Imagini ale paginilor
PDF
ePub

PÚLÚS KÁ KHATT FILIPPÍON KO.

1

[ocr errors]

I BÁB.

ISÚ' Masih ke bande
Púlús aur Timtáús Fi-

lippí shahr ke un sab muqaddason
ko, jo Masíh Yisú' men hain, ni-
gáhbánon aur khádimon samet:
2 Fazl aur salámatí hamáre Báp
Khuda aur Khudáwand Yisú' Ma-
síh kí taraf se tumháre liye howen.
3 Main, jab jab tumhen yád
kartá, apne Khudá ká shukr bajá
látá hún,

4 Aur apní har ek du'á men khushí se hamesha tum sab ke liye du'á mángtá hún,

5 Ki tum auwal roz se áj tak Injil men sharík rahe;

6 Mujhe yih yaqín hai, ki wuh jis ne tum men nek kám shurú' kiya hai, so Yisú' Masíh ke din tak kartá chalá jáegá:

7 Chunánchi munasib hai, ki main tum sab ke haqq men aisá hí samjhún; kyúnki tum mere dil men ho, aur merí zanjíron, aur 'uzr, aur Injil ke sábit karne men, tum sab merí ni'amat men sharík ho.

8 Ki Khudá merá gawáh hai, ki main Yisú' Masih kí sí ulfat rakhke tum sab ká mushtaq hún. 9 Aur main yih du'á karta hún, ki tumhárí muhabbat, dánáí aur kamál shu'úr ke sáth, ziyáda barhtí chalí jáwe;

10 Táki tum un chízon men, jin men farq hai, imtiyáz kar jáno; aur Masih ke din tak khális raho, aur thokar na kháo;

11 Aur rástbází ke phalon se, jo Yisú' Masih ke sabab se hain, lade raho, táki Khudá ká jalál aur us kí sitáish howe.

12 Aur, ai bháío, main cháhtá

hún, ki tum jáno, ki jo mujh par guzrá hai, so Injíl kí ziyada taraqqí ke liye záhir húá;

13 Yahan tak ki Qaisar ke sáre mahall aur báqí sab makánon men mashhúr húá, ki main Masíh ke waste bandhá hún;

14 Aur aksaron ne un men se jo Khudáwand men bháí hain, meri zanjíron se diler hoke bekhauf kalám bolne kí ziyáda jur,at paidá kí.

15 Ba'ze to dáh aur jhagre se, aur ba'ze nek níyat se Masíh kí manádí karte hain:

16 Jhagrálú to sáf dil se Masíh kí Injíl nahín sunáte, balki is khiyál se, ki merí zanjíron par aur ranj barháwen:

17 Par muhabbatwále yih jánkar Injíl sunáte hain, ki main Injil sabit karne ke wáste muqarrar húá hún.

18 Pas kya hai? har tarah se Masíh kí khabar dí játí hai, khwáh makkárí se, khwah sacháí se, aur main us men khush hún, balki khush rahúngá bhí.

19 Kyúnki main jántá, ki tumhárí du'á aur Yisú' Masíh kí Rúh kí madad se is ká anjám merí naját hogí;

20 Chunánchi merá tawaqqu'aur ummed yih hai, ki main kisí bát men sharminda na húngá, balki kamál beparwáí se hamesha kí tarah ab bhí Masih mere badan se, khwáh mere jíte, khwáh mere múe par, buzurgí páwegá.

21 Kyúnki zindagi mere liye Masíh hai, aur maut naf'a hai. 22 Par agar main jism men zinda rahún, to yih merí mihnat ká phal hogá; par main nahín jántá, ki kise ikhtiyar karún.

23 Ki main do báton kí band men jakrá hún; mujhe árzú hai, ki chhutkárá páún, aur Masih ke sáth rahún; ki yih bahut bihtar hai:

24 Par jism men rahná tumhárí khátir us se bahut zarúr hai. 25 Aur main yih yaqín jántá hún, ki main rahúnga, aur tum sab ke sáth thahrúngá, táki tum ímán men barhte jao, aur khush raho;

26 Ki tumhárá fakhr, jo Masíh Yisú' kí bábat mere sabab se hai, so mere tumháre pás phir áne se ziyáda howe.

27 Sirf Masíh kí Injil ke mu wáfiq guzrán karo: táki main khwah aún, aur tumhen dekhún, khwáh na áún, tumhárá yih ahwál sunún, ki tum ek ruh men qáim ho rahe, aur Injíl ke ímán ke liye ek ján hoke koshish karte ho;

28 Aur yih ki mukhálifon se kisí bát men haul nahín kháte; | kyúnki yih un ke liye halákat ká, par tumháre waste Khudá kí taraf se naját ká nishán hai.

