Imagini ale paginilor
PDF
ePub
[blocks in formation]

11 Pas áo, ham koshish karen, ki us árám men dákhil howen, tá aisá na ho ki be-mání ke sabab | koí un kí mánind gir pare.

12 Kyunki Khudá‍ká kalám zinda, aur tásír karnewálá, aur har ek dodhárí talwár se teztar hai, aur ján, aur rúh, aur band band, aur gúde gúde ko judá karke guzar játa, aur dil ke khiyálon aur irádon ko jánchtá hai.

13 Aur koi makhluq us se chhipá nahín balki jis se ham ko kám hai, sab kuchh us kí nazaron men khulá húá aur be-parda hai.

14 Pas, jis hálat men hamárá ek | aisá buzurg Sardár Káhin, jo aflák se guzar gayá, Khudá ká Beṭá Yisú' hai, to chahiye, ki ham apne iqrár par sábit-qadam rahen.

15 Kyúnki hamárá Sardár Ká-i hin aisá nahín, jo hamárí sustíon men hamdard na ho sake; balki gunáh ke siwá sárí báton men hamárí mánind ázmáyá gayá.

16 Is liye áo, ham fazl ke takht ke pás be-parwá jáwen, táki ham par rahm howe, aur fazl, jo waqt par madadgár ho, hásil karen.

V BÁB.

1 YUNKI har ek Sardár Káhin jo ádmíon se chunliyá játá, ádmíon hí ke liye, un kámon ke wáste jo Khudá se 'iláqa rakhte, muqarrar hota hai, ki nazr aur gunah kí qurbáníán guzráne:

2 Aur wuh nádánon aur gumráhon ko mulayamnat dikhláne ke qabil ho; is wáste, ki wuh áp bhí kamzoríon men giriftár hai.

|

3 So is sabab se zarúr hai, ki jis tarah wuh logon ke liye, usí tarah apne liye bhí gunáh kí qurbáníán charháwe.

4 Aur koí ádmí yih ’izzat áp se nahín pátá, magar wuh jo Hárún kí mánind Khudá se talab kiya játá hai.

5 Isí tarah Masih ne bhí apne liye Sardár Káhin hone kí 'izzat áp se nahín ikhtiyár kí; balki usi ne bakhshí, jis ne use kahá, ki Tú merá Beţá hai, áj main tera Báp

húá.

6 Chunánchi wuh dúsre maqám men kahta hai, ki Tú Malik i Sidq kí tarah hamesha ko káhin hai.

7 Jin dinon wuh jism men rahá, bahut ro ro, aur ánsú bahá bahake, us se jo us ko maut se bachá saktá thá, du'áen aur minnaten kín, aur khauf se bach gayá;

8 Agarchi wuh Bețá thá, par un dukhon se jo us ne utháe, farmánbardárí síkhí;

9 Aur wuh kámil hokar apne sab farmánbardáron ke liye hamesha kí naját ká bá’is húá; 10 Aur Khudá kí taraf se Malik Sidq kí mánind Sardár Káhin kahláyá.

11 Us kí bábat hamárí báten bahut sí hain, jin ká bayán karná mushkil hai, is liye ki tumháre kán bhárí hain.

12 Kyúnki waqt ke liház se lázim thá, ki tum ustád hote; magar tum ab tak is ke muhtáj ho, ki koí tumhen phir sikháwe, ki Khudá ke kalám kí pahilí báten kaun hain; aur tumhen dúdh chahiye, na sakht chízen.

13 Kyúnki jo dúdh pítá hai, wuh rástbází ke kalám men be-imtiyáz hai, is liye ki wuh bachcha hai.

14 Par sakht chízen kámilon ke waste hain, ya'ne un ke wáste jin ke hawáss rabt se tez ho gaye hon, ki nek o bad men imtiyaz karen.

