Imagini ale paginilor
PDF
ePub

266

1 TASSALUNÍQÍON, II. III.

ke rasúl hain, tum par bojh dálkyúnki un par gazab intihá ko sakte the. pahunchá.

7 Balki ham tumháre darmiyán aise muláim rahe, jaise dáí jo apne bachchon ko páltí hai:

8 Waise hi ham tumháre dilsoz hoke, na faqat Khudá kí Injíl, balki apní ján tak bhí tumhen dene ko rází the, is waste ki tum hamáre piyáre the.

9 Kyúnki, ai bháío, tum hamárí mihnat aur mashaqqat ko yád rakhte ho, ki ham ne is liye ki tum men se kisí par bár na ho, rát din dastkárí karke tumhen Khudá kí Injíl kí manádí kí.

10 Tum gawáh ho, aur Khudá bhí hai, ki tum men jo ímán láe, ham kyá hí pákí aur rástí aur be'aibí se guzrán karte the:

11 Chunánchi tum jánte ho, ki ham tum men har ek kí yún minnat karte, aur dilásá dete, aur nasíhat karte the, jaise báp apne bachchon ko,

17 Par ham ne, ai bháío, tum se thorí muddat tak dil se nahín, záhir men, judá hoke kamál árzú se niháyat koshish kí, ki tumhárá | munh dekhen.

18 Is waste ham ne, ya'ne, main ne jo Púlús hún, ek yá do bár cháhá, ki tumháre pás áún; par Shaitán ne hamen roká.

19 Ki hamárí ummed aur khushí aur fakhr ká táj kya hai? Kyá tum hí hamáre Khudáwand Yisú' Masih ke sámhne us ke áte waqt na hoge?

20 Ki yaqínan tum hamáre jalál aur khushi ho.

III BÁB.

Swist na sake, to rází
S waste jab ham ziyada bar-

húe ki ham Atení men akele rah
jáwen;

12 Táki tum us Khudá ke láiq 2 Chunánchi ham ne Timtáús chalo, jis ne tumhen apní bád-ko jo hamárá bháí, aur Khudá sháhí aur jalál men bulaya. ká khádim, aur Masíh ki Injíl men hamárá hamkhidmat hai, bhejá, ki wuh tum ko tumháre ímán men mazbút kare, aur tasallí de:

13 Is waste hamesha Khudá ke ham shukrguzár hain, ki jab wuh kalám jo Khudá ká hai, jise ham sunáte hain, tum ko milá, tum ne use ádmíon ká kalám nahín, 3 Táki tum in musíbaton se balki Khudá ká kalám jánkar, ki | lagzish na kháo; kyúnki tum áp wuh haqiqat men aisá hí hai, qa-jante ho, ki ham un hí ke liye búl kiya, aur wuh tum ímándáron muqarrar húe hain. men asar karta hai.

14 Is liye ki tum, ai bháío, Khudá kí kalísiyaon ke, jo Yahúdiya men Masih Yisú' kí hain, pairau húe: kyúnki tum ne bhí apne ham-qaumon se wuhí dukh páe, jo unhon ne Yahúdíon se:

15 Jinhon ne Khudáwand Yisú' aur apne nabíon ko már dálá, aur hamen satáyá; aur we Khudá ko khush nahín áte, aur sáre ádmíon ke mukhalif hain:

16 Aur is liye, ki un ke gunáh hamesha kamal ko pahunchte rahen, we ham ko man'a karte hain, ki ham gairqaumon ko wuh kalám ná sunáwen, jis se un kí naját ho;

4 Aur jab ham tumháre pás the, tumhen áge se kahá, ki ham musíbat men parenge: chunánchi wuhí húá, aur tum jánte ho.

5 Is wáste, jab main aur ziyáda bardásht na kar saká, tab tumhárá ímán daryáft karne ko bhejá, na howe, ki imtihan karnewale ne tumhárá imtihán kiyá ho, aur hamárí mihnat be-faida ho gayí ho.

