Imagini ale paginilor
PDF
ePub

z

AFSÍON, IV. V. fe no house fute

ke bándhne men un kí dagábází se, uchhalte bahte phiren;

15 Balki muhabbat ke sath sach bolke, us men, jo sir hai, ya'ne Masih men hoke, har tarah se barhte jáwen;

16 Us se sárá badan, har ek 'azú ke band ke jutne se khúb paiwasta aur mazbút hokar, muwáfiq us tásír ke jo, ba qadr har juz ke, hotí hai, kull ko barhátá hai, aur muhabbat men apní taraqqí kartá játá hai.

17 Is liye main yih kahtá hún, aur Khudáwand ke áge hukm kartá hún, ki tum áge ko aisí chál na chalo, jaise aur gair qaumen apní bátil 'aql ke muwáfiq chaltí hain;

18 Ki un kí 'aql tárík ho gayi hai, aur we us jahálat ke sabab jo un men hai, aur apne dilon kí sakhtí ke bá'is, Khudá kí zindagí se judá hain :

[blocks in formation]

253

28 Jis ne chorí kí ho, phir chorí na kare, balki achchhá pesha ikh-f tiyár karke háthon se mihnat kare, táki muhtáj ko kuchh de sake.

29 Koí gandí bát tumháre munh se na nikle, balki wuh jo achchhí aur taraqqí ke liye kám áwe, táki sunnewálon ko faida bakhshe. 30 Aur Khudá kí Rúh i muqaddas ko, jis se tum par khalásí ke din tak muhr húí, ranjída na karo.

31 Sárí kaṛwáhat, aur gazab, aur gussa, aur gul, aur badgoí, tamám badkhwáhí samet, tum se dúr ho jáwen:

32 Aur tum ek dusre par mihrbán aur dardmand ho, aur ek dúsre ko bakhshá karo, chunánchi Khudá ne bhí Masíh ke liye tumhen bakhshá hai.

1

V BÁB.

AS tum 'azíz farzandon kí

Khuda ke pairau

ho;

2 Aur muhabbat se chalo, jaise Masih ne bhí ham se muhabbat kí, aur khushbú ke liye hamáre 'iwaz men apne taín Khudá ke áge nazr aur qurbán kiyá.

3 Aur harámkárí, aur har tarah kí nápákí, aur lálach ká tum men zikr tak na ho, jaisá muqaddas logon ko munásib hai;

4 Aur be-sharmí, aur behúda bát, yá thaṭṭhebází jo ná-munásib hai, na howe, balki beshtar shukrguzárí.

5 Kyúnki tum is se wáqif ho, ki kisí harámkár, aur nápák, aur lálchí ko, jo but-parast hai, Masíh aur Khudá kí bádsháhat men mírás nahín hai.

6 Koí tum ko behúda báton se bhuláwá na de; kyúnki aisí báton ke sabab Khudá ká gazab náfarmánbardáron par paṛtá hai.

7 Pas tum un ke sharík na ho. 8 Kyúnki tum áge táríkí the, par ab Khudá men hoke núr ho:

tum núr ke farzandon kí tarah, piyár karo, jaisá Masíh ne bhí chalo : kalísiye ko piyár kiyá, aur apne taín us ke badle diya;

26 Tá ki us ko pání ke gusl se kalám ke sáth pák karke muqaddas kare,

9 (Is liye ki Rúh ká phal jo hai, kamál khúbí, aur rástbází, aur sacháí hai ;)

10 Aur daryáft karte jáo, ki Khudáwand ko kya khush átá hai. 11 Aur táríkí ke lá-hásil kámon men sharík mat ho, balki beshtar un ko malámat karo.

12 Kyunki un ke poshída kámon ká zikr bhí karná sharm hai. 13 Aur sárí chízen jo malámat ke láiq hain, roshní se záhir hotí hain; kyúnki har ek chíz jo roshan

kartí, roshní hai.

14 Is liye wuh kahta hai, Are á, tú jo sotá hai, jág, aur murdon men se uth; ki Masíh tujhe roshan karegá.

15 Pas khabardár, tum dekh bhálke chalo, nádánon kí tarah nahín, balki dánáon kí mánind,

16 Aur waqt ko ganímat jáno, kyúnki din bure hain.

17 Is wáste, tum be-tamíz na raho, balki samjho, ki Khudáwand kí marzí kya hai.

18 Aur sharáb píke matwále na ho, ki us men kharábí hai, balki Rúh se bhar jáo;

|

19 Aur apas men zabur, aur gít, aur rúhání gazalen gáyá karo, aur apne dil men Khudawand ke liye gáte bajáte raho;

20 Aur hamesha sab báton men hamáre Khudáwand Yisú' Masíh ke nám se Khudá Báp ke shukr guzár raho;

21 Aur Khudá ke khauf se ek dúsre kí farmánbardárí karo.

22 Ai 'aurato, apne shauharon kí aisí farmánbardár raho, jaise Khudáwand kí.

23 Kyunki shauhar jorú ká sir hai, jaise ki Masih kalísiye ká sir, aur wuh badan ká bachánewálá

hai.

