Imagini ale paginilor
PDF
ePub
[blocks in formation]

29 Aur we jo udhar se játe the, sir hiláte the, aur yih kahke use malámat karte the, ki Wáh, tú jo haikal ko dhátá, aur tín din men banátá thá,

30 Apne taín bachá, aur salíb par se utar á.

31 Isí tarah Sardár Káhinon ne bhí ápas men Faqihon ke sath thatthe karte húe kahá, Us ne auron ko bacháyá; apne taín bacháne nahin saktá.

|

sámhne khará thá, use yún chilláte aur ján dete dekhke, kahá, ki Yih shakhs sachmuch Khudá ká Beta thá.

40 Wahán ka,í 'auraten dúr se dekh rahí thín; un men Mariyam Magdalíní, aur Mariyam, chhote Ya'qúb aur Yose kí má, aur Salome thín.

41 Unhon ne jab wuh Galíl men thá, us kí pairauí aur khidmat bhí kí thí; phir aur bhí bahut sí 'auraten thin, jo us ke sáth Yarúsalam men áí thín.

42 Aur shám ko, ki taiyárí ka waqt thá, jo sabt se pahle hotá, 43 Yusuf Arimatíyá, jo námwar mushír aur wuh khud Khudá kí badshahat ka muntazir thá, áyá, aur dilerí se Pilátús pás jáke, Yisú kí lásh máng.

44 Aur Pilátús ne ta’ajjub kiyá, ki wuh aisá jald mar gayá, aur súbadár ko buláke us se púchhá, kyá der húí, ki wuh mar gayá? 45 Aur jab súbadár se aisá ma'kiya thá, to lásh Yúsuf ko

lúm

dilá dí.

32 Baní Isráel ká Bádsháh, | Masíh, ab salíb par se utar áwe, ki ham dekhen aur ímán láwen. Aur 46 Aur us ne mihín kapṛá mol we jo us ke sath salíb par kha-liyá thá, aur use utárke us kapre inche ga,e, use malámat karte the. se kafnáyá, aur ek qabr men, jo 33 Aur jab chhatha ghanțá chaṭán ke bích khodí gaí thí, use púrá húá, us sárí zamín par and- rakhá, aur us qabr ke darwáze par herá chhá gayá, aur nawen ghante ek patthar dhalká diya.

tak rahá.

34 Aur nawen ghanțe, Yisú' barí áwáz se chillake bolá, Elí, Elí lamá sabaqtaní, jis ká tarjuma yih hai; Ai mere Khudá, mere Khudá, tú ne mujhe kyún chhoṛá?

35 Ba'ze un men, jo wahán khare

the, yih sunke bole, Dekho, wuh

Iliyás ko bulátá hai.

36 Aur ek ne dauṛke isfanj ko sirke se tar karke aur ek narkat par rakhke use chusáyá aur kahá, Bhalá, ham dekhen to, ki Iliyás use utárne áwe.

37 Tab Yisú' ne baṛí áwáz se chillákar ján dí.

38 Aur haikal ká parda úpar se níche tak phat gaya.

39 ¶ Aur us súbadár ne, jo us ke

aur

47 Mariyam Magdalíní, Yúses kí má Mariyam, us jagah ko, jahan wuh rakhá gayá, dekh rahí thín.

[blocks in formation]

patthar ko dhalkáyá húá dekhá, aur wuh bahut bhárí thá.

5 Qabr men jákar, unhon ne ek jawan ko sufed poshák pahine dahiní taraf baithe húe dekhá, aur hairán húín.

6 Us ne unhen kahá, Mat ghabráo: Tum Yisú' Násarí ko, jo salíb par khainchá gayá, dhúndhtíán ho; wuh jí uṭhá hai; wuh yahán nahín; dekho yih jagah, jis men unhon ne use rakha thá.

7 Ab tum jáo, aur us ke shágirdon ko aur Patras ko kaho, ki wuh tum se áge Galíl ko játá hai, aur jaisá us ne tumhen kahá thá, tum use wahán dekhoge.

8 We jald nikalke qabr se bhágín, aur kámptí aur ghabrátí húí, máre dar ke, kisí se kuchh na bolín.

9 Hafte ke pahle roz, wuh, sawere uthkar, pahle Mariyam Magdalíní ko, jis men se us ne sát deo nikále the, dikhaí diya.

10 Us ne jáke, us ke sáthíon ko, jo us ke liye gamgin aur rote the, khabar dí.

11 We yih sunke, ki wuh jítá hai, aur use dikháí diyá, yaqín na láe.

12 ¶ Us ke ba'd, wuh dúsrí súrat men, un men se do ko, jis waqt ki we paidal chalte the, aur dihát kí tarafjáte the, dikháí diyá.

