Imagini ale paginilor
PDF
ePub

chha mahínon tak zamín par pání na pará.

18 Aur us ne phir du'á kí, to ásmán ne pání barsáyá, aur zamín apne phal ugá láí.

19 Ai bháío, jo tum men se koí sacháí kí ráh se gum

ráh howe, aur koí us ko phiráwe;

20 Wuh yih ma'lúm kare, ki jo koí ek gunahgár ko us kí gumráhí kí ráh se phirátá hai, to ek ján ko maut se bachawegá, aur bahut gunáhon ko chhipáwegá.

PATRAS KÁ PAHILÁ KHATT.

1

PA

I BÁB.

ATRAS kí taraf se, jo Yisú' Masíh ká rasúl hai,

zarúrat, tarah tarah kí ázmáishon se gam men pare ho:

7 Táki tumháre ímán kí ázmáish jo fání sone se, jo ki wuh ág men un musáfiron ko jo Puntus, Gala-táyá bhí jáe, kitná hí beshqímat tiya, Kappadúkiya, Asia aur Bi-hai, Yisú' Masih ke záhir hone ke túniya ke mulk men tittar bittar din ta'rif aur 'izzat aur jalál ke húe, láiq páí jáwe:

2 Jo Khudá Báp ke ’ilm i qadím ke muwáfiq chune húe hain, táki Rúh kí pák tásír se farmánbardár hon, aur Yisứ Masíh ká khún un par chhirká jáwe; Fazl aur salámatí tumháre liye ziyada hotí jáe. 3 Hamáre Khudawand Yisú' Masíh ká Khudá aur Báp mubárak ho, jis ne ham ko apní barí rahmat se Yisú' Masih ke murdon men se jí uthne ke bá'is, zinda ummed ke liye sar i nau paidá kiyá,

4 Táki ham wuh mírás pawen, jo be-zawál hai, aur álúda aur pazhmurda nahín, jo hamáre liye asmán par rakhí gayí:

5 Aur ham ímán ke wasile | Khudá kí qudrat se us naját tak, jo akhiri waqt men záhir hone ko taiyár hai, mahfúz rahte hain; 6 Jis men tum bahut khush ho, agarchi bilfi'al, chand roz, ba

|

|

8 Use to bin-dekhe tum piyár karte ho; aur báwujude ki tum ab us ko nahín dekhte, magar us par ímán láke aisí khushi o khurramí karte ho, jo bayán se báhar aur jalál se bharí hai: 9 Aur apne ímán kí garaz, ya’ne, jánon kí naját, hásil karte ho.

10 Isí naját kí bábat un nabíon ne talásh aur tahqiq kí, jinhon ne us ni'amat kí peshíngoí kí, jo tum par záhir hone ko thí :

11 We us kí tahqíq men the, ki Masíh kí Rúh jo un men thí, jab Masih ke dukhon kí aur us ke ba'd us ke jalál kí, áge gawáhí detí thí, kis waqt aur kis tarah ke zamáne ká bayán kartí thí.

12 So un par yih záhir húá, ki we na apní, balki hamárí khidmat ke liye we báten kahte the, jin kí khabar tum ko un kí ma'rifat milí, jinhon ne Rúh i Quds kí

qudrat se jo ásmán se názil húí, tumhen Injil kí khushkhabarí dí; aur in báton ko daryáft karne ke firishta mushtaq hain.

13 Is waste tum apne fahm kí kamar bandhke hoshyárí se us fazl kí kámil ummed rakho, jo Yisú' Masih ke záhir hote waqt tum par názil hogá.

14 Tum farmánbardár farzandon kí mánind un burí khwáhishon ke, jin ke tum nádání ke dinon men giriftár the, hamshakl na bano:

15 Balki jis tarah tumhárá bulánewálá pák hai, apní sab chál men tum pák bano;

16 Kyúnki likhá hai, ki Tum pák bano, ki main pák hún.

17 Aur agar tum Báp ká nám | lo, jo har ek ke kam ke muwáfiq be-tarafdar insaf karta hai, to apní musáfarat ke waqt ko dar ke sath káto:

18 Kyúnki tum yih jante ho, ki tum ne jo apne bápdadon ke behúda dastúron se khalásí páí, so yih kuchh fání chízon, ya'ne, sone rúpe ke sabab se nahín,

19 Balki Masih ke beshqímat lahú ke sabab, jo be-dág aur be'aib barra kí mánind hai;

20 Jo dunyá kí paidáish se peshtar muqarrar húá thá: lekin is ákhirí zamáne men tumháre liye záhir húá.

21 Us ke sabab se tum Khudá par ímán láe, jis ne us ko murdon men se jiláyá, aur jalál bakhshá, táki tumhárá ímán aur bharosá Khudá par howe.

