Imagini ale paginilor
PDF
ePub

ho.

masah payá, aur sab kuchh jánte | honge: par ham jánte hain, ki jab wuh záhir hogá, ham to us kí mánind honge; kyúnki ham use jaisa wuh hai waisá dekhenge. 3 Aur jo koí us se yih ummed rakhta hai, wuh apne taín, jaisá wuh pák hai, waisá hí pák kartá hai.

21 Main ne tum ko na is waste likhá, ki tum sach ko nahín jánte; par is liye ki tum use jánte ho, aur yih, ki koí jhúth sach men se nahin hai.

22 Kaun jhúṭhá hai, magar wuh jo inkár karta hai, ki Yisú' wuh Masih nahin? jo Báp aur Bete ká inkár karta hai, wuhí Masíh ká mukhálif hai.

23 Jo koi Bete ká inkár kartá hai, so Báp ko nahín mántá.

24 Isí waste jo tum ne shurú' se suná hai, wuhí tum men base. Agar wuh jo tum ne shurú' se suná hai, tum men rahe, to tum bhí Bețe aur Báp men rahoge. 25 Aur yihi wa'da hai, jo us ne ham se kiya, ya'ne, hamesha kí zindagí ká.

26 Main ne ye báten tum ko un kí bábat jo tumhen fareb dete hain likhín.

27 Jo masah tum ne us se páyá tum men rahta hai, aur tum is ke muhtáj nahín ki koí tumhen sikháwe; balki jaisá wuh masah tumhen sab baten sikhátá hai, aur sach hai, jhúth nahín, aur jaisá us ne tumhen sikháyá, waise tum us men raho.

28 Ab, ai bachcho, tum us men raho, táki jab wuh záhir howe, to ham be-parwá hon, aur us ke áte waqt us ke áge sharminda na howen.

29 Agar jante ho ki wuh rástbáz hai, to jánte ho ki har ek shakhs, jo rástbází kartá hai, us se paidá hứa hai.

1

III BÁB.

|

4 Jo koí gunáh karta hai, so khilaf i shar'a karta hai; kyúnki gunáh khiláf i shar'a hai.

5 Aur tum yih jánte ho, ki wuh záhir húá, táki hamáre gunáhon ko uṭhá le jáwe; aur us men gunáh nahín.

6 Jo koí us men bastá hai, gunáh nahín kartá; jo koí gunáh kiyá karta hai, us ne use na dekhá, aur na jáná.

7 Ai bachcho, tumhen koí fareb dene na páwe; jo koí rástbází kiyá karta hai, so rástbáz hai, jaisá wuh rástbáz hai,

8 Jo koí gunáh kiyá karta hai, so Shaitán ká hai; ki Shaitán shuru' se gunahgár hai. Khudá ká Betá is liye záhir húá, ki Shaitán ke kámon ko nest kare.

9 Jo koí Khudá se paidá húa hai, gunáh nahin kiyá kartá; kyúnki us ká tukhm us men rahta hai, aur wuh gunáh kar nahín saktá; kyúnki Khudá se paidá húá hai.

10 Isí se Khudá ke farzand aur Shaitan ke farzand záhir hain; jo koí rástbází kiyá nahín kartá, aur wuh jo apne bháí se muhabbat nahín rakhtá, Khudá ká nahín.

11 Kyunki wuh khabar jo ham ne shuru' se suní, yihí hai, ki ham ápas men muhabbat rakhen.

12 Qáin ke mánind nahín, jo us sharír ká thá, aur apne bháí ko qatl kiya. Aur us ne kyún use qatl kiyá? Is wáste ki us ke kám

DEKHO, kaisi muhabbat bure the, aur us ke bháí ke kám Báp ne ham se kí, ki |

Khudá ke farzand kahláwen; is wáste dunyá ham ko nahín jántí, ki us ne us ko nahín jáná.

2 Piyáro, ab ham Khudá ke farzand hain; aur yih to ab tak záhir nahín hotá, ki ham kyá kuchh

13 Mere bháío, agar dunyá tum se dushmaní kare, ta'ajjub na karo. 14 Ham to jante hain, ki ham maut se guzarke zindagí men áe, kyúnki ham bháíon se muhabbat rakhte hain. Jo apne bháí se

muhabbat nahín rakhtá, so maut men rahta hai.

15 Jo koí apne bháí se dushmaní rakhta hai, khúní hai: aur tum jánte ho, ki kisí khúní men hayát i abadí nahín bastí.

16 Ham ne is se muhabbat ko jáná, ki us ne hamáre waste apní ján somp dí; aur lázim hai, ki ham bhí bháíon ke wáste apní ján dewen.