29 Kyúnki Masíh kí bábat tumhen yih bakhshá gayá, ki tum na faqat us par ímán láo, balki yih ki us kí khátir dukh bhí páo;

30 Ki tum us taur par ján-fishání karte ho, jis taur par tum ne mujhe karte dekhá, aur ab sunte ho, ki main kartá hún.

[blocks in formation]
[ocr errors]

|

4 Tum men se har ek apne ahwál par nahín, balki har ek dusron ke ahwál par bhí liház kare. 5 Pas tumhárá mizáj wuhí howe, jo Masíh Yisú' ká thá :

6 Ki us ne Khudá kí súrat men hoke Khuda ke barábar honá ganímat na jáná:

7 Lekin us ne áp ko ních kiya, aur khádim kí súrat pakrí, aur insán kí shakl baná :

8 Aur admí kí súrat men záhir hoke áp ko past kiya, aur marne tak, balki salíbí maut tak, farmánbardár rahá.

9 Is wáste Khudá ne use bahut sarfaráz kiyá, aur us ko aisá nám, jo sab námon se buzurg hai, bakhshá:

10 Táki Yisú' ke nám par har ek, kyá ásmání, kyá zamíní, aur kyá jo zamín ke tale hain, ghutná teke;

TI Aur har ek zubán iqrár kare, ki Yisú' Masih Khudáwand hai, táki Khudá Báp ká jalál howe.

12 So, ai mere bháío, jis tarah tum hamesha farmánbardárí karte áe ho, usí tarah tum na sirf merí házirí men, balki ab merí gair-házirí men, bahut ziyada darte aur thartharáte apní naját ke kám kiye jáo. 13 Kyúnki Khudá hí hai, jo tum men asar kartá, ki tum us kí marzí ke mutábiq cháho, aur kám bhí karo.

14 Sab kám be-kurkuṛáe aur bin takrár karo:

15 Táki tum be-ilzám aur bebad hoke terhí tirchhí qaum ke darmiyán Khudá ke be-aib farzand bane raho; (jin ke bích tum núr ke mánind jo dunya men hai chamakte ho;

16 Ki zindagí ká kalám liye húe rahte;) táki Masíh ke din merí baráí ho, ki merí daur aur mihnat be-faida na húí.

17 Par agar merá lahú tumháre ímán kí qurbání aur hadye par dhálá jáwe, taubhí main khush hún, aur tum sab ke sath khushí kartá hún.

258

gaur?

FILIPPION, II. III.

18 Tum bhí waise hí khush ho, aur mere sath khushi karo. 19 Aur mujhe Khudáwand Yisú' se yih ummed hai, ki Timtáús ko tumháre pás jald bhejún, táki tumhárá ahwal daryaft karke merí bhí khátir-jam'aí ho.

20 Kyúnki koi aisá ek-dil rafiq mere sath nahín, jo be-garazí se tumháre liye fikrmand howe. 21 Ki sab apní chízon kí talásh men hain, na un kí jo Yisú' Masíh kí hain.

22 Lekin tum us kí ázmáí húí khúbí se wáqif ho, ki jaise beța báp ke sáth, waise us ne mere sáth Injíl kí khidmat kí.

23 Pas main ummedwár hún, ki apne ahwál ká anjám dekhke filfaur use bhej dún.

24 Aur mujhe Khudáwand se yaqín hai, ki main áp bhí jald áún. 25 Ab main ne Ipafraditus ko jo merá bhái, aur ham-khidmat, aur ham-sipáhí, aur tumhárá páyik, aur merá ihtiyáj raf'a karne ke liye khádim hai, tum pás bhejná zarúr jáná.

26 Ki wuh tum sab ká nipat mushtaq hai, aur is waste ki tum ne us kí bímárí ká hál suná thá, udás rahtá thá.

27 Wuh to bímárí se marne par thá, par Khudá ne us par rahm kiyá; aur faqat us par nahín, balki mujh par bhí, tá na howe, ki main gam par gam kháún.

