Imagini ale paginilor
PDF
ePub

5 Ham ko, jo gunáhon ke sabab murde the, Masih ke sath jiláyá, (tum fazl hí se bach gaye;)

6 Aur us ne ham ko us ke sáth utháyá, aur Masíh Yisú' ke sabab ásmání makánon par us ke sáth bitháyá:

7 Táki wuh apní us mihrbání se jo Masíh Yisứ’ ke sabab ham par hai, ánewále zamáne men apne fazĺ kí be-niháyat daulat ko dikháwe.

8 Kyúnki tum fazl ke sabab ímán láke bach gaye ho: aur yih tum se nahín: Khudá kí bakhshish hai:

9 Aur yih a'amál ke sabab se nahín, na ho ki koí baráí kare.

10 Kyúnki ham us kí kárígarí hain, aur Masíh Yisú' men hoke achchhe kámon ke wáste paidá hue, jin ke liye Khudá ne hamen áge taiyár kiyá thá, táki ham unhen kiyá karen.

11 Is wáste yád karo, ki tum áge jism kí nisbat gair qaum the, aise ki we jo áp ko Makhtún kahte hain, jin ká khatna jismí aur háth se húá, tum ko Námakhtún kahte the;

12 Aur yih, ki us waqt Masíh se judá, aur Isráel kí sarkár se alag, aur wa'de ke 'ahdon se báhar, aur ná-ummed, aur dunyá men be-Khudá the:

13 Par ab Masíh Yisú' men hoke tum jo áge dúr the, Masíh ke lahú ke sabab se nazdík ho gaye. 14 Kyunki wuhí hamárí sulh hai, jis ne do ko ek kiya, aur us díwár ko, jo darmiyán men thí, dhá diyá ;

18 Kyúnki us hí ke wasile ham donon ek hí Rúh se Báp ke pás dakhl páte hain.

19 So ab tum begána aur musáfir nahín, balki muqaddason ke ham-shahrí, aur Khudá ke gharáne ke ho;

20 Aur rasúlon aur nabíon kí neo par, jahán Yish Masíh áp kone ká sirá hai, radde kí tarah utháe gaye ho;

21 Jis se sárí 'imárat ikaṭṭhe jurkar muqaddas haikal Khudáwand ke liye uthtí játí hai:

22 Aur tum bhí us men hoke auron ke sath banáe játe ho, tá ki Rúh ke wasíle se Khudá ke liye makán bano.

III BÁB.

air qaumon ke liye Yisú

S wáste main Púlús tum

Masíh ká qaidí hún ;

2 Ki tum ne suná hogá, ki mujhe tumháre liye Khuda ke fazl kí mukhtárí milí;

3 Ki us ne ilhám se us bhed ko mujh par kholá, (chunánchi main us ko thore men áge likh chuká,

4 Jise tum parhke ján sakte ho, ki main Masíh ká bhed kis qadr samajhtá hún.)

5 Jo agle zamánon men baní Adam ko is tarah na ma lúm húa, jis tarah us ke muqaddas rasúlon aur nabíon par Rúh se ab záhir húá;

6 Ki gair qaumen Injil ke wasíle se mírás men sharík, aur badan men shámil, aur us ke wa'de men, jo Masih ke sabab se hai, sájhí

15 Aur apná jism deke dush-hon: man ko, ya'ne sharî'at ke hukmon aur rasmon ko, kho diyá, táki wuh sulh karwáke do se áp men ek nayá insán banáwe;

