Imagini ale paginilor
PDF
ePub

8 'Izzat aur be-'izzatí se, badnámí aur neknámí se: dagábáz kí mánind hain, par sachche hain; 9 Gumnám kí mánind hain, par mashhúr hain; murde kí mánind hain, par dekho, ham jíte hain; tambíh pánewálon kí mánind hain, par múe nahín;

[ocr errors]

10 Gamgín kí mánind hain, par hamesha khush hain; kangál kí mánind hain, par bahuton ko daulatmand karte hain; nádár kí mánind hain, par sab kuchh rakhte hain.

11 Ai Qurintío, hamárí zubán tumhárí taraf khulí, hamárá dil kusháda hogaya.

12 Tum hamáre sabab se tang nahín, par apne hí dilon se tang ho.

13 Pas is ke badle men, (main tum se yún kahtá hún, jaisá farzandon se,) tum bhí kusháda-dil hoo.

14 Aur tum be-ímánon ke sáth ná-láiq júe men mat jute jáo: ki rástí aur ná-rástí men kaun sá sájhá hai aur roshní ko táríkí se kaun sá mel hai?

15 Aur Masih ko Bali'ál ke sáth kaun sí muwafaqat hai? ímándár ká be-ímán ke sáth kyá hissa hai?

ho;

16 Aur Khudá kí haikal ko buton se kaun sí muwáfaqat hai? ki tum to zinda Khudá kí haikal chunánchi Khudá ne kąhá hai, ki Main un men rahúngá, aur un men chalúngá; aur main un ká Khudá húngá, aur we mere log honge.

17 Is waste Khudáwand yih kahtá hai, ki Tum un ke darmiyán se nikal áo, aur judá ho raho, aur nápák ko mat chhúo, aur main tum ko qabul karúngá;

18 Aur main tumhárá Báp húngá, aur tum mere bete betíán hoge; yih Khudáwand Qádir i mutlaq farmata hai.

|

1

PAS

VII BÁB.

AS, ai 'azízo, chahiye ki ham aise wa'de pake áp ko har tarah kí jismání aur rúhání najásat se pák karen, aur Khuda ke dar se pákízagí ko kámil karen.

2 Ham ko qabul kar lo; ham ne kisí se be-ínsáfí nahín kí, kisí ko kharáb nahín kiya, kisí par kuchh ziyádatí nahín kí.

3 Main ilzám dene ke waste yih nahín kahtá; kyúnki áge hí kah chuká hún, ki tum hamáre dilon men ho, yahán tak ki ham tum ek sáth maren aur jíen.

4 Merí báten tumhárí bábat bahut be-dharak hain, mujhe tumháre sabab bará fakhr hai; main to tasallí se bhará húá hún, apní sab musíbat men niháyat khush hún.

5 Jab ham Maqadúniya men áe, hamáre jism ko kuchh árám na thá, balki ham har tarah kí musíbat men giriftár the; báhar laráíán, bhítar dahshaten.

6 Lekin Khudá ne, jo 'ájizon ko dilásá detá hai, Títus ke á pahunchne se hamen tasallí bakhshí.

7 Aur na sirf usí ke á jáne se, balki us tasallí se bhí, jo us ne tumhare bích rahke páí, ki us ne tumhárá shauq, tumhárá afsos, tumhárí gairatmandí, jo merí bábat thí, hamáre age bayán kí yahan tak ki main ziyáda khush húá.

Jo main ne us khatt se tumhen gamgín kiya, us se main nahin pachhtáta, agarchi main pachhtátá thá; is liye ki dekhtá hún, ki jo gamgíní us khatt se hú, so thoại hí muddat tak thí.

9 Ab main khush húá hún, na is waste ki tum gamgín húe, par is wáste ki tumháre gam ká anjám tauba húá: kyúnki tum Khuda ke liye gamgin húe, taki ham se kisí bát men nuqsán na páo. 10 Kyúnki wuh gam, jo Khudá

ke liye hai, aisí tauba paidá kartá hai, jis se naját hotí hai, aur us se kuchh pachhtáwá nahin hotá: par dunyá ká gam maut paidá karta hai.

