Imagini ale paginilor
PDF
ePub

22 Kyá we 'Ibrání hain? main bhí hún. Kyá we Israelí hain?

main bhí hún? Kya Abirahám

kí nasl se hain? main bhí hún. 23 Kya Masih ke khádim hain? main (nádání se kahtá hún,) ziyádatar hún; mihnaton men ziyáda, kore kháne men hadd se ziyáda, qaidon men beshtar, mauton men aksar.

24 Main ne Yahúdíon se pánch bár ek kam chálís kore khác. 25 Tín bár chharion se már khái, ek dafa pathráo kiyá gayá, tín martaba jaház ke tút jane kí balá men pará, ek rát din samundar men kátá;

26 Main safaron men bahut, daryáon ke khatron men, choron | ke khatron men, apní qaum se khatron men, gair qaumon se khatron men, shahr ke bích khatron men, jangal ke bích khatron men, samundar ke bích khatron men, jhúthe bháion ke bích khatron men rahá hún;

27 Mihnat aur mashaqqat men, bárhá bedáríon men, bhukh aur piyás men, faqon men aksar, sardí aur nange rahne kí hálat men bhí rahá hún.

28 In baharwálí chízon ke siwá sárí kalísiyaon kí fikr mujh ko har roz á dabátí hai.

29 Kaun kamzor hai, ki main kamzor nahín hún ? kaun thokar khátá ki main nahín jaltá?

30 Agar fakhr kiya chahiye, to main apní kamzorion par fakhr karúngá.

31 Hamáre Khudáwand Yisú' Masíh ká Khuda aur Báp jo hạ mesha mubárak hai, jántá hai, ki main jhúth nahin kahtá.

32 Dimishq men názim ne, jo badshah Aretas kí taraf se thá, is iráde se ki mujhe pakar le, Dimishqíon ke shahr par chaukí bithláí:

33 Tab main khirkí kí ráh se ek tokre men díwár par se latká diyá gayá, aur us ke háthon se bach niklá.

XII BÁB.

Barná mujhe munasib na

DE-SHUBHA apná fakhr

hín, par main Khudáwand ke musháhadát aur mukáshafat ká bayán kiyá cháhtá hún.

2 Masih ke ek shakhs ko main jántá hún, ki chaudah baras guzre honge, ki (wuh ya to badan ke sáth, ki yih mujhe ma'lum nahín, yá bagair badan ke, ki yih bhí mujhe malúm nahín, Khudá ko ma lúm hai;) tísre ásman tak ekáek pahuncháyá gayá.

3 Aur main aise shakhs ko jántá hún, ki wuhí (yá badan ke sáth, yá badan ke bagair, ki mujhe malúm nahín, Khudá ko ma lum hai ;)

4 Firdaus tak ekáek pahuncháyá gayá, aur us ne wuh báten sunín, jo kahne kí nahín, aur jin ká kahná bashar ká maqdúr nahín. 5 Aise hí ádmí par main fakhr karúngá, par main áp par, siwa apní kamzoríon ke, fakhr na karúngá.

6 Ki agar main fakhr kiyá cháhún, to main bewuqúf na banún, kyúnki sach bolúngá; par main áp ko báz rakhtá hún, tá na howe, ki koi mujhe us se, jaisá mujhe dekhta hai, yá jaisá mere haqq men suntá hai, ziyada jáne.

7 Aur tá ki main musháhadát kí ziyádatí se phúl na jáún, mere jism men kántá, jo Shaitán ká páyik hai, ki mujhe ghúse máre, rakhá gayá, tá ki main phúl na jáún.

8 Us ke liye main ne Khudáwand se tín bár iltimás kiyá, ki yih mujh men se dúr ho jáwe.

9 Par us ne yih mujh se kahá, ki merá fazl tujhe kifayat hai: kyúnki merá zor kamzorí men púrá hota hai. Pas main apní kamzoríon par bahut hí khushí se fakhr karúngá, tá ki Masíh ka zor mujh par saya dále.

10 So main Masih ke wáste kamzoríon men, malámaton men,

M

ihtiyájon men, satáe jáne men, tangíon men khush hún, ki jab main kamzor hún, tabhí zoráwar hún.

11 Main fakhr karne se bewuqúf baná; tum hí ne mujhe náchár kiyá kyúnki láiq thá, ki tum merí ta'rif karte, is liye ki main sab se bare rasulon se kuchh kamtar nahin, agarchi main kuchh nahín hún.

12 Rasúl hone ke nishán, kamál

báten tumhárí taraqqí ke liye kahte hain.