16 Aur dushmaní mițáke salíb ke sabab se donon ko ek tan banákar Khudá se miláwe:

17 Aur us ne áke, tumhen jo dúr the, aur unhen jo nazdík the, sulh kí khushkhabarí dí.

7 Aur Khudá ke fazl ke in'ám se, jo us kí qudrat kí tásír se mujhe milá hai, main is Injil ka khadim hún.

8 Mujhe jo sáre haqírtarín muqaddason se haqír hún, yih fazl 'ináyat húá, ki main gair qaumon ke darmiyán Masih kí beqiyás daulat kí khushkhabarí dún; 9 Aur sab par yih bát roshan

karún, ki us bhed men shirkat kyúnkar hotí hai, jo azal se Khudá men, jis ne sab kuchh Yisú' Masíh se paidá kiyá, poshída thá: 10 Ki ab kalísiye ke wasíle se Khudá kí gúnágún hikmat, sardáron aur ikhtiyárwálon par jo ásmání makánon men hain, záhir howe,

11 Us iráde ke mutábiq jis ko us ne hamáre Khudáwand Yisú' Masih ke haqq men azal se kiyá :

12 Aur ham us men hoke beparwá húe, aur us par ímán láne se bharose ke sath dakhl bhí rakhte hain.

13 Pas main cháhtá hún, ki tum merí musíbaton ke sabab, jo tumbárí khátir hain, sust mat hoo, kyúnki ye tumháre liye 'izzat hain.

14 Is wáste main hamáre Khu

IV BÁB.

Pe liye qaidi hún, tum se

AS main jo Khudáwand

iltimás kartá hún, ki jis buláhat se tum buláe gaye, us ke munásib chalo,

2 Kamál kháksárí aur farotaní se sabr karke, muhabbat se ek dúsre kí bardásht karo;

3 Aur koshish karo, ki Rúh kí yagánagí sulh ke band se bandhí rahe.

4 Ek badan, aur ek Rúh hai, chunánchi tumhen bhí jo buláe gaye ho, apne buláe jáne se ek hí ummed hai;

5 Ek Khudáwand, ek ímán, ek baptisma,

6 Ek Khudá jo sab ká Báp, ki sab ke úpar, aur sab ke darmiyán, aur tum sab men hai.

7 Par ham men se har ek ko

dáwand Yisứ Masíh ke Báp ke|Masíh ke inám ke andáze ke

áge, apne ghutne tektá hún, 15 (Ki us se tamám khándán ásmán aur zamín par kahlátá hai,)

16 Ki wuh apne fazl kí daulat ke muwáfiq tumhen yih de, ki tum us kí Rúh se bátiní insániyat men bahut hí zoráwar ho jáo;

17 Aur Masih tumháre dilon men ímán ke wasíle se base; aur ki tum muhabbat men jar paidá karke aur neo dálke,

18 Sáre muqaddas logon samet samajhne kí qudrat paidá karo, ki us kí chaurán, aur lambán, aur gahráo, aur unchán kitní hai;

muwáfiq fazl 'ináyat húá hai.

8 Is waste wuh kahtá hai, ki us ne únche par charhke qaid ko qaid kiya, aur admíon ko in'ám diye.

9 (Aur us ká úpar charhná, siwá us ke aur kya hai, ki wuh pahle zamín ke níche utrá?

10 Wuh jo utrá, so wuhí hai, jo sáre ásmánon par charhá, táki sab ko bharpúr kare.)

11 Aur us ne ba'zon ko rasúl; aur ba'zon ko nabí; aur ba'zon ko Injil ke manádí karnewále; aur ba'zon ko charwáhe; aur ba'zon ko ustád muqarrar kar diyá; 19 Hán, Masíh kí muhabbat, jo 12 Táki muqaddas log khiddaryáft se báhar hai, daryáft kar mat ke kám men árásta hote jásako, táki tum Khudá kí sárí bhar-wen, aur Masíh ka badan bantá púrí se bhar jáo.

jáe:

20 Ab us ko jo aisá qádir hai, 13 Jab tak ham sab ke sab ímán ki jo kuchh ham mángte, yá khi- aur Khuda ke Bete kí pahchán kí yál karte hain, us se nihayat zi-yagánagí tak, aur kámil insán, yáda, us qudrat ke muwáfiq jo ya'ne Masíh ke púre qadd ke anham men tásír kartí, kar saktá hai, dáze talak, pahunchen: 21 Us ko kalísiye ke darmiyán Masih Yisú' men pusht dar pushtrahen, ki ta'lim ki mukhtalif haabad tak jalál howe. Amín.