17 Par jis kisí pás dunyá ká mál ho, aur wuh apne bháí ko muhtáj dekhe, aur apne taín rahm se báz rakhe, to Khudá kí muhabbat us men kyúnkar bastí hai?

18 Mere bachcho, cháhiye ki ham kalam aur zubán se nahín, balki kám aur sacháí se muhabbat rakhen.

19 Aur is se ham jante hain, ki ham sacháí ke hain, aur us ke áge apní khátir-jam'aí karenge. 20 Kyúnki agar hamárá dil hamen ilzám de, Khudá to hamáre dil se bará hai, aur sab kuchh jántá hai.

21 Piyáro, agar hamárá dil hamen ilzám na de, to ham Khudá ke huzúr be-parwá hain.

22 Aur jo kuchh ham mángte, us se páte hain; kyúnki ham us ke hukmon par 'amal karte, aur jo kuchh use khush átá bajá láte hain.

23 Aur us ká hukm yih hai, ki Ham us ke Bețe Yisu' Masih ke nám par ímán láwen, aur jaisá us ne ham ko hukm diyá, ham ápas men muhabbat rakhen.

24 Aur jo us ke hukmon par 'amal karta hai, yih us men, aur wuh is men rahta hai. Aur us se, ya'ne, Rúh se jo us ne hamen dí hai, ham jante hain, ki wuh ham men rahta hai.

1

I

IV BÁB.

| bahut se jhúthe paigambar dunyá men áe hain.

2 Tum is se Khudá kí Rúh ko jánte ho ki Jo rúh iqrár kartí hai, ki Yisú' Masíh jism men záhir húá, wuh Khudá kí taraf se hai:

3 Aur jo rúh iqrár nahín kartí, ki Yisú' Masíh jism men áyá, Khudá kí taraf se nahín: yihí Masíh kí mukhálif hai, jis kí khabar tum ne suní, ki átí hai, aur wuh ab dunyá men á chukí.

4 Ai bachcho, tum to Khudá ke ho, aur un par gálib húe ho; kyúnki jo tum men hai, so us se jo dunyá men hai bará hai.

5 We dunya ke hain: is wáste dunyá kí bolte hain, aur dunyá un kí suntí hai

6 Ham Khudá ke hain: jo Khudá ko pahchántá hai, hamarí suntá hai; jo Khudá ká nahín, hamárí nahín suntá hai. Isí se ham sacháí kí rúh, aur gumráhí kí rúh kí pahchán lete hain.

7 Piyáro, áo, ham ek dúsre se muhabbat rakhen: kyúnki muhabbat Khudá se hai; aur jo muhabbat rakhta hai, wuh Khudá se paidá húá hai, aur Khuda ko pahchántá hai.

8 Jis men muhabbat nahín, so Khudá ko nahín jántá; kyúnki Khudá muhabbat hai.

9 Khudá kí muhabbat jo ham se hai, is se záhir húí, ki Khudá ne apne iklaute Bete ko dunyá men bhejá, táki ham us ke sabab se zindagí páwen.

10 Muhabbat is men nahín, ki ham ne Khudá se muhabbat rakhí, balki is men hai, ki us ne ham se muhabbat rakhí aur apne Bete ko bhejá, ki hamáre gunáhon ká kafara howe.

11 Piyáro, jab ki Khudá ne ham se aisí muhabbat rakhí, to lázim hai, ki ham bhí ek ek se muhab

A piyáro, tum har ek rúh bat rakhen.

ko yaqin na karo, balki rúhon ko ázmáo, ki we Khudá kí taraf se hain, ki nahín: kyúnki

12 Kisí ne Khudá ko kabhí nahín dekhá. Agar ham ek dúsre se muhabbat rakhen, to Khudá

ham men rahtá hai, aur us kí
muhabbat ham men kámil húí.
13 Ham isí se jante hain, ki ham
us men rahte hain, aur wuh ham
men, ki us ne apní Rúh men se
hamen diyá.

14 Aur ham ne dekhá hai, aur gawáhí dete hain, ki Báp ne Bete ko, jo dunyá ká Bachánewálá hai, bhejá.

15 Jo koí iqrár kare, ki Yisú' Khudá ká Betá hai, Khudá us men aur wuh Khudá men rahtá hai.

16 Aur ham ne Khudá kí muhabbat ko jo ham se hai jáná, aur us par i'atiqád kiyá. Khudá muhabbat hai; aur wuh jo muhabbat men rahta hai, Khudá men rahtá hai, aur Khudá us men.