22 So jaisá ki tum ne haqq kí tábi'dárí karke Rúh ke wasíle apne dil ko pák kiya, yahan tak ki tum men bháíon kí be-riyá muhabbat paidá húí, pas pák dil se ek dusre ko bahut piyár karo:

23 Kyúnki tum na tukhm i fání se, balki us sejo gair fání hai, ya'ne, Khudá ke kalám se, jo hamesha zinda aur báqí hai, sar i nau paidá húe.

[ocr errors]

|

24 Kyúnki har ek bashar ghás kí mánind hai, aur ádmí kí sárí shán ghás ke phúl kí mánind. Ghás súkh játí hai, aur phúl jhaṛ játá hai;

25 Lekin Khudáwand ká kalám hamesha rahtá. Yih wuhí kalám hai, jis kí khushkhabarí tumhen dí gayi hai.

II BÁB.

1 TS wáste tum har ek badi, aur har ek dagá, aur makron, aur dáh, aur sárí badgoíon ko chhoṛke,

2 Un bachchon kí mánind jo isí dam paidá húe kalám ke khális dúdh ke mushtaq ho, táki tum us se barhte jáo :

3 Kyúnki tum ne maza hásil kiya, ki Khudáwand mihrbán hai.

Tum us pás áe; wuh ek zinda patthar hai, jise ádmíon ne to nápasand kiya, par Khudá ne use chun liyá, aur qímatí jáná;

5 So tum bhí zinda pattharon kí mánind rúhání ghar bante játe ho, aur káhinon kí muqaddas jama'at húe játe ho, táki rúhání qurbáníán, jo Yisú' Masih ke wasíle Khudá ko pasand hain, guzráno.

6 Is wáste kitáb men bhí mazkúr hai, ki Dekh main ek patthar Saihún men rakh detá hún, jo kone ká sirá, aur chuná húá, aur qímatí hai; aur jo us par ímán láwe, hargiz sharminda na hogá.

7 So wuh tumháre waste, jo ímán láe ho, qímatí hai: par jo ímán na láe, un ke liye wuhí patthar, jise banánewálon ne radd kiyá, kone ká sirá húá,

8 Aur thokar khilánewálá patthar, aur thes dilánewálí chațán húá: so yih we hain, jo sarkash hoke kalám se thokar kháte hain, jis ke liye we muqarrar bhí húe.

9 Lekin tum chuná húa khán dán, bádsháhí kahánat, muqaddas qaum, aur kháss log ho, táki tum us kí khúbíán záhir karo, jis ne

tumhen táríkí se apní 'ajíb roshní men bulává.

10 Tum áge qaum na the, par ab Khudá ki qaum ho; áge tum par rahmat na thí, par ab tum par rahmat húí.

11 Ai piyáro, main tum se yún jaise pardesíon aur musáfiron se minnat kartá hún, ki tum jismání khwahishon se jo ján ke muqábil laṛáí karti hain, parhez karo;

12 Aur apní chalan gair qaumon ke bích nekí ke sath rakho: táki we jo tumhen badkár jánke tumhárí badgoí karte hain, tumháre nek kámon par nazar karke, us din, jab un par nigáh ho, Khudá ká jalál záhir karen.

13 Pas har ek hukúmat ke, jo insán kí taraf se hai, Khudáwand ke liye tabi' raho; bádsháh ke, is liye ki wuh sab se buzurg hai;

14 Aur hákimon ke, is liye ki we us ke bheje húe hain, táki badkáron ko sazá den, aur nekokáron kí ta'rif karen.

15 Kyúnki Khudá kí marzí yún hai, ki tum achchhe 'amal karke ahmaqon kí nádání ká munh band kar rakho:

16 Aur apne taín ázád jáno; par apní ázádí ko badí ká parda na karo, balki áp ko Khuđá ke banda jáno.

17 Sab kí hurmat karo. Bháíon se ulfat rakho. Khudá se daro. Bádshah kí 'izzat karo.

18 Ai chákaro, kamál adab se apne kháwindon ke tabi' raho; na sirf nekon aur halímon ke, balki kaj-mizájon ke bhí.

19 Kyúnki agar koí Khudá par nazar karke be-insáfí se dukh uṭhákar sabr kare, to yih fazílat hai.

20 Ki agar tum ne gunáh karke tamáncha khác, aur sabr kiyá, to | kaun sá fakhr hai? par agar nekí karke dukh páte, aur sabr karte ho, us men Khudá ke nazdík tumhárí fazílat hai.

gaye ho: ki Masíh bhí hamáre wáste dukh páke ek namúna hamáre liye chhor gaya hai, táki tum us ke naqsh i qadam par chale jáo. 22 Ús ne gunáh na kiyá, aur us kí zubán men chhal bal na páyá gaya.

