Imagini ale paginilor
PDF
ePub

aur mai ke bas men na howen, balki achchhí báton kí sikhlánewálí hon;

4 Aur jawán 'auraton ko hoshyár karen, ki we apne khasamon, aur bachchon ko piyar karen,

5 Aur hoshyár, aur pák-dáman, aur ghar men rahnewálíán, aur khush-mizáj, aur apne khasamon ke kahe men howen, táki Khuda ke kalám kí baðnámí na howe. 6 Yún hí jawánon ko bhí nasíhat kar, ki we hoshyár rahen.

7 Aur sárí báton men apne taín nek kámon ká namúna kar dikhlá; aur terí ta'lim khális, aur durust, o be-makr,

8 Aur terá kalám sahíh, aur be'aib ho, aur ilzám ke láiq na ho, táki mukhálif tum par 'aib lagáne kí koí wajh na pákar sharminda ho jáwe.

9 Naukaron ko sikhá, ki apne kháwindon kí tabi'dárí karen, aur sab báton men unhen khush rakhen, aur jawáb na diyá ka

ren;

10 Aur khiyánat na karen, balki kamál amánatdárí záhir karen; táki we hamáre bachánewále Khudá kí ta'lim ko sárí báton men raunaq dewen.

11 Kyúnki Khudá ká fazl, jis se naját hai, sáre ádmíon par záhir húá,

12 Jo hamen sikhlátá hai, ki be-díní aur dunyá kí burí khwáhishon se inkár karke, is jahán men hoshyárí, aur rástí, aur díndárí se zindagí guzránen;

13 Aur usí mubárak ummed, aur buzurg Khudá, aur apne bachánewále Yisú' Masih ke zuhúr i jalíl kí ráh taken ;

14 Jis ne ap ko hamáre badle diyá, táki wuh hamen sab tarah kí badkáríon se chhuṛáwe, aur ek kháss ummat ko, jo nekokárí men sargarm howen, apne liye pák kare.

15 Yih báten kah, aur nasihat kar, aur tamám ikhtiyár se malámat kar. Koí tujhe haqír na jáne.

1

III BÁB.

UNHEN yád dilá, ki sar

dáron aur ikhtiyár-wálon ke farmánbardár howen, aur hákimon kí mánen, aur harek nek kám par musta'idd rahen,

2 Aur kisí ke haqq men burá na kahen, bakheriye na howen, par narm-dil howen, aur sab ádmíon ke sáth farotaní karen.

3 Kyúnki ham bhí áge ná-dán, ná - farmánbardár, fareb-khánewále, aur rang ba rang kí shahwaton aur 'ishraton ke bas men the, aur badkhwáhí aur dáh ke sáth guzrán karte, aur nafrat ke láiq, aur ápas men kína rakhte the. 4 Par jab hamáre bachánewále Khudá kí mihrbání aur piyár záhir húá,

5 Us ne ham ko, rástbází ke kámon se nahín jo ham ne kiye, balki apní rahmat ke sabab, naye janam ke gusl, aur us Rúh i Quds ke sar i nau banáne ke sabab, bacháyá;

6 Jise us ne hamáre bachánewále Yisú' Masíh kí maʼrifat ham par bahutáyat se dálá;

7 Táki ham us ke fazl se rástbáz thaharkar, aur wáris banke hamesha kí zindagi ke ummedwár howen.

8 Yih bát sach hai, aur main cháhtá hún, ki tú in báton ko tákíd se kahá kar, táki we jo Khudá par ímán láe hain, andesha karke nekokárí men mashgúl rahen; ye chízen bhalí, aur ádmíon ke wáste fáidamand hain.

9 Aur bewuqúfon kí sí hujjat, aur nasabnámon, aur qaziyon aur takráron se, jo sharí'at kí bábat hon, parhez kar, ki ye láhásil aur behúða hain.

10 Us shakhs ko, jo bid'atí hai, ek do nasihat karke nikál de;

11 Tú jántá hai, ki waisá ádmí phir gaya hai, aur gunáh kartá, aur áp hí apne taín mulzam thahrátá hai.

12 Jab main Artimás yá Tukhi

kas ko tere pás bhejún, tab jaldí | riyát ke liye achchhe peshe ikhkar, ki tú mere pás Nikupulis men tiyár karen, táki we be-phal na áwe; kyúnki main ne tháná hai, howen. ki járá wahín kátún.

13 Faqih Zenas aur Apallús ko khabardarí se pahunchá de, ki we kisí chíz ke muhtáj na howen. 14 Aur hamáre log bhí zarú,

15 Sab jo mere sath hain, tujhe salám kahte hain. Un ko, jo ímán ke sabab ham se muhabbat rakhte hain, salám kah. Sab par fazl howe. Amín,

PÚLÚS KÁ KHATT FILEMÚN KO.

