Imagini ale paginilor
PDF
ePub

khafa hoke, kahne lage, Káhe | mere sáth tabáq men háth dáltá ko yih befáida kharch húá? 9 Kyúnki yih 'itr bare dám par biktá, aur wuh muhtájon ko diyá játá.

[blocks in formation]

11 Kyúnki muhtáj hamesha tumháre sath hain; par main hamesha tumháre sáth na rahúngá. 12 Ki us ne jo mere badan par | 'itr dhálá, to yih mere kafan ke liye kiya hai.

13 Main tum se sach kahta hún, ki Tamám dunyá men, jahán kahín is Injil kí manádí hogi, yih bhí jo us ne kiya, is kí yádgárí ke liye kahá já,egá.

14 ¶ Tab un bárah men se, ek ne, jis ká nám Yahúdáh Iskariyútí thá, Sardár Káhinon ke pás jákar kahá, 15 Jo main use tumhen pakaṛwá dún, to mujhe kyá doge? Tab unhon ne us se tís rupa,e ká iqrár kiyá.

16 Aur wuh us waqt se us ke pakarwane ke liye qábú dhúndhtá thá.

17 ¶ So, 'íd i fasah ke pahle din, shagirdon ne Yisú' pás ákar, us se kahá, Tú kahán cháhtá hai, ki ham tere liye fasah taiyár karen? 18 Us ne kahá, Shahr men fuláne shakhs pás jákar, us se kaho, ki Ustád farmátá hai, Merá waqt nazdík pahunchá; main apne shágirdon samet tere yahán 'íd i fasah karúngá.

19 So jaisá Yisu' ne shágirdon ko hukm kiya thá, we bajá lá,e, aur fasah taiyár kiyá.

20 Jab shám húí, wuh un bárahon ke sath kháne baiṭhá.

21 Jab we khá rahe the, us ne kahá, Main tum se sach kahtá hún, Tum men se ek mujhe pakaṛwádegá.

22 Tab we niháyat dilgír húe, aur har ek un men se púchhne lagá, Ai Khudáwand, kya main hún?

23 Us ne jawab men kahá, Jo

[ocr errors]

|

hai, wuhí mujhe pakarwádegá. 24 Ibn i Ádam, jis tarah us ke haqq men likhá hai, rawána hotá; lekin, us shakhs par afsos, jis ke háthon se Ibn Ádam giriftár karwayá játá hai; agar wuh shakhs paidá na hotá, us ke liye bihtar thá.

25 Tab Yahúdáh ne, jo us ká pakaṛwánewálá thá, jawáb men kahá, Ai Ustád, kyá main hún ? Us ne kahá, Tú ne áp hí kahá.

26 ¶ Un ke kháte waqt, Yisú' ne roțí lí, aur shukr karke torí, phir shágirdon ko dekar kahá, Lo, khao; yih merá badan hai. 27 Phir piyála lekar, shukr kiya, aur unhen dekar kahá, Tum sab is men se pío;

28 Kyúnki yih merá lahú hai; ya'ne na,e qaul ká lahú, jo bahuton ke gunáhon kí mu’áfi ke liye baháyá játá.

29 Main tum se kahtá hún, ki Angúr ká shíra phir na pí,úngá us din tak ki tumháre sáth apne Báp kí bádsháhat men naya na pí,ún.

30 Phir we gít gáke Zaitun ke pahár ko ga,e.

31 Tab Yisú' ne un se kahá, Tum sab isí rát mere sabab thokar kháoge; kyúnki likhá hai, ki Main garariye ko márúngá, aur galla kí bheren titar bitar hoja,engí.

32 Lekin main apne jí uthne ke ba'd tum se áge Galíl ko jáúngá.

33 Patras ne jawab men us se kahá, Agarchi sab terí bábat thokar khá,en, par main kabhí tho kar na kháúngá.

34 Yisú' ne us se kahá, Main tujh se sach kahtá hún, ki Tú isí rát, murg ke báng dene ke pahle, tín bár merá inkár karegá.

35 Patras ne us se kahá, Agar tere sáth mujhe marná bhí zarúr ho, tau bhí terá inkár na karúngá. Aur sab shágirdon ne bhí yih

kahá.