14 Táki ham age ko larke na

wáon se, aur ádmíon kí pechbází, aur gumráh karnewále mansúbon

AFSION, IV. V. fe no housefu, jez

ke bándhne men un kí dagábází se, uchhalte bahte phiren;

15 Balki muhabbat ke sath sach bolke, us men, jo sir hai, ya'ne Masih men hoke, har tarah se barhte jáwen;

16 Us se sárá badan, har ek 'azú ke band ke jutne se khúb paiwasta aur mazbút hokar, muwáfiq us tásír ke jo, ba qadr har juz ke, hotí hai, kull ko barhátá hai, aur muhabbat men apní taraqqí kartá játá hai.

17 Is liye main yih kahtá hún, aur Khudáwand ke áge hukm kartá hún, ki tum áge ko aisí chál na chalo, jaise aur gair qaumen apní bátil 'aql ke muwáfiq chaltí hain;

18 Ki un kí'aql tárík ho gayí hai, aur we us jahálat ke sabab jo un men hai, aur apne dilon kí sakhtí ke bá'is, Khudá kí zindagí se judá hain:

19 Unhon ne sun hoke áp ko shahwat-parastí ke supurd kiyá, táki har tarah ke gande kám hirs se karen.

20 Par tum ne Masíh se aisí ta'lím nahín páí;

21 Agar tum ne to us kí suná ho, aur us se ta'lím páí ho, us sacháí ke mutabiq jo Yisú' men hai:

22 Ki tum aglí chalan kí bábat us purání insaniyat ko, jo fareb denewálí shahwaton ke sabab se kharáb hú hai, utaro ;

23 Aur apne dil aur tabi'at kí nisbat naye bano;

24 Aur nayí insániyat ko, jo Khuda ke muwáfiq rástbází aur haqíqí pákízagí men paidá húí, pahino.

25 So jhúth chhorke har ek shakhs apne parosí se sach bole, ki ham to ápas men ek dúsre ke 'azú hain.

26 Gussa karke gunahgár mat ho, aisá na ho ki súraj dúbe aur tum khafa ke khafa raho:

27 Aur Shaitán ko jagah na do.

253

28 Jis ne chorí kí ho, phir chorí na kare, balki achchhá pesha ikh-f tiyár karke háthon se mihnat kare, táki muhtáj ko kuchh de sake.

29 Koí gandí bát tumháre munh se na nikle, balki wuh jo achchhí aur taraqqí ke liye kám áwe, táki sunnewálon ko faida bakhshe. 30 Aur Khudá kí Rúh i muqaddas ko, jis se tum par khalásí ke din tak muhr húí, ranjída na karo.

31 Sárí kaṛwáhat, aur gazab, aur gussa, aur gul, aur badgoí, tamam badkhwáhí samet, tum se dúr ho jáwen:

32 Aur tum ek dúsre par mihrbán aur dardmand ho, aur ek dúsre ko bakhshá karo, chunánchi Khudá ne bhí Masíh ke liye tumhen bakhshá hai.

1

ho;

V BÁB.

AS tum 'azíz farzandon kí tarah Khudá ke pairau

2 Aur muhabbat se chalo, jaise Masih ne bhí ham se muhabbat kí, aur khushbú ke liye hamáre 'iwaz men apne taín Khudá ke áge nazr aur qurbán kiya.