17 Is se muhabbat ham men kámil hotí hai, ki ham 'adálat ke din be-parwá rahen; kyúnki jaisá wuh hai, waise hí ham is dunyá men hain.

18 Muhabbat men dahshat nahín, balki kámil muhabbat dahshat ko nikál detí hai: kyúnki dahshat men 'azáb hai. Wuh jo darta hai, muhabbat men kámil nahín húa.

19 Ham us se muhabbat rakhte hain, kyúnki pahile us ne ham se muhabbat rakhí.

20 Agar koí kahe, ki Main Khudá se muhabbat rakhtá hún, aur apne bháí se dushmaní rakhe, jhúṭhá hai; kyúnki agar wuh apne bháí se, jis ko us ne dekhá, muhabbat nahín rakhta hai, to Khudá se, jis ko us ne nahín dekhá, kyúnkar muhabbat rakh saktá hai?

21 Aur ham ne us se yih hukm payá hai, ki Jo koí Khudá se muhabbat rakhta hai, so apne bháí se bhí muhabbat rakhe.

V BÁB.

|

se bhí jo us se paidá húá hai muhabbat rakhta hai.

2 Jab ham Khudá se muhabbat rakhte hain, aur us ke hukmon par 'amal karte hain, to is se jánte hain, ki ham Khudá ke farzandon se bhí muhabbat rakhte hain, 3 Kyúnki Khudá kí muhabbat yih hai, ki ham us ke hukmon par 'amal karen; aur us ke hukm bhárí nahín.

4 Jo ki Khudá se paidá húá hai dunyá par gálib hota hai: aur wuh galba, jis se ham dunyá par gálib áte hain, hamárá ímán hai. 5 Kaun hai jo dunya par gálib hai, magar wuhí jo ímán láta hai, ki Yisú Khudá ká Bețá hai?

6 Yih wuhí hai, jo pání aur lahú ke sáth áyá, ya'ne, Yisú' Masíh, jo na faqat pání se, balki pání aur lahú ke sáth áyá. Aur Rúh wuh hai, jo gawáhí detí hai; kyúnki Rúh bar-haqq hai.

7 Ki tín hain, jo ásmán par gawáhí dete hain, Báp, aur Kalam, aur Rúh i Quds: aur ye tínon ek hain.

8 Aur tín hain, jo zamín par gawáhí dete hain, rúh, aur pání, aur lahú: aur ye tínon ek par muttafiq hain.

9 Agar ham ádmíon kí gawáhí qabul karen, to Khuda kí gawáhí us se barí hai; kyúnki Khudá kí gawáhí yihí hai, jo us ne apne Bete ke haqq men dí.

10 Jo ki Khudá ke Bete par ímán látá hai, gawáhí áp men rakhta hai: jo Khuda par ímán nahín látá, us ne us ko jhúthá kiyá kyúnki us ne us gawáhí ko, jo Khudá ne apne Bete ke haqq men dí hai, yaqín nahín kiya.

11 Aur wuh gawáhí yih hai, ki Khudá ne hamen hamesha kí zindagi bakhshí, aur yih zindagí us ke Bete men hai.

IJO koí ímán látá hai, ki Yisú Manila baai, o hai: wuhí Masíh hai, so Khudá se paidá húa hai: aur jo koí Báp se muhabbat rakhta hai, wuh us

12 Jis ke sáth Beta hai, us ke sáth zindagi hai jis ke sath Khudá ká Beta nahín, us ke sáth zindagí nahín.

13 Main ne tum ko, jo Khudá ke Bete ke nám par ímán láe ho, yih báten likhín, táki jáno, ki hamesha kí zindagí tumháre liye hai, aur Khudá ke Bețe ke nám par ímán láo.

14 Aur hamárí dilerí jo us ke áge hai so yihí hai, ki agar ham us kí marzí ke muwáfiq kuchh mángen, wuh hamárí suntá hai : 15 Aur agar ham jánte hain, ki jo kuchh ham us se mángte hain, wuh hamárí suntá hai, to ham jánte ki jo kuchh ham ne us se mángá thá, so ham páte hain.

16 Agar koí apne bháí ko dekhe, ki ek gunáh karta hai, jo maut tak nahin pahunchátá, to wuh mánge, aur use zindagí bakhshí jáegí; yih un ke haqq men hai, jo aisá gunáh nahín karte, jo maut tak pahunchátá ho. Aisa gunáh hai, jo maut tak pahunchátá hai ;

[merged small][ocr errors]

main nahín kahtá, ki wuh us ke liye suwál kare.