[merged small][ocr errors][merged small]

S waste Masíh kí ta'lim kí pahilí báten chhorkar kámil hone ki taraf barhte chale jáwen; aur murde kámon se tauba karne, aur Khudá par ímán láne,

2 Aur baptismon kí ta'lím, aur háth rakhne, aur murdon ke jí uthne, aur hamesha kí 'adálat kí neo do bára na dálen.

3 Aur Khudá cháhe, to ham yih karenge.

4 Kyúnki we jo ek bár roshan húe, aur ásmání bakhshish ká maza chakhá, aur Rúh i Quds men sharík húe,

13 Ki Khuda Abirahám se wa'da bará na payá, ki us kí qasam karte hue, jab kisí ko apne se kháwe, to apní hí kahá, qasam khákar

14 Yaqinan main tujhe baraterí aulád ko niháyat barháúngá. katon par barakaten dúngá, aur us wa'de tak pahuncha. 15 Aur wuh yún hí sabr karke

16 Filhaqiqat log bare kí qasam kháte hain: aur sábit karne ke liye un men har ek qaziye kí hadd qasam hai.

17 Pas Khudá is iráde se, ki wa'de ke wárison par mazbút záhir kare, qasam ko darmiyán dalíl se apní marzí kí be-tabdílí

5 Aur Khudá ke 'umda kalám o áyanda jahán kí qudraton kámen láyá: maza uṛáyá,

18 Tá ki un chízon se, jo be6 Agar gir jáwen, to unhen phir tabdíl hain, jin men Khudá ká sar i nau khaṛá karná, táki we jhúṭhá honá mumkin nahín, ham tauba karen, námumkin hai; ky- jo panáh ke liye daure hain, ki únki unhon ne Khudá ke Bete kousí ummed ko jo sámhne rakhí apne liye do bára salíb par khínch-gayí qabze men láwen, púrí tasallí kar zalíl kiya.

7 Kyúnki jo zamín us menh ko, ki bár bár us par barse, pí játí hai, aur aisí sabzi, jo kisán ko mufíd ho, látí hai, so Khudá se barakat patí hai :

8 Par wuh jo kánțe aur únṭkatáre paidá kartí, ná-maqbúl aur nazdík hai ki la'natí ho; jis ká anjám jalná hogá.

9 Lekin, ai piyáro, agarchi ham yún bolte hain, par tumháre haqq men in se bihtar aur najátwálí báton ka yaqín rakhte hain.

10 Kyúnki Khudá be-insáf nahín hai, ki wuh tumháre kám aur us muhabbat kí mihnat ko, jo tum us ke nám par muqaddas logon kí khidmat karte húe dikhláte ho, bhúl jáwe.

11 Par ham chahte hain, ki tum men se har ek kámil ummed ke waste akhir tak wuhí koshish záhir kiya kare:

12 Tá ki tum sust na ho jáo, balki un ke pairau ho, jo ímán aur sabr kí ráh se wa'don ke wáris húe.

páwen:

19 Wuh ummed hamárí ján ká langar hai, jo sábit aur qáim aur parde ke andar dákhil hota hai; 20 Jahán peshrau Yisú' jo Malik Sardár Káhin hai, hamáre wáste i Sidq ki tarah hamesha ke liye dákhil húá.

1

VII BÁB.

Yká badshah Khuda Ta

IH Malik i Sidq Sálim

'álá ká káhin thá, jis ne Abirahám se, jab wuh bádsháhon ko márke phirá átá thá, muláqát kí, aur us ke liye barakat cháhí;

2 Jis ko Abirahám ne sab chízon kí dahyakí dí; wuh pahile apne nám ke maʼnon ke muwáfiq Rástí ká Bádsháh hai; aur phir Sháh i Sálim, ya'ne salámatí ká Bádsháh;

3 Yih be-báp, be-má, be-nasabnáma, jis ke na dinon ká shuru', na zindagí ká ákhir; magar Khudá ke Bețe kí mánind hamesha kahin rahta hai.