6 Par ab Timtáús jab tumhárí taraf se hamáre pás áyá, aur tumháre ímán aur muhabbat kí khushkhabarí láyá, aur kahá, ki tum hamárá zikr i khair hamesha karte ho, aur tum hamáre dek hne

ke mushtaq ho, jaise ki ham bhí tumháre hain:

7 Is liye, ai bháío, ham ne apní sárí musíbat aur ihtiyáj men tumháre ímán ke sabab tum se tasallí páí;

8 Kyunki ab ham to jíte hain, agar tum Khudáwand men qáim raho.

9 Ki ham kyúnkar tumháre liye, is khushí ke sabab jo hamen tumhárí bábat apne Khudá ke huzúr hásil húí, Khudá kí shukrguzárí kar saken?

10 Ham rát din bahut hí du'á mángte rahte hain, ki tumhárá munh dekhen, aur tumháre ímán kí kamtíán púrí karen.

11 Aur Khudá hamárá Báp áp, | aur hamárá Khudáwand Yisú Masih aisá kare, ki khairiyat ke sáth hamárá guzar tumhárí taraf howe.

12 Aur Khudáwand aisá kare, ki jaisí ham ko tum se muhabbat hai, tumhárí muhabbat bhí, kyá ápas men, aur kya har ek ke sáth, barhe, aur ziyada howe:

13 Táki jab hamárá Khudáwand Yisú' Masih apne sab muqaddason ke sath áwe, tab wuh tumháre dil hamáre Báp Khudá ke sámhne pákízagí men be-'aib mazbút kar de.

+1

IV BÁB.

Tse Khudáwand Yisú' ke wáste 'arz aur minnat karte hain, ki jaisá tum ne ham se síkhá, ki kis tarah chalná aur Khudá ko khush karná zarúr hai, un men taraqqí karo.

2 Ki tum jánte ho, ki ham ne tum ko Khudáwand Yisú' kí taraf se kya hukm diye.

3 Kyúnki Khudá kí marzí yih hai, ki tum pák hoke harámkárí se apne taín báz rakho :

4 Táki har ek tum men se apne badan ko pákízagí aur 'izzat ke sáth rakhná jáne;

5 Na shahwat kí badmastí men, gair qaumon kí mánind jo Khudá ko pahchante nahín;

6 Aur koí kisí bát men apne bháí se bejá aur us par ziyadatí na kare: kyúnki Khudáwand un sab kámon ká badlá lenewálá hai; chunánchi ham ne áge bhí tum se kahá, aur gawáhí dí.

7 Ki Khuda ne ham ko ná-pákí ke liye nahín, balki pákízagí ke wáste buláyá.

8 Is waste, jo hiqárat kartá hai, so ádmí kí nahín, balki Khudá kí hiqárat karta hai, jis ne hamen apní pák Rúh bhí dí.

9 Ab bháíon kí muhabbat kí bábat hájat nahín, ki tumhen kuchh likhún; kyúnki tum ne ápas men muhabbat karne kí Khudá se ta'lím páí.

10 Chunánchi tum un sab bháíon se jo tamám Maqadúniya men hain, aisá hí karte ho; lekin, ai bháío, ham tumhárí minnat karte hain, ki tum ziyada taraqqí karo; 11 Aur jis tarah ham ne tumhen hukm kiya, tum garíbí ke sáth rahne, aur áp apne károbár karne, aur apne háthon se kam karne kí 'izzat ke cháhnewále ho;

12 Táki tum un ke áge, jo báhar hain, durustí se chalo, aur kisí chíz kí ihtiyáj na rakho.

13 Ai bháío, main nahín cháhtá hún, ki tum un ke ahwál se jo so gaye hain, ná-wáqif raho, táki tum

hain gam na karo.

jo ná-ummed

14 Kyúnki ham ne jo yaqin kiyá, ki Yisú' múá, aur uthá, to yih bhí yaqin kiyá chahiye, ki Khudá unhen, jo Yisú' men so gaye hain, us ke sáth le áegá.