[ocr errors]

24 Pas jaise kalísiyá Masíh kí farmánbardár hai, waise hí jorúán bhí har bát men apne shauharon kí howen. 25 Ai mardo, apní jorúon ko

27 Aur use apne liye taiyár kare, ya'ne ek aisí jalálwálí kalísiyá jis men dág, yá chín, yá koi aisí chíz na ho, balki wuh muqaddas aur be-'aib ho.

28 Yún hí mardon par lázim hai, ki apní jorúon ko piyár karen, jaise apne badan ko. Jo apní jorú piyár kartá hai, so áp ko piyár

ko

karta hai.

[blocks in formation]

thartharáte húe, aise farmánbar- | newálí Injil kí chálákí bándhdár ho, jaise Masíh ke;

6 Aur ádmí ke khushámad-karnewálon kí tarah dikhane ko nahín, balki Masih ke bandon kí mánind, dil se Khudá kí marzí par chalo ;

[blocks in formation]

ke;

16 Aur un sab ke úpar ímán kí sipar lagáke, jis se tum us sharír ke sáre jalte tíron ko bujhá sako, qáim raho.

17 Aur naját ká khod, aur Rúh kí talwár, jo Khudá ká kalám hai, le lo:

18 Aur kamál árzú o minnat ke sáth har waqt Rúh men du'á mángo, aur us ke liye sab muqaddason ke wáste nihayat musta'idd hoke aur minnat karke jágte raho; 19 Aur mere wáste bhí, táki mujhe kalám karne kí táqat 'ináyat ho, ki merá munh be-parwáí se khul jáwe, táki main is Injíl ke bhed ko,

20 Jis ke liye qaidí elchí hún, záhir karún: ki main us ko bedharak aisá kahún, jaisá mujhe kahná farz hai.

21 Par is liház se ki tum bhí mere ahwál ko jáno, ki main kyá kartá hún, Tukhikas, jo piyárá bháí aur Khudáwand ká muatabar khá dim hai, tum ko sab baten batáegá:

22 Jise main ne tumháre pás is wáste bhejá, ki tum hamáre ahwál ko jáno, aur wuh tumháre dilon ko tasallí de.

23 Bháíon kí salámatí ho, aur Báp Khuda kí aur Khudáwand Yisú' Masíh kí taraf se ímán ke sáth muhabbat mile.

24 Fazl un sab par howe jo hamáre Khudáwand Yisú' Masíh se filhaqiqat muhabbat rakhte hain. Ámín.

PÚLÚS KÁ KHATT FILIPPION KO.

1

I BÁB.

YISO

Masih ke bande Púlús aur Timtáús Filippí shahr ke un sab muqaddason ko, jo Masíh Yisú' men hain, nigáhbánon aur khádimon samet: 2 Fazl aur salámatí hamáre Báp Khudá aur Khudáwand Yisú' Ma-jo síh kí taraf se tumháre liye howen. 3 Main, jab jab tumhen yád kartá, apne Khudá ká shukr bajá látá hún,

4 Aur apní har ek du'á men khushí se hamesha tum sab ke liye du'á mángtá hún,

|

5 Ki tum auwal roz se áj tak Injil men sharík rahe;

6 Mujhe yih yaqín hai, ki wuh jis ne tum men nek kám shurú' kiya hai, so Yisú' Masih ke din tak kartá chalá jáegá :

7 Chunánchi munasib hai, ki main tum sab ke haqq men aisá hí samjhún; kyúnki tum mere dil men ho, aur merí zanjíron, aur 'uzr, aur Injil ke sábit karne men, tum sab merí ni'amat men sharík ho.

|

8 Ki Khudá merá gawáh hai, ki main Yisú' Masíh kí sí ulfat rakhke tum sab ká mushtaq hún. 9 Aur main yih du'á karta hún, ki tumhárí muhabbat, dánáí aur kamál shu'úr ke sáth, ziyada barhtí chalí jáwe;

10 Táki tum un chízon men, jin men farq hai, imtiyaz kar jáno; aur Masih ke din tak khális raho, aur thokar na kháo;

hún, ki tum jáno, ki jo mujh par guzrá hai, so Injíl kí ziyáda taraqqí ke liye záhir húá;

13 Yahan tak ki Qaisar ke sáre mahall aur báqí sab makánon men mashhúr húá, ki main Masíh ke waste bandhá hún;

14 Aur aksaron ne un men se

11 Aur rástbází ke phalon se, jo Yisú' Masíh ke sabab se hain, lade raho, táki Khudá ká jalál aur us kí sitáish howe.

12 Aur, ai bháío, main cháhtá

Khudáwand men bháí hain, meri zanjíron se diler hoke bekhauf kalám bolne kí ziyáda jur,at paidá kí.