23 Wuh gálíán kháke gálí na detá thá; aur dukh páke dhamkátá na thá; balki apne taín us ke, jo rástí ke sáth insaf kartá hai, supurd kartá thá:

24 Wuh áp hamare gunáhon ko apne badan par uṭháke salíb par charh gayá, táki ham gunáhon ke haqq men marke rástbází men jíen: un koron ke sabab se jo us par pare, tum change húe.

25 Kyúnki tum bhaṭakí húí bheron kí mánind the, par ab apní jánon ke Garariye aur Nigahbán pás phir áe ho.

1

III BÁB.

SÍ tarah, ai 'aurato, tum

[ocr errors]

apne shauharon ke tabi' raho, ki agar kaí ek un men se kalám ko na mánte hon, to we bagair kalám ke apní 'auraton kí chalan se naf'a men milen;

2 Jis waqt tumhárí pák chalan ko, jo khauf ke sath hai, dekhen; 3 Aur tumhárá singár záhirí na ho, jaise sir gúndhna, aur gahná aur tarah tarah ke kapre pahinná; 4 Balki chahiye, ki wuh dil kí poshída insaniyat ho, jo gair-fání hai, ya'ne, halím aur garib mizáj, aur yihí Khudá ke áge beshqímat hai.

5 Isí tarah muqaddas 'auraten bhí jo agle zamáne men Khuda par bharosá rakhtí, áp ko sanwártí, aur apne apne shauharon ke tabi rahtí thín:

6 Chunánchi Sarah Abirahám kí farmánbardárí kartí, aur use khu dáwand kahtí thí: so tum bhí us kí betíán ho, agar nekíán karo, aur kisí khauf se hairán na ho. 7 Waisá hí, ai shauharo, tum bhí 21 Kyúnki tum isí ke liye buláe dánáí se un ke sáth raho, aur 'aurat

konázuk paidáish samajhkar'izzat | pás pahuncháe, ki wuh jism kí do, aur jáno, ki zindagí kí mírás rú se to márá gayá, lekin Rúh se kí ni'amat men tum donon sharík | zinda kiyá gayá:

ho, táki tumhárí du'áen ruk na jáen.

8 Garaz, sab ke sab ek-dil ho; hamdard ho; birádarána muhabbat rakho; rahm-dil aur khushkho hoo:

19 Aur us se un rúhon ke pás jo qaid thín jáke manádí kí:

20 Jo áge ná-farmánbardár thín, jis waqt ki Khudá ká sabr Núh ke dinon, jab kishtí taiyár hotí thí, intizár kartá rahá, jis men thorí 9 Badí ke 'iwaz badí na karo;jánen, ya'ne, áth ádmí, pání se sahíh salámat bach gaye.

gálí ke 'iwaz gálí na do; balki us ke khilaf barakat cháho; ki tum jánte ho, ki tum barakat ke wáris hone ko buláe gaye ho.

10 Jo koí cháhe, ki zindagí se khush ho, aur achchhe dinon ko dekhe, so apní zubán ko badí aur apne honthon ko dagá kí bát bolne se báz rakhe;

se,

11 Badí se kinára kare, aur nekí par 'amal kare; sulh ko dhúndhe, aur us ká píchhá kare.

12 Kyunki Khudáwand kí nigáh rástbázon par, aur us ke kán un kí minnat par hain; par Khudáwand ká chihra badkáron ká mukhálif hai.

13 Aur agar tum nekí kí pairauí kiyá karo, kaun hai jo tum se badí kare?

14 Par agar tum rástbází ke sabab dukh bhí páo, to nekbakht ho, aur un ke daráne se mat daro, aur na ghabrá jáo;

15 Balki Khudáwand Khudá ko apne dilon men muqaddas jáno: aur hamesha musta'idd raho, ki har ek ko, jo tum se us ummed kí bábat jo tumhen hai púchhe, farotaní aur adab se jawab do:

16 Aur dil nek rakho; táki we jo tumhen badkár jánke tum ko burá kahte, aur tumhárí Masíhí achchhí chál par la'n ta'n karte hain, sharminda hon.

17 Kyúnki agar Khudá kí marzí yún hai, ki tum bhalá karke dukh páo, to yih us se bihtar hai, ki burá karke dukh páo.

18 Kyúnki Masih ne bhí ek bár gunáhon ke wáste dukh uṭháyá, ya'ne, rástbáz ne ná-ráston ke liye; táki wuh ham ko Khudá ke

[ocr errors]

21 Us kí mánind baptisma (jo badan ká mail chhuráná nahín, balki nekníyatí se Khudá ko jawab dená hai,) Yisú' Masíh ke jí uṭhne ke wasile ab ham ko bhí bachátá hai:

22 Wuh ásmán par jáke Khudá ke dahine hai, aur firishta, aur ikhtiyár aur qudratwále us ke tabi' hain.

PAS

IV BÁB.