36 Phir Yisú' un ke sáth, Gat

samaní náme ek maqám men áyá, aur shágirdon se kahá, Yahán baitho, jab tak main wahán jákar du'á mángún.

37 Tab us ne Patras aur Zabadí ke do bete sáth liye, aur gamgín aur niháyat dilgír hone lagá. 38 Tab us ne un se kahá, ki Merá dil niháyat gamgín hai, balki merí maut kí sí hálat hai: tum yahan thahro, aur mere sáth jágte raho.

kahá, Ai Ustád, Salám: aur chúm livá.

50 Yisú' ne use kahá, Ai Miyán, tú káheko áyá? Tab unhon ne pás ákar Yisú' par háth dále, aur use pakar liya.

51 Aur, dekho, Yisú' ke sáthíon men se ek ne háth barhákar apní talwar khainchí, aur Sardár Káhin ke naukar par chalákar us ká kán uṛá diyá.

52 Tab Yisú' ne us se kahá, Apní talwar miyán men kar, kyúnki jo talwar khínchte hain, talwár hí

39 Aur kuchh age barhke munh ke bal girá, aur du'á mángí, ki Ai mere Bap, agar ho sake, to yih piy-se máre já,enge. ála mujh se guzar já,e: taubhí merí khwahish nahín, balki terí khwáhish ke mutabiq ho.

40 Tab shagirdon ke pás áyá, aur unhen sote pákar Patras se kahá, Kyá tum mere sáth ek ghantá nahín jág sake?

41 Jágo, aur du'á mángo, táki | imtihan men na paro: rúh to musta'idd, par jism sust hai.

42 Phir us ne do bára du'á mángí, ki Ai mere Báp, agar mere píne ke bagair yih piyála mujh se nahín guzar sakta, to terí marzí ho. 43 Us ne áke phir unhen sote páyá: kyúnki un kí ánkhen nínd se bharí thín.

44 Aur unhen chhorkar phir gayá, aur wuhí bát kahkar tísrí bár du'á mángí.

45 Tab apne shágirdon ke pás ákar un se kahá, Ab sote raho, aur árám karo: dekho wuh gharí á pahunchí, ki Ibni Ádam gunáhgáron ke hath hawala kiya jata hai. 46 Utho, chalen : dekho, jo mujhe pakaṛwátá hai, nazdík hai. 47 Wuh yih kah hí rahá thá, ki dekho, Yahúdáh, jo un bárahon men se ek thá, áyá, aur us ke sath ek barí bhír talwáren aur láthíán lí,e, Sardár Káhinon aur qaum ke buzurgon kí taraf se á pahunchí.

53 Kyá tú nahín jántá, ki main abhí apne Báp se máng saktá hún, aur wuh firishton ke bárah tuman se ziyáda mere liye házir kar degá?

54 Par nawishton kí bát, ki yúnhín honá zarúr hai, tab kyún kar púrí hogí?

55 Us waqt Yisú' logon se kahne lagá, ki Tum, jaise chor ke liye, talwáren aur lathíán lekar, mere pakarne ko nikle ho? Main har roz haikal men tumháre sáth baithke taʼlím detá thá, par tum ne mujhe na pakrá.

56 Lekin yih sab is liye húá, táki nabíon ke nawishte púre hon. Tab sab shagird use chhoṛke bhág ga,e.

57 ¶ So jinhon ne Yisú' ko pakrá, we use Qayáfá nám Sardár Káhin pás le ga,e, jahán Faqíh aur buzurg jam'a the.

58 Patras dúr dúr us ke píchhe Sardár Káhin ke ghar tak chalá gayá, aur andar jake naukaron ke sáth baithá, ki dekhe, ki akhir kya hota hai.

59 Tab Sardár Káhin aur buzurg aur sárí majlis Yisú' par jhúthí gawáhí dhúndhne lage, táki use már dálen;

60 Par na pá,í; aur agarchi ba48 Us ke pakaṛwánewále ne un-hut jhúthe gawáh á,e, par ko,í bát hen yih kahke patá diyá thá, ki na thahrí. Akhir, do jhúthe gawáJise main chúmún, wuhí hai; use hon ne ákar, pakar lená.

