí shuhrat kí. 32 Jis waqt we báhar nikle, dekho, log ek gúngá díwána us pás lá,e.

33 Aur jab deo nikálá gayá, wuh gúngá bolá. Aur logon ne ta'ajjub karke kahá, Aisá kabhí Isráel men na dekhá thá.

34 Par Farísíon ne kahá, ki Wuh deon ke sardár kí madad se deon ko nikáltá hai.

35 Aur Yisú' un sab shahron aur bastíon men jáke, un ke 'ibádatkhánon men ta'lím detá, aur bádsháhat kí khushkhabarí kí manádí, aur logon kí har ek bímárí aur dukh dard dúr kartá thá.

20 Wuh apne jí men kahtí thí, Agar main sirf us ká kurtá chhúúngí, bhalí changí ho jáúngí. | 22 Tab Yisú ne pichhe phirke 36 Aur jab us ne jama'aton ko use dekhá, aur kahá Ai betí, dekhá u ko un par rahm áyá;

« ÎnapoiContinuă »