Imagini ale paginilor
PDF
ePub

kare, to us ki nisbat ziná kartá | rán húe. Tab Yisú' ne phir jahai.

12 Aur agar jorú apne shauhar ko chhor de, aur dusre se byáh kare, to wuh bhí ziná kartí hai. 13 ¶ Phir we larkon ko us pás láe, táki wuh unhen chhúe; par shágirdon ne un lánewálon ko dántá. 14 Yisú' yih dekhke nákhush húá, aur unhen kahá, Larkon ko mere pás áne do, aur unhen man'a na karo; kyúnki Khudá kí bádsháhat aison kí hai.

15 Main tum se sach kahtá hún, Jo koí Khudá kí bádsháhat ko chhote larke ki tarah qabúl na kare, wuh us men dákhil na hogá. 16 Phir us ne unhen apní god men liyá, aur un par háth rakhke unhen barakat dí.

17 Aur jab wuh ráh men chalá játá thá, ek shakhs us pás dauṛtá áyá, aur us ke áge ghutne tekke us se púchhá, Ai nek Ustád, main kya karún, táki hamesha kí zindagí ká wáris hún ?

18 Yisú' ne us se kahá, Tú mujhe nek kyún kahta hai? ki nek koí nahín, magar ek, ya'ne Khudá.

19 Tú hukmon ko jántá hai, Ziná na kar, Khún na kar, Chorí na kar, Jhuthi gawáhí na de, Fareb na de, Apne má báp kí 'izzat kar.

20 Us ne jawab men kahá, Ai Ustád, main ne jawání se in sab ko máná hai.

21 Tab Yisú' ne us par piyár kí nigáh karke us se kahá, Ek chíz tujh men báqí hai; já, aur jo kuchh terá ho, bech dál, aur garíbon ko de, to tú ásmán par khazána páwegá; aur idhar á, aur salíb uthake mere píchhe ho le.

22 Wuh us bát se udás húá, aur gam khátá húá chalá gayá, kyúnki bará máldár thá.

23 ¶ Tab Yisú ne, cháron taraf nazar karke, apne shágirdon se kahá, Khudá kí bádshahat men daulatmand ká dákhil honá kyá hí mushkil hai!

24 Shagird us kí báton se hai

wáb men unhen kahá, Larko, jo log daulat par bharosa rakhte hain, un ke liye Khudá kí bádsháhat men dákhil honá kyá hí mushkil hai!

25 Ki súí ke náke se únț ká jáná, Khudá kí bádsháhat men daulatmand ke dákhil hone se, ásán hai. 26 We bahut hí hairán hoke ápas men kahne lage, Phir kaun naját pá saktá hai?

27 Yisú' ne un kí taraf nigáh karke kahá, ki Insán ke nazdík námumkin hai, par Khudá ke nazdík nahín; kyunki Khudá ke nazdík sab kuchh ho sakta hai. 28 ¶ Tab Patras us se kahne lagá, Dekh, ham ne sab kuchh chhorá, aur tere píchhe ho lí,e.

29 Yisú ne jawab men kahá, Main tum se sach kahtá hún, Aisá koí nahín, jis ne ghar, yá bháíon, yá bahinon, yá má báp, yá jorú, yá laṛke bálon, yá kheton ko mere aur Injil ke liye chhor diyá hai,

30 Jo bilfi'al is zamáne men sau guná na páwe, ghar, aur bháí, aur bahin, aur má, aur larke, aur khet, tasdi'on ke sáth; aur ánewále zamáne men hamesha kí zindagí páwegá.

31 Lekin bahutere, jo agle hain, pichhle, aur jo pichhle, agle honge.

32 Aur jab we ráh men hoke Yarúsalam ko játe the, Yisú' un se áge barhá; tab we hairán húe, aur darte darte us ke píchhe chale. Aur phir bárahon ko leke, jo kuchh us par honewálá thá, un se kahne laga: ki,

33 Dekho, ham Yarúsalam ko játe hain, aur Ibn i Ádam Sardár Káhinon, aur Faqihon ke hawále kiyá jáegá, aur we us ke qatl ká hukm denge, aur use Gair qaumon ke hawále karenge:

34 Aur we us se hansí karke kore márenge, aur us par thúkke qatl karenge, aur wuh tísre din jí uṭhegá.

35 ¶ Tab Zabadí ke beton Ya'qúb aur Yuhanná ne us pás áke kahá, Ai Ustád, ham chahte hain, ki jo kuchh ham mángen, tú hamáre liye kare.