1

PULUS ki jo Masih Yisú'

aur ab Yisú' Masíh ká qaidí hún.

ká qaidí, aur bháí Timtáús kí taraf se, Filemún ko, jo 10 So main apne farzand kí bábará piyárá aur hamárá ham- bat jo qaidkhane men mere liye khidmat hai, paidá húa, yane Unesimus kí bá2 Aur piyárí Afiyá, aur Arkhip-bat, 'arz kartá hún: pus hamáre ham-jang ko, aur us kalísiye ko, jo tere ghar men hai: 3 Fazl, aur salámatí, hamáre Báp Khudá aur Khudáwand Yisứ Masih kí taraf se, tum par howe. 4 Main terí muhabbat ko, jo sáre muqaddason se hai,

5 Aur ímán ko, jo Khudáwand Yisú' par hai, daryáft karke, hamesha apní du'áon men tujhe yád kartá, aur apne Khuda ka shukr kartá hún;

6 Ki tere ímán kí rifaqat un sárí nekíon ke mán lene se, jo Masíh Yisú' ke wáste tum men hain, báasar ho.

7 Kyúnki ham terí muhabbat se bahut khush aur khátirjam'a hain, ki tujh se, ai bháí, muqaddas logon ká jí árám pátá hai.

8 So agarchi main Masih ke sabab bahut bedharak hún, ki tujhe jo munásib howe hukm karún,

9 Lekin mujhe yih pasand ayá, ki muhabbat kí ráh se iltimás karún; kyúnki main Púlús búrhá

11 Jo áge tere liye kuchh faidamand na thá, par ab tere aur mere liye bahut faidamand húá:

12 So main ne use bhejá hai: ab tú us ko, ya'ne, mere kaleje ke tukre ko, qabúl kar.

13 Main ne cháhá thá, ki use apne hí pás rakhún, táki wuh tere 'iwaz Injil kí zanjíron men merí khidmat kare:

14 Par terí marzí bagair main ne na cháhá, ki kuchh karún; táki terá nek kám láchárí se nahín, balki khushí se howe.

15 Wuh shayad tujh se is liye thorí der judá rahá, ki tú hamesha ke wáste use phir páwe;

16 Na gulám kí tarah, balki gulám se bihtar, ya'ne, bháí kí tarah, jo 'azíz hai, kháss kar mujh ko aur kitná hí ziyáda, jism kí ráh aur Khudáwand ke sabab, tujh ko 'azíz na hogá?

17 So agar tú mujhe sharík jántá hai, to us ko us tarah qabul kar, jis tarah mujh ko.

18 Agar us ne terá kuchh nuqsán

22 Is se siwá ek kothrí mere liye taiyár kar; ki mujhe yih ummed hai, ki main tumhárí du'áon

kiya hai, yá kuchh terá dharátá
hai, to use mere nám likh rakh;
19 Main Púlús apne háth se
likhtá hún ki Main áp adá ka-ke wasíle se tumhen diyá jáún.
rúngá, aur main tujh se nahín
kahtá, ki merá qarz jo tujh par
hai, tú hí hai

20 Ai bháí, mujhe tujh se Khudáwand men naf'a ho; Khudáwand men mere kaleje ko thanḍá kar.

21 Main ne terí farmánbardárí ká yaqin karke tujhe likhá; aur main jántá hún, ki tú us se bhí jo main kahtá hún ziyáda karegá.

23 Ipafras, jo Masíh Yisú ke wáste mere sath qaid men hai; 24 Aur Marqus, aur Aristarkhus, aur Demas, aur Lúqá, jo mere ham-khidmat hain, tujhe salám kahte hain.

25 Hamáre Khudáwand Yisú' Masíh ká fazl tumhárí rúh ke sáth howe. Ámín.

[merged small][ocr errors]

1

I BÁB.

dunya men láyá, to kahá, ki Khudá ke sab firishte us ko sijda

KHUDA, jis ne agle za- karen.

máne men nabíon ke 7 Aur firishton kí bábat yún wasíle bápdádon se bár bár aur farmátá hai, ki Wuh apne firishtarah ba tarah kalám kiyá, ton ko rúhen aur apne khádimon 2 Is ákhirí zamáne men ham seko ág ká shu'ala banátá hai. Bete kí ma'rifat bolá, jis ko us ne sárí chízon ká wáris thahráyá, aur jis ke wasile us ne 'álam banáe;

3 Wuh us ke jalál kí raunaq, aur us kí máhiyat ká naqsh hoke sab kuchh apní hí qudrat ke kalám se sambháltá hai; wuh áp se | hamáre gunáhon ko pák karke buland ásmán par janáb i 'álí ke dahine já baiṭhá.