15 Ki ham tumhen Khudáwand ke hukm se yih kahte hain, ki we jo ham men se Khudáwand ke áne tak zinda aur báqí rahenge, un se jo so gaye hain, áge na baṛh jáenge.

16 Kyúnki Khudáwand áp chúm se muqarrab firishte kí áwáz ke sáth Khudá ká narsingá phúnkte

húe ásmán par se utregá, aur jo | do, aur ek dusre kí taraqqí cháho;

Masih men hoke múe hain, we pahle uthenge:

17 Ba'd us ke ham men se jo jíte chhútenge un samet badlíon par nágáh uth jáenge, táki hawá men Khudáwand se muláqát karen; so ham Khudáwand ke sath hamesha rahenge.

18 Pas tum in báton se ápas men ek dusre ko tasallí do.

1 PAR

V BÁB.

AR, ai bháío, tumhen us kí hájat nahín, ki waqton aur mausimon kí bábat kuchh tumhen likhún.

2 Is waste ki tum áp khúb jánte ho, ki Khudáwand ká din is tarah áwegá, jis tarah rát ko chor átá hai.

3 Jis waqt log kahte honge, ki Salámatí aur be-khatrí hai, tab, jis tarah hámila ko dard lagte hain, un par nágahání halákat áwegí, aur we na bachenge.

4 Par tum, ai bháío, táríkí men nahín ho, ki wuh din chor kí tarah tum par á pare.

5 Tum sab núr ke farzand, aur din kí aulád ho; ham rát ke nahín, aur na táríkí ke hain. 6 Is waste chahiye, ki auron kí tarah na soen, balki bedár aur hoshyár rahen.

7 Kyúnki jo sote hain, so rát hí ko sote hain; aur jo matwále hote, rát hí ko matwále hote hain.

8 Par ham jo din ke hain, ímán o muhabbat ká baktar, aur naját kí ummed ká khod pahinkar, jágte rahen.

9 Kyúnki Khudá ne ham ko gazab ke liye nahín, balki is liye muqarrar kiyá, ki ham apne Khudawand Yisu' Masíh se naját hásil karen;

10 Kiwuh hamare waste múa, áki ham, kyá jágte, kyá sote, us sáth jíen.

|

|

chunánchi tum karte bhí ho.

12 Aur, ai bháío, ham tum se 'arz karte hain, ki tum un ko jo tum men mihnat karte, aur Khudáwand ke kám men tumháre sardár hain, aur tum ko nasihat karte hain, máno;

13 Aur un ke kám ke sabab muhabbat se un kí baṛí 'izzat karo. Aur tum ápas men mile raho.

14 Aur, ai bháío, ham tumhárí minnat karte hain, ki tum kajrauon ko nasihat karo, za'íf-dilon ko dilásá do, kamzoron ko sambhálo, sab kí bardásht karo.

15 Dekho, koí kisí se badí ke 'iwaz badí na kare; balki tum har waqt ek dúsre se, aur sab se, khush-sulúkí karo.

16 Hamesha khush raho. 17 Nit du'á mángo.

18 Har ek bát men shukrguzárí karo; kyúnki Masíh Yisu' men tumhárí bábat Khudá kí yihí marzí hai.

19 Rúh ko mat bujháo.

20 Nubuwaton kí hiqárat na karo.

21 Sárí báton ká imtihán karo; bihtar ko ikhtiyar karo.

22 Har ek badí kí súrat hí se dúr raho.

23 Aur wuh jo salámatí ká Khudá hai, áp hí tum ko bilkull pák kare, aur tumhárá sab kuchh, ya'ne, tumhárí rúh, aur ján, o badan, hamáre Khudáwand Yisú' Masih ke áne tak be-'aib salámat rahe.

