Imagini ale paginilor
PDF
ePub

3 Par qurbáníán baras baras gunáhon ko yád dilátí hain. 4 Kyunki ho nahín saktá, ki bailon aur bakron ká lahú gunáhon ko mitáwe.

5 Is liye wuh dunyá men áte húe kahta hai, ki Qurbání aur nazr ko tú ne na cháhá, par mere liye ek badan taiyár kiyá :

6 Sokhtaní qurbání aur un qurbáníon se jo gunáh ke liye hain tú rází na húá.

7 Tab main ne kahá, ki Dekh, main átá hún, (merí bábat kitáb ke daftar men likhá hai,) táki, ai Khudá, terí marzí bajá láún.

8 Pahle jab kahá, ki Qurbání, aur nazr, aur sokhtaní qurbání, aur gunah kí qurbání kí khwahish tú ne na rakhí, na un se khush húá, aur yihí qurbáníán shari'at ke muwáfiq guzrání játí hain;

9 Tab us ne kahá, ki Dekh, ai Khudá, main átá hún, ki terí marzí bajá láún. To wuh pahle ko mitátá, táki dúsre ko sábit kare. 10 Usí marzí se ham Yisú' Masíh ke badan ke ek bár guzránne ke sabab pák húe hain.

11 Aur har ek káhin roz roz khidmat karte hue, aur har dam ek hí tarah kí qurbáníán, jo hargiz gunáh mițáne ke qábil nahín hain, guzrántá húá khará rahtá:

12 Lekin yih, jab is ne gunáhon kí ek hí qurbání hamesha ke liye guzrání thí, Khudá ke dahine já baiṭhá;

13 Tab se intizár karta hai, ki us ke dushman us ke pánwon kí chaukí hon.

14 Kyúnki us ne ek hí nazr guzránne se muqaddason ko hamesha ke liye kámil kiya.

15 Aur Rúh i Quds bhí hamáre liye gawáhí detí: kyúnki jab us ne kahá thá,

16 Ki Yih wuh 'ahd hai, jo main in dinon ke ba'd un se bándhúngá, Khudáwand farmátá hai, ki main apní shari'at ko un ke dil men dálúngá, aur un kí samajh men likhúngá;

|

|

17 Aur un ke gunáhon aur un kí nárástíon ko kabhí yád na karúngá.

18 Ab jahán un kí mu'áfí hai, wahán gunáh ke liye phir nazr guzránná nahín.

19 Pas, ai bháío, jab ki ham ne dilerí hásil kí, ki páktarín makán men Yisú' ke lahú se dakhl páwen,

20 Us nayí aur jítí ráh se, jo us ne apne jism ke parda ko phárke hamáre liye taiyár kí;

21 Aur jab ki hamárá Sardár Káhin hai, jo Khudá ke ghar ká mukhtár hai;

22 To áo, sachche dil se, aur kámil ímán ke sáth, aur dil kí burí níyat par chhiṛkáo karke nazdík jáwen, aur apne badan ko sáf pání se dhoke,

23 Apní ummed ke iqrár ko mazbútí se thambhe rahen; (kyúnki wuh jis ne wa'da kiyá sachchá hai ;)

24 Aur ham ek dúsre par liház karen, táki ham ek dúsre ko muhabbat aur nekokárí kí taraf uskáwen:

25 Aur ápas men ikaṭṭhe hone se báz na áwen, jaisá ba'zon ká dastúr hai; balki ek dusre ko nasihat karen; aur yih itná ziyáda, jitná tum dekhte ho ki wuh din nazdík hotá játá hai.

26 Kyúnki agar ba'd us ke, ki ham ne sacháí kí pahchán hásil kí hai, ján bújhke gunáh karen, to phir gunáhon ke liye koí qurbání báqí nahín,

27 Magar 'adálat ká ek haulnák intizár, aur átashí gazab, jo mukhálifon ko khá legá, báqí hai.

28 Jo koí Músá kí sharí'at ko náchíz jántá, to rahmat se khárij hoke do tín kí gawáhí se márá játá thá:

29 Pas khiyál karo, ki wuh shakhs kitní ziyada sazá ke láiq thahregá, jis ne Khuda ke Bete ko pámál kiyá, aur 'ahd ke lahú ko, jis se wuh pák húá, nápák jáná, aur fazl kí Rúh ko zalíl kiya?