11 Dekho ki tumháre gam ne jo Khudá ke liye thá, tum men kyá hí chálákí, kya hí 'uzrkhwáhí, kya hí khafagí, kyá hí dahshat, kya hí shauq, kyá hí gairat, kyá hí badlá lená paidá kiya: tum ne har tarah se sábit kiyá, ki tum is muqaddama men pák ho.

12 Garaz agarchi main ne tumhen likhá, par main ne na us ke liye jis ne andher kiyá, aur na us ke waste jis par andher húá, balki is liye, ki hamárí fikr jo tumháre liye Khudá ke huzúr hai, tum par záhir howe.

13 Isí liye ham ne tumhárí tasallí se tasallí páí: aur Títus kí khushí se bahut ziyáda khush húe, ki us kí rúh tum sabhon ke sabab táza húí.

14 Aur agar main ne us ke sámhne tumhárí bábat kuchh fakhr kiya, to sharminda nahín; par jaise sárí báten jo ham ne tum se kahín, sach sach hain, waise hí hamárá fakhr jo Títus ke sámhne thá, sach thahrá.

15 Aur us kí dilí muhabbat tum par ziyadatar hai, ki us ko tum sab kí farmánbardárí yád hai, ki tum ne darte aur thartharáte húe use qabul kiya.

16 Pas, main khush hún, ki har ek bát men tum se merí khátirjam'aí hai.

[blocks in formation]

3 Kyunki main yih gawáhí detá hún, ki we maqdúr bhar, balki maqdúr se ziyáda áp se musta'idd the;

4 Aur baṛí minnat ke sáth ham se darkhwást kí, ki ham us bakhshish ko lewen, aur muqaddason ke liye use pahuncháne men sharík howen.

5 Aur hamárí ummed hí ke muwáfiq nahín, balki apne taín pahle Khudáwand ko, aur phir Khudá kí marzí se ham ko sompá.

6 Is waste ham ne Títus se yih darkhwást kí, ki jaisá us ne shurú' kiyá thá, waisá hí tumháre darmiyán bhí us in'ám ko púrá kare.

7 Pas, jis tarah tum ne har ek bát men, ímán, aur kalám, aur 'ilm, aur sárí koshish, aur us muhabbat men jo ham se rakhte ho, sabqat le gaya hai, waise hí is ni'amat kí bábat bhí tum sabqat le jáo.

8 Main kuchh hukm ke taur par nahín, balki auron kí sargarmí ke sabab, aur tumhárí muhabbat kí haqiqat ázmáne ke liye yih kahtá hún.

9 Kyúnki tum hamáre Khudáwand Yisú' Masih ke fazl ko jánte ho, ki wuh daulatmand thá, aur tumháre wáste muflis hogayá, táki tum us kí muflisí se daulatmand ho jáo.

10 Aur main is bát men saláh detá hún; kyúnki yihí tumháre waste munasib hai, ki tum ne na faqat yih kám karná shurú' kiyá, balki ek baras áge se us ke karne ká iráda kiyá.

11 Pas ab tum use tamam bhí karo; ki jaise tum iráda karne par musta'idd the, waise hí maqdúr ke muwáfiq us ke tamam karne par bhí ho.

12 Kyúnki agar níyat pahle ho, to ádmí, muwafiq us ke jo us pás hai, maqbúl hogá, na us ke muwáfiq jo us pás nahín.

13 Garaz, yih nahín, ki auron ko árám, aur tumhen taklíf ho :

заві

238

2 QURINTÍON, VIII. IX.

14 Balki barabarí ke taur par ho, táki is waqt tumhárí ziyádatí un kí kamí ko púrá kare, aur un

1

IX BÁB.

kí ziyádatí tumhárí kamí ko: táki PAR us khidmat kí bábat jo

barábarí ho jáwe:

15 Chunánchi likhá hai, ki Jis ne bahut jam'a kiyá, us ká kuchh barhá nahín; aur jis ne thora jam'a kiya, us ká kuchh ghatá nahín.