24 Jis ne tumhen bulaya, wuh sachchá hai; wuh aisá hí karegá. 25 Bháío, hamáre wáste du'á mángo.

26 Sáre bháíon ko pák bosa leke salám karo.

27 Main tumhen Khudáwand kí qasam detá hún, ki yih khatt sáre muqaddas bháíon men parhwáo.

28 Hamáre Khudáwand Yisu' Masih ká fazl tum par howe.

Is liye tum ek ek ko tasallí | Ámín.

[merged small][ocr errors][merged small][merged small][merged small]

ÚLÚS aur Silwánus aur Timtáús kí taraf se Tassaluníqíon kí kalísiye ko, jo hamáre Báp Khudá aur Khudawand Yisú' Masíh men hai:

2 Hamáre Báp Khudá aur Khu dáwand Yisú' Masíh kí taraf se fazl aur salámatí tumháre liye howe.

aur us kí qudrat ke jalál se, abadí halákat kí sazá páwenge;

10 Us din jab wuh áwegá, ki apne muqaddason se jalál páwe, aur apne sab ímándáron men (kyúnki tum hamárí gawahí par ímán láe) ta'ajjub ká bá'is ho.

11 So ham tumháre liye sadá du'á mángte hain, ki hamárá Khudá tumhen is buláhat ke láiq jáne, aur nekí kí sab khushí, aur 3 Bháío, lázim hai, ki ham tum-ímán ke kám ko qudrat se púrá háre liye hamesha Khudá ká kare: shukr karen; chunánchi munásib hai, is liye ki tumhárá ímán ziyáda hotá játá hai, aur tum sab men se har ek kí muhabbat dúsron se barhtí játí hai;

4 Yahán tak ki ham áp Khuda kí kalísiyaon men tumhare sabab fakhr karte hain, ki un sab dukh aur musíbaton men jo tum sahte ho, tumhárá sabr aur ímán záhir hotá hai:

5 Khudá ke sachche insáf ká yih ek namúna hai, ki tum Khudá kí bádsháhí ke láiq gine jáo, jis ke liye tum dukh páte ho :

6 Kyúnki Khuda ke nazdík insáf yih hai, ki jo tumhen 'aziyat dete hain, unhen 'azíyat de,

7 Aur tumhen jo 'azíyat páte ho, hamáre sáth árám de, us waqt ki Khudáwand Yisú' ásmán se apne zabardast firishton ke sath bharaktí ág men záhir hogá,

8 Aur un se jo Khudá ko nahín pahchánte, aur hamáre Khudáwand Yisú' Masíh kí Injil ko nahín mánte, badlá legá.

9 We Khudáwand ke chihra se,

12 Táki hamáre Khudá aur Khudáwand Yisú' Masíh ke fazl ke muwáfiq, hamáre Khudáwand Yisú' Masíh ká nám tum men aur tum us men jalíl ho.

1

II BÁB.

BHAÍO, ham

apne Khudáwand Yisú' Masih ke áne, aur apne us pás jam'a hone kí bábat tum se 'arz karte hain,

2 Ki tum is khiyál se ki Masíh ká din á pahuncha hai, jald apne dil kí dháras mat khoo, aur na ghabráo, na kisí rúh, na kisí kalám, na kisí khatt se; yih sochkar, ki wuh, hamárí taraf se hai.

3 Koí tumhen kisí tarah se fareb na de; kyúnki wuh din nahín áwegá, magar jab tak ki pahile bargashtagí na ho, aur wuh gunáh ká shakhs, ya'ne, halákat ká farzand, záhir na howe;

4 Jo har ek ká, ki Khudá yá ma'búd kahlátá hai, muķhálif hai; aur un se áp ko bará samajhtá

hai, yahan tak ki wuh Khudá kí | jis ne hamen piyár kiyá, aur hahaikal men Khudá ban baithegá, men fazl se hamesha kí tasallí aur aur apne taín dikháwegá, ki main achchhí ummed dí, Khudá hún.