13 Unhon ne jáke báqí logon ko

khabar dí, aur unhon ne bhí un kí báton ko yaqín na kiya. 14 Akhir wuh un gyárahon ko, jab we kháne baithe the, dikhá,í diyá, aur un kí beímání aur sakhtdilí par malámat kí, kyúnki we un kí baton par, jinhon ne us ke jí uthne ke ba'd use dekhá thá, yaqín na láe the.

15 Aur us ne unhen kahá, ki Tum tamám dunyá men jake harek makhluq ke sámhne Injíl kí manádí karo.

16 Jo ki ímán látá, aur baptisma pátá hai, naját páegá: aur jo ímán nahín látá, us par sazá ká hukm kiyá jáegá.

17 Aur we jo ímán láenge, un ke sáth yih 'alámaten hongí; ki we mere nám se deon ko nikálenge; aur naí zubánen bolenge;

18 Sámpon ko uțhá lenge; aur agar koí halák karnewálí chíz pícnge, unhen kuchh nuqsán na hogá; we bímáron par háth rakhenge, to change ho jáenge.

19 Khudáwand unhen yih farmáke asmán par játá rahá, aur Khudá ke dahine háth baiṭhá.

20 Phir unhon ne har jagah jákar manádí kí, aur Khudáwand un kí madad kartá thá, aur kalám ko, un mu'ajizon ke wasíle se, jo us ke sath sath hote the, sábit kartá rahá. Ámín.

LÚQÁ KÍ INJÍL.

1

I BÁB.

2 Jis tarah se unhon ne, jo shuru' se khud dekhnewále, aur

CHUNKI bahuton ne kamar-kalám kí khidmat karnewále the,

bándhí, ki un kámon ká, jo filwaqi' hamáre darmiyán anjám húe, bayán karen,

ham se riwayat kí;

3 Main ne bhí munásib jáná, ki sab ko sire se sahíh tarah daryáft

karke, tere liye, ai buzurg Theofilus, batartíb likhún,

zon kí danáí kí taraf pherke, Khudawand ke liye ek musta'idd qaum taiyár kare.

4 Táki tú un báton kí haqiqat ko, jin kí tú ne ta'lím páí, jáne. 5¶ Herodís ke dinon men, Abiyah ke párídáron men se Zakariyáh náme ek káhin thá: us kí jorú Hárún kí betíon men se thí, aur us ká nám Ilísabát thá.

18 Tab Zakariyáh ne firishte ko

YAHUDIYA ke badshah kahá, Main is ko kyunkar sach

6 We donon Khudá ke huzúr rástbáz, aur Khudáwand ke sáre hukmon aur qánúnon par be 'aib chalnewále the.

7 Aur un ke laṛká na thá, kyunki Ilísabát bánjh thí, donon búrhe the.

aur

8 Aur aisá húá, ki jab wuh Khudá ke huzúr, apne firqe kí bárí par, káhin ká károbár kartá thá,

9 Káhiní ke dastúr par us kí chitthí nikli, ki Khudawand kí haikal men jáke khushbúi jaláwe. | 10 Aur logon kí sárí jamá'at, khushbúí jalate waqt, báhar du'á máng rahí thí.

11 Tab us ko, Khudáwand ká firishta, khushbúí jaláne ke mazbah kí dahní taraf khaṛá húá, dikhái diyá.

12 Zakariyah dekhkar ghabráyá, aur bahut dará.

13 Par firishte ne us se kahá, ki Ai Zakariyah, mat dar, ki terí du'á suní ga,í, aur terí jorú Ilísabát tere liye ek bețá janegí; tú us ká nám Yuhanná rakhna.

14 Aur tujhe khushí o khurramí hogí; aur bahutere us kí paidáish se khush honge.

15 Kyúnki wuh Khudáwand ke huzúr buzurg hoga, aur na mai, aur na koí nasha píegá; aur apní má ke pet hí se Rúh i Quds se bhar jáegá.

16 Aur baní Israel men se bahuton ko un ke Khudáwand Khudá kí taraf pheregá.

17 Aur wuh us ke áge, Iliyás kí tabi'at aur qúwat ke sáth, chalegá, ki báp ke dilon ko larkon kí taraf, aur náfarmánbardáron ko rástbá

|

jánún? kyúnki main búrhá hún, aur meri jorú kí baṛí 'umr húí.

19 Firishte ne jawáb men us se kahá, Main Jabriel hún, jo Khudá ke huzúr házir rahtá hún; aur bhejá gayá, ki tujhe kahún, aur yih khushkhabarí tujhe dún. 20 Aur dekh, tú gúngá ho jáegá, aur jis din tak ki yih na ho, bol na sakegá, is liye ki tú ne merí báton ko, jo apne waqt par purí hongi, yaqín na kiya.