28 So main ne use bahut jald bhejá, táki tum us kí do bára muláqát se khush ho, aur merá bhí gam ghate.

29 Pas tum us ko Khudáwand ke sabab kamál khushí se qabúl karo, aur aison kí 'izzat karo.

30 Is liye ki wuh Masih ke kám ke waste marne par thá, balki us ne apní zindagi ko náchíz jáná, táki us kamí ko, jo tum ne merí khidmat ke haqq men kí thí, púrá

kare.

|

Ihayal?

III BÁB.

BAQI, ai mere bháío, Khu

dáwand men khush raho. Wuh hí bát tumhen phir phir likhná mere liye taklíf nahín, aur tumháre liye salámatí ká bá’is hai. 2 Kutton se khabardár raho, badkáron se parhez karo, káṭkút karnewálon se chaukas raho.

3 Kyunki haqiqi khatna ham hain, jo rúh se Khudá kí 'ibádat karte hain, aur Masíh Yisú' par fakhr karte hain, aur jism kí bharosá nahín rakhte.

4 Lekin main jism ká bharosá rakh saktá hún: agar aur koí jism par bharosá kar sake, to main ziyáda:

5 Ki merá khatna áṭhwen din húá, aur main Israel kí aulád, Binyamin ke firqe se, 'Ibráníon ká 'Ibrání, sharîat kí nisbat Farísí hún;

6 Gairat men to kalísiye ká satánewálá, aur sharí'at kí rástbází men be-'aib thá.

7 Lekin jitní chízen mere nafa kí thín, main ne unhin ko Masih kí khátir nuqsán samjhá.

8 Balki main apne Khudáwand Masih Yisú' ki pahchán kí khúbí ke sabab sab kuchh nuqsán samajhtá hún, jis kí khátir har chíz ká nuqsán uthayá, aur unhen gandagí jántá hún, táki main Masih ko naf'a men páún,

9 Aur us men payá jáún, apní is rástbází ke sath nahín jo sharí'at se hai, balki us rástbází ke sáth jo Masíh par ímán láne se, ya'ne, us rástbází ke sáth jo Khudá kí taraf se ímán kí ráh men milti hai:

10 Aur ki main us ko aur us ke jí uthne kí qudrat ko, aur us ke sáth dukhon men sharík hone ko daryáft karún, aur us kí maut se muwáfaqat paidá karún;

11 Táki main kisí tarah se murdon ke jí uthne ke darje tak pahunchún.

12 Kyúnki main ab tak pá na

FILIPPION, III. IV.

chuká, aur hanoz main kámil nahín húá: balki píchhá kiye játá hún, táki jis garaz ke liye mujhe Yisú' Masih ne pakṛá, main use já pakṛún.

13 Ai bháío, merá yih gumán nahín, ki main pakar chuka hún: par itna hai kĩ main un chízon ko jo píchhe chhútín bhúlke un ke liye jo age hain barhá húá,

14 Sídhá nishán kí taraf chalá játá hún, táki main us sila ko, jis ke liye Khuda ne mujh ko Masíh Yisú kí ma'rifat se úpar buláyá, páún.

15 Pas ham men se jitne kámil hain, yihí khiyál rakhen: aur agar kisí bát men tumhárá aur tarah ká khiyál ho, to Khudá use bhí tum par khol degá.

16 Ba har hál jahan tak ham pahunche hain, usí ke qánún par qadam máren, usí ko khiyál ka

ren.

17 Ai bháío, tum sab ke sab merí pairauí karo, aur tum un logon par, jo is namúne ke muwáfiq, jo ham men dekhte ho, chalte hain, gaur karo.

18 (Kyunki bahutere chalnewále hain jin ká zikr main ne tum se bárhá kiyá, aur ab ro roke kahtá hún, ki we Masíh kí salíb ke dushman hain:

19 Un ká anjám halákat hai, un ká Khudá pet, un ká nang un kí barai hai, we dunyá kí chizon | par khiyál rakhte hain.)

259

khushí aur táj ho, ai piyáro, tum Khudáwand men isí tarah mazbút raho.

2 Main Yúodias se iltimás kartá hún aur Suntukhí se bhí, ki we Khudáwand kí ráh men ek-dil howen.

3 Aur ai sachche hamkhidmat, terí bhí minnat kartá hún, ki tú un 'auraton kí, jinhon ne mere sáth Injil kí khidmat men koshish kí, Klemans aur mere báqí hamkhidmaton samet, jin ke nám zindagi ke daftar men hain, madad karo.