4 Wuh firishton se is qadr buzurgtar thahrá, jis qadr us ne mírás men un ki nisbat bihtar khitáb páyá.

5 Kyunki us ne firishton men se kis ko kabhí kahá, ki Tú merá Beta hai, main áj hí terá báp húa P Aur phir yih, ki Main us ká Báp húngá aur wuh merá Betá hogá? 6 Aur phir, jab palauṭhe ko

8 Magar Bete kí bábat kahtá hai, ki Ai Khudá, terá takht abad tak hai; rástí ká'asá terí bádsháhat ká 'asá hai.

9 Tú ne rástí se ulfat, aur badí se 'adáwat rakhí; is sabab se, ai Khudá, tere Khuda ne khushí ke tel se tere sharíkon kí ba nisbat tujhe ziyáda Masíh kiyá.

10 Aur yih, ki Ai Khudáwand, tú ne ibtidá men zamín kí neo dálí, aur ásmán tere háth ke banáe húe hain:

11 We nest ho jáenge, par tú báqí hai; we sab poshák kí mánind puráne honge;

12 Aur chádar kí tarah tú unhen lapetegá, aur we badal jáenge; par tú wuhí hai, aur tere baras játe na rahenge.

13 Phir us ne firishton men se | kis ko kabhí kahá, ki Tú mere dahine baith, jab tak ki main tere dushmanon ko tere pánwon kí chaukí karún ?

14 Kyá we sab khidmat-guzár rúhen nahín, jo naját ke wárison kí khidmat ke liye bhejí gayín?

1

II BÁB.

TS S liye chahiye ki un báton par jo ham ne sunín aur bhí dil lagáke gaur karen, tá aisá na ho ki ham unhen kho dewen. 2 Kyunki jab wuh kalám jo firishton kí ma'rifat kahá gayá, mazbút rahá, aur har ek udúl aur náfarmání ne wajibí badlá páyá;

3 To ham kyúnkar bachenge, agar itní barí naját se gáfil rahen; jis ká bayán pahle Khudáwand se húá, aur sunnewálon se ham par sábit húá;

4 Khudá áp un ke sath nishánon aur karámaton, aur tarah tarah ke mu'ajizon, aur Rúh i Quds kí ni'amaton se, apní marzí ke muwáfiq gawáhí detá rahá ?

5 Us ne us 'áqibat ko, jis ká zikr ham karte hain, firishton ke ikhtiyár men nahín chhorá.

6 Par kisí ne gawáhí deke kahín farmáyá, ki Insán kya hai, ki tú us kí yád rakhe? ya insán ká betá, ki tú us par nigah kare?

7 Tú ne us ká martaba firishton se kuchh kam rakhá; tú ne jalál o 'izzat ká táj us par rakhá, aur apne háth ke kámon par use ikhtiyár bakhshá:

8 Tú sab kuchh us ke qadamon tale láyá. Jis hálat men sab kuchh us ke qadamon tale láyá, tú ne koí chíz na chhorí, jo us ke qadamon tale na láyá. Par ab tak ham

[ocr errors]

ká maza chakhe, maut kí aziyat ke sabab jalál o 'izzat ká táj páyá. 10 Kyúnki us ko, jis ke liye sab kuchh hai, aur jis ke wasíle sárí chízen maujúd hain, yih munásib thá, ki jab bahutse farzandon ko jalál men láwe, un kí naját ke peshwá ko aziyaton se kámil kare.

11 Kyúnki jo pák kartá, aur we jo pák kiye játe, sab ek hí ke hain; is liye wuh unhen bháí kahne se nahín sharmátá.

12 Ki wuh kahta hai, ki Main terá nám apne bháíon ko sunáúngá, kalísiye ke darmiyán terí sitáish karungá.

13 Aur phir yih, ki Main us par bharosá rakhúngá. Aur yih bhí, ki Dekh mujhe, aur un larkon ko jinhen Khuda ne mujhe diya.

14 Pas jis hálat men larke gosht aur khún men sharík hain, waisá hí wuh bhí un men sharík húá; táki maut ke wasíle us ko, jis ke pás maut ká zor thá, ya'ne Shaitán ko barbád kare;

15 Aur unhen jo 'umr bhar maut ke dar se gulámí men giriftár the, chhuráwe.

16 Ki wuh albatta firishton kí nahín, balki Abirahám kí nasl ká sáth detá hai.

17 Is sabab se zarúr thá, ki wuh har ek bát men apne bháíon kí mánind bane, táki wuh Khuda kí báton men logon ke gunáhon ká kafara karne ke wáste ek rahím aur amánatdár Sardár Káhin thahre.