30 Kyúnki ham use jante hain, jis ne yih kahá, ki Intiqám lená merá kám hai, Khudáwand farmátá hai, main hí badlá lúngá. Aur phir, Khudáwand apne logon ká insaf karegá.

31 Zinda Khuda ke háthon men parná haulnák hai.

32 Par tum agle dinon ko yád karo, jin men tum ne roshan hoke dukhon kí barí laṛáí kí bardásht kí.

33 Kuchh to is wáste, ki tum la'n ta'n aur musíbaton se angushtnumá húe; aur kuchh is liye, ki tum un ke, jin se yih badsulúkí hotí thí, sharík the.

34 Ki jis waqt main zanjíron men thá, tum mere hamdard húe, aur apne mál ká luț jáná khushí se qabul kiya; yih janke, ki hamáre liye ek bihtar mál ásmán par hai, jo qáim rahegá.

35 Pas tum apní himmat ko mat chhoro, kyúnki us ká bará ajr hai.

36 Tumhen zarúr hai, ki sabr karo, táki tum Khudá kí marzí par 'amal karke wa'de ke phal ĥásil karo.

37 Ki ab thorí sí muddat hai, ki ánewálá áwegá, aur der na karegá.

38 Aur rástbáz ímán se jíegá; lekin agar wuh hate, to merá jí us se rází na hogá.

39 Par ham un men se nahín, jo halákat tak hat játe; balki un men se hain, jo ján bacháne tak ímán rakhte hain.

[blocks in formation]
[ocr errors]

4 Ímán se Hábil ne Qáin se bihtar qurbání Khudá ko guzrání; uší ke sabab us ke rástbáz hone par gawáhí dí gayí, ki Khudá us ki nazron par gawáhí detá hai; aur usí ke sabab us ke marne par bhí ab tak us ká zikr kiyá játá hai.

5 Ímán ke sabab se Hanúk uṭháyá gayá, táki maut ko na dekhe: aur na milá, is liye ki Khudá ne us ko uṭháyá: kyúnki us ke uth jáne se peshtar us par yih gawáhí guzrí, ki us ne Khudá ko rází kiya.

6 Aur bagair ímán ke us ko rází karná mumkin nahín; kyúnki us par jo Khudá kí taraf átá yih zarúr hai, ki yaqin kare, ki wuh maujúd hai, aur yih ki wuh apne dhúnḍhnewálon badlá dêtá hai.

ko

7 Ímán se Núh ne un chízon kí ágáhí páke jo us waqt nazar men na áí thín, khauf se kishtí apne gharáne ke bacháo ke liye banáí, jis se us ne dunyá ko gunahgár thahrává, aur us rástbází ká, jo ímán se miltí hai, wáris húá.

8 Ímán se Abirahám, jab buláyá gayá, farmánbardárí karke us jagah chalá gayá, jise wuh mírás men lene par tha: aur báwujúde ki na jáná ki kidhar játá hai, niklá.

9 Ímán se us ne wa'da kí zamín men yún maqám kiyá, jaise wuh us kí na thí, ki wuh Izhák aur Ya'qúb samet, jo us ke sáth us hí wa'da ke wáris the, khaimon men rahá :

10 Ki wuh aise shahr men jáne ká ummedwár thá, jis kí bunyád hai, jis ká banánewálá aur basánewálá Khuda hai.

11 Ímán se Sarah ne hámila hone kí táqat páí, aur 'umr guzre par janí, is liye ki us ne wa'da karnewále ko sachchá jáná thá.

12 So ek se, wuh bhí jo murda sá thá, ásmán ke sitáron kí aur daryá ke kanáre kí be-shumár ret kí mánind paidá húe.

13 Ye sab ímán men mar gaye, aur wa'don ko na pahunche; par dúr se unhen dekha aur mu'ataqid húe, aur salám ko jhuke, aur iqrár kiyá, ki ham zamín par ajnabí aur musáfir hain.

