Imagini ale paginilor
PDF
ePub

apne Khudá kí haikal ká sutún banáúngá, aur wuh phir kabhí báhar na niklegá: aur main apne Khudá ká nám, aur apne Khudá ke shahr ká, ya'ne, nayi Yarúsalam ká nám, jo mere Khudá ke huzúr se ásmán par se utartí hai, aur apná nayá nám, us par likhúngá.

13 Jis ká kán hai, sune, ki Rúh kalísiyaon se kya kahtí hai.

14 Aur Láodiqíá kí kalísiye ke firishta ko yún likh; ki Wuh jo Ámín, sachchá, aur bar-haqq gawah hai, aur Khudá kí khilqat ká mabdá hai, yún kahta hai; ki 15 Main tere kámon ko jántá hún, ki tú na thandá, na garm hai: kásh ki tú thandá yá garm hotá.

16 So is wáste ki tú shír-garm hai, na thanḍá na garm, main tujhe radd karke munh se nikál phenkne par hún.

17 Kyúnki tú kahta hai, Main daulatmand hún, aur máldár húá hún, aur kisí chíz ká muhtáj nahín; aur nahín jántá, ki tú 'ájiz, aur láchár, aur garíb, aur andhá aur nangá hai:

[blocks in formation]

A'D us ke jo main ne ni

1BA

gáh kí, to kya dekhtá hún, ki ásmán par ek darwáza khulá hai, aur pahlí áwáz jo main ne suní narsinge kí sí thí, jo mujh se bolí aur kahá, ki Idhar úpar a, aur main tujhe dikhláúngá, ki is ke ba'd kyá húá cháhtá hai. 2 Wahín main rúh men á gayá; phir kyá dekhtá hún, ki ásmán par ek takht dhará hai, aur us takht par koí baiṭhá hai.

3 Aur jo us par baiṭhá thá, wuh dekhne men sang i yashm aur'aqíq sá thá: aur ek dhanuk, jo dekhne men zumurrud sá thá, us takht ke gird thá.

4 Aur us takht ke áspás chaubís takht the: un takhton par main ne chaubís buzurg sufed poshák pahine húe baithe dekhe; aur un ke siron par sone ke táj the.

5 Aur bijlí, aur garj, aur áwázen, us takht se nikaltí thín: aur ág ke sát chirág us takht ke áge roshan the; ye Khudá kí sát Rúhen hain.

6 Aur us takht ke áge shisha

18 Main tujhe yih saláh detá hún, ki tú soná jo ág men táyá gayá, mujh se mol le, táki daulatmand howe; aur sufed poshák, táki tú pahine ho, aur tere nange-ká pan ki sharm záhir na howe; aur apní ánkhon men anjan lagá, táki tú dekhne lage.

19 Main jitnon ko piyár kartá, unhen malámat aur tambíh kartá hún: is wáste sargarm ho, aur tauba kar.

20 Dekh, main darwáza par khará hún, aur khatkhatátá hún: agar koi merí áwáz sune, aur darwáza khole, main us pás andar áúng, aur us ke sáth kháúngá, aur wuh mere sath kháegá. 21 Jo gálib hota hai, main use apne takht par apne sáth baithne dúngá; chunánchi main bhí gálib húá, aur apne Báp ke sáth us ke takht par baiṭhá.

|

ck samundar billaur kí mánind thá, aur takht ke bích o bích, aur takht ke gird chár jándár the, jo áge píchhe ankhon se bhare the.

7 Pahlá jándár babar kí mánind thá, aur dúsrá bachhre kí mánind, aur tísre ká chihra insán ká sá thá, aur chauthá urte 'uqáb ká sá. 8 Aur un cháron jándáron ke chha chha par the; aur un kí cháron taraf aur andar ánkhen hí ánkhen thín: aur we is zikr se rát din báz na rahte the, ki Quddús, Quddús, Quddús, Khudáwand Khudá, Qádir i mutlaq, jo thá, aur jo hai, aur jo ánewálá hai.