18 Ki jab us ne áp hí imtihán men parke dukh payá, to wuh un kí, jo imtihan men parte hain, madad kar sakta hai.

III BÁB.

nahín dekhte, ki sab kuchh us ke PAS, ai pák bháío, jo ásmání

qadamon tale áyá.

9 Magar yih dekhte hain, ki Yisú' ne, jis ká darja firishton se kuchh kam thá, tá ki Khuda ke fazl se sab ádmíon ke liye maut

da'wat men sharík húe, us Rasúl aur Sardár Káhin Masih Yisú' par, jis ká ham iqrár karte hain, gaur karo.

2 Wuh us ke áge, jis ne use muqarrar kiyá, amanatdár thá,

jis tarah Músá apne sáre ghar

men.

1 3 Balki, wuh Músá se is qadr ziyada 'izzat ke láiq samjhá gayá, jaisá ghar se ghar ká málik ziyada

izzatdár hota hai.

4 Ki har ek ghar ká ek banánewálá hai; par jis ne sab kuchh banáyá, so Khuda hai.

5 Aur Músá apne sáre ghar men khádim kí tarah amánatdár rahá, ki un báton par, jo záhir hone ko i thín, gawahí de;

6 Par Masih apne ghar ká yún mukhtár rahá, jaise Betá; aur us ká ghar ham hain, is shart par ki apní himmat aur ummed ká fakhr ákhir tak qáim rakhen.

Is waste (jaisá Rúh i Quds ne kahá, Agar aj tum us kí áwáz

suno,

8 Apne dilon ko sakht na karo, jis tarah bayábán men, ázmáish ke din, gusse ke waqt, húá:

9 Jahan tumháre bápdádon ne mujhe ázmáyá, aur unhon ne mujhe parakhá, aur chálís baras se mere kám dekhte the.

10 Is liye main ne us nasl se náráz hoke kahá, ki In logon ke dil har waqt gumráh hote hain; unhon ne merí ráhon ko nahin pahcháná.

11 Chunánchi main ne apne gusse men qasam kháí, ki Ye mere árám men dákhil na honge.)

12 Dekho, ai bháío, ki tum men se kisí men be-ímání ká burá dil na ho, jo zinda Khudá se phir jáwe.

13 Balki tum har roz, jab tak Aj ke din ká zikr hota hai, ápas men ek dusre ko nasihat karo, táki tum men se koí gunáh ke fareb se sakht na ho jáwe.

14 Kyunki ham Masih men sharík hain, basharte ki apne shurú' ke i'atiqád ko akhir tak qáim rakhen;

15 Jis waqt yih kahá játá, ki Áj agar tum us kí áwáz suno, apne dilon ko sakht na karo, jaisá bezár karte waqt.

|

16 Ki baʼzon ne sunke gussa diláyá; lekin un sabhon ne nahín, jo Músá ke wasíle Misr se nikle. 17 Aur wuh kin logon se chálís baras tak náráz rahá? kyá un se nahín, jinhon ne gunáh kiyá, aur un kí láshen bayábán men parí rahín?

18 Aur kin kí bábat us ne qasam kháí, ki We mere árám men dákhil na honge, magar un kí jo ímán na láe?

19 Aur yún hí ham dekhte hain, ki we be-ímání ke sabab dákhil na ho sake.

1

PAS

IV BAB.

AS, jab ki us ke árám men dákhil hone ká wa'da báqí hai, to chahiye ki ham daren, tá na howe ki ham men se koí píchhe rah jáe.

2 Kyunki hamen bhí khushkhabarí dí gayí, jaisí un ko: par jo kalám unhon ne suná, us ne unhen fáida na bakhshá, ki sunnewálon men ímán ke sáth milá na thá.

3 Kyúnki ham jo ímán láe árám men dákhil hote hain, jaisá us ne kahá, ki Main ne apne gusse men qasam kháí, ki yih log mere árám men dákhil na honge: agarchi dunyá kí bunyád se sab kám bane. 4 Ki us ne hafte kí bábat kahín yún farmáyá, ki Aur Khudá ne apne sáre kámon se sátwen din árám kiya.

5 Aur phir is maqám men farmáyá, ki We mere árám men dákhil na honge.

6 Pas us men dákhil honá kitne logon ke wáste báqí hai, aur we jin ke liye pahle khushkhabarí dí gayí thí, be-ímání ke sabab se dákhil na húe:

7 Phir us ke kitní muddat ba'd wuh Dáúd kí ma'rifat ek din ká

zikr karta hai, jise Áj ká din kahtá; jaisá likhá hai, ki Ãj agar tum us kí áwáz suno, to apne dilon ko sakht na karo.

« ÎnapoiContinuă »