49 Us ne wunhín Yisú' pás ákar

61 Kahá, ki Is ne kaha hai, ki Main Khudá kí haikal ko dhá

saktá, aur phir tín din men use baná saktá hún.

62 Tab Sardár Káhin ne uṭhkar us se kahá, Tú kuchh jawab nahín detá? yih tujh par kya gawáhí dete hain?

63 Par Yisú chup rahá. Tab Sardár Káhin ne us se kahá, Main tujhe zinda Khudá kí qasam detá hún, ki agar tú Masíh, Khudá ká Betá hai, to ham se kah.

64 Yisú' ne us se kahá, Hán, wuhí, jo tú kahta hai: balki, | main tum se kahtá hún, ki Is ke ba'd, tum Ibn i Ádam ko Qádir i Mutlaq kí dahiní taraf baithe, aur ásmán ke bádalon par áte dekhoge.

65 Tab Sardár Káhin ne apne kapre phárkar kahá, ki Ÿih kufr kahchuká hai; ab hamen aur gawáh kya zarúr? tum ne áp us ká kufr suná.

66 Ab tumhárí kya salah? Unhon ne jawab men kahá, Wuh qatl ke láiq hai.

67 Tab unhon ne us ke munh par thúká, aur use ghúnsá márá, aur dúsron ne use tamanche márke kahá, ki,

68 Ai Masíh, hamen nabúwat se batá, ki kis ne tujhe márá?

69¶Jab Patras báhar dálán men baitha thá, ek laundí ne us pás áke, kahá, Tú bhí Yisú' Galílí ke sáth thá.

70 Par us ne sab ke sámhne inkár karke kahá, Main nahín jántá, ki tú kya kahtí hai.

71 Phir jab wuh darwáze kí taraf báhar chalá, ek dúsrí ne use | dekhkar, un se jo wahan the, kahá, ki Yih bhí Yisú' Násarí ke sáth thá.

72 Tab us ne qasam kháke phir inkár kiya, ki Main us shakhs ko nahín jántá.

73 Thorí der ba'd, unhon ne jo wahán khare the, Patras pás áke kahá, Beshakk tú bhí un men se hai, ki terí bolí tujhe záhir kartí hai.

74 Tab us ne la'nat bhejkar aur qasam khákar kahá, Main is shakhs ko nahín jántá. Wunhín murg ne báng dí.

75 Tad Patras ko Yisú kí bát yád á,í, jo us ne us se kahí thí, ki Murg ke báng dene se pahle, tú tín bár merá inkár karega. Wuh báhar jake zár zár royá.

1

XXVII BAB.

JAR subh húí, sab Sardár

Káhinon, aur qaum ke buzurgon ne Yisú kí bábat saláh kí, ki use kyúnkar qatl karen:

2 Phir use bándhkar báhar le ga,e, aur Pantús Pilátús hákim ke hawále kiya.

3¶ Tab Yahúdáh, jis ne use pakarwadiyá thá, dekhkar, ki us ke qatl ká hukm húá, pachhtayá, aur wuh tís rupa,e Sardár Káhinon aur buzurgon pás pher layá,

4 Aur kahá, Main ne gunáh kiyá, ki begumáh ko pakaṛwáyá. We bole, Hamen kyá? tú ján. 5 Tad wuh rupa,e haikal men phenkkar chala gayá, aur jáke áp ko phánsí dí.

6 Par Sardár Káhinon ne rupa,e lekar kahá, Inhen khazáne men dálná rawá nahín, ki yih khún ká dám hai.

7 Tab unhon ne saláh karke un rupayon se kumhár ká khet pardesíon ke gárne ke liye kharídá. 8 Is sabab áj tak wuh khet, Khún ká khet, kahlátá hai.

9 Tab wuh jo Yaramiyah nabí kí ma’rifat kahá gayá thá, pura húa, ki Unhon ne wuh tís rupa,e liye, us kí thahráí húí qímat, jis kí qímat Baní Israel men se ba'zon ne thahrá,í;

10 Aur unhon ne wuh rupa,e kumhár ke khet ke wáste diye, jaisá Khudáwand ne mujhe farmáyá.

11 Phir Yisú' hákim ke rúbarú khará thá: aur hákim ne us se púchhá, kyá Tú Yahúdíon ká

Bádshah hai? Yisú ne us se kahá, Hán, tú thík kahtá hai.