16 Ab Khudá ká shukr, jis ne tumhárí barí khairkhwáhí Títus ke dil men dálí.

17 Ki us ne to darkhwást qabúl kí; balki áp hí taiyár hoke apní khushí se tumháre pás nikal gaya. 18 Aur ham ne us ke sath us bháí ko bhejá jis kí ta'rif Injil ke sabab sárí kalísiyáon ke darmiyán

hai.

19 Aur sirf yihí nahín, balki wuh kalísiyaon ká chuná húá bhí hai, ki hamárá ham-safar hoke yih ni'amat sáth le jáe, jis ke ham khádim hain, tá ki Khudáwand hí kí sitáish kí jáe, aur tumhárí himmat záhir howe.

20 Ham is se khabardár rahte hain ki is khairát i firáwán ke sabab, jis ke ham khádim hain, koí hamen badnám na kare : 21 Is liye jo báten ki sirf Khudáwand hí ke nahín, balki ádmíon ke áge bhí bhalí hain, ham un ke liye dúr-andeshí karte hain.

22 Aur ham ne un ke sath apne us bháí ko bhejá, jise ham ne bahut sí báton men bárhá ázmákar chálák páyá; par ab us bare bharose ke sabab se jo us ká tum par hai, bahut ziyáda chálák hai. 23 Báqí, Títus jo hai, wuh merá sharík, aur tumháre wáste merá hamkhidmat hai: aur hamáre bháí jo hain, so kalísiyaon ke rasúl, aur Masíh ke jalál hain.

24 Pas, tum apní muhabbat aur hamáre us fakhr ko, jo tumhárí bábat hai, un par aur kalísiyáon ke sámhne sábit karo.

muqaddas logon ke wáste hai, merá likhná tum ko záid hai: 2 Kyúnki main tumhárí himmat ko jántá hún, aur is sabab se Maqadúníon ke áge tumhárí baráí karta hún, ki Akhaia ká mulk parsál se taiyár thá; aur tumhárí sargarmí ne bahuton ko ubhárá. 3 Lekin main ne bhaion ko bhejá, ki hamárí wuh baráí jo is bát men tumhárí bábat thí be-asl na thahre, táki, jaisá main ne kahá hai, tum taiyár ho raho:

4 Kahín aisá na howe ki agar Maqadúniya ke log mere sath áwen, aur tumhen taiyár na páwen, ham (to ham nahin kahte, ki tum) is baṛáí par i̇'atimád karne se sharminda howen.

5 Is wáste main bháíon se yih darkhwást karná zarúr samjhá, ki we age tumháre pás jáwen, aur tumhárí us sakhawat ko, jis ká peshtar zikr húa, áge taiyár kar rakhen, táki wuh sakhawat kí tarah na ki bakhílí kí tarah maujúd rahe.

6 Par bát yih hai, ki jo thora botá hai, thorá kátegá; aur jo bahut botá hai, bahut káṭegá.

7 Har ek jis tarah apne dil men thahrátá hai, dewe; na ki gam se, yá láchárí se: kyúnki Khudá usí ko jo khushí se detá hai piyár karta hai.

8 Aur Khudá tum par har tarah kí ni'amat baṛhá sakta hai, táki tum hamesha sab tarah kí kifayat rakhke har súrat kí nekokárí men barhte jáo:

9 (Chunánchi likhá hai, ki us ne bikhráyá hai; us ne kangálon ko diya hai; us kí rástbází hamesha kí hai.

10 Ab jo bone ke liye bíj, aur kháne ko roțí bakhshtá hai, so tum ko bone ke liye bíj bakhshe, aur ziyada kare, aur tumhárí rástbází ke phal baṛhá de ;)

11 Tá ki tum har bát men ganí

hoke sab tarah kí sakhawat karo, ki yih hamáre wasile se Khudá kí shukrguzárí ká bá’is hota hai. 12 Kyunki is chande kí khidmat na sirf muqaddason kí ihtiyájon ko dúr kartí, balki Khudá tak pahunchtí, ki bahuton ke wasíle us kí shukrguzáríán hotín.