9 Aur jab we jándár us kí, jo takht par baitha hai, aur abad tak

zinda hai, buzurgí aur 'izzat aur shukrguzárí karte hain,

10 Tab we chaubís buzurg us ke sámhne, jo takht par baiṭhá hai, gir parte hain, aur us ko jo abad tak zinda hai, sijda karte hain, aur apne táj yih kahte húe us takht ke age dál dete hain,

11 Ki Ai Khudáwand, tú híjalál, o 'izzat, aur qudrat ke láiq hai: kyúnki tú hí ne sárí chízen paidá kín, aur we terí hí marzí se hain, aur paidá húí hain.

1

[ocr errors]

V BÁB.

UR main ne us ke dahine háth men, jo takht par baiṭhá thá, ek kitáb dekhí, jin men andar bahar sab likhá húá, aur sát muhron se band thí.

2 Aur main ne ek zoráwar firishta ko dekhá, ki buland áwáz se yih manádí kartá thá, Kaun is láiq hai, ki is kitáb ko khole, aur us kí muhren tore?

3 Par kisí ko maqdúr na húá, na ásmán par, na zamín par, na zamín ke níche, ki us kitáb ko khole, yá use dekhe.

4 Tab main bahut roya, ki koi is láiq na thahrá, ki kitáb ko khole, aur parhe, yá use dekhe.

5 Tab un buzurgon men se ek ne mujhe kahá, ki Mat ro; dekh wuh Babar jo firqa i Yahúdáh se hai, aur Dáúd kí Asl hai, gálib húá hai, ki us kitáb ko khole, aur us kí sáton muhron ko tore.

6 Tab main ne nigáh kí, aur kyá dekhtá hún, ki us takht aur cháron jándáron ke darmiyán, aur un buzurgon ke bích ek Barra yún khara hai, ki goyá zabh kiya gaya hai, jis ke sát súng, aur sát ánkhen thín, jo Khudá kí sáton Rúhen hain, aur tamám rú e zamín par bhejí gayí

hain.

7 Chunánchi wuh áyá, aur us ke dahine háth se, jo takht par baithá hai, us kitáb ko liya.

8 Aur jab us ne kitáb lí, tab we cháron jándár aur chaubís buzurg us Barra ke áge gir pare, aur har ek ke háth men barbat aur khushbúí se bhare húe sone ke piyále the; ye muqaddason kí du'aen hain.

9 Aur we ek nayá rág gáe, ki Tú hí is láiq hai, ki us kitáb ko lewe, aur us kí muhren tore; kyúnki tú zabh húá, aur apne lahú se ham ko har ek firqe, aur ahl i zubán, aur mulk, aur qaum men se, Khudá ke wáste mol liyá;

10 Aur ham ko hamáre Khudá ke waste bádsháh aur káhin banáyá, aur ham zamín par bádsháhat karenge.

11 Phir main ne nigáh kí, aur takht, aur un jándáron, aur buzurgon ke gird-á-gird bahut se firishton kí áwáz suní, jin ká shumár hazár-há-hazár, aur lákh-há-lákh thá;

12 Aur baṛí áwáz se kahte the, ki Barra jo zabh húá is láiq hai, ki qudrat, aur daulat, aur 'aql o táqat, aur 'izzat o jalál, aur barakat páwe.

13 Aur main ne har ek makhluq ko, jo ásmán par, aur zamín par, aur zamín ke níche hai, aur un ko jo samundar men hain, aur sárí chízon ko jo un men hain, yih kahte suná, ki Us ke liye jo takht par baiṭhá hai, aur Barra ke liye barakat, aur 'izzat, aur jalál, aur qúwat abad tak hai.

14 Tab cháron jándár Ámín bole. Aur chaubís buzurgon ne girke use, jo abad tak zinda hai, sijda kiya.

[blocks in formation]

aur us par ek sawár kamán liye hai; aur ek táj use diya gaya: aur wuh fath kartá, aur fathmand hone ko niklá.

