Imagini ale paginilor
PDF
ePub

hain; aur ba'ze 'izzat, aur ba'ze zillat ke hain.

7 Aur hamesha ta'lím pátí hain, aur sacháí kí pahchán tak hargiz pahunch nahin saktín, giriftár karte hain.

8 Aur jis tarah Yannes aur Yambres ne Músá ká sámhná kiyá, usí tarah ye bhí sacháí ke mukháliť, kharáb-'aql, aur ímán kí bábat ná-maqbúl hain.

9 Par we áge na barhenge, is wáste ki un kí nádání sab par záhir ho jáegí, jis tarah un kí húí. 10 Par merí ta'lím, chál chalan, iráde, ímán, sabr, muhabbat, bardásht,

11 Zulm aur dukhon ko, jo An tákiyá aur Ikúnium, aur Lustrá men mujh par pare, tú ne sire se bakhúbí daryáft kiya; aur main ne kaise kaise zulm sahe; par Khudáwand ne mujhe un sab se hachá liya.

12 Balki sab ke sab jo Yisu Masih men díndárí ke sath guzrán kiyá cháhte hain, satáe jáenge.

13 Par bure aur dhokhebáz ádmí fareb deke, aur fareb kháke, badí men áge barhte jáenge.

III BÁB.

14 Par tú un báton par, jo tú ne síkhín aur yaqin jánín, qáim rah; TÚ yih ján rakh, ki ákhirí ki tu yih janta hai, ki kis se

1

síkhá;

áwenge.

men bure din 2 Ádmí khudgaraz, zardost, tar hánknewále, ghamandí, kufr-karnewále, má bap ke ná-farmánbar-ját dár, ná-shukr, ná-pák,

15 Aur ki tú laṛkáí se muqaddas kitábon se wáqif hai; we tujhe Masíh Yisú' par ímán láne se na

3 Be-dard, kínawar, tuhmatí, ná-parhezgár, be-rahm, nekon ke dushman,

kí dánáí bakhsh saktí hain. 16 Sárí kitáb ilhám se hai, aur ta'lím ke, aur ilzám ke, aur sudhárne ke, aur rástbází men tarbiyat ke wáste fáidamand hai:

17 Táki mard i Khudá kámil aur har ek nek kám men taiyár

ho.

21 Is liye agar koí apne taín un se pák sáf kare, to wuh 'izzat ká bartan, aur pák, aur málik ke kám ká, aur har ek achchhe kám ke liye taiyár hogá.

22 Jawání kí shahwaton se dúr bhág, aur un sab ke sáth, jo pák dil se Khudáwand ká nám lete hain, rástbází, aur ímán, aur muhabbat, aur sulh kí pairauí kar. 23 Par bewuqúfí aur nádání kí hujjaton se kinára kar; ki tú jántá hai, ki we jhagre paidá kartí hain. 24 Aur munasib nahín, ki Khudáwand ká banda jhagrá kare, balki sab se narmí karnewálá, aur sikhláne par musta'idd, aur dukhon ká sahnewálá howe.

25 Aur unhen, jo muqábala karte hain, farotaní se samjhawe, ki sháyad Khudá unhen tauba bakhshe, táki we sacháí ko pahchánen;

26 Aur we, jinhen Shaitán ne jítá shikár kiya hai, táki us kí marzí par chalen, hoshyár hokar us ke phande se chhúten.

4 Dagábáz, be-liház phúlnewále, Khuda se ziyáda 'ishrat ke cháhnewále ;

9 Aur díndárí kí súrat men hoke us kí qudrat ká inkár karenge: tú aison se dúr rah.

6 Kyunki un men se we hain, jo gharon men ghusá karte hain, aur un chhichhorí randíon ko, jo gunáhon tale dabí hain, aur tarah tarah ki shahwaton ke bas men phans gayi hain,

[merged small][ocr errors]
[blocks in formation]

PÚLÚS KÁ KHATT TÍTUS KO.

aur barkhilaf kahnewálon ko il
zám dene par qudrat rakhe.
10 Kyúnki bahut se kajrau aur
behúda-go aur dagábáz hain, kháss
kar makhtúnon men se;

11 Jin ká munh band kiyá cháhiye, ki we nárawá naf’a ke wáste námunásib báten sikhláke, sáre gharánon ko ulat pulat kar dálte hain.

12 Un men se ek ne, jo un ká nabí thá, kahá, ki Kretí hamesha ko jhúțhe, aur bure darinde, aur ásha-katí petú hain.

13 Yih gawáhí sach hai, is wáste tú unhen sakhtí se malámat kar, táki we ímán men sahíh hon.

14 Aur Yahúdíon kí kaháníon, aur aise ádmíon ke hukmon par, jo sacháí se phir gaye hain, mutawajjih na howen.

15 Pák logon ke liye sab kuchh pák hai: par nápákon aur be imánon ke liye kuchh pák nahín; balki un ki 'aql aur dil nápák hain.