13 Ki we us khidmat ká hál tajwíz karke is liye Khudá kí sitáish karte hain, ki tum Masíh kí Injil ke tabi' hone ká iqrár karte ho, aur sakhawat se un ke aur sab ke sharík ho;

14 Aur we tumháre waste dua mángte hain, aur Khudá ke us kamál fazl ke liye, jo tum par hai, tumhen bahut cháhte hain. 15 Khudá kí us bakhshish par jo bayán se báhar hai shukr ho.

X BÁB.

AIN Púlús to tumháre rúMbaru tun men haqir, aur píth píchhe tum par diler hún, Masih kí farotaní aur bardásht ká wásta deke tum se 'arz aur darkhwást kartá hún :

2 Ki main házir hoke wuh dilerí na karún jo un par, jin ke nazdík hamárí chál jismání hai, kiyá cháhtá hún.

3 Kyunki ham agarchi jism men chalte hain, par jism ke taur par nahín larte;

4 (Is liye ki hamárí laṛáí ke hathyár jismání nahín, par Khudá ke sabab qila'on ke dhá dene par qádir hain;)

5 Ki ham tasauwuron ko, aur har ek bulandí ko jo Khudá kí pahchán ke barkhiláf áp ko ubhártí | hai, girá dete hain, aur har ek khiyal ko qaid karke Masíh ká farmánbardar karte hain;

yih bhí áp se gaur kare, ki jaisá wuh Masíh ká hai, waise ham bhí Masih ke hain.

8 Ki agar main is ikhtiyar par jo Khudawand ne banane na tumháre dhá dene ko hamen diya hai, kuchh ziyada fakhr karún, to sharminda na hoúngá:

9 Main yih kahtá hún na howe ki main aisá záhir hoún, ki khatton ko likhke tumhen darátá hún.

10 Kyúnki koí kahta hai, ki us ke khatt albatta bhárí aur zoráwar hain, par wuh áp jism se kamzor, aur kalám se náchíz hai.

11 So kahnewálá samajh rakhe, ki jaise píth píchhe khatton men hamárá kalám hai, waise hí jab ham házir honge, hamárá kám bhí hogá.

12 Kyúnki hamárí yih jur,at nahín, ki ham apne taín un men shumár karen, ya un se muqabala karen, jo ki apni ta'rif karte hain: lekin we áp se apní paimáish karke, aur áp se apná muqábala karke, nádán thaharte hain.

13 Par ham paimána se báhar jáke fakhr na karenge, balki jis qánún kí paimáish Khuda ne hamen bánt dí, jo tum tak pahunchtí hai, ham usí ke muwáfiq fakhr karenge.

14 Kyúnki ham hadd se báhar áp ko nahín barháte, goyá tum tak na pahunche hon, is liye ki ham ne Masíh kí Injil tum tak bhí pahuncháí hai:

15 Aur ham paimáne ke báhar jákar auron kí mihnaton par fakhr nahín karte: lekin ummedwár hain, ki tum apne ímán men taraqqí karke ham ko hamáre qánún ke muwáfiq bahut ziyada barhá do.

16 Ki ham tumhárí sarhadd ke

6 Aur ham musta'idd hain, ki jab tumhárí farmánbardárí púríus pár jáke Injil pahuncháwen, ho, to ham har tarah kí náfarmánbardárí ká badlá lewen. 7 Kyá tum záhir par nazar karte ho? agar kisi ko is ká yaqín hai, ki wuh áp Masíh ká hai, to wuh

aur dúsre ke qánún par jahán sab
taiyár hain fakhr na karen.
17 Par jo fakhr karta hai, so
Khudáwand par fakhr kare.
18 Kyúnki jo apní ta'rif kartá

hai, wuh nahín, balki jis kí ta'ríf | men hai, main kahtá hún, ki yih Khudáwand karta hai, wuh maq-fakhr Akhaia kí sarhaddon men bút hai. mujh se judá na hogá.