4 Ab gaur karo, yih kaisá buzurg thá, ki jis ko hamáre dádá Abirahám ne lúț ke mál se dahyakí dí.

5 Ab Láwí kí aulád ko, jo kahánat ká kám pátí hai, hukm hai, ki logon, ya'ne, apne bháíon se, agarchi we Abirahám kí pusht se paidá húe, shari'at ke mutábiq dahyakí lewe:

6 Par us ne báwujúde ki us ká nasab un se judá hai, Abirahám se dahyakí lí, aur us ke liye jis se wa'de kiye gaye barakat chání. 7 Aur lá-kalám chhotá bare se barakat pátá hai.

8 Aur yahan marnewále ádmí dahyakí lete hain; par wahán wuhí letá hai, jis ke haqq men gawáhí dí játí, ki jítá hai.

9 Balki ham yih bhí kah sakte, ki Láwí ne bhí, jo dahyakí letá hai, Abirahám ke wasíle se dí. 10 Kyúnki jis waqt Malik i Sidq Abirahám se á milá, wuh apne Báp kí pusht men thá.

11 Pas agar Láwí-wálí kahánat se kámilíyat hotí, (ki log shari'at se us ke páband the,) to kya ihtiyáj thí, ki dúsrá káhin Malik | i Sidq ke taur par záhir ho, aur Hárún ke taur par na kahláwe? 12 Agar kahánat badal jáe, to shari'at ká bhí badal dálná zarúr hai.

13 Kyunki jis kí bábat yih baten kahí játín, wuh dúsre firqe men se hai, jis men se kisí ne qurbángáh kí khidmat nahín kí.

14 Ki záhir hai, hamárá Khudáwand Yahúdáh se niklá, aur us firqe kí kahánat kí bábat Músá ne kuchh na kahá.

|

18 Pas aglá hukm, is liye ki kamzor aur be-faida thá, uṭh gayá.

19 Kyunki sharí'at ne kuchh kámil na kiyá, magar ek bihtar ummed darmiyán dáķhil húí, jis ke wasíle ham Khudá ke huzúr pahunchte hain.

20 Phir jaisa ki wuh bagair qasam khane ke muqarrar na húá,

21 (Kyúnki kahin to bagair qasam ke muqarrar hote hain: par yih qasam kháne ke sáth‍ usí se káhin baná, jis ne us se kahá, ki Khudáwand ne qasam kháí, aur na badlegá; ki Tú Malik i Sidq kí tarah hamesha ko kahin hai:) 22 Waisá hí Yisú' ek bihtar'ahd ká zámin húá.

23 Us ke siwá we jo káhin hote chale áe, bahut se the, is waste ki we maut ke sabab rah na sake:

24 Par yih is liye, ki hamesha tak rahnewálá hai, aisí kahánat ká málik húá, jo dúsre tak nahín pahunchtí.

25 Is liye wuh unhen jo us ke wasíle Khudá ke huzur jate hain, ákhir tak bachá sakta hai; kyúnki wuh un kí sifarish ke liye hamesha jítá hai.

26 Aur aisá Sardár Káhin hamáre láiq thá, jo pák aur be-bad, aur be-'aib, gunáhgáron se judá, aur ásmánon se buland hai;

27 Jo sardár káhinon kí mánind muhtáj nahín, ki har roz pahile apne, aur phir logon ke gunáhon ke wáste, qurbáníán charháwe; kyúnki us ne ek hí bár aisá kiyá, jab ki apne taín nazr guz

15 Yih aur bhí sáf záhir hai, kiráná. dúsrá káhin Malik i Sidq kí mánind záhir hota hai,

16 Jo jismání shari'at ke hukm ke muwáfiq nahín, balki hamesha kí zindagí kí qudrat ke mutábiq baná hai.

17 Ki wuh gawáhí detá hai, ki Tú Malik i Sidq ke taur par hamesha ke liye kahin hai.

28 Ki shari'at kamzor ádmíon ko sardár káhin thahrátí hai; par qasam ká kalám jo sharíat ke ba'd húá, Bețe ko jo hamesha tak kámil hai, Sardár Káhin thahrátá hai.

[ocr errors]

VIII BÁB.