5 Kya tumhen yád nahín, ki main tumháre sath hote húe tumhen yih báten kahtá thá?

6 Aur tum us ko jánte ho, jo ab roktá hai, táki wuh apne waqt par záhir ho.

7 Ki badkárí ká bhed ab bhí to

tásír kartá játá hai: sirf itná zarúr hai, ki wuh jo ab tak roknewálá hai, bích se dúr kiya jác.

8 Tab wuh Badkár záhir hogá, jise Khudáwand apne munh ke dam se halák, aur apne ane kí tajallí se nest kar dega.

9 Us ká áná Shaitan ke kiye ke muwáfiq kamál qudrat, aur jhúthe nishán, aur achambhon,

10 Aur halák honewálon ke darmiyan sharárat kí kamál dagábází ke sath hogá; is waste, ki unhon ne rástí kí muhabbat ko, jis se we naját páte, ikhtiyár na kiya.

11 Aur is liye Khudá un pás tásír karnewálí dagá bhejegá, yahán tak ki we jhúth ko sach jánenge:

12 Táki we sab jo sacháí par ímán na lác, balki ná-rástí se rází the, sazá páwen.

13 Par, ai bháío, Khudáwand ke piyáro, lázim hai, ki ham tumháre waste hamesha Khudá kí shukrguzárí karen, ki Khudá ne tumhen auwal se chun liyá, ki tum Rúh se pákízagí hásil karke, aur sacháí par ímán láke, naját páo:

14 Jis ke liye tumhen hamárí Injil ke wasile buláyá, ki tum hamáre Khudáwand Yisú' Masíh ká jalál hásil karo.

[ocr errors]

17 Tumháre dilon ko tasallí dewe, aur tum ko har ek achchhe qaul aur fi'al men mazbút kare.

1

III BÁB.

ÁQÍ, ai bháío, hamáre

ki Khudáwand ka kalám jald phail jáwe, aur aisá jalál páwe, jaisá tum men hai :

2 Aur yih, ki ham ná-ma'qul aur bure ádmíon se chhutkárá páwen: kyúnki sab men ímán nahin. 3 Par Khudawand amánatdár hai; wuh tum ko mazbút karegá, aur badí se bacháegá.

4 Aur tumhárí bábat Khudáwand par hamárá yaqín hai, ki tum un hukmon par, jo ham tumhen dete hain, 'amal karte ho, aur karoge bhí.

5 Khudáwand tumháre dilon ko Khudá kí muhabbat, aur Masíh ke sabr kí taraf, hidayat kare.

6 Aur, ai bháío, ham apne Khudáwand Yisú' Masih ke nám se tumhen hukm karte hain, ki tum har ek bháí se jo kajrauí ke sáth, aur us sompí húi bát ke, jo ham se milí, barkhiláf chaltá hai, kanára karo.

7 Kyúnki tum áp jánte ho, ki hamárí pairauí kyúnkar kiyá cháhiye; ham to tumháre darmiyán kajrauí ke sáth chalte na the;

8 Aur kisí kí roțí muft na kháte the, balki mihnat aur mashaqqat ke sáth rát din kám karte the, táki tum men se kisí par bojh na howen:

9 Na is waste, ki ham ko ikhtiyár na thá, par is liye ki ham áp 15 Pas is waste, ai bháío, maz-ko tumháre liye namúna thahrábút raho, aur un báton ko, jo wen, táki tum hamárí pairauí tumháre supurd húín, jinhen tum karo. ne kalám, yá hamáre khatt se síkhá thá, thámbe raho.

16 Ab hamárá Khudáwand Yisú' Masíh áp, aur hamárá Báp Khudá, |

10 Aur jab ham tumháre sáth the, tab ham ne tumhen yih hukm kiyá, ki jo koí kám na kare, wuh kháne ko na pawe.

« ÎnapoiContinuă »