3 Aur jab us ne dúsrí muhr torí, tab main ne dúsre jándár ko yih kahte suná, ki Á aur dekh. 4 Tab ek dúsrá surang ghorá niklá aur us ke sawár ko yih diyá gayá, ki sulh ko zamín se chhín le, aur yih ki log ek dúsre ko qatl karen; aur ek baṛí talwár us ko dí gayi.

5 Aur jab us ne tísrí muhr torí, tab main ne tísre jándár ko yih kahte suná, ki Á aur dekh. Phir main ne nazar kí, to kyá dekhtá hún, ki ek mushkí ghorá, aur us par ek sawár tarázú háth men liye hai.

6 Aur main ne un cháron jándáron ke bích men se ek awaz yih kahte húe suní, ki gehún dínár ká ser bhar, aur jau dínár ke tín ser ; par tel aur mai ko zarar mat pahunchá.

7 Aur jab us ne chauthí muhr torí, to main ne chauthe jándár ko yih kahte suná, ki Á aur dekh. 8 Phir main ne nazar kí, to kyá dekhtá hún, ki ek ghorá phíke rang, aur ek us par sawár hai, jis ká nám Maut hai, aur’Álam i gáib us ke píchhe rawán hai. Aur unhen chautháí zamín par yih ikhtiyar diyá gayá, ki we talwár, aur bhúkh, aur maut, aur zamín ke darindon se halák karen.

9 Jab us ne pánchwín muhr torí, to main ne qurbángáh ke níche un kí rúhon ko dekhá, jo Khudá ke kalám aur us gawáhí ke liye, jo unhon ne dí thí, máre

gaye:

10 Aur unhon ne buland áwáz se chilláke kahá, ki Ai Khudáwand, pák aur barhaqq, tú kab tak 'adalat na karegá, aur zamín ke rahnewálon se hamáre khún ká badlá na legá?

11 Tab un men se har ek ko sufed pairáhan diyá gayá, aur unhen kaha gayá, ki aur thoṛá

sabr karen, jab tak ki we púre ho jáwen, aur un ke hamkhidmat aur un ke bháí un kí tarah máre jáwen.

12 Aur main ne dekhá, ki jab us ne chhathí muhr torí, to bará bhaunchál áyá, aur súraj bálon ke kammal kí mánind kálá, aur chánd lahú sá ho gaya.

13 Aur ásmán ke sitára isí tarah zamín par gir pare, jis tarah anjír ke darakht se us ke kachche phal gir játe hain, jab use baṛí ándhí hilátí.

14 Aur ásmán túmár kí tarah, jo lapețá ho, játá rahá, aur har ek pahár aur tápú apní apní jagah se tal gaya.

15 Aur dunyá ke bádsháhon, aur amíron, aur máldáron, aur sipah-sáláron, aur zorwálon, aur har ek banda aur ázád ne apne taín gáron aur paháron ke pattharon kí ot men chhipáyá;

16 Aur paháron aur pattharon se yih kahá, ki Ham par giro, aur ham ko us ke chihra se, jo takht par baitha hai, aur Barra ke gazab se chhipáo:

17 Kyúnki us ke qahr ká roz i 'azím a pahunchá; ab kaun thahar sakta hai?

BA

VII BÁB.

1 A'D is ke main ne zamín ke cháron konon par chár firishta khare dekhe, ki zamín par cháron hawaon ko thámte the, tá na howe ki hawá zamín, yá daryá, yá darakht par chale.

2 Phir main ne ek aur firishta ko púrab se uthte dekhá; us ke pás zinda Khudá kí muhr thí: aur us ne un cháron firishton se, jinhen yih diya gayá thá ki zamín aur darya ko zarar pahuncháen, buland awáz se pukárkar,

3 Kahá, Jab tak ham apne Khudá ke bandon ke máthe par muhr na kar len, tum zamín, aur daryá,

aur darakhton ko zarar na pa- | sufed jáma pahine hain, kaun huncháná. hain, aur kahan se áe?