AS jis hál men ki Masíh ne hamáre wáste jism men dukh uṭháyá, to tum bhí usí iráde ke hathyár bándho; kyúnki jis ne jism men dukh uṭháyá, so gunáh se báz rahá;

2 Yahán tak, ki ádmíon kí burí khwahishon ke mutabiq nahín, balki Khudá kí marzí ke muwáfiq jism men apní báqí 'umr káṭtá hai.

3 Is wáste ki hamárí jitní 'umr gairqaumon kí khushi ke muwáfiq kám karne men guzrí, wuhí bas hai, ki tab hí ham hawá o hawas, shahwaton, mai kí mastíon, aubáshíon, sharáb-khwáríon, makrúh butparastíon men waqt káṭte the: 4 Aur we ta'ajjub karte hain, ki tum us shuhdápan kí fazúlí men un ke sath nahín játe, aur badgoí karte hain.

5 We us ko, jo zindon aur murdon ká insáf karne par taiyár hai, hisáb denge.

6 Ki murdon ko bhí Injil is liye sunáí gayí, ki we ádmíon ke áge jism kí ráh se gunahgár thahren, lekin Khudá ke áge rúh se jíwen.

[blocks in formation]

9 Ápas men be kurkuṛáe musáfir-dost raho.

10 Har ek jis qadr us ko ni'amat milí, so use un kí mánind, jo Khudá ke tarah tarah ke fazl ke achchhe khánsámán hain, ek dúsre kí khidmat men kharch kare.

11 Agar koí bole, to wuh Khudá ke kalam ke mutabiq bole; agar koí khidmat kare, to itní kare, jitná use Khudá ne maqdúr diyá hai; táki sab bát men Yisú' Masíh | ke wasíle Khudá ká jalál záhir ho: jalál o qudrat hamesha usí ke liye hai. Ámín.

12 Piyáro, tum us tánewálí ág se, jo ázmáne ke liye tum par áí, ta'ajjub na karo, ki goya tumhárá 'ajab hál húá hai :

13 Balki is sabab se khushí karo, ki tum Masih ke dukhon men sharík ho; táki us ke jalál ke záhir hote waqt tum be-niháyat khush o khurram ho.

14 Agar Masih ke nám ke sabab tum par la'n ta'n ho, to tum mubárak ho; kyúnki jalál kí aur Khudá kí rúh tum par saya kartí hai: we to us par kufr bakte, par tum se us ká jalál záhir hotá hai.

15 Khabardár, aisá na ho, ki tum men se koí khúní, yá chor, yá badkár, yá auron ke kám men dakhl karnewálá hoke dukh páwe.

16 Par agar koí Kristián hone ke sabab se dukh páwe, to na sharmawe, balki is sabab se Khudá ká jalál záhir kare.

17 Kyúnki ab waqt pahunchá hai ki Khudá ke ghar par 'adálat shurú' ho: pas agar ham se shuru' hai, to un ká, jo Khudá kí Injíl ke tábi' nahín, kya anjám hogá?

18 Aur agar rástbáz dushwárí

[ocr errors]
[blocks in formation]

bích hain, main jo un ke sáth qissís aur Masíh kí azíyaton ká gawáh, aur us jalál men jo záhir hogá sharík hún, iltimás kartá hún;

2 Ki tum Khudá ke us galla kí jo tumháre bích hai pásbání karo ; láchárí se nahín, balki khushí se; aur ná-rawá naf'a ke liye nahín, balki dil-khwáhí se nigahbání karo;

3 Aur Khudáwand kí mírás kí kháwindí na karo, balki galla ke liye namúna bano.

4 Aur jab sardár Garariyá záhir hogá, tab tum jalál ká aisá hár páoge, jo murjhátá nahín.

5 Isí tarah tum, ai jawáno, qissíson ke tábi' raho. Balki sab ke sab ek dúsre ke tábi' raho, aur farotaní ká libás pahino; kyúnki Khudá magrúron ká sámhná kartá, aur farotanon ko fazl bakhshtá hai.

6 So tum Khudá ke zoráwar háth ke tale dabe raho, táki wuh tumhen waqt par sarfaráz kare: 7 Aur apní sárí fikr us par dál do; kyúnki us ko tumharí fikr hai.

8 Hoshyár aur jágte raho: kyúnki tumhárá mukhálif Shaitan garajnewále babar kí mánind dhúnḍhtá phirtá hai, ki kis ko pháṛ kháwe:

9 Tum ímán men mazbút hoke us ká muqábala karo, aur ján rakho, ki aise hí dukh tumháre bháí jo dunyá men hain uṭháte hain.

10 Ab Khudá jo kamál fazl kartá, jis ne ham ko apne jalál i

« ÎnapoiContinuă »