16 Khudá ke pahchánne ká iqrár to karte hain, par kámon kí rah se us ká inkár karte hain; we nafrat ke láiq, aur náfarmánbardár hain, aur har ek nek kám kí nisbat ná-maqbúl.

I BÁB.

1

PÚLÚS kí taraf se, jo Khu

dá ká banda aur Yisú' Masíh ká rasúl hai, Khudá ke chune húon ke ímán aur us sacháí kí pahchán ke wáste, jo díndárí kí bábat hai;

2 Us hamesha ki zindagí kí ummed ke sáth, jis ká wa'da Khudá ne, jo jhúth nahin boltá, zamáne ke age kiya;

3 Aur waqt par apne kalám us manádí se záhir kiyá, jo máre bachánewále Khudá ke hukm se mujhe sompí gaí;

4 Títus ko jo 'ámm ímán ke rú se kháss farzand hai, Fazl, rahm aur salámatí, Báp Khudá aur hamáre bachánewále Khudáwand Yisú' Masíh kí taraf se tere liye howe.

5 Main ne tujhe is wáste Krete men chhorá, táki tú báqí chízen durust kare, aur qissíson ko shahr ba shahr muqarrar kare, jaisá main ne tujhe hukm kiya hai: 6 Par aison ko jo be-ilzám aur ek ek jorú rakhte hon, aur un ke laṛke ímándár, aur badchálí kí malámat se pák hon, aur kajrau na howen.

7 Kyúnki chahiye, ki nigáhbán jo Khudá kí taraf se mukhtár hai, be-ilzám ho, na ki khudpasand, ya gussawar, ya sharábí, yá márpit karnewálá, aur nárawá naf'a lenewálá ;

8 Balki musafir-dost, nekon ká cháhnewálá, hoshyár, munsif, pák, parhezgár;

9 Aur ta'lim ke muwáfiq ímán ke kalám ko thámbhe rahe, táki wuh sahíh ta'lím se nasíhat karne,

[blocks in formation]

aur mai ke bas men na howen, balki achchhí báton kí sikhlánewálí hon;

4 Aur jawán 'auraton ko hoshyár karen, ki we apne khasamon, aur bachchon ko piyár karen,

5 Aur hoshyár, aur pák-dáman, aur ghar men rahnewálíán, aur khush-mizáj, aur apne khasamon ke kahe men howen, táki Khuda ke kalám kí baðnámí na howe. 6 Yún hí jawánon ko bhí nasíhat kar, ki we hoshyár rahen.

7 Aur sárí báton men apne taín nek kámon ká namúna kar dikhlá; aur terí ta'lim khális, aur durust, o be-makr,

8 Aur terá kalám sahíh, aur be'aib ho, aur ilzám ke láiq na ho, táki mukhálif tum par 'aib lagáne kí koí wajh na pákar sharminda ho jáwe.

9 Naukaron ko sikhá, ki apne kháwindon kí tabi'dárí karen, aur sab báton men unhen khush rakhen, aur jawáb na diyá ka

ren;

10 Aur khiyánat na karen, balki kamál amánatdárí záhir karen; táki we hamáre bachánewále Khudá kí ta'lím ko sárí báton men raunaq dewen.

11 Kyúnki Khudá ká fazl, jis se naját hai, sáre ádmíon par záhir húá,

12 Jo hamen sikhlátá hai, ki be-díní aur dunyá kí burí khwáhishon se inkár karke, is jahán men hoshyárí, aur rástí, aur díndárí se zindagí guzránen;

13 Aur usí mubárak ummed, aur buzurg Khudá, aur apne bachánewále Yisú' Masíh ke zuhúr i jalíl kí ráh taken;

14 Jis ne ap ko hamáre badle diyá, táki wuh hamen sab tarah kí badkáríon se chhuráwe, aur ek kháss ummat ko, jo nekokárí men sargarm howen, apne liye pák kare.