36 Us ne un se kahá, Tum kyá chahte ho, ki main tumháre liye karún?

37 Unhon ne us se kahá, Ham ko bakhsh, ki tere jalál men, ham, ek tere dahine háth, aur dúsrá tere báen háth, baithen.

38 Tab Yisú ne unhen kahá, Tum nahín jante, ki kyá mángte ho: kya wuh piyála jo main píne par hún, tum pí sakte ho? aur wuh baptisma, jo main páne par hún tum pá sakte ho?

39 Unhon ne us se kahá, ki Ham sakte hain. Yisú' ne unhen kahá, Tum to wuh piyála, jo main pítá hún, píoge, aur wuh baptisma, jo main páne par hún, páoge:

40 Lekin mere dahine aur báen háth baithná, mere dene men nahín, magar un ko, jin ke liye yih taiyár kiyá gaya hai.

41 Jab un dason ne suná, to we Ya'qub aur Yuhanná par khafa hone lage.

42 Tab Yisú' ne unhen apne pás bulákar kahá, Tum jánte ho, ki we jo Gair qaumon ke sardár kahláte hain, un par kháwindí karte hain, aur un ke buzurg un par hukúmat karte hain.

43 Par tum men aisá na hogá: balki jo tum men bará húá cháhe, tumhárá khádim hogá:

44 Aur tum men se jo koí sardár húá cháhe, wuh sab ka banda hogá. | 45 Kyúnki Ibn i Adam bhí nahín áya, ki us kí khidmat kí jáwe, balki áp khidmat kare, aur apni ján bahuton ke liye kafare men

dewe.

46 Phir we Iríhá men á,e, aur jab wuh aur us ke shagird aur ek barí bhír Iríhá se nikaltí thí, Timai ká bețá Bartimai, jo andhá thá, ráh ke kináre baitha hóa bhích mángtá thán

[ocr errors]
[ocr errors]

Násarí hai, chilláne aur kahne lagá, Ai Dáúd ke bețe Yisú', mujh par rahm kar.

48 Aur harchand bahuton ne use dántá, ki chup rahe, par wuh aur bhí ziyáda chillaya, ki Ai Dáúd ke bețe, mujh par rahm kar. 49 Tab Yisú' ne khare hoke hukm kiya, ki use buláo. Unhon ne us andhe ko yih kahke buláyá, ki Khátir jam'a rakh, uṭh, wuh tujhe bulátá hai.

50 Wuh apná kapṛá phenkke uṭhá, aur Yisú' pás áyá.

51 Yisú' ne us se púchhá, Tú kyá cháhtá hai, ki Main tere liye karún? Us andhe ne us se kahá, Ai Rabbí, yih, ki main apní ánkhen páún.

52 Yisú' ne us se kahá, Já, tere ímán ne tujhe bacháyá. Wunhín us ne ankhen páín, aur ráh men Yisú' ke píchhe chalá.

1

XI BÁB.

JAB we Yarúsalam ke nazdík Zaitún ke pahár ke pás Baitfagá aur Baita'niyá men á,e, us ne apne shágirdon men se do ko bheja, aur un se kahá, ki,

2 Us bastí men, jo tumháre sámhne hai, jáo, aur jab tum us men dákhil hoge, ek gadhí ke bandhe húe bachhere ko paoge, jis par koí sawár nahín húá; use kholke le áo.

3 Aur agar koí shakhs tumhen kahe, ki Tum yih kyún karte ho? tum kahiyo, Khudáwand ko us kí darkár hai, to wuh filfaur use yahan bhej degá.

4 We gae, aur us bachhere ko darwaze ke nazdík báhar bandha húá, jahán doráhá thá, páyá, aur use kholá.

5 Baʼzon ne un men se jo wahán khare the, unhen kahá, Yih kya karte ho, ki bachhere ko kholte ho?

6 Unhon ne, jaisá Yisú' ne farmáyá thá, kahá; tab unhon ne un 47 Aur yih sunkar, ki wuh Yisú' | ko jáne diyá.

7 We us bachhere ko Yisú' pás lá,e, aur apne kapre us par dál dí,e, aur wuh us par sawár húá. 8 Aur bahuton ne apní poshák ko ráh men bichháyá, aur auron ne darakhton kí dálíán káṭke ráh men bithráín.

