Imagini ale paginilor
PDF
ePub

bat, ye tínon maujúd hain; par un men jo barhkar hai, so muhabbat hai.

1

M

XIV BÁB.

UHABBAT ká píchhá karo, aur rúhání ni'amaton kí árzú rakho, khusúsan us kí, ki tum nubúwat karo.

2 Kyunki jo begání zubán boltá hai, wuh ádmíon se nahín, balki Khudá se bolta hai, ki koí nahín samajhtá, agarchi wuh rúh se bhed kí báten bolta hai.

3 Par jo nubúwat karta hai, so ádmíon se, un kí taraqqí, aur nasíhat, aur tasallí ke liye, boltá hai. 4 Jo begání zubán men boltá hai, so apní taraqqí karta hai; par jo nubúwat karta hai, kalísiye kí taraqqí kartá hai.

5 Main cháhtá hún, ki tum sab tarah tarah kí zubánen bolo, par kháss kar cháhtá hún, ki nubúwat karo ki nubúwat karnewálá us se jo tarah tarah kí zubánen bolta hai, bará hai, agar wuh tarjuma is liye na kare, ki kalísiyá taraqqí páwe.

6 Ab, ai bháío, agar main tarah tarah kí zubánen boltá húá tumháre pás aún, aur ilhám kí, ya 'ilm, yá nubúwat, yá ta'lim kí báten tum se na kahún, to tum ko mujh se kyá fáida hogá?

7 Chunánchi beján chízen jin se áwázen nikaltí hain, jaise turhí, yá barbat, agar un ke bolon men tafáwut na ho, to jo phúnká ya bajáyá játá hai, kyúnkar-bujha jáegá ?

8 Aur agar narsinge ke bol dubdhe ke sath hon, to kaun áp ko laráí ke liye taiyár karegá?

9 Waise hí tum bhí agar zubán se wázih bát na bolo, to jo kahá játá hai, kyúnkar samjhá jáegá? tum hawá se bak bak karnewále thahroge.

10 Kitní kitní zubánen tarah tarah kí dunyá men aglab na hongi, aur un men se koí bema'ní nahín.

11 Par agar wuh zubán mujhe na átí ho, to main bolnewále ke áge ajnabí thahrúngá, aur bolnewálá mere age.

12 Pas jab ki tum rúhání ni'amaton kí árzú rakhte ho, to aisí barhtí cháho, táki kalísiye kí taraqqí kar sako.

13 Chunánchi wuh jo begání zubán men boltá hai, du'á mánge, ki tarjuma bhí kar sake.

14 Kyunki agar main kisí begání zubán men du'á mángún, to merí rúh du'á mángtí hai, par merí 'aql bekár hai.

15 Pas main kyá karún? main rúh se du'á mángúngá, aur 'aql se bhí du’á mángúngá: aur main rúh se gáúngá, aur 'aql se bhí gáúngá.

16 Nahín to agar tú rúh se barakat kí bát bole, to wuh jo anparhe kí jagah men baitha hai, teri shukrguzárí men Ámín kyúnkar kahegá? is wáste ki jo kuchh tú kahta hai, wuh use nahín jántá.

17 Tú to achchhí tarah shukr kartá hai, par dúsrá taraqqí nahín pátá.

18 Main apne Khudá ká shukr kartá hún, ki tum sabhon se ziyáda zubánen boltá hún :

19 Lekin main kalísiye men pánch báten apní 'aql se bolná, us níyat se ki auron ko sikháún, un das hazár báton se, jo kisí begání zubán men bolún, ziyáda pasand kartá hún.

20 Ai bháío, tum 'aql men laṛke na bane raho; tum badí men larke raho, par 'aql men jawán ho.

21 Shari'at men likhá hai, ki Khudáwand kahta hai, main begání zubán, aur begáne honthon se is qaum ke sath bolúngá, tau bhí we merí na sunenge.

22 Pas tarah tarah kí zubánen ímándáron ke liye nahín, balki be-ímánon ke wáste nishan hai: par nubúwat be-ímánon ke liye nahín, balki ímándáron ke liye hai.