XI BÁB.

ÁSH ki tum zarra merí

'K bewuqufi ki bardasht karo aur tum to merí bardásht karte ho.

2 Mujhe tumhárí bábat Khudá kí sí gairat átí hai, kyúnki main ne tumhen sanwárá táki main tum ko pák-dáman kunwárí kí mánind ek hí shauhar ya'ne Masíh ke pás házir karún..

3 Par main dartá hún, kahín aisá na howe, ki jaise sámp ne apní dagábází se Hawah ko thagá, waise hí tumháre dil bhí us safáí se jo Masíh men hai phirke kharáb ho jáwen.

4 Ki agar koí ákar dúsre Yisú' kí manádí kartá, jis kí ham ne manádí nahín kí, ya agar koí aur Rúh jise tum ne na páyá, pátá, yá dúsrí Injíl miltí, jo tumhen na milí thí, to tumhárá bardásht karna khúb thá

5 Kyúnki main apne taín sab se bare rasulon se kuchh kam nahín samajhtá hún.

6 Aur agar kalám men ummí hún, par 'ilm men nahín; lekin ham to sab báton men har tarah se tum par záhir húe hain.

7 Kya yih merá gunáh húá, ki main ne apne taín farotan kiya, táki tum buland ho, kyúnki main ne tumhen Khudá kí Injil kí khushkhabarí muft sunáí?

8 Main ne to dúsrí kalísiyaon ko lútá, ki tumhárí khidmat ke liye un se darmáhá liyá.

9 Aur main tumháre darmiyán thá aur muhtáj húá, tad bhí kisí par bojh na diyá, kyúnki merí ihtiyaj ko un bháíon ne jo Maqaduniya se aye the dúr kiyá: aur har ek bát men main tum par bojh dene se báz rahá, aur báz rahúngá.

10 Masíh kí sacháí se, jo mujh

[ocr errors]
[ocr errors]

11 Kis waste? kyá is wáste ki nain tum se muhabbat nahín rakhtá? Khudá jántá hai.

karta rahúngá, ki main un ko jo

12 Par main jo kartá hún, so hí

qábú dhúndhte hain qábú páne na dún, tá ki jis bát men we fakhr karte hain, aise jaise ham hain páe jáwen.

13 Kyunki aise log jhúthe rasúl, dagábáz kárinde hain, jo apní súraton ko Masih ke rasúlon se badal dálte hain.

14 Aur yih ta'ajjub nahín, kyúnki Shaitán bhí apní súrat ko núrí firishte se badal ḍáltá hai.

15 Is wáste agar us ke khádim bhí apní súraton ko rástbází ke khádimon se badal dálen, to kuchh yih barí bát nahín, par un ká anjám un ke kámon ke muwáfiq hogá.

16 Phir main kahtá hún, ki koí mujhe bewuquf na samjhe; aur nahín to, bewuqúf bhí samajhke mujhe qabul kare, ki main bhí thorá fakhr karún.

17 Jo kuchh ki main kahtá hún, so Khudáwand kí ráh se nahín, balki bewuqúfi kí ráh se, aur us istiqlál se jo fakhr ke sath hotá, kahtá hún.

18 Azbaski bahut se log jismání tarah par fakhr karte hain, to main bhí fakhr karúngá.

19 Kyúnki tum bewuqúfon kí bardásht khushí se karte ho, is liye ki ap 'aqlmand ho.

20 Ki jab koi tumhen gulám banátá hai, yá jab koí tumhen nigaltá hai, yá jab koí tum se kuchh letá hai; ya jab koí áp ko buland karta hai, yá jab koí tumháre munh par tamancha mártá hai, tab tum bardasht karte ho.

21 Main behurmatí kí bábat boltá hún, ki goya ham kamzor hote. Par jis bát men koí diler hai, to main bhí (bewuqúfi se yih kahtá hún,) diler hún.

« ÎnapoiContinuă »