9 Aur we jo áge píchhe játe the, pukárke kahte the, ki Hosh’anná! | Mubarak wuh, jo Khudáwand ke nám par átá hai:

10 Hamáre báp Dáud kí bádsháhat, jo Khudáwand ke nám se átí hai, Mubárak! 'Álam i bálá men Hosh'anná!

11 Yisú' Yarúsalam men dákhil húá, aur haikal men áyá: aur jab cháron taraf sab chizon par muláhaza kiya, wuh un barahon ke sath Bait'aniya ko gayá, kyúnki shám ká waqt thá.

12 | Subh ko, jab we Bait’aniyá se báhar á,e, us ko bhúkh lagí: 13 Aur dúr se anjír ka ek darakht patton se ladá húá dekhke, wuh gayá, ki shayad us men kuchh páwe; jab wuh us pás áyá, to patton ke siwa kuchh na páyá; kyúnki anjír ká mausim na thá.

14 Tab Yisú' ne kahá, Koí tujh se phal kabhí na kháwe; aur us ke shágirdon ne yih suná.

15¶ We Yarúsalam men á,e, aur Yisú' haikal men dákhil hoke, unhen, jo haikal men bechte aur mol lete the, báhar nikálne lagá, aur sarráfon ke takhte, aur kabútar bechnewálon kí chaukíán ulat dín;

16 Aur kisí ko haikal men hoke bartan le jane na diya.

17 Aur unhen yih kahke samjháyá, Kyá yih nahín likhá hai, ki Merá ghar sab qaumon ke liye 'ibádatkhána kahláegá? lekin tum ne use choron ká gár banáyá

hai.

18 Faqihon aur Sardár Káhinon ne yih suná, aur fikr men the, ki use kisí tarah ján se máren; kyúnki us se darte the, is liye ki sab log us kí ta'lim se dang hogae the.

|

19 Aur jab shám húí, wuh shahr se báhar gayá.

20 ¶ Aur subh ko, jab we udhar se guzre, to dekhá, ki wuh anjír ká darakht jar se súkh gayá.

21 Tab Patras ne yad karke us se kahá, Ai Rabbí, dekh, anjír ká yih darakht, jis par tú ne la'nat kí thí, súkh gayá hai.

22 Yisú', ne jawab men unhen kahá, Khudá par i'atiqád rakho; ki,

23 Main tum se sach kahtá hún, Jo koí is paháṛ ko kahe, Uṭh, aur daryá men gir par, aur apne dil men shakk na láwe, balki yaqín láwe, ki yih báten, jo wuh kahtá hai, ho jáengí, to jo kuchh wuh kahegá, so hogá.

24 Is liye main tum se kahtá hún, ki Ďu'á men jo kuchh tum mángte ho, yaqín láo, ki milegá, to tum páoge.

25 Aur jab ki tum du'á ke liye khare hote ho, agar koí tumhárá mukhálif ho, to use mu'af karo, táki tumhárá Báp bhí, jo ásmán par hai, tumháre qusúron ko mu'áf kare.

26 Aur agar tum mu'áf na karoge, to tumhárá Báp, jo ásmán par hai, tumháre qusúr bhí mu'áf na karegá.

27 ¶ We phir Yarúsalam men á,e. Jab wuh haikal men phirtá thá, Sardár Káhin aur Faqih aur buzurg us ke pás á,e,

28 Aur us se kahá, ki Tú kis ikhtiyar se yih kám karta hai, aur kis ne tujhe ikhtiyar diyá, ki yih kám kare?

29 Tab Yisú' ne jawáb men unhen kahá, ki Main bhí tum se ek sawál kartá hún, tum jawab do, to main tumhen batáúngá, ki main kis ikhtiyar se yih kám kartá hún.

30 Yuhanná ká baptisma ásmán se thá, yá insán se ? mujhe jawáb do.

31 Tab we ápas men sochke kahne lage, ki Agar ham kahen, Ásmán se, to wuh kahegá, Phir

tum kyún us par ímán nahín lá,e.