AS un báton se, jo kahí gayín, asl matlab yih hai, ki Hamará ek aisá Sardár Káhin hai, jo ásmán par Janab i 'Álí ke takht ke dahine baitha hai;

2 Jo muqaddas makánon ká khádim hai, aur us haqíqí khaima ká, jise Khudáwand ne khaṛá kiyá hai, na ki insán ne.

3 Ki har ek sardár káhin is wáste muqarrar hotá hai, ki nazren aur qurbáníán guzráne; so zarúr thá, ki us pás bhí guzránne ko kuchh ho.

4 Agar wuh zamín par hotá, to káhin na hotá; is wáste ki káhin to hain, jo shari'at ke muwáfiq qurbáníán guzránte hain:

Jo ásmání chízon ke namúna aur saya par khidmat karte hain; chunánchi Músá ne, jab wuh khaima banáne par thá, ilhám se hukm páyá, ki Dekh, wuh farmátá hai, ki tú us naqsha ke mutábiq jo tujhe us pahár par dikháyá gayá, sab chízen bana.

6 Ab jaisá wuh us bihtar 'ahd ká darmiyání hai, jo bihtar wa'don se bándhá gayá, waisá hí us ne ab bihtar khidmat páí.

7 Kyúnki agar wuh pahilá 'ahd be-'aib hotá, to dúsre kí jagah kí talásh na hotí.

8 So wuh us ká 'aib batákar unhen kahta hai, ki Dekh, Khudáwand farmátá hai, we din áte hain, ki main Israel ke gharáne aur Yahúdáh ke khándán ke liye ek nayá 'ahd bandhúngá :

9 Yih us 'ahd kí mánind na hogá jo main ne un ke bápdádon se us din, jab main ne un ka háth pakra ki unhen Misr se nikál láún, bándhá thá; is wáste ki we mere 'ahd par qáim nahín rahe, aur main ne un ká andesha na kiya, Khudáwand farmátá hai. 10 Kyunki yih wuh 'ahd hai, jo main Israel ke gharáne ke sáth un dinon ke ba'd bandhúngá, Khudáwand farmátá hai; main apne|

[ocr errors]

qánúnon ko un kí 'aqlon men
dálúngá, aur un ke dilon par
likhúngá, aur main un ká Khudá
húnga, aur we mere log honge:
11 Aur koí apne hamsaya, aur
koí apne bháí ko sikhláke na ka-
hegá, ki Tú Khudá ko pahchán ;
kyúnki un men ke chhote se bare
tak sab mujhe pahchánenge.

12 Aur main un kí buráíon par rahm karúngá, aur un ke gunáhon ko aur bedíní ko kabhí yád na karúngá.

13 Aur jab us ne Nayá kahá, to pahle ko puráná thahrává. Aur wuh jo puráná aur diní hai, so mitne ke nazdík hai.

1

IX BÁB.

gánún the, aur ek O pahle khaima men 'ibádat

dunyáwí maqdis thá.

2 Ki pahlá khaima jo banáyá gayá, us men sham'adán, aur mez, aur nazr kí rotíán thín; aur use Pák kahte hain.

3 Aur dúsre parda ke andar wuh khaima thá, jo Páktarín kahlátá; 4 Us men sone ká dhúpdán thá, aur 'ahd ká sandúq, jo cháron taraf sone se maṛha húá thá; us men ek sone ká bartan mann se bhará, aur Hárún ká 'asá, jis men shákhen phútí thín, aur ahdnáma kí takhtíán.

