Imagini ale paginilor
PDF
ePub

hai: ham bhí gawáhí dete hain, aur tum jánte ho, ki hamárí gawáhí sạch hai.

13 Mujhe to bahut kuchh likhná thá; par main ne na cháhá, ki siyahí aur qalam se tere liye likhún:

14 Magar ummedwár hún, ki jald tujhe dekhún, tab ham rúbarú kah sun lenge. Terí salámatí howe. Dost tujhe salám kahte hain. Tú doston ko nám ba nám salám kah.

YAHÚDÁH KÁ KHATT.

1

AHÚDÁH kí taraf se, jo Y visu Masih la banda

aur Ya'qúb ká bháí hai, un ko jo Báp Khudá men muqaddas húc, aur Yisú' Masih men mahfúz aur buláe gaye hain;

2 Rahm, aur salámatí, aur muhabbat tumhare wáste barhtí rahe. 3 Piyáro, jis waqt main us naját kí bábat, jo sab ke liye hai, tum ko likhne men niháyat koshish kartá thá, to main ne zarúr jáná, ki tumhen nasihat karke likhún, ki tum us ímán ke wáste, jo ek bár muqaddason ko sompá gayá, ján-fishání karo.

4 Kyúnki ba'ze shakhs á ghuse, jo áge is sazá ke hukm ke wáste thahráe gaye the; we be-dín hain, aur hamáre Khudá ke fazl ko shahwat-parastí se badal karte hain, aur Khudá ká jo akelá málik hai, aur hamáre Khudáwand Yisú' Masíh ká inkár karte hain. 5 Main cháhtá hún, ki tumhen wuh bát, jise tum ek bár ján chuke ho, yád diláún, ki Khudawand ne qaum ko zamín i Misr se bacháyá; phir unhen jo ímán na láe, halák kiya.

6 Aur un firishton ko, jinhon ne apne auwal darja ko nigáh na rakhá, balki apne kháss maqám

[ocr errors]

ko chhor diyá, us ne sazá kí abadí zanjir men tariki ke andar roz

i'azím kí 'adálat tak rakhá.

7 Isí tarah Sadúm aur 'Amúrah aur un ke ird gird ke shahr, jinhon ne un kí mánind ziná kiya, aur jism i harám ká píchhá kiyá, hamesha kí ág ke 'azáb men giriftár hoke namúna bane rahte hain.

8 Isí tarah ye khwáb-dekhnewále bhí jism ko nápák karte, aur hukúmat ko náchíž jánte, aur martaba-wálon par ta'na karte hain.

9 Jab Míkáel ne, jo buzurg firishta hai, Shaitán se takrár karke Músá kí lásh kí bábat bahs kí, tab us ne jur,at na kí, ki la'n ta'n karke use ilzám de, balki kahá, ki Khudáwand tujhe malámat kare.

10 Lekin we jin chízon ko nahín jánte, un par ta'na karte hain; aur jin ko be-'aql janwaron kí tarah ba zát jánte hain, un men áp ko kharáb karte hain.

11 Afsos un par! kyúnki we Qáin kí ráh par chale, aur Bala'ám kí gumráhí men mazdúrí ke liye bah gaye, aur Qurah kí sí mukhálafat men halák húe.

12 Ye tumhárí muhabbat kí zi

yáfaton men dúbí húí chaṭán | ko yád rakho, jo hamáre Khudáhain; we tumhare sáth kháte waqt wand Yisú' Masíh ke rasulon ne be-dharak apná pet bhar lete hain: áge kahín; we khushk bádal hain, jinhen hawáen har taraf urá le játín: we murjháe húe darakht hain, jin ká phal nahín, do bár mare, aur ukháre gaye hain:

13 Ye samundar kí tund lahren hain, jo apní be-sharmí ká phen phenkte hain: bhaṭaknewále sitáre hain, jin ke liye táríkí kí siyáhí hamesha ko dharí hai. 14 Hanúk ne, jo Ádam kí sátwín pusht thá, un kí bábat peshíngoí kí, ki, Dekh, Khudáwand apne lákhon muqaddason ke sáth átá hai,

15 Táki sabhon par hukm kare, aur un sab ko, jo un men bedín hain, un kí be-díní ke sab kámon par jo unhon ne be-díní se kiye, aur sárí sakht báton par jo be-dín gunahgáron ne us kí mukhálafat men kahí hain, ilzám de.

18 Ki unhon ne tumhen khabar dí, ki ákhirí zamáne men thatthekarnewále honge, jo apní be-díní kí burí khwahishon par chalenge. 19 Ye wuhí hain, jo apne taín alag karte hain; ye nafsání log hain, aur Rúh un men nahín.