17 Har ek ná-rástí gunáh hai : par aisá gunáh hai, jo maut tak nahín pahunchátá.

18 Ham jante hain, ki jo koí Khudá se paidá húá hai, gunáh nahín kartá; balki wuh jo Khudá se paidá húá hai, apní hifazat kartá hai, aur wuh sharír us ko nahín chhútá

19 Ham jante hain, ki ham Khudá se hain, aur ki sárí dunyá buráí men parí rahtí hai.

20 Ham jante hain, ki Khudá ká Bețá áyá, aur hamen yih samajh bakhshí, ki us ko jo haqq hai jánen, aur ham us men, jo haqq hai, rahte hain, ya'ne, Yisu' Masih men, jo us ká Beta hai. Khudá e barhaqq, aur hamesha kí zindagí yih hai.

21 Mere bachcho, tum buton se áp ko bacháe rakho. Ámín.

YUHANNÁ KÁ DÚSRÁ KHATT.

[merged small][ocr errors][merged small]

main ne tere farzandon men se kaí ek ko us hukm ke mutabiq, jo ham ko Báp se milá, sacháí se chalte páyá.

5 Aur ab, ai bíbí, main tujh ko koí nayá hukm nahín, balki wuhí jo ham shurú' se rakhte hain, likhkar tujh se 'arz kartá hún, ki ham ek ek ko piyár karen.

6 Aur muhabbat yihí hai, ki ham us ke hukmon par chalen. Yih wuhí hukm hai, jaisá tum ne shuru' se suná hai, ki tum us par chalo.

7 Kyúnki bahut se dagábáz dun

yá men záhir húe, jo iqrár nahín | ghar men áne na do, aur use salám karte, ki Yisú' Masíh jism men áyá. na karo: Dagábáz aur Masíh ká mukhalif yihi hai.

8 Khabardár raho, táki jo kám ham ne kiye hain kho na den, balki púrá badlá páwen.

9 Jo koí 'udúl karta hai, aur Masih kí ta'lim men nahín rahtá, Khudá us ká nahín. Jo Masíh kí talím men rahtá hai, Báp aur Betá us ke hain.

10 Agar koí tumháre pás áwe, aur yih ta'lím na láwe, to use

11 Kyúnki jo koí use salám karta hai, us ke bure kámon men sharík hotá hai.

12 Mujhe bahut sí báten tumhen likhní hai; par main ne na cháhá, ki kágaz aur siyahí se likhún; lekin ummedwár hún, ki tum pás áún, aur rúbarú kahún, táki hamárí khushí kámil ho. 13 Terí barguzída bahin ke larke tujhe salám kahte hain. Ámín.

YUHANNÁ KÁ TISRÁ KHATT.

1

Q

8 Is liye lázim hai, ki ham aison ko qabul karen, táki ham sacháí men un ke ham-khidmat howen.

ISSÍS kí taraf se piyáre | nikle, aur gairqaumon se kuchh Gaiús ko, jis ko main nahín liya. sacháí men piyár kartá hún. 2 Ai piyare, main yih du'á mángtá hún, ki jis tarah terí ján khairiyat ke sath hai, tú sab báton men khairiyat ke sath aur tandurust rahe.

3 Kyúnki jab bháíon ne ákar terí sacháí par gawáhí dí, jaisá tú sacháí men chalta hai, to main niháyat khush húá.

4 Mere liye is se barí koí khushí nahín, ki main sunún, ki mere farzand sacháí men chalte hain.

5 Ai piyáre, jo kuchh tú bhaíon aur musáfiron se karta hai, so ímándárí ke láiq hai;

6 Jinhon ne kalísiye ke áge terí muhabbat par gawáhí dí: tú achchhá karegá, agar unhen us tarah par, jo Khudá ke bandon ko láiq hai, áge bheje:

7 Kyunki we us ke nám ke wáste

9 Main ne kalísiye ko likha hai; magar Diutrafes jo un men auwal darja cháhtá hai, hamen qabúl nahin kartá.

10 So jab main áúngá, to main us ke kámon ko, jo wuh karta hai, yád karúngá, ki hamáre haqq men burí báten baktá hai: aur is par bhí kifáyat na karke bháíon ko áp qabúl nahín kartá, aur auron ko, jo qabúl kiyá cháhte hain, roktá hai, aur kalísiye se nikál detá.

11 Ai piyáre, badí ke pairau mat ho, balki nekí ke: wuh jo nekí karta hai, Khudá ká hai; magar us ne, jo badí kartá hai, Khudá ko nahín dekhá.

12 Dimetriús ke haqq men sab nc, aur sacháí ne bhí gawáhí dí

« ÎnapoiContinuă »