15 Yih báten kah, aur nasihat kar, aur tamám ikhtiyár se malámat kar. Koí tujhe haqír na jáne.

[blocks in formation]

3 Kyúnki ham bhí áge ná-dán, ná - farmánbardár, fareb-khánewále, aur rang ba rang kí shahwaton aur 'ishraton ke bas men the, aur badkhwáhí aur dáh ke sáth guzrán karte, aur nafrat ke láiq, aur ápas men kína rakhte the. 4 Par jab hamáre bachánewále Khudá kí mihrbání aur piyár záhir húá,

5 Us ne ham ko, rástbází ke kámon se nahín jo ham ne kiye, balki apní rahmat ke sabab, naye janam ke gusl, aur us Rúh i Quds ke sar i nau banáne ke sabab, bacháyá;

6 Jise us ne hamáre bachánewále Yisú' Masíh kí ma'rifat ham par bahutayat se ḍálá;

7 Táki ham us ke fazl se rástbáz thaharkar, aur wáris banke hamesha kí zindagí ke ummedwár howen.

8 Yih bát sach hai, aur main cháhtá hún, ki tú in báton ko tákíd se kahá kar, táki we jo Khudá par ímán láe hain, andesha karke nekokárí men mashgúl rahen; ye chízen bhalí, aur ádmíon ke wáste fáidamand hain.

9 Aur bewuqúfon kí sí hujjat, aur nasabnámon, aur qaziyon aur takráron se, jo shari'at kí bábat hon, parhez kar, ki ye láhásil aur behúda hain.

10 Us shakhs ko, jo bid'atí hai, ek do nasíhat karke nikál de; 11 Tú jántá hai, ki waisá ádmí phir gaya hai, aur gunáh kartá, aur áp hí apne taín mulzam thahrátá hai.

|

12 Jab main Artimás yá Tukhi

kas ko tere pás bhejún, tab jaldí | riyát ke liye achchhe peshe ikhkar, ki tú mere pás Nikupulis men tiyár karen, táki we be-phal na áwe; kyúnki main ne tháná hai, howen. ki járá wahín kátún.

15 Sab jo mere sath hain, tujhe salám kahte hain. Un ko, jo ímán ke sabab ham se muhabbat rakhte hain, salám kah. Sab par fazl howe. Ámín,

13 Faqih Zenas aur Apallús ko khabardárí se pahunchá de, ki we kisí chíz ke muhtáj na howen. 14 Aur hamáre log bhí zarú.

PÚLÚS KÁ KHATT FILEMÚN KO

1

PÚLÚS kí jo Masíh Yisú'

ká qaidí, aur bháí Timtáús kí taraf se, Filemún ko, jo bará piyárá aur hamárá hamkhidmat hai,

2 Aur piyárí Afiyá, aur Arkhip-bat, pus hamáre ham-jang ko, aur us kalísiye ko, jo tere ghar men hai: 3 Fazl, aur salámatí, hamáre Báp Khudá aur Khudáwand Yisứ Masih kí taraf se, tum par howe. 4 Main terí muhabbat ko, jo sáre muqaddason se hai,

5 Aur ímán ko, jo Khudáwand Yisu' par hai, daryáft karke, hamesha apní du'áon men tujhe yád karta, aur apne Khuda ka shukr kartá hún;

6 Ki tere ímán kí rifáqat un sárí nekíon ke mán lene se, jo Masíh Yisú' ke wáste tum men hain, báasar ho.

7 Kyúnki ham terí muhabbat se bahut khush aur khátirjam'a hain, ki tujh se, ai bháí, muqaddas logon ká jí árám pátá hai.

8 So agarchi main Masih ke sabab bahut bedharak hún, ki tujhe jo munasib howe hukm karún,

9 Lekin mujhe yih pasand ayá, ki muhabbat kí ráh se iltimás karún; kyúnki main Púlús búrhá

aur ab Yisú' Masíh ká qaidí hún.

10 So main apne farzand kí bábat jo qaidkháne men mere liye paidá húá, ya'ne Unesimus kí bá'arz kartá hún :

11 Jo áge tere liye kuchh faidamand na thá, par ab tere aur mere liye bahut faidamand húá:

12 So main ne use bhejá hai: ab tú us ko, ya'ne, mere kaleje ke tukre ko, qabúl kar.

13 Main ne cháhá thá, ki use apne hí pás rakhún, táki wuh tere 'iwaz Injil ki zanjíron men merí khidmat kare:

14 Par terí marzí bagair main ne na cháhá, ki kuchh karún; táki terá nek kám láchárí se nahín, balki khushí se howe.

15 Wuh shayad tujh se is liye thorí der judá rahá, ki tú hamesha ke wáste use phir páwe;

16 Na gulám kí tarah, balki gulám se bihtar, ya'ne, bháí kí tarah, jo 'azíz hai, kháss kar mujh ko aur kitná hí ziyáda, jism kí ráh aur Khudáwand ke sabab, tujh ko 'azíz na hogá?

17 So agar tú mujhe sharík jántá hai, to us ko us tarah qabul kar, jis tarah mujh ko.

18 Agar us ne terá kuchh nuqsán

« ÎnapoiContinuă »