20 Main dartá hún, kahín aisá na ho, ki main ákar jaisá tumhen cháhtá hún, waisá na páún, aur mujhe bhí jaisá tum nahín chahte ho, waisá páo; na ho, ki qaziye, aur dáh, aur gazab, aur jhagre, aur gíbaten, aur kánáphúsíán, aur shekhíán, aur hangáme howen:

21 Aur na ho ki jab aún, tab

sabr, aur mu'ajizon, aur achamb-merá Khudá mujhe tumháre sahon, aur qudraton se, albatta tumhare bích záhir húe.

13 Tum kaun sí bát men aur kalísiyaon se kam the, siwá us ke ki main ne tum par bojh na diya? merí yih ná-insáfí mu'áf kíjiye.

14 Dekho, main phir tísrí bár tumháre pás áne par taiyár hún ; lekin phir bhí tum par bojh na dálúngá; kyúnki main tumhárá kuchh jo ho so use nahín balki tumhín ko dhúndhtá hún; ki larkon ko mábáp ke liye nahín, balki mábáp ko larkon ke liye jam'a karna chahiye.

|

bab se past kare, ki main un men se bahuton ke sabab jinhon ne áge gunáh kiya, aur apní nápákí, aur harámkárí, aur shahwat-parastí se jo un se húí tauba na kí, afsos karún.

1

XIII BÁB.

IH tísrá martaba hai, ki

Y main tumháre pás átá hún.

Do yá tín gawáhon ke munh se har ek bát sábit ho jáegí.

2 Main ne peshtar kahá hai, aur main áp ko do bára házir jánke áge kí khabar deke kahtá hún; 15 Aur main tumhárí jánon ke aur ab, ki gair házir hún, un ko wáste bahut khushí se kharch ka-jinhon ne peshtar gunáh kiye, rúngá, aur kharch kiyá jáúngá, aur báqí sabhon ko bhí, yih likhtá agarchi main jitná tumhen ziyada hún, ki agar main phir áún, to na piyár kartá hún, itná hí kamtar chhorúngá: piyárá hún.

16 Par agar mán lewen, ki main ne tum par bojh nahín ḍálá, lekin shayad main ne hoshyárí se tumhen fareb karke phansáyá.

17 Khair, jinhen main ne tumháre pás bhejá, un men se kisí ke wasile main ne naf'a ke wáste kuchh tum par ziyadatí kí?

[ocr errors]

3 Is waste ki tum is bát kí dalíl chahte ho, ki Masíh hí mujh men boltá hai, jo tumháre wáste kamzor nahín, balki tum men zoráwar hai.

4 Ki agarchi wuh kamzorí se salíb par márá gayá, lekin Khudá kí qudrat se wuh jítá hai. Aur ham bhí us men shámil hoke ki-kamzor hain, par us ke sath Khudá kí qudrat se jo tumháre haqq men hai jíenge.

18 Main ne Títus se iltimás yá, aur us ke sath ek bháí ko bhejá. To kyá Títus ne tum par naf'a ke liye ziyádatí kí? kyá ham ek hí rúh se ek hí naqsh i qadam par na chalte the?

19 Phir kyá tum gumán karte ho, ki ham tum se uzr karte hain? so nahín: ai piyáro, ham Khudá ke áge Masih men hoke yih sárí

5 Tum ap ko jáncho, ki tum ímán ke sath ho, ki nahín; apne taín parakho. Kya tum áp ko nahín jánte, ki Yisú' Masih tum men hai, aur nahín to tum námaqbul ho?

6 Par main ummed rakhtá hún

ki tum ma'lúm karoge, ki ham námaqbúl nahín.

7 Aur main Khudá se yih du'á mángtá hún, ki tum kuchh badí na karo so na is wáste ki ham maqbúl záhir howen, par is waste ki tum bhalá karo, agarchi ham námaqbúl gine jáwen.

jo Khudáwand ne mujhe banáne ke wáste, na dhá dene ke wáste diya hai, tum par sakhtí na karún.

11 Garaz, ai bháío, khush raho. Kámil ho, khátir jam'a rakho, ek dil hoo, mile raho, ki Khudá, jo muhabbat aur salámatí ká bání

8 Kyúnki ham sacháí ke bar-hai, tumháre sáth hogá. khilaf kuchh nahín, par sacháí ke wáste sab kuchh kar sakte hain. 9 Kyúnki jab ham kamzor aur tum zoráwar ho, to ham khush hain, aur yih bhí cháhte, ki tum kámil ho.

12 Tum ápas men pak bosa leke salám karo.

10 Is liye main gair házir hoke ye báten likhta hún, táki main házir hoke us ikhtiyár ke muwáfiq,

13 Sáre muqaddas log tumhen salám kahte hain.

14 Ab Khudáwand Yisú' Masíh ká fazl, aur Khudá kí muhabbat, aur Rúh i Quds kí suhbat tum sabhon ke sath howe. Ámín.

PÚLÚS KÁ KHATT GALATÍON KO.

I BÁB.