20 Par, ai piyáro, tum apne páktarín ímán ká ghar banákar, Rúh i Pák se du'á mángte húe,

21 Apne taín Khudá kí muhabbat men mahfiz rakho, aur hamesha kí zindagi ke liye Khudáwand Yisú' Masíh kí rahmat ke

muntazir raho.

22 Aur imtiyáz karke ba'zon par rahm karo:

23 Aur ba'zon ko dar ke sáth ág men se nikálke bacháo: aur poshák se bhí jo jism se dágí húí 'adáwat rakho.

24 Ab us ke liye, jo tum ko girne se bachá saktá, aur apne 16 Ye gila aur shakwa karne-jalál ke huzúr kámil khushí se wále hain, jo apní burí khwáh- tumhen be-'aib khará kar saktá ishon ke muwáfiq chalte, aur zu- hai, bán se bará bol bolte, aur naf❞a ke liye logon kí khushámad karte hain.

17 Lekin, piyáro, tum in báton

25 Jo Khudá e wáhid, hakím, aur hamárá Bachánewálá hai, jalál, aur buzurgí, aur qudrat, aur ikhtiyár ab se abad tak howe. Ámín.

YUHANNA KE MUKÁSHAFÁT KÍ KITÁB.

I BÁB.

kháwe: aur us ne apne firishta ko bhejkar us kí ma'rifat apne

YISG' Masih ká mukáshafa, banda Yuhanná par záhir kiyá: jo Khudá ne use bakhshá, táki apne bandon ko we báten, jin ka jald honá zarúr hai, di

2 Jis ne Khudá ke kalám aur Yisú' Masih kí gawáhí par, jo kuchh us ne dekha, gawáhí dí.

3 Mubarak wuh jo is nubúwat | ki yih kis kí áwáz hai, jo mujhe ká kalám parhtá hai, aur we jo kahti hai. Aur phirkar sone ke sunte hain, aur un báton par jo is | sát sham’adán dekhe ; men likhí hain 'amal karte hain; kyunki waqt nazdík hai.

4

[ocr errors]

UHANNÁ un sát kalísiyon ko jo Asia men hain: Fazl, aur salámatí tumhen ho, us kí taraf se jo hai, aur tha, aur ánewálá hai: aur un sát Rúhon kí taraf se, jo us ke takht ke huzúr hain;

5 Aur Yisú' Masíh kí taraf se, jo sachchá gawáh, aur un men jo marke jí uthe palauțhá, aur dunyá ke bádsháhon ká sultan hai. Usí ko jis ne ham ko piyár kiyá, aur apne lahú se hamáre gunáh dho dále,

6 Aur ham ko bádsháh aur káhin apne Khudá Báp ke banáyá, jalál aur qudrat abad tak isí ko hai. Ámín.

7 Dekho, wuh bádalon par átá hai; aur har ek ankh us ko dekhegí, aur we bhí jinhon ne use chhedá: aur zamín ke sáre firqa us ke liye chhátí pítenge. Aisá howe, Amín.

8 Khudáwand yún farmátá hai, ki main Alfa aur Omagá, auwal aur ákhir, jo hai, aur thá, aur ánewálá hai, Qádir i mutlaq hún. 9 Main Yuhanná, jo tumhárá bháí, aur Yisú' Masih ke dukh, aur bádsháhat, aur sabr men tumhárá sharík hún, Khudá ke kalám aur Yisứ Masíh kí gawáhí ke wáste us tápú men thá, jo Patmus kahlátá.

10 Main Khudáwand ke din Rúh men á gayá, aur main ne turhí kí sí ek baṛí áwáz apne píchhe suní, jo kahtí thí,

11 Ki Main Alfa aur Omagá, auwal o akhir hún; aur Jo kuchh tú dekhta hai, kitáb men likh, aur sát kalisiyon ke pas jo Asia men, ya'ne, Afasus, aur Smurná, aur Parjamus, aur Túátíra, aur Sardís, aur Filádalfíá, aur Láodíqíá men hain, bhej.

12 Aur main phirá tá ki dekhún

[ocr errors]

13 Aur un sát sham’adánon ke bích ek shakhs Ibn i Adam sá dekhá, jo jáma pahine húe, aur sone ká sínaband sína par bándhe húe thá.