12 Aur us waqt Sardár Káhin aur buzurg us par faryád kar rahe the, par wuh kuchh jawáb na detá thá.

13 Tab Pilátús ne us se kahá, Kyá tú nahín suntá, ki ye tujh par kitní gawáhíán dete hain? 14 Par us ne us kí ek bát ká bhí jawáb na diyá; chunánchi Hakim ne bahut ta'ajjub kiyá.

15 Hákim ká dastúr thá, ki har 'íd ko, logon kí khátir, ek bandhúá, jise we cháhte, chhor detá

thá.

16 Us waqt un ká Barabbás náme ek mashhúr bandhúá thá. 17 So, jab we ikaṭṭhe húe, Pilátús ne un se kahá, Tum kise chahte ho, ki main tumháre liye chhor dún? Barabbás, yá Yisú' ko, jo Masíh kahlátá hai?

18 Kyunki wuh samajh gayá, ki unhon ne use dáh se hawále kiya. 19 Aur jab wuh masnad par baitha, us kí jorú ne kahlá bhejá, ki Tú is rástbáz se kuchh kám na rakh, kyúnki main ne áj khwab men us ke sabab bahut tasdi'a pá,í.

20 Lekin Sardár Káhinon, aur buzurgon ne logon ko ubhárá, ki Barabbas ko mang len, aur Yisú' ko qatl karen.

21 Hakim ne phir un se kahá, Tum in donon men se kise cháhte ho, ki main tumháre liye chhor dún? We bole, Barabbás ko.

22 Pilátús ne un se kahá, Phir Yisú' ko jo Masíh kahlátá hai, main kya karún? Un sabhon ne us se kahá, Use salíb de.

23 Hákim ne kahá, Kyún? us ne kyá badí kí? Par we aur bhí chilla,e, ki Use salíb de.

24 ¶ Jab Pilátús ne dekhá, ki kuchh ban nahín partá, balki aur bhí hullar hota hai, to pání leke bhír ke áge apne háth dho,e, aur kahá, Main is rástbáz ke khún se pák hún; tum jáno.

25 Tab logon ne jawab men kahá, Us ka khún ham par, aur hamárí aulád par ho.

26 Tab us ne Barabbás ko un ke liye chhor diyá, aur Yisú' ko kore márkar hawále kiyá, ki salíb par khínchá jáwe.

27 Tab hákim ke sipáhíon ne Yisú' ko díwánķháne men le jákar apní tamám guroh us ke gird jam'a ki.

28 Aur us ke kapṛe utárkar use qirmizí pairáhan pahinaya.

29 Aur kánton ká táj banákar us ke sir par rakhá, aur ek sarkandá us ke háth men diyá, aur us ke age ghutne tekkar, us par thatthá márke kahá, Ai Yahúdíon ke bádsháh, Salám!

30 Aur us par thúká, aur wuh sarkanḍá lekar us ke sir par márá. 31 Aur jab we thatṭhá kar chuke, to us pairáhan ko utárkar phir usí ke kapre use pahina,e, aur salíb par khinchne ko le chale.

32 Jab báhar jate the, unhon ne ek Qúríní ádmí Shama'ún náme ko begár pakrá, ki us kí salíb le chale.

33 Aur ek maqám Galgatá náme, ya'ne khoprí kí jagah, par pahunchke,

34 ¶ Pit milá húá sirká use píne ko diyá: us ne chakhke, na cháhá ki pí,e.

35 Aur use salíb par khínchkar, us ke kapron par chițthí dálke unhen bánt liya, táki jo nabí ne kahá thá, púrá ho, ki Unhon ne mere kapre ápas men bánt liye, aur mere kurte par chiṭṭhí dálí. 36 Phir wahan baithke us kí nigáhbání karne lage;

37 Aur us ke qatl ká sabab likhkar us ke sir se únchá táng diyá, ki YIH YISÚ' YAHÚDÍON KÁ BÁDSHÁH HAI.

38 Aur us ke sath do chor bhí salib par khínche ga,e, ek dahne, dúsrá bá,en.

se

39 Aur jo idhar udhar játe, sir hilákar us par kufr bakte the,

40 Aur kahte the, Wáh! Tú jo haikal ká dhánewálá, aur tín din men banánewálá hai, áp ko bachá. Agar tú Khudá ká Bețá hai, salíb par se utar á.