21 Aur log Zakariyáh kí ráh dekhte the, aur haikal men us ke der karne se ta’ajjub karte the.

22 Jab wuh báhar áke un se bol na saká, unhon ne daryáft kiyá, ki us ne haikal men koí roya dekhí thí: aur wuh un se ishare kartá thá, aur gúngá rah gaya. 23 Aur aisá húá, ki jab us kí khidmat ke din púre húe, wuh apne ghar gayá.

24 Aur un dinon ke ba'd, us kí jorú Ilísabát hámila húí, aur us ne pánch mahíne tak apne taín yih kahke chhipáyá, ki,

25 Jin dinon men Khudáwand ne mujh par nazar kí, mere sáth aisá kiyá, táki logon men se merí sharmindagí dúr kare.

26 Aur chhathe mahine Jabriel firishta Khudá kí taraf se Galíl ke ek shahr men, jis ká nám Násarat thá, bhejá gayá,

27 Ek kunwárí ke pás, jis kí Yúsuf náme ek mard se, jo Dáúd ke gharáne se thá, mangní húí thí; aur us kunwárí ká nám Mariyam thá.

28 Us firishte ne us pás áke kahá, ki Ai pasandída, salám! Khudáwand tere sáth: tú 'auraton men mubárak hai.

29 Par wuh use dekhkar, us kí bát se ghabráí, aur sochne lagí, ki yih kaisá salám hai.

30 Tab firishte ne us se kahá, ki

Ai Mariyam, Mat dar; ki tú ne Khudá ká fazl páyá.

31 Aur dekh, Tú hámila hogí, aur bețá janegí, aur us ká nám YISÚ' rakhná.

32 Wuh buzurg hogá, aur Khudá ta'álá ká Betá kahláegá: aur Khudáwand Khudá us ke bóp Dáúd ká takht use degá:

33 Aur wuh sadá Ya'qúb ke gharáne kí bádsháhat karegá; aur us kí bádsháhat ákhir na hogí.

34 Tab Mariyam ne firishte se kahá, Yih kyunkar hogá, jis hál men main mard ko nahin jantí? 35 Firishte ne jawab men us se kahá, ki Rúh i Quds tujh par utregí, aur Khudá ta'álá kí qudrat ká saya tujh par hogá: is sabab se wuh pák laṛká Khudá ká Betá kahláegá.

36 Aur dekh, terí rishtadár Ilísabát ko bhí burhápe men bețá honewálá hai; aur yih us ká, jo bánjh kahlátí thí, chhatha mahínả hai.

37 Kyúnki Khudá ke áge koí bát anhoní nahín.

38 Aur Mariyam ne kahá, Dekh, Khudáwand kí bándí; mujh par tere kahne ke muwáfiq howe. Tab firishta us ke pás se chalá gayá.

39 Aur unhín dinon men, Mariyam uthkar jaldí se paháron par Yahudiya ke ek shahr ko ga,í; 40 Aur Zakariyáh ke ghar pahunchke Ilísabát ko salám kiya. 41 Aur aisá húá, ki jonhín Ilísabát ne Mariyam ká salám suná, laṛká us ke pet men uchhal pará; aur Ilísabát Rúh i Quds se bhar ga,í: 42 Aur zor se pukárke kahá, ki Tú 'auraton men mubarak hai, aur tere pet ká phal mubarak hai. 43 Mere liye yih kyúnkar húa, ki mere Khudawand kí má mujh pás á,í? ki,

44 Dekh, tere salám kí áwáz jonhín mere kán tak pahunchí, larká mere pet men khushí se uchhal pará.

45 Aur mubárak hai wuh jo

[merged small][merged small][ocr errors][merged small]

ímán lá,í, ki yih báten, jo Khudáwand ki taraf se kahí gain, púrí hongí.

46 Mariyam ne kahá, ki Merí ján Khudawand kí baráí kartí hai, 47 Aur merí rúh mere naját denewále Khudá se khush húí. 48 Ki us ne apní bándí kí garíbí par nazar kí: is liye, dekh, ab se har zamáne ke log mujh ko mubárak kahenge.

49 Kyúnki us ne, jo qudratwálá hai, mujh par bará ihsán kiya hai; aur us ká nám pák hai.

50 Aur us ka rahm un par, jo us se darte hain, pusht dar pusht hai.

51 Us ne apne bázú ká zor dikháyá; aur un ko, jo apne dil ke khiyál men apne taín bará samajhte hain, pareshan kiya.

52 Qudratwálon ko takht se girá diyá, aur garíbon ko buland kiya.

53 Us ne bhúkhon ko achchhí chízon se ásúda kiya ; aur daulatmandon ko khálí háth bhejá.

54 Us ne apne bande Israel ko sambhál liya, un rahmaton ko yád karke,

55 Jo Abirahám aur us kí aulád par sadá ko thín, jaisá us ne hamáre bápdádon se farmáyá thá. 56 Aur Mariyam, tín mahíne ke qarib us ke sáth rahke, apne ghar ko phirí.