14 Us ká sir o bál sufed ún kí |mánind, balki barf kí mánind sufed; aur us kí ánkhen jaise ág ká shu'ala;

15 Aur us ke pánw khális pítal ke se, jo tanúr men dahkáyá húá ho; aur us kí áwáz baṛe pání kí sí thí.

16 Aur us ke dahne háth men sát sitára the; aur us ke munh se do-dhárí tez talwár nikaltí thí; aur us ká chihra áftáb ká sá thá, jo barí tezí se chamke.

17 Jab main ne use dekhá, tab us ke pánwon par murda sá gir pará. Tab us ne apná dahiná háth mujh par rakhá, aur bolá, ki Mat dar; main auwal o ákhir hún:

18 Aur wuhí hún, jo múá thá, aur zinda hún; aur, dekh, main abad tak zinda hún, Ámín; aur 'álam i gáib aur maut kí kunjíán mujh pás hain.

19 Jo tú ne dekhá, aur jo ahwál hain, aur jo ba'd in ke honewále hain, sab likh rakh ;

20 Un sát sitáron ká jinhen tu ne mere dahine háth men dekhá, aur un sone ke sát sham'adánon ká bhed jo hai. Sát sitára sát kalísiyaon ke firishta hain: aur sát shamadán jo tú ne dekhe, sát kalísiyáen hain.

[blocks in formation]

hín saktá, jántá hún; aur tú ne | do-dhárí talwár rakhta hai, kahtá un ke taín jo áp ko rasul kahte, | hai; aur nahin hain, ázmáyá, aur unhen jhúṭhá páyá:

3 Aur tú ne bardásht kí, aur sabr rakhtá hai, aur mere nám ke waste mihnat kí, aur thak nahín gayá.

4 Magar tujh se mujhe kuchh gila hai, ki tú ne apní aglí muhabbat chhor dí.

5 So yád kar, ki tú kahán se girá hai, aur tauba kar, aur apne agle kám kiyá kar: nahín to main tujh pás jald ánewálá hún; aur agar tú tauba na kare, to main tere sham'adán ko us kí jagah se dúr kar dúngá.

6 Par tujh men yih ek bát hai, | ki tú Niqulátíon ke kámon se 'adáwat rakhta hai, jin se main bhí 'adáwat rakhtá hún.

7 Jis ká kán hai, sune, ki Rúh kalísiyaon ko kya kahtí hai: Main us ko jo gálib hota hai, zindagi ke darakht se, jo Khudá ke firdaus ke bích o bích hai, phal kháne dúngá.

8 Aur Smurná kí kalísiye ke firishta ko yún likh; ki Wuh jo auwal o akhir hai, aur múá thá, aur jiya hai, yih báten kahtá hai; ki

9 Main tere kám, aur musíbat, aur muhtájí ko jántá hún, (par tú daulatmand hai) aur un ke la'n ta'n ko bhí, jo áp ko Yahúdí kahte, par nahin hain, balki Shaitán kí jama'at hain.

10 Jo aziyaten tujh par honewálí hain, un men kisí se khauf na rakh: dekho, Shaitán tum men se kaí ek ko qaid men dálegá, ki tum ázmáe jáo; aur tum das din tak musíbat utháoge: par marne tak ímándár rahiyo, to main zindagí ká táj tujhe dúngá.

11 Jis ka kán hai, sune, ki Rúh kalísiyaon ko kya kahtí hai: Jo gálib hota hai, dúsrí maut se nuqsán na utháwegá.

12 Aur Parjamus kí kalísiye ke firishta ko yun likh; Wuh jo tez

13 Ki Main tere kámon ko, aur tere rahne kí jagah, jahán Shaitán ká takht hai, jántá hún: aur tú mere nám ko thámbe rahtá hai, aur jin dinon ki Antipás merá ímándár gawáh tumhare bích, wahan jahán Shaitán rahtá hai, márá gayá, un dinon men bhí mere ímán ká tú ne inkár na kiya.

14 Lekin mujhe tujh se kuchh gila hai, ki tere yahan we hain, jo Bala'ám kí ta'lim ko ikhtiyar karte hain, jis ne Balaq ko sikháyá, ki baní Israel ke áge thokar khilánewálá patthar rakhe, táki we buton kí qurbán án kháwen,

aur harámkárí karen.

15 Aur tere yahan aise bhí hain, jo Niqulátíon kí ta'lím ko ikhtiyár karte hain, jis se main 'adáwat rakhtá hún.

16 Tauba kar; nahín to, main tujh pás jald ánewálá hún, aur main un ke sath apne munh kí talwár se laṛúngá.

17 Jis ká kán hai, sune, ki Rúh kalísiyaon ko kya kahtí hai: Jo gálib hota hai, main use poshída mann kháne dúngá, aur main use ek sufed patthar dúngá, aur us patthar par ek nayá nám likhá hai, jise us ke pánewále ke siwá koí nahín jántá.