14 Ki we jo aisí báten kahnewále hain, záhir karte, ki ham ek watan dhúndhte hain.

15 Aur agar us mulk ko, jis se we nikal áe the, phir yád láte, to wahán unhen phir jáne kí fursat thí.

16 Par we ek bihtar mulk ke, jo ásmání hai, mushtaq the; so Khudá un se sharmátá nahín, ki un ká Khudá kahláe; kyúnki us ne un ke liye ek shahr taiyár kiya. 17 Abirahám jab ázmáyá gayá, us ne ímán se Iz,hák ko qurbání ke liye guzráná; aur jis ne wa'don ko páya thá, us ne eklaute ko guzráná,

18 Jis se yih kahá gayá thá, ki Iz,hák hí se terí nasl kahláegí : 19 Kyúnki wuh samjhá, ki Khudá murdon ke jiláne par qádir hai; jahán se us ne us ko tamsíl ke taur par páyá.

20 Ímán se Ìz,hák ne ánewálí chízon kí bábat Ya'qúb aur 'Esau ko du'á dí.

21 Imán se Ya'qúb ne, marte waqt, Yusuf ke donon beton ko du'a dí; aur apne 'asá ká sir thamkar sijda kiya.

22 Ímán se Yusuf ne, jab marne par thá, baní Israel ke nikal jáne ká zikr kiyá, aur apní haḍdíon kí bábat hukm kiya.

23 Ímán se Músá, paidá hote hí, tín mahine tak apne má báp se chhipayá gayá, kyúnki unhon ne dekhá, ki laṛká khúbsúrat hai; aur we badshah ke hukm se na dare.

24 Ímán se Músá ne, siyáná hoke, Fira'ún kí betí ká betá kahláne se inkár kiyá;

25 Ki us ne Khudá ke logon ke sáth dukh uṭháná us se ziyáda pasand kiya, ki gunáh ke sukh ko, jo chandroza hai, hásil kare;

26 Ki us ne Masíhí la'n ta'n ko Misr ke khazánon se baṛí daulat jáná: kyúnki us kí nigáh badlá páne par thí.

27 Imán se us ne bádshah ke gusse se khauf na kháke Misr ko tark kiya, ki wuh andekhe ko goyá dekhke mazbút baná rahá. 28 Imán se us ne fasah karne aur lahú chhirakne par 'amal kiyá, aisá na ho, ki palauṭhon ká halák karnewálá unhen chhúwe.

29 Ímán se we Lál samundar se yún guzre, jaise khushki par se, aur Misrwálon ne, jab us ráh se jáne ká qasd kiyá, dúb gaye.

30 Ímán se Yaríhú kí shahrpanáh, jab use sát din tak gher rakhá thá, gir parí.

31 Ímán sẽ Rahab, jo fáhisha thí, be-ímánon ke sath halák na húí, ki us ne jásúson ko salámat apne ghar men áne diyá.

32 Ab main aur kya kahún? fursat nahín, ki Jida'ún, aur Baraq aur Samsún, aur Iftáh, aur Dáúd, aur Samúel, aur nabíon ká ahwál bayán karún:

33 Ki unhon ne ímán se bádsháhaton ko maglúb kiyá, aur rástí ke kám kiye, aur wa'don ko hásil kiyá, sher babar ke munh band kiye,

34 Ag kí tezí ko bujháyá, talwáron kí dháron se bach nikle, kamzorí men zoráwar húe, laṛáí men bahadur bane, aur gairon kí faujon ko hatá diya.

35 'Auraton ne apne murdon ko jí uṭhe húe páyá: aur ba'ze píțe gaye, aur chhutkárá qabúl na kiyá; táki bihtar qiyamat tak pahunchen:

36 Ba'ze us imtihan men pare, ki thaṭṭhon men uráe gaye; kore khae, aur zanjír aur qaid men phanse.

37 Patthráo kiye gaye, are se chíre gaye, shikanja men khínche gaye, talwar se máre gaye: bheron aur bakríon kí khál orhe húe, tangí men, musíbat men, dukh men máre phire;

38 (Dunyá un ke láiq na thí:) we bayábánon, aur paháron, aur gáron, aur zamín ke garhon men kharáb phirá kiye.