57 Ab Ilísabát ke janne ka waqt pahunchá; aur bețá janí.

58 Aur us ke parosíon aur rishtadáron ne suná, ki Khudáwand ne us par barí rahmat kí; aur unhon ne us ke sath khushí kí.

59 Aur yún húa, ki we áthwen din larke ká khatna karne á,e; aur us ká nám Zakariyah, jo us ke báp ká thá, rakhne lage.

60 Par us kí má ne jawab men kahá, ki Nahín; balki us ká nám Yuhanná rakhá jáwe.

61 Unhon ne us se kahá, ki Tere gharáne men kisú ká yih nám nahín.

62 Tab unhonne us ke báp kí

taraf ishára kiyá, ki wuh us ká kyá nám rakhá cháhtá hai. 63 Us ne takhtí mangáke likhá, ki Yuhanná us ká nám hai. Aur sabhon ne ta'ajjub kiya.

64 Aur usí dam us ká munh aur zubán khul ga,í, aur bolne lagá, aur Khudá kí ta'rif kí.

65 Tab sáre áspás ke rahnewále dar ga,e: aur Yahudiya ke tamam kohistán men in sab báton ká charchá phailá.

66 Aur sabhon ne, jo sunte the, apne dil men sochkar kahá, ki, Yih kaisá larká hogá! Aur Khudáwand ká háth us par thá.

67 Aur us ká báp Zakariyáh Rúh i Quds se bhar gayá, aur nubúwat kí ráh se kahne lagá, ki,

68 Hamd Khudáwand kí, jo Israel ká Khudé, hai; kyúnki us ne apne logon par nazar kí, aur unhen chhutkárá diyá,

69 Aur hamáre liye naját ká síng apne bande Dáúd ke ghar men se nikálá;

70 Jaisá us ne apne pák nabíon kí ma'rifat, jo dunyá ke shurú' se hote á,e, kahá:

71 Ham ko hamáre dushmanon se, aur un ke háth se jo ham se kína rakhte hain, naját bakhshí; 72 Táki wuh rahm, jis ká hamáre bápdádon ke sáth qarár kiya, kare, aur apne pák 'ahd ko yád rakhe;

73 Us hí qasam ko, jo us ne hamáre báp Abirahám se kí, ki, 74 Wuh hamen yih degá, ki apne dushmanon ke háth se chhutkárá páke,

75 'Umr bhar us ke áge pákízagí aur sacháí se, bekhauf us kí bandagi karen.

76 Aur ai larke, tú Khudá ta'álá ká nabí kahláegá: kyúnki tú Khudáwand ke age us kí ráhon ko durust kartá jáegá; ki,

77 Us ke logon ko naját kí ráh batáwe, jis men un ke gunáhon kí mu'afi howe,

78 Jo hamáre Khudá kí kháss rahmat se hai; jis ke sabab subh

[ocr errors]

kí roshní úpar se ham tak pahunchí,

79 Táki un ko jo andhere aur maut ke sáye men baithe hain, roshní bakhshe, aur hamen salámatí kí ráh par le chale.

80 Aur wuh larká barhtá, aur rúh men qúwat pátá gayá, aur apne taín Israel par záhir karne ke din tak bayábán men rahá.

1

II BÁB.

UR un dinon men yún húá, ki Qaisar Augustus ká hukm niklá, ki har bastí ke logon ke nam likhe jaen.

2 (Aur yih pahlí ismnawisí thí, jo Suriyá ke hákim Qurenius ke waqt men húí.)

3 Tab har ek apne apne shahr ko nám likháne chalá.

4 Aur Yúsuf bhí Galíl ke shahr Násarat se, Yahúdiya men, Dáúd ke shahr ko, jo Baitlaham kahlátá hai, gayá; is liye ki wuh Dáúd ke gharáne aur aulád se thá; ki,

5 Apní mangetar Mariyam ke sáth, jo hámila thí, nám likháwe.

6 Aur aisá húá, ki jab we wahán the, us ke janne ke din púre húe. 7 Aur apná palauṭhá bețá janí, aur us ko kapre men lapetke charní men rakhá; kyúnki un ko sará men jagah na milí.

8 Us mulk men garariye the, jo maidán men rahte, aur rát ko bárí bárí apní jhund kí chaukí karte

the.

[blocks in formation]
« ÎnapoiContinuă »