1 PÚLUS, jo na ádmíon se, na ádmí ke wasíle se, balki Yisứ Masíh aur Khudá Báp se, jis ne us ko murdon men se jiláyá, rasúl hai,

2 Aur sáre bháíon se jo mere sáth hain, Galatiya kí kalísiyaon ko,

3 Fazl aur salámatí, Khudá Báp aur hamáre Khudáwand Yisú' | Masíh kí taraf se, tumháre liye howe;

4 Jis ne hamáre gunáhon ke badle men apne taín diyá, táki wuh ham ko hamáre Báp Khudá kí marzí ke mutabiq is kharáb dunyá se khalásí bakhshe:

Jalál i abadí us ká hai. Ámín.

6 Main ta'ajjub kartá hún, ki tum itní jaldí us se, jis ne tumhep Masih ke fazl men bulayá, phirke dúsrí Injíl kí taraf má,il húe:

7 So wuh dúsrí to nahín: magar ba'ze hain jo tum ko ghabráte hain, aur Masíh kí Injíl ulat dene chahte hain.

8 Lekin agar ham yá ásmán se koí firishta, siwá us Injil ke jo ham ne tumhen sunáí, dúsrí Injíl tumhen sunáwe, so mal'ún howe. 9 Jaisá ham ne áge kahá, waisá hí ab main phir kahta hún, ki Agar koí tumhen kisí dúsrí Injíl ko, siwá us ke jise tum ne páyá, sunáwe, wuh mal'ún ho

we.

10 Kyá ab main ádmíon ko

mántá hún, yá Khudá ko? kya main admíon ko khush kiyá cháhtá hún? agar main ab tak ádmíon ko khush kartá, to Masíh ká banda na hotá.

11 Par ai bháío, main tumhen jatátá hún, ki wuh Injil jis kí main ne khabar dí, insán kí taraf se nahín hai.

12 Is liye ki main ne us ko kisí ádmí se na páyá, na kisí ne mujhe sikháyá, par wuh Yisú' Masih ke ilhám se mujhe milá.

18 Tum ne merí chál, jab main Yahúdíon kí tariq par chaltá thá, suní hai, ki kyúnkar main Khudá kí kalísiye ko niháyat satátá, aur wírán kartá thá:

14 Aur main dín i Yahúdí men apní qaum ke aksar ham-'umron se barhkar apne bápdádon kí riwáyaton par ziyada sargarm thá. 15 Lekin jab Khudá kí marzí húí, jis ne mujhe merí má ke pet hí men se alag kiyá, aur apne fazl se buláyá;

16 Ki apne Bete ko mujh par záhir kare, táki main us kí Injil gair qaumon ke bích sunáún, tab fauran main ne gosht aur lahú se saláh na lí:

17 Na Yarúsalam ko un pás jo mujh se pahle rasúl the gaya; par main 'Arab ko gayá, phir wahán se Dimishq ko phirá.

18 Tab us ke tín baras ba'd Patras se muláqát karne ko Yarúsalam men gayá, aur us ke sath pandrah din rahá.

19 Par rasúlon men se kisí dúsre ko na dekhá, magar Khudáwand ke bháí Ya'qúb ko.

20 Jo baten main tum ko likhtá hún, Khudá ke áge kahtá hún ki jhúthí nahín.

21 Ba'd us ke main Súriya men aur Kilikiya ke mulkon men gayá ;

22 Aur Yahudiya kí Masíhí kalísiyáen merí súrat se wáqif na thín:

23 Unhon ne sirf suná thá, ki wuh jo ham ko pahle satátá thá,

so us ímán kí, jise wuh age barbád kartá thá, ab manádí kartá hai.

24 Aur we merí bábat Khudá kí sitáish karte the.

1

PHIR

II BÁB.

HIR chaudah baras ba'd main Barnabás ke sáth

Títus ko bhí liye húe Yarúsalam ko phir gaya.

2 Aur merá jáná ilhám se húá, aur wuh Injil jis kí manádí main gair qaumon men kartá hún, un se bayán kí; magar buzurgon se alag, tá na ho ki merí aglí aur hál kí daur dhúp befaida howe. 3 Par Títus ko jo mere sáth thá, aur Yúnání hai, khatna karwáne kí taklif na kí gayí:

4 Aur yih jhúthe bháíon ke sabab se jo chhipke ghus áe, táki us ázádagí ko jo hamen Yisu' Masíh men mili hai jásúsí karke daryáft karen, táki we hamen gulámí men láwen:

5 Jin ke ham dabel na húe ki gharí bhar bhí un ke tábi' rahte; táki Injíl kí sacháí tumháre darmiyán qáim rahe.

6 Par we jo záhir men buzurg the, (so jaise the, waise the; mujhe kuchh kám nahín; Khudá kisí ke záhir par nazar nahin kartá:) khair, un kí taraf se, jo buzurg the, mujhe is kí bábat mutlaq kuchh hásil na húá :