4 Khudáwand men hamesha khush raho: phir kahtá hún, khush raho.

5 Tumhárí miyánarauí sab ádmíon par záhir ho. Khudáwand nazdík hai.

6 Kisí bát ká andesha na karo; balki har ek bát men tumhárí 'arz, du'a aur minnat se, shukrguzárí ke sáth, Khudá se kí jáe,

7 Aur Khudá kí itmínán jo sárí samajh se báhar hai, tumháre dilon, aur khiyálon kí Masíh Yisú' men nigahbání karegí.

8 Báqí, ai bháío, jitní chízen sach hain, aur jitní chízen munásib hain, aur jitní chízen sídhí hain, aur jitní chízen pák hain, aur jitní chizen pasandída hain, aur jitní chízen neknám hain, agar kuchh nekí aur kuchh ta'ríf hai, to un báton par gaur

karo. 9 Aur jo kuchh tum ne mujh se 20 Kyúnki ham ásmán ke básh-síkhá, aur qabúl kiyá, aur suná, indon ke ham-watan hain, jahán aur dekhá, un par 'amal karo; se naját bakhshnewále Khudá- tab Khudá, jo sulh ká bání hai, wand Yisú' Masíh kí ráh takte tumháre sáth rahegá. hain:

21 Ki wuh apní qudrat kí tásír ke mutábiq, jis se wuh sab ko apne tábi' kar sakta hai, hamáre khákí badan ko badalke apne jalálí jism ke mánind banáegá.

IV BÁB.

S waste, ai mere bare piyáre aur 'azíz bháío, jo merí

10 Aur main Khudáwand men bahut khush hún, is waste, ki mere liye tumháre fikr ke darakht men ákhir ko phúl lage, jis ke liye tum áge andeshamand the, par mausim na tha.

11 Lekin main muhtájí se nahín kahtá; kyúnki main ne yih síkhá, ki jis hálat men hún, usí par rází rahún

12 Main ghatná jántá hún, aur

barhná bhí jántá hún; har maqám | bahutáyat ke sath hai; main men, aur sab báton men, ser hone, bhará hún, main ne tumhari bhúkhe rahne, barhne aur ghatne bhejí húí chízen Ipafraditus ke kí main ne ta'lím páí. háth se páín, ek khushbú aur qurbání i maqbúl, jo Khudá kí pasand hai.

13 Masih se, jo mujhe táqat bakhshta hai, main sab kuchh kar saktá hún.

14 Taubhí tum ne bhalá kiyá, jo dukh men merí madad kí.

15 Ai Filippío, tum yih bhí jáno, ki Injil kí manádí ke shurú' men, jab main Maqadúniya se nikal áyá, tab kisí kalisiye ne, siwá tumhárí ke, dene lene men merí madad na kí.

16 Tassaluníqe men bhí tum ne ek do bár kuchh bhejá kí merí ihtiyáj raf'a ho.

17 Main to in'ám nahín cháhtá, balki phal cháhtá hún, jo tumháre hisáb men ziyáda faida bakhshe.

19 Merá Khudá apne jalál ki daulat ke muwáfiq tumhárí har ek ihtiyáj Masíh Yisú' se rafa karegá.

20 Hamare Báp Khudá ká hạ mesha jalál howe. Ámín. 21 Har ek muqaddas ko, jo Masíh Yisú' men hai, salám karo. Sáre bháí, jo mere sath hain, tumhen salám kahte hain.

22 Sáre muqaddas log, khusúsan we jo Qaisar ke ghar ke hain, tum sab ko salám kahte hain.

23 Hamáre Khudáwand Yisu Masíh ká fazl tum sab par howe.

18 Mere pás sab kuchh, balki | Ámín.

PÚLUS KÁ KHATT QULASSION

KO.

[blocks in formation]

4 Ham tumháre haqq men hamesha du'á karke Khuda aur

apne Khudawand Yisu Masíh ke Báp ká shukr karte hain,

5 Us ummed ke liye jo tumháre waste ásmán par maujúd hai, jis ká zikr tum ne Injil ke kalám i haqq men suná;

6 Jo tum pás pahunchí, jaise sáre jahán men, aur phal detí hai; chunánchi tumháre darmiyán bhí, jis din se tum ne us kí suní, aur Khudá ke fazl ko usc sachchí tarah se pahcháná hai :

7 Chunánchi tum ne hamáre 'azíz ham-khidmat Ipafras se, jo

« ÎnapoiContinuă »