39 Aur ye sab, jin ke ímán par gawáhí dí gayí, wade takna pa- | hunche:

40 Ki Khudá ne peshbíní karke hamáre liye ek bihtar bát thahráí thí, táki we hamáre bagair kámil | na howen.

1

1PA

XII BÁB.

jáe, to tum harámzada họ, farzand nahín.

9 Aur jab we, jo hamáre jismání báp the, tambíh karte the, aur ham ne un kí ta'zím kí; to kyá ham us se ziyáda rúhon ke Báp ke hukm men na rahen, aur jíen? 10 Ki we to thore dinon ke wáste apní samajh ke muwáfiq tambíh karte the; par wuh hạt márí bihtarí ke liye, táki ham us kí pákízagí men sharík howen.

11 Aur koí tambíh bilfi'al khushí ká bá'is nahín nazar átí, balki afAS jab ki gawáhon ke itne agheraus se sos ká: magar ákhir ko unhen jo bare abr ne hamen á gherá us se tarbiyat páte hain, rástbází hai, to ham har ek bojh aur uljhá- ká phal chain ke sáth bakhshtí newále gunáh ko utárke, bar- hai. dásht ke sáth us daur men, jo hamáre sámhne á parí hai, daur

en.

2 Aur Yisú ko jo ímán ká shurú' aur kámil karnewálá hai, takte rahen, jis ne us khushí ke liye, jo us ke sámhne thí, sharmindagi ko náchíz jánke salíb ko sahá, aur Khudá ke takht ke dahine já baithá.

3 Tum us par gaur karo, jis ne gunahgáron kí itní barí mukhálafat kí bardasht kí; tá na ho ki tum pareshán i khátir hoke sust ho jáo.

4 Tum ne gunáh ke muqábale men koshish karke hanoz khún tak sámhná nahín kiya.

5 Aur tum us nasihat ko, jo tumhen farzandon kí mánind kí játí hai, bhúl gaye, ki Ai mere bețe, Khudáwand kí tambíh ko náchíz mat ján; aur jab wuh tujhe malámat kare, shikasta-dil mat ho: 6 Ki Khudáwand jise piyár karta hai, use tambíh kartá hai, aur har ek bete ko, jise wuh qabúl karta hai, píțtá hai.

12 Is wáste dhíle háth aur sust ghutnon ko sídhá karo ;

13 Aur apne pánwon ke liye sídhe raste banáo, taki jo langrátá hai, bhaṭak na jáwe, balki changá howe.

14 Sab se mile raho, pákízagí kí pairauí karo, jis ke bagair Khudáwand ko koí na dekhegá:

15 Aur ba gaur dekhte raho, ki koí Khudá ke fazl se mahrúm na ho; aur na howe, ki koí karwí jar sabz hoke tasdí'a dewe, aur us se bahutere nápák ho jáwen.

16 Na howe, ki koí 'Esau kí mánínd zání yá bedín ho, jis ne ek khurák ke waste apne palauthe hone ká haqq bechá.

17 Kyúnki tum jánte ho, ki wuh, us ke ba'd, jab us ne cháhá ki barakat ká wáris ho, radd kiyá gayá: aur us ne jagah na páí, ki dil ko badal de, agarchi us ne use ánsú bahá baháke dhúndhá.

18 Ki tum us pahár tak nahín áe, jise chhú sake, na us kí dhadhaktí ág, aur kálí badlí, aur táríkí, aur túfăn,

7 Agar tum tambíh men sabr 19 Aur narsinge ke shor, aur karte ho, Khudá tum se farzan-kalám kí áwáz ke pás, jise sunnedon kí manind sulúk kartá hai; wálon ne sunkar darkhwást kí, ki ki kaun sá beṭá hai, jise báp tam- yih kalám phir ham se na kahá bíh nahin kartá? jáwe:

8 Par agar wuh tambíh, jis men sáre sharík hain, tum ko na kí

20 (Kyúnki we us hukm kí, jo unhen diyá gayá thá, bardásht na

kar sake, ki Agar koí jánwar us pahár ko chhúwe, to patthráo kiyá jáwe, yá bhále se chhedá jáe :

21 Aur wuh jo nazar áyá, aisá darauná thá, ki Músá bolá, Main hairán aur larzán hún :)

[ocr errors]

3 Qaidíon ko yún yád karo, goya tum un ke sáth qaid men sharík ho; aur aisá hí un ko jo ranj men hain yád karo, ki tumhárá bhí unhín ká sá jism hai.