18 Aur Túátíra kí kalísiye ke firishta ko yun likh; ki Khudá ká Betá, jis kí ánkhen ág ke shu'ala kí mánind hain, aur us ke pánw khális pítal ke se, yún kahta hai;

19 Ki Main tere kám, aur muhabbat, aur khidmat, aur ímán, aur sabr ko jántá hún; aur yih ki tere pichhle kám agle kámon se ziyada hain.

20 Par mujhe tujh se kuchh gila hai, ki tú us randí Ízabil ko, jo apne taín nabiya kahti hai, mere bandon ko sikhláne, aur gumráh karne detá hai, tá ki we harámkárí karen, aur buton par kí qurbáníán kháwen.

21 Aur main ne us ko fursat dí, ki apní harámkárí se tauba kare; par us ne tauba na kí.

22 Dekh, ki main us ko ek bistar par dálúngá, aur un ko jo us ke sath ziná karte hain barí musíbat men, agar we apne kámon se tauba na karen.

23 Aur us ke farzandon ko ján se márúngá; aur sárí kalísiyon ko maʼlúm hogá, ki main wuhí hún, jo dilon aur gurdon ká jánchnewálá hún aur main tum men se har ek ko us ke kámon ke muwáfiq badlá dúngá.

24 Par tumhen aur Túátíra ke báqí logon ko, jitne us ta'lím ko qabul nahin karte, aur jinhon ne Shaitán kí gahrí báton ko, jaisá we kahte hain, nahín jáná, yih kahtá hún, ki main aur kuchh bojh tum par na dálúngá.

25 Magar jo tum pás hai, use thámbe raho, jab tak ki main áún.

26 Aur wuh jo gálib hotá, aur mere kámon par akhir tak 'amal karta hai, main use qaumon par ikhtiyár dúngá:

27 Aur wuh lohe ke 'asá se un par hukúmat karegá, ki we kumhár ke bartanon kí mánind chaknáchúr ho jáenge; jaise main ne bhí apne Báp se payá hai.

28 Aur main use subh ká sitára dúngá.

29 Jis ká kán hai, sune, ki Rúh kalísiyaon ko kya kahtí hai.

[blocks in formation]

3 Is waste yád kar, ki tú ne kis tarah páya aur suná, aur thám rakh, aur tauba kar. Pas agar tú jágtá na rahe, to main tujh pás chor kí tarah áúngá, aur tujh ko hargiz ma'lúm na hogá, ki kis gharí tujh pás áúngá.

4 Sardís men bhí tere kaí ek nám hain, jinhon ne apní poshák álúda nahín kí; we sufed poshák pahinke mere sáth sair karenge, ki we is láiq hain.

5 Jo gálib hotá, use sufed poshák pahináí jáegí, aur main us ká nám zindagi ke daftar se na kátúngá, balki apne Báp aur us ke firishton ke áge us ke nám ká iqrár karúngá.

6 Jis ká kán hai, sune, ki Rúh kalísiyáon se kya kahtí hai.

7 Aur Filádalfíá kí kalísiye ke firishta ko yún likh; ki Wuh jo muqaddas aur bar-haqq hai, aur Dáúd kí kunjí rakhtá, wuh jo kholta hai, aur koí band nahín kartá, wuh jo band karta hai, aur koí nahín kholtá, yih kahtá hai :

8 Ki Main tere kámon ko jántá hún; dekh, main ne tere áge ek khulá darwáza rakhá hai, jise koí band nahin kar saktá; kyúnki tujh men thoṛá sá zor hai, aur tú ne mere kalám par 'amal kiya hai, aur mere nám ká inkár nahín kiya.

9 Dekh, jo ki apne taín Yahúdí kahte, aur nahin hain, balki jhúth bolte, main unhen Shaitán kí jamá'at banátá hún : dekh, main un ke sáth aisá karúngá, ki we áke tere pánwon par sijda karen, aur jánen, ki main ne tujh se muhabbat rakhí.

10 Is liye ki tú ne mere sabr kí bát kí hifázat kí, main bhí us imtihán kí gharí se jo tamam ’álam men zamín ke rahnewálon kí ázmáish ke liye átí hai, terí hifazat karúngá.

11 Dekh, main jald átá hún: jo terá hai, use thámbh rakh, ki koí terá táj na le.

12 Main use jo gálib hota hai,

« ÎnapoiContinuă »