23 Pas agar sárí kalísiyá ek muqám men jam'a ho, aur sab ke sab tarah tarah kí zubánen bolen, aur anparhe yá be-ímán log andar áwen, to kyá we na kahenge, ki ye díwáne hain?

24 Par agar sab nubúwat karen, aur koí be-ímán, yá anpaṛhon men se koí andar á jáwe, to har ek kí bát se qáil hogá, har ek se parakhá jáega:

.

25 Aur yún us ke dil ke bhed sab záhir honge; tab wuh munh ke bhal girke Khudá ko sijda karegá, aur kahegá, ki Khudá beshakk tumháre bích hải.

26 Pas, ai bháío, kya hai? ki jab tum ikaṭṭhe hote ho, to tum men har ek ke sáth zabúr, yá koí ta'lím, ya begání zubán, yá ilhám, yá tarjuma hai. Chahiye ki sab kuchh díndárí men taraqqí ke liye howe.

27 Agar koí begání zubản men bole, to do do, aur nihayat tín tín ek ek karke bolen; aur ek shakhs tarjuma kare.

28 Par agar koí tarjuma karnewálá na ho, to wuh kalísiye men chupká rahe, aur apne aur Khudá se bole.

29 Nabíon men se do yá tín bolen, aur báqí tajwíz karen. 30 Par agar koí bát dúsre par jo baitha hai khul jáwe, to pahlá chupká rahe.

31 Kyúnki tum sab ke sab ek ek karke nubúwat kar sakte ho, táki sab síkhen, aur sab tasallí páwen.

82 Aur nabíon kí rúhen nabíon ke tábi' hain.

33 Kyúnki Khudá be-intizámí ká bání nahín, par salámatí ká hai, jaisí muqaddas logon kí sárí kalísiyaon men hai.

34 Tumhárí 'auraten kalísiye men chupkí rahen, ki unhen bolne ká hukm nahín hai, balki chahiye ki farmánbardár rahen, jis tarah shari'at men bhí likhá hai.

35 Aur agar we kuchh síkhá chahen, to ghar men apne khasam se púchhen; kyúnki sharm kí bát hai, ki 'auraten kalísiye men bolen.

36 Kyá? Khudá ká kalám tumhín se niklá ? ya sirf tumhín tak pahuncha hai?

37 Agar koí apne taín nabí yá rúhání jáne, to chahiye ki wuh iqrár kare, ki yih báten, jo main tumhen likhta hún, Khudáwand ke ahkám hain.

38 Aur agar koí na jáne, to na jáne.

39 Garaz, ai bháío, nubúwat karne kí árzú rakho, lekin tarah tarah kí zubánen bolne se man'a na karo.

40 Sárí báten durustí aur tartíb ke sath howen.

XV BÁB.

1AB, ai bháío, main tumhen Ausí Injil ki bát jatátá hún,

jis kí khushkhabarí main ne tumhen dí, aur tum ne páí, aur us par qáim ho;

2 Usí ke sabab tum bach bhí játe ho, agar wuh khushkhabarí, jo main ne tumhen dí, yád rakho; nahín to tumhárá ímán láná befaida hai.

3 Kyunki main ne auwal báton men wuhí tum ko sompí, jo main ne bhí páí, ki jaisá nabíon kí kitábon men likha hai, Masíh hamáre gunáhon ke wáste múá;

4 Aur gárá gayá, aur tísre din kitábon ke muwafiq jí uṭhá: 5 Aur Kefas ko, aur us ke ba'd bárahon ko, dikháí diyá :

6 Ba'd us ke pánch sau bháí se ziyada the, jinhen wah ekbára dikháí diyá; aksar un men se ab tak maujúd hain, par kaí ek so gae.

7 Phir Ya'qub ko dikháí diyá; phir sáre rasulon ko.

8 Aur sab ke píchhe mujh ko, jo adh-úre dinon ká paidá hún, dikhái diyá.

9 Ki main rasúlon men sab se chhotá hún, aur is láiq nahín, ki rasúl kahláún, is waste ki main ne Khudá kí kalísiye ko sataya. 10 Par main jo kuchh hún, Khudá ke fazl se hún