3 Aur harámkárí, aur har tarah kí nápákí, aur lálach ká tum men zikr tak na ho, jaisá muqaddas logon ko munasib hai ;

4 Aur be-sharmí, aur behúda bát, yá thaṭṭhebází jo ná-munasib hai, na howe, balki beshtar shukrguzárí.

5 Kyúnki tum to is se wáqif ho, ki kisí harámkár, aur nápák, aur lálchí ko, jo but-parast hai, Masíh aur Khudá kí bádsháhat men mírás nahín hai.

6 Koí tum ko behúda báton se bhuláwá na de; kyúnki aisí báton ke sabab Khudá ká gazab náfarmánbardáron par partá hai.

7 Pas tum un ke sharík na ho. 8 Kyúnki tum áge táríkí the, par ab Khudá men hoke núr ho:

tum núr ke farzandon kí tarah, piyár karo, jaisá Masih ne bhí

chalo:

9 (Is liye ki Rúh ká phal jo hai, kamál khúbí, aur rástbází, aur sacháí hai ;)

10 Aur daryáft karte jáo, ki Khudáwand ko kya khush átá hai. 11 Aur táríkí ke lá-hásil kámon men sharík mat ho, balki beshtar un ko malámat karo.

12 Kyúnki un ke poshída kámon ká zikr bhí karná sharm hai. 13 Aur sárí chízen jo malámat ke láiq hain, roshní se záhir hotí hain; kyunki har ek chíz jo roshan kartí, roshní hai.

14 Is liye wuh kahta hai, Are á, tú jo sotá hai, jág, aur murdon men se uth; ki Masih tujhe roshan karegá.

15 Pas khabardár, tum dekh bhálke chalo, nádánon kí tarah nahín, balki dánáon kí mánind, 16 Aur waqt ko ganímat jáno, kyúnki din bure hain.

17 Is wáste, tum be-tamíz na raho, balki samjho, ki Khudáwand kí marzí kya hai.

18 Aur sharáb píke matwále na ho, ki us men kharábí hai, balki Rúh se bhar jáo;

19 Aur ápas men zabur, aur gít, | aur rúhání gazalen gáyá karo, aur apne dil men Khudawand ke liye gáte bajáte raho;

20 Aur hamesha sab báton men hamáre Khudáwand Yisú' Masih ke nám se Khudá Báp ke shukr guzár raho;

21 Aur Khudá ke khauf se ek dúsre kí farmánbardárí karo. 22 Ai 'aurato, apne shauharon kí aisí farmánbarðár raho, jaise Khudáwand kí.

23 Kyúnki shauhar jorú ká sir hai, jaise ki Masíh kalísiye ká sir, aur wuh badan ká bachánewálá

hai.

24 Pas jaise kalísiyá Masíh kí farmánbardár hai, waise hí jorúán bhí har bát men apne shauharon kí howen.

25 Ai mardo, apní jorúon ko

kalísiye ko piyár kiyá, aur apne taín us ke badle diya;

26 Tá ki us ko pání ke gusl se kalám ke sáth pák karke muqaddas kare,

27 Aur use apne liye taiyár kare, ya'ne ek aisí jalálwálí kalísiyá jis men dág, yá chín, yá koí aisí chíz na ho, balki wuh muqaddas aur be-'aib ho.

28 Yún hí mardon par lázim hai, ki apní jorúon ko piyár karen, jaise apne badan ko. Jo apní jorú ko piyar karta hai, so áp ko piyár

karta hai.

29 Kyúnki kisí ne apne jism se kabhí dushmaní na kí; balki wuh use páltá aur postá hai, jaisá Khudáwand bhí kalísiye ko :

30 Kyúnki ham us ke badan ke 'azú, aur us ke gosht aur haḍdíon men se hain.

31 Usí sabab se ádmí apne má báp ko chhorega, aur apní jorú se milá rahegá, aur we donon ek tan honge.

32 Yih ek bará bhed hai, par main Masíh aur kalísiye kí bábat bolta hún.

33 Ba har hál har ek tum men se

apní apní jorú ko aisá piyár kare, jaisá áp ko; aur 'aurat apne shauhar ka adab kare.