4 Aur main ne un ká shumár, jin par muhren kí gayí thín, suná, ki baní Israel ke sab firqon men se ek sau chauálís hazár par muhren kí gayín :

5 Yahudah ke firqa se bárah hazár par muhren kígayín. Rúbin ke firqa se bárah hazár par muhren kí gayín. Jadd ke firqa se bárah hazár par muhren kí gayín. 6 Yasar ke firqa se barah hazár par muhren kí gayín. Naftálí ke firqa se bárah hazár par muhren kí gayín. Munassí ke firqa se bárah hazár par muhren kí gayín. 7 Sama ún ke firqa se barah hazar | par muhren kí gayín. Láwí ke firqa se bárah hazár par muhren kí gayín. Ishakár ke firqa se bárah hazár par muhren kí gayín. 8 Zabulún ke firqa se bárah hazár par muhren kí gayín.

Yusuf

ke firqa se bárah hazár par muhren kí gayín. Binyamín ke firqa se bárah hazár par muhren kí gayín.

9 Ba'd us ke main ne nazar kí, to kya dekhtá hún, ki har ek qaum, aur firqa, aur log, aur ahl i zubán men se ek aisí baṛí jama'at, jise koí shumár nahín kar saktá, sufed jáma pahine, aur khurma kí dálíán háthon men liye, us takht aur Barra ke áge kharí hai;

10 Aur buland áwáz se chilláke yún kahtí hai, ki Naját hamáre Khudá se hai, jo takht par baithá, aur Barra se hai.

11 Aur sáre firishta takht aur un buzurgon, aur un cháron jándáron ke gird khare the; phir takht ke age aundhe gir pare, aur Khudá ko sijda kiyá,

12 Aur bole, Amín: Barakat, aur jalál, aur dánish, aur shukrguzárí, aur 'izzat, aur qudrat, aur táqat, abad tak hamare Khuda ke liye. Ámín.

13 Un buzurgon men se ek mujh se púchhne lagá, ki We jo

14 Main ne kahá, ki Ai sáhib, tú jántá hai. Tab us ne mujhe kahá, Ye we hí hain jo baṛí musíbat men se áe, aur unhon ne apne jámon ko Barra ke lahú se dhoyá, aur unhen sufed kiya.

15 Isí waste we Khudá ke takht ke áge hain, aur us kí haikal men rát din us kí bandagí karte: aur wuh jo takht par baiṭhá hai, un ke darmiyán sukúnat karegá. 16 We phir bhukhe na honge, aur na piyáse; aur we dhúp aur garmí na uṭháwenge.

17 Kyúnki Barra jo takht ke bích o bích hai, un kí gallabání karegá, aur unhen páníon ke zinda soton tak pahuncháegá: aur Khudá un kí ánkhon se har ek ánsú ponchhegá.

1

AUR

VIII BÁB.

UR jab us ne sátwín muhr torí, tab ásmán par qaríb ádhí sá’at kí khámoshí thí.

2 Aur main ne un sáton firishton ko, jo Khudá ke áge khare the, dekhá ki unhen sát narsinge diye gaye.

3 Phir ek aur firishta áyá, aur sone ká dhúpdán liye húe qurbángáh ke pás já khaṛá húá, aur bahut sí khushbúíán use dí gayín, táki use sáre muqaddason kí du'áon ke sath sonahrí qurbángáh par, jo takht ke áge hai, guzráne. 4 Aur un khushbúíon ká dhúán muqaddason kí du'aon men milke, firishta ke háth se Khuda ke pás úpar gayá.

5 Phir us firishta ne dhúpdán ko liyá, aur us men qurbángáh kí ág bharí, aur zamín par phenkí: tab áwázen húín, aur garj, aur bíjli, aur bhaunchál.