5 Aur us ke úpar jalálí Karúbí the, jo kafaragáh par saya karte; in báton ká mufassal bayan karna ab kuchh zarúr nahín.

6 Pas jab yih sab chízen yún taiyár ho chukín, tab pahle khaima men káhin har waqt dákhil hoke khidmat bajá láte the.

7 Par dúsre men sirf Sardár Káhin sál bhar men ek bár játá; magar bagair lahú ke nahín, jo apní aur qaum kí khatáon ke liye guzrántá thá:

8 Is se Ruh i Quds yih záhir kartá thá, ki jab tak pahlá khaima khará rahá, páktarín makán kí ráh na khulí thí:

[ocr errors]

9 Wuh khaima is waqt tak ek misál hai, jis men nazren aur qurbáníán guzránte, jo 'ibádat karnewále ko dil kí nisbat kámil kar nahín saktín;

10 Ki we sirf kháne píne, aur tarah tarah ke guslon ke sáth, jo jismání rasm hain, durustí ke waqt tak muqarrar thín.

11 Par jab Masíh ánewálí ni'amaton ka Sardár Káhin ho áyá, to buzurgtar aur kámiltar khaima kí ráh se, jo háthon ká baná nahín, ya'ne, is khilqat ká nahín; 12 Na bakron na bachhron ká lahú leke, balki apná hí lahú leke páktarín makán men ek bár dákhil húá, ki us ne hamáre liye hamesha kí khalásí hásil kí.

13 Kyúnki agar bailon aur bakron ka lahú, aur kalor kí rákh, jo nápákon par chhirke jane se badan kí safáí kí bábat un ko pák kar sakti hai:

14 To kitná ziyada Masíh ká lahú, jis ne be-'aib hoke abadí Rúh ke wasíle áp ko Khuda ke sámhne qurbání guzráná, tumháre dilon aur 'aqlon ko murda kámon se pák karega, táki tum zinda Khudá kí 'ibádat karo?

15 Aur isí sabab se wuh naye 'ahd ka darmiyání hai, táki jab wuh pahle 'ahd ke gunáhon ke chhuráne ke liye maut páwe, to we jo bulae gaye hain, abadí mírás ká wa'da hasil karen.

16 Kyúnki jahán 'ahd hai, wâhán us zabíha kí maut, jis par wuh muqarrar hotá, zarúr hai.

17 Ki'ahd murdon par bándhá játá hai, aur pukhta nahín, jab tak wuh zabíha zinda hai.

18 Is sabab se pahlá 'ahd bhí bagair lahú ke nahín bándhá gayá.

19 Ki jab Músá ne tamam logon ko shari'at ká har ek hukm kah sunáyá, tab bachhṛon aur bakron ká lahú, pání aur lál ún aur zúfa ke sáth, lekar us kitáb aur sáre logon par chhirakke kahá,

20 Ki Yih us 'ahd ká lahú hai,

|

jo Khudá ne tumháre liye ṭhahráyá.

21 Aur us ne isí tarah khaima par, aur khidmat kí tamám chízon par lahú chhirká.

22 Aur qaríb sárí chízen shari'at ke mutábiq lahú se pák kí játí hain, aur bagair lahú baháe mu’áfi nahín hotí. palians

23 Pas zarúr thá, ki ásmání chízon ke namúna yún pák kiye jáwen; magar khud ásmání chízen in se bihtar qurbáníon se pák kí jáwen.

24 Kyúnki Masíh us pák makán men, jo háthon se banáyá gayá, aur haqíqí makán ká namúna hai, dákhil nahín húá; balki ásmán hí men, táki ab se Khudá ke huzúr hamáre liye házir rahe:

25 Par aisá nahín, ki wuh áp ko bár bár guzráne, jaise Sardár Káhin páktarín makán men har sál dúsre ká lahú leke játá hai; 26 Kyúnki agar aisá hotá, to zarúr thá, ki wuh dunyá ke shuru' se bár bár mará kartá; par ab ákhirí zamáne men ek bár záhir húá, táki apne taín qurbání karne se gunáh ko nest kare.

27 Aur jaisá ádmíon ke liye ek bár marná, aur ba'd us ke 'adálat muqarrar húí,

28 Aisá hí Masíh ek bár sabhon ke gunáhon ká bojh uṭháne ke liye áp ko guzránke, dúsrí bár bagair gunáh ke záhir hogá, táki un ko, jo us kí ráh dekhte hain, naját dewe.

[blocks in formation]
« ÎnapoiContinuă »