32 Aur agar ham kahen, Insán se, to logon se darte, is liye ki sab Yuhanna ko nabí barhaqq jante the.

33 Tab unhon ne Yisú' se jawáb men kahá, Ham nahín jante. Yisu' ne jawab men unhen kahá, Main bhí tum se nahín kahtá, ki main kis ke ikhtiyar se yih kám kartá hún.

1

XII BÁB.

PHIR wuh unhen tamsilon men kahne lagá, ki Ek shakhs ne angúr ká bág lagáyá, aur us kí cháron taraf gherá, aur khodke kolhú gárá, aur ek burj banayá, aur use bágbánon ko supurd karke pardes gaya.

2 Phir mausim men us ne ek naukar ko bágbánon pás bhejá, táki wuh bágbánon se angúr ká phal le.

3 Unhon ne use pakaṛke márá, aur khálí háth bheja.

4 Us ne dobara ek aur naukar ko un pás bhejá; unhon ne use patthrao karke us ká sir phorá, aur behurmat karke pher bhejá. 5 Phir us ne ek aur ko bhejá; unhon ne use qatl kiyá; phir aur bahuteron ko; un men se ba'zon ko márá, aur ba'zon ko már dálá.

6 Ab us ká ek hí bețá thá, jo us ká piyárá thá, akhir ko us ne use bhí un pás yih kahke bhejá, ki We mere bete se dabenge.

7 Lekin un bágbánon ne ápas men kahá, Yih waris hai, áo, ham use már dálen, to mírás hamárí hogí.

8 Aur unhon ne use pakrá, aur qatl karke angúr ke bág ke báhar phenk diya.

9 Pas bág ká málik kya karegá? wuh áwegá, aur un bágbánon ko halák karke, angúr ká bág auron ko degá.

10 Kyá tum ne yih nawishta nahín parhá, ki Wuh patthar jise

mi'amáron ne nápasand kiyá, wuhí kone ká sirá húá :

11 Yih Khudáwand kí taraf se húá, aur hamárí nazaron men 'ajíb hai?

12 Tab unhon ne cháhá, ki use pakar len; par logon se darte the, kyúnki we samajh ga,e the, ki us ne yih tamsíl un par kahí; aur we use chhoṛke chale ga,e. 13 Phir unhon ne ba'ze Farísíon aur Herodíon ko us pás bhejá, ki use us kí báton se phande men dálen.

14 Aur jab we á,e, to us se kahá, Ai Ustád, ham jante hain,ki tú sachchá hai, aur tujh ko kisí kí parwá nahín, kyúnki tú logon kí tarafdárí nahin kartá, balki Khudá kí ráh rástí se batáta hai; Qaisar ko jizya dená rawá hai, yá nahín?

15 Ham dewen ya na dewen? Us ne un ká makr samajhke unhen kahá, Tum mujhe kyún ázmáte ho? ek dínár mujh pás láo, ki main dekhún.

16 We lá,e; tab us ne un se púchhá, ki Yih kis kí súrat, aur kis ká sikka hai? Unhon ne kahá, Qaisar ká.

17 Yisú ne jawab men unhen kahá, Jo chízen Qaisar kí hain, Qaisar ko, aur jo chízen Khudá kí hain, Khudá ko do. Tab we us se hairán húe.

18¶ Phir Sadúqí, jo qiyámat ká inkár karte hain, us pás á,e, aur unhon ne us se sawál kiya, ki,

19 Ai Ustád, hamáre liye Músá ne likhá hai, ki Agar kisí ká bháí mar jáe, aur us kí jorú rahe, aur farzand na ho, to us ká bháí us kí jorú ko lewe, táki apne bháí ke liye aulád paidá kare.

20 Ab sắt phái the; pahle ne jorú kí, aur beaulád mar gayá.

21 Tab dúsre ne use liyá, aur mar gayá, us ká bhí koí farzand na rahá; aur usí tarah se tísre ne.

22 Yúnhín sáton ne use liyá, aur beaulád mar ga,e; sab ke píchhe wuh 'aurat bhí mar ga,í. 23 Qiyámat men jab we uthenge,

wuh un men se kis kí jorú hogí? | dúr nahín. Aur ba'd us ke kisí kyúnki wuh sáton kí jorú húí thí. ne jur,at na kí, ki us se sawál 24 Yisú' ne jawab men unhen | kare. kahá, ki Kyá tum is sabab se bhúl men nahín pare ho, ki tum na nawishton ko, na Khudá kí qudrat ko jánte ho?