6 Aur un sát firishton ne, jin ke pás sát narsinge the, áp ko phúnkne par taiyár kiya.

7 Aur pahile firishta ne narsingá phúnká, tab ole, aur ág

khún-ámez maujúd húi, aur zamín | hí qudrat di gayí, jaisí zamín ke par phenkí gayí: aur tiháí dar- bichchhúon kí hai. akht jal gaye, aur tamám harí ghás jal gayi.

8 Phir dúsre firishta ne narsingá phúnká, tab jaise ek bará pahár ág se jaltá húá samundar men phenká gayá, aur samundar ká tísrá hissa lahú ho gayá;

9 Aur jándáron kí tiháí, jitne samundar men zinda the, mar gaye; aur kishtíon ká tísrá hissa tabáh ho gaya.

10 Phir tísre firishta ne narsingá phúnká, tab bará sitára chirág sá jaltá húá ásmán se tútá, aur nadíon, aur pání ke soton kí tiháí par já girá;

11 Us sitára ká nám Nágdauná hai, aur thái pání nágdauná họ gaya; aur bahut se ádmí us pání ke sabab se mar gaye, ki wuh karwa ho gayá thá.

12 Phir chauthe firishta ne narsingá phúnká, to tiháí súraj, aur tiháí chánd, aur tiháí sitáre máre gaye, yahan tak ki un kí tiháí tárík ho gayí, aur din kí tiháí, aur waise hí rất kí tiháí bhí roshan na thí.

13 Phir jo main ne nazar kí, to ek firishta ko ásman ke bích o bích urte húe baṛí áwáz se yih kahte suná, ki Zamín ke rahnewalon par, un tín firishton ke nar singe kí báqí áwázon ke sabab jo phunkne par hain, afsos, afsos, afsos!

[blocks in formation]

|

|

4 Aur unhen yih kahá gayá, ki zamín kí ghás, yá koí sabzí, yá kisí darakht ko zarar na pahuncháen, magar sirf un ádmíon ko jin ke máthon par Khudá kí muhr nahín.

5 Aur unhen yih diya gayá, ki we un ko ján se na máren balki pánch mahine tak azíyat den, aur un kí azíyat bichchhů ke ḍank kí sí thí, jab wuh ádmíon ko mártá hai.

6 Aur un dinon ádmí maut dhúndhenge, aur use na páwenge; aur marne ke mushtaq honge, aur maut un se bhágegí.

7 Aur un tiddíon kí súraten un ghoron kí sí thí, jo larái ke liye taiyár hon, aur un ke siron par goyá sone ke táj, aur un ke chiĥra ádmí ke se the.

8 Aur un ke bál 'auraton ke se, aur un ke dánt babar ke se the. 9 Aur un ká baktar lohe ke þakter kí mánind: aur un ke paron kí áwáz rathon aur bahut ghoron kí sí, jo laráí men dauren. 10 Aur un kí dumen bichchhú kí sí thín, aur dank un kí dumon men the; aur unhen ikhtiyár milá, ki pánch mahíne tak ádmíon ko zarar pahuncháen.

11 Aur un ka ek bádsháh thá, jo us a-tháh kúe ká firishta thá, us ká nám 'Ibrání men Abaddon, aur Yúnání men Apullyon hai.

12 Ek afsos guzar gayá; par, dekho, do afsos un ke ba'd anewále hain.

13 Phir chhathe firishta ne phúnká, aur main ne sonahlí qurbángáh ke cháron síngon men se, jo Khudá ke huzúr hai, ek áwáz suní,

14 Jo us chhathe firishta se, jis ke pás narsingá thá, kahtí thí, ki Un cháron firishton ko, jo Furát kí barí nadí par band hain, khol de.

15 Phir we cháron firishta chhúțe, jo ek sá'at, aur ek din,

« ÎnapoiContinuă »