7 Lekin barkhiláf us ke, jab unhon ne dekhá ki námakhtúnon ke main Injil ká amánatdár húá, jaisá makhtúnon ke liye Patras thá;

8 (Kyunki jis ne makhtúnon kí risálat ke liye Patras men asar kiya, us ne gair qaumon ke liye mujh men bhí asar kiya:)

9 Aur jab Ya'qúb aur Kefás aur Yuhanná ne, ki goya kalísiye ke sutún the, is fazl ko jo mujh par húá thá daryáft kiyá, to mujh aur Barnabás ko sharákat kí ráh se dahiná háth diyá, ki ham gair

qaumon ke, aur we makhtúnon ke pás jáwen.

10 Magar itná kahá, ki garíbon ko yád rakho; so main bhí us kám men chálák thả.

11 Par jab Patras Antákiyá men áyá, to main ne rúbarú us se muqábala kiya; is liye ki wuh malámat ke láiq thá.

12 Kyúnki wuh peshtar us se, ki kaí shakhs Ya'qúb kí taraf se áe, gair qaumon ke sáth kháyá kartá thá; par jab we áe, to makhtúnon se darke píchhe hața, aur alag ho gaya.

13 Aur baqi Yahúdíon ne bhí 1 usí kí tarah do-rangi ki, yahan tak ki Barnabás bhí dabkar un kí riya men sharik húa.

par

20 Main Masíh ke sath salíb khínchá gayá: lekin zinda hún; par taubhí main nahín, balki Masíh mujh men zinda hai: aur main jo ab jism men zinda hún, so Khudá ke Bețe par ímán láne se zinda hún, jis ne mujh se muhabbat kí, aur áp ko mere badle diya. 21 Main Khudá ke fazl ko bejá nahín thahrátá; kyúŋki rástbází agar shari'at se miltí hai, to Masíh befáida múá.

III BÁB.

nádán Galatío, kis kí jádú

bharí ánkhon ne tum ko márá, ki tum sacháí ke farmánbardár na húe, báwujude ki Yisú' Masíh tumhárí ánkhon ke sámhne yún záhir kiyá gayá, ki goyá tumhare darmiyán salíb par khínchá gaya?

2 Main sirf yih tum se daryáft cháhtá hún, ki tum ne sharí'at par 'amal karne se, yá ímán ke sabab se Rúh páí?

14 Jab main ne dekhá, ki we Injil kí sacháí par sídhí chál nahín chalte, main ne sabhon ke sámhne Patras ko kahá, ki jab tú Yahúdí hokar gair qaumon kí tarah, na ki Yahúdíon kí tarah, zindagí guz-kiyá rántá hai, pas tú kis waste gair qaumon ko yih taklíf deta hai, ki Yahúdíon ke taur par chalen? 15 Ham jo qaum ke Yahúdí hain, aur gair qaumon men se gunahgár nahín,

16 Yih jánkar ki ádmí na sharí'at ke kámon se, balki Yisú' Masíh par ímán láne se rástbáz giná játa hai, ham bhí Masíh Yisú' par ímán láe, tá ki ham Ma

síh

par ímán láne se, na ki shari'at ke kámon se rástbáz gine jáwen; kyúnki koí bashar shari'at ke kámon se rástbáz giná na jáegá.

17 Par ham jo Masih ke sabab se rástbáz gine jáne kí talásh men hain, agar gunahgár thahren, to kyá Masíh gunah ká bá'is hai? hargiz nahín.

18 Kyúnki jin chízon ko main ne dhá diyá, agar unhen phirke banaún, to main apne taín khatákár ṭhahrátá hún.

19 Is wáste ki main shari'at hí kè bá'is shari'at kí nisbat múá, táki main Khudá kí nisbat zinda ho jáún.

3 Kyá tum aise nádán ho? kyá Rúh se shuru' karke ab jism se kámil húá chahte ho?

4 Kyá tum ne itní chízon kí befaida bardásht kí? par shayad befaida nahín?

5 Pas wuh jo tumhen Rúh bakhshtá hai, aur tum men mu'ajize záhir karta hai, so shari'at par 'amal karne se, ya ki samá’at ímání se aisá karta hái?

6 Chunánchi Abirahám Khudá par ímán láyá, aur yih us ke liye rástbází gini gayí.

7 Pas jáno, ki jo ímánwále hain, we hí Abirahám ke farzand hain.

8 Aur kitab ne yih peshbíní karke, ki Khuda gair qaumon ko ímán kí ráh se rástbáz thahráwegá, Abirahám ko áge hí yih khushkhabarí dí, ki sárí gairqaumen tere bá'is barakat pawengi.

9 Pas jo ímánwále hain, so ímánwále Abirahám ke sáth barakat páte hain.

« ÎnapoiContinuă »