25 Kyunki jab murde uțhenge, to we na byah karenge, na byahe jáenge, balki jaise firishte jo ásmán par hain, waise honge. 26 Aur murdon ke uṭhne kí bábat kyá tum ne Músá kí kitáb men nahín parhá, ki Khudá ne jhárí men se us se kyúnkar kahá, ki Main Abirahám ká Khudá, aur Izhak ká Khudá, aur Yaqub ká Khudá hún ?

27 Wuh murdon ká Khudá nahín, balki zindon ká Khudá hai; pas tum barí galatí karte ho.

28 ¶ Tab Faqihon men se ek ne un ká sawál o jawab sunke samjhá, ki us ne unhen khúb jawab diyá, pás ákar us se púchhá, ki Sab hukmon men auwal kaun hai ? 29 Yisú' ne us se jawáb men kahá, ki Sab hukmon men auwal yih hai, ki Ai Israel sun; Wuh | Khudáwand, jo hamárá Khudá hai, ek hí Khudáwand hai;

30 Aur tú Khudáwand ko, jo terá Khuda hai, apne sáre dil se, aur apní sárí ján sc, aur apní sárí 'aql se, aur apne sáre zor se piyár kar; auwal hukm yihí hai.

31 Aur dúsrá jo us kí mánind hai, yih hai, ki Tú apne parosí ko apne barabar piyár kar. In se bará aur koí hukm nahin hai.

32 Tab us Faqíh ne us se kahá, Kyá khúb! Ai Ustád, tú ne sach kahá, kyúnki Khudá ek hai; us ke siwa aur koi nahín:

33 Aur us ko sáre dil se, aur sárí 'aql se, aur sárí ján se, aur sáre zor se piyár karná, aur apne parosí se apne barábar muhabbat rakhná, sab sokhtaní qurbáníon aur zabíhon se bihtar hai.

34 Jab Yisú ne dekhá, ki us ne dánáí se jawáb diyá, to us se kahá, Tú Khudá kí bádsháhat se

[ocr errors]
[ocr errors]

35¶ Phir Yisú' haikal men wa'z karte húe kahne lagá, ki Faqíh kyúnkar kahte hain, ki Masíh Dáud ká beta hai?

36 Kyúnki Dáúd áp hí Rúh i Quds ke batáne se kahta hai, ki Khudáwand ne mere Khudáwand ko kahá Tú mere dahine háth baith, jab tak main tere dushmanon ko tere pánw rakhne kí chaukí karún.

37 Dáúd to use Khudáwand kahta hai, phir wuh us ká beṭá kyúnkar hai? Aur’awámm khu shí se us kí sunte the.

38 ¶ Us ne apní ta'lim men unhen kaha, Faqihon se hoshyar raho, jo lambe jame pahinke sair karná, aur bázáron men salámon ko,

39 Aur 'ibádatkhánon men sadr kursíon ko, aur ziyáfaton men únchí jagahon ko chahte hain:

40 We bewon ke gharon ko nigalte hain, aur makr se namáz ko túl dete hain; unhen ziyada sazá hogí.

41 Phir Yisú' bait ul mál ke sámhne baithkar dekh rahá thá, ki log bait ul mál men paise kis tarah dálte hain, aur bahut daulatmandon ne bahut kuchh ḍálá. 42 Aur ek garíb bewa ne áke do chhadám, ya'ne adhelá us men ḍálá.

43 Tab us ne apne shágirdon ko buláke unhen kahá, Main tum se sach kahtá hún, ki Is kangál bewa ne un sab se, jinhon ne bait ul mál men ḍálá, ziyáda ḍálá hai:

44 Kyúnki sabhon ne apne bahut mál men se kuchh dálá, par us ne apní garíbí se, jo kuchh ki us ká thá, apní sárí púnjí dálí.

XIII BÁB.

1 JAB wuh haikal se báhar játá thá, us ke shágirdon men se ek ne us se kahá, Ai Ustád, dekh,

« ÎnapoiContinuă »