15 Ba'ze to dáh aur jhagre se, aur ba'ze nek níyat se Masíh kí manádí karte hain:

16 Jhagrálú to sáf dil se Masíh kí Injil nahín sunáte, balki is khiyál se, ki merí zanjíron par aur ranj barháwen:

17 Par muhabbatwále yih jánkar Injil sunáte hain, ki main Injil sábit karne ke wáste muqarrar húá hún.

18 Pas kya hai? har tarah se Masíh kí khabar dí játí hai, khwáh makkárí se, khwáh sacháí se, aur main us men khush hún, balki khush rahúngá bhí.

19 Kyúnki main jántá, ki tumhárí du'á aur Yisú' Masíh kí Rúh kí madad se is ká anjám merí naját hogí

20 Chunánchi merá tawaqqu'aur ummed yih hai, ki main kisí bát men sharminda na húngá, balki kamál beparwáí se hamesha kí. tarah ab bhí Masíh mere badan se, khwáh mere jíte, khwáh mere múe par, buzurgí páwegá. 21 Kyunki zindagi mere liye Masíh hai, aur maut naf'a hai. 22 Par agar main jism men zinda rahún, to yih merí mihnat ká phal hogá; par main nahín jánta, ki kise ikhtiyár karún.

[blocks in formation]

25 Aur main yih yaqín jántá hún, ki main rahúnga, aur tum sab ke sath thahrúngá, táki tum ímán men barhte jáo, aur khush raho;

26 Ki tumhárá fakhr, jo Masíh Yisú' kí bábat mere sabab se hai, so mere tumháre pás phir áne se ziyáda howe.

27 Sirf Masíh kí Injil ke mu wáfiq guzrán karo: táki main khwáh aún, aur tumhen dekhún, khwáh na áún, tumhárá yih ahwál sunún, ki tum ek ruh men qáim ho rahe, aur Injíl ke ímán ke liye ek ján hoke koshish karte ho;

28 Aur yih ki mukhálifon se kisí bát men haul nahín kháte; kyúnki yih un ke liye halákat ká, par tumhare waste Khudá kí taraf se naját ká nishan hai.

29 Kyúnki Masíh kí bábat tum-zirí men, balki ab merí gair-házirí hen yih bakhshá gayá, ki tum na faqat us par ímán láo, balki yih ki us kí khátir dukh bhí páo;

|

30 Ki tum us taur par ján-fishání karte ho, jis taur par tum ne mujhe karte dekhá, aur ab sunte ho, ki main kartá hún.

II BÁB.

10 agar Masíh men kuchh dilásá, aur muhabbat kí kuchh tasallí, aur agar Rúh kí kuchh rifáqat, aur agar kuchh rahm aur dardmandí hai,

2 To merí khushí ko púrá karo, ki ek sá mizáj rakho, ek sí muhabbat rakho, ek-ján hoo, ek-dil hoo.

4 Tum men se har ek apne ahwál par nahín, balki har ek dusron ke ahwál par bhí liház kare. 5 Pas tumhárá mizáj wuhí howe, jo Masíh Yisú' ká thá:

6 Ki us ne Khudá kí súrat men hoke Khuda ke barábar honá ganímat na jáná:

7 Lekin us ne áp ko ních kiyá, aur khádim kí súrat pakrí, aur insán kí shakl baná :

|

8 Aur admí kí súrat men záhir hoke áp ko past kiya, aur marne tak, balki salíbí maut tak, farmánbardár rahá.

9 Is waste Khudá ne use bahut sarfaráz kiyá, aur us ko aisá nám, jo sab námon se buzurg hai, bakhshá:

10 Táki Yisú' ke nám par har ek, kyá ásmání, kyá zamíní, aur kyá jo zamín ke tale hain, ghutná teke;

|

TT Aur har ek zubán iqrár kare, ki Yisú' Masih Khudáwand hai, táki Khudá Báp ká jalál howe. 12 So, ai mere bháío, jis tarah tum hamesha farmánbardárí karte áe ho, usí tarah tum na sirf merí há

3 Jhagre aur jhúthe fakhr se kuchh na karo, par kháksárí se ek dúsre ko apne se bihtar jáno.

men, bahut ziyada darte aur thartharáte apní naját ke kám kiye jáo. 13 Kyúnki Khudá hí hai, jo tum men asar kartá, ki tum us kí marzí ke mutábiq cháho, aur kám bhí karo.

14 Sab kám be-kurkuṛáe aur bin takrár karo:

15 Táki tum bc-ilzám aur bebad hoke terhí tirchhí qaum ke darmiyán Khudá ke be-'aib farzand bane raho; (jin ke bích tum núr ke mánind jo dunyá men hai chamakte ho;

16 Ki zindagí ká kalám liye húe rahte;) táki Masíh ke din merí baráí ho, ki merí daur aur mihnat be-faida na húí.

17 Par agar merá lahú tumháre ímán kí qurbání aur hadye par dhálá jáwe, taubhí main khush hún, aur tum sab ke sath khushí kartá hún.

« ÎnapoiContinuați »