4 Byáh karná sab men bhalá hai, aur bistar nápák nahín; par Khudá harámkáron aur záníon kí 'adálat karegá.

22 Balki tum Saihún ke pahár, aur zinda Khudá ke shahr men, jo ásmání Yarúsalam hai, aur lákhon firishton ke pás, 23 Aur palauthon kí jamaat aur kalísiye men, jin ke nám mán par likhe hain, aur Khudá ke pás, jo sab ká Hákim hai, aur kámil rástbázon kí rúhon ke pás, 24 Aur Yisú ke, jo naye 'ahd ká darmiyání hai, aur us chhirke húe lahú ke, jo Hábil ke lahú se bihtar báten boltá hai, pás áe ho. 25 Dekho, tum bolnewále se gá- 7 Tum apne peshwáon ko, jinfiltar na ho. Kyúnki agar we hon ne tum se Khudá kí bát kahí, bhág na nikle, jo us se jo zamínyád karo; aur un kí chál ke anjám par farmátá thá gáfil rahe, to ham ko gaur karke un ke ímán kí bhí agar us se, jo hamen ásmán pairauí karo. par se farmátá hai, munh moṛen, kyúnkar bhág niklenge?

5 Tumhárí chalan lálach kí na howe; aur jo maujúd hai, usí par qaná’at karo; kyúnki us ne áp ás-kahá hai, ki main tujhe hargiz na chhorúngá, aur tujhe mutlaq tark na karúngá.

26 Us kí áwáz ne zamín ko us waqt hilá diya: par ab us ne yih kahke wa'da kiya, ki Phir ek bár main faqat zamín ko nahín, balki ásmán ko bhí hilá dúngá.

27 Aur yih bát ki Phir ek bár, is bát ko záhir kartí hai, ki wuh chízen jo hiláí játí hain, baní húí chízon kí mánind tal játín, táki we chízen jo talne kí nahín, qáim rahen.

28 Pas, ham aisí bádsháhí ko, jo țalne kí nahín, páke fazl hásil karen, jis se Khudá kí bandagi pasandída taur par adab aur díndárí ke sáth karen:

29 Kyúnki hamárá Khudá bhasam karnewálí ág hai.

[blocks in formation]

6 Is waste ham khátirjam'aí se kah sakte hain, ki Khudáwand merá madadgár hai, aur main na darúngá; insán merá kyá karegá?

8 Yisú' Masih kal aur áj aur abad tak eksán hai.

9 Tum rang á rang begána ta'límon se idhar udhar daurte na phiro. Ki yih bhalá hai, ki dil fazl se mazbút ho; na ki khurákon se, jin se unhon ne, jo un ke liye daurte phirte the, naf'a na páyá.

10 Hamárí to ek qurbángáh hai, jis se khaima kí khidmat kar newálon ká ikhtiyár nahín, ki kháen.

11 Ki jin janwaron ká lahú sardár káhin muqaddas makán men gunáh ke kafara ke wáste le játá hai, un ke badan khaimagáh ke báhar jaláe játe hain:

12 Is waste Yisú' bhí, táki logon ko apne lahú se pákízagí bakhshe, phátak ke bahar márá gaya.

13 Pas áo, ham us kí zillat ke sharík hoke khaimagáh se báhar us pás nikal chalen.

14 Kyúnki hamárá rahnewálá shahr yahan nahín; ham to us shahr ko jo ánewálá hai, dhúndhte hain.

15 Is wáste us ke wasíle se sitáish

« ÎnapoiContinuă »