1

VI BÁB.

I farzando, tum Khudáwand

A ke liye apne má báp ke tábi' raho: kyúnki yih wajib hai. 2 Tú apne má báp kí ’izzat kar ; (ki yih pahlá hukm hai, jis ke sáth wa'da hai ;)

3 To terá bhalá hogá, aur zamín par terí 'umr daráz hogí.

4 Aur, ai bachchewálo, tum apne farzandon ko gussa mat diláo, par Khudáwand kí tarbiyat aur nasihat karke un kí parwarish karo.

5 Ai naukaro, tum un ke jo jism kí nisbat tumháre kháwind hain, apne dilon kí safăí se, darte aur

thartharáte húe, aise farmánbar- | newálí Injíl kí chálákí bándhdár ho, jaise Masih ke;

6 Aur ádmí ke khushámad-karnewálon kí tarah dikhane ko nahín, balki Masih ke bandon kí mánind, dil se Khudá kí marzí par chalo ;

7 Aur khushí se naukarí karo, ádmíon kí jánkar nahín, balki Khudáwand kí :

8 Ki tum jánte ho, ki jo koí kuchh achchhá kám karegá, kyá gulám kyá ázád, Khudáwand se waisá hí páwegá.

9 Aur, ai kháwindo, tum bhí un se aisá hí karo, aur dhamkí dene men i'atidál se báhar na jáo; kyúnki tum jánte ho, ki tumhárá bhí Kháwind ásmán par hai, aur wuh kisí ke záhir par nazar nahín kartá.

10 Báqí, ai mere bháío, Khudáwand aur us kí qudrat kí qúwat

se zoráwar bano.

11 Khudá ke sáre hathyár bándho, taki tum Shaitán ke mansúbon ke muqábil qáim rah sako.

12 Kyúnki hamen khún aur jism se kushtí karní nahín, balki sardáron se, aur ikhtiyárdáron se, aur is dunyá kí táríkí ke qudratwálon se, aur sharír rúhon se, jo buland makánon men hain.

13 Is wáste tum Khudá ̄ke sáre hathyár uthá lo, táki tum bure| din men muqabala kar sako, aur sab kám karke qáim rah sako. 14 Is liye tum apní kamar sacháí se kaske, aur rástbází ká baktar pahinke;

15 Aur pánwon men sulh bakhsh

ke;

16 Aur un sab ke úpar ímán kí sipar lagake, jis se tum us sharír ke sáre jalte tíron ko bujhá sako, qáim raho.

17 Aur naját ká khod, aur Rúh kí talwár, jo Khudá ká kalám hai, le lo:

18 Aur kamál árzú o minnat ke sáth har waqt Rúh men du'á mángo, aur us ke liye sab muqaddason ke wáste nihayat musta'idd hoke aur minnat karke jágte raho; 19 Aur mere wáste bhí, táki mujhe kalám karne kí táqat 'ináyat ho, ki merá munh be-parwáí se khul jáwe, táki main is Injil ke bhed ko,

20 Jis ke liye qaidí elchí hún, záhir karún: ki main us ko bedharak aisa kahún, jaisá mujhe kahná farz hai.

21 Par is liház se ki tum bhí mere ahwál ko jáno, ki main kyá kartá hún, Tukhikas, jo piyárá bháí aur Khudawand ká muatabar khá dim hai, tum ko sab baten batáegá:

22 Jise main ne tumháre pás is wáste bhejá, ki tum hamáre ahwál ko jáno, aur wuh tumháre dilon ko tasallí de.

23 Bháíon kí salámatí ho, aur Báp Khuda kí aur Khudáwand Yisú' Masíh kí taraf se ímán ke sáth muhabbat mile.

24 Fazl un sab par howe jo hamáre Khudáwand Yisú' Masih se filhaqiqat muhabbat rakhte hain. Ámín.

« ÎnapoiContinuă »