41 Yúnhín Sardár Káhinon ne bhí Faqihon aur Buzurgon ke sáth thatthá márke kahá,

42 Is ne auron ko bacháyá, áp ko nahín bạchá saktá; agar Isráel ká bádsháh hai, to ab salíb par se utar áwe, to ham us par ímán láwenge.

43 Us ne Khudá par bharosá rakhá; agar wuh us ká piyárá hai, to wuh ab us ko chhuráwe; kyunki wuh kahtá thá, ki Main Khudá ká Betá hún.

44 Isí tarah we chor bhí, jo us ke sáth salíb par khínche ga,e the, use burá kahte the.

45 Do pahar se leke, tísre pahar tak, sárí zamín par andherá chhá gayá.

46 Tísre pahar ke qarib, Yisú' ne bare shor se chillákar kahá, Elí, Elí, lamá sabaqtaní? ya'ne, Ai mere Khudá, ai mere Khudá, kyún mujhe akelá chhorá ?

47 Un men se ba'zon ne jo wahan khare the, sunkar kaha, ki wuh Iliyás ko pukártá hai.

48 Wunhín un men se ek ne dauṛkar bádal liyá, aur sirke men bhigoyá, aur narkat par rakhkar, use chusáyá.

49 Auron ne kahá, Rah já, ham dekhen, Iliyás use chhuráne átá hai, ki nahín.

50 Aur Yisú' ne phir bare shor se chillákar ján dí.

51 Aur, dekho, haikal ká parda úpar se níche tak phat gayá; aur zamín kámpí, aur patthar tarak

ga,e;

52 Aur qabren khul ga,ín; aur bahut láshen pak logon kí, jo árám men the, uthín,

53 Aur us ke uṭhne ke ba'd qabron se nikalkar, muqaddas shahr men jákar, bahuton ko nazar á,ín.

54 Jab Súbadár ne aur jo us ke

[ocr errors][ocr errors]

sáth Yisú' kí nigáhbání karte the bhúnchál aur sárá májará dekhá, to niháyat dar ga,e, aur kahne lage, Yih beshakk Khudá ká Beta thá.

55 Aur wahan bahut sí 'auraten, jo Galíl se Yisú' ke píchhe píchhe us kí khidmat kartí á,í thín, dúr se tak rahín:

56 Un men Mariyam Magdalíní, aur Ya'qúb aur Yose kí má Mariyam, aur Zabadí ke beton kí má thín.

57 Jab shám húí, Yúsuf náme Aramatíyá ká ek daulatmand, jo Yisú' ká shágird bhí thá, áyá;

58 Us ne, Pilátús pás jáke, Yisú' kí lásh mángí. Tab Pilátús ne hukm diyá, ki lásh use den. 59 Yusuf ne, lásh lekar, sútí sáf chádar men lapețí,

60 Aur apní nayí qabr men, jo chatán men khodí thí, rakhí: aur ek bhárí patthar qabr ke munh par dhalkake chala gayá.

61 Aur Mariyam Magdalíní aur dúsrí Mariyam wahán qabr ke sámhne baithí thín.

62 ¶ Dúsre roz, jo taiyárí ke din ke ba'd hai, Sardár Káhinon, aur Farísíon ne milkar Pilátús ke pás jam'a hoke kahá, ki,

63 Ai khudáwand, hamen yád hai, ki Wuh dagábáz apne jíte jí kahtá thá, ki Main tín din ba'd jí uthúngá.

64 Is liye hukm kar, ki tín din tak qabr kí nigáhbání karen, na ho, ki us ke shagird rát ko ákar use churá le jáen, aur logon se kahen, ki Wuh murdon men se jí uțhá; to yih pichhlá fareb pahle se badtar hogá.

65 Pilátús ne un se kahá, Tumháre pás pahrewále hain; jáke maqdúr bhar us kí nigáhbání karo.

66 Unhon ne jákar us patthar par muhr kar dí, aur pahre bițhákar, qabr kí nigáhbání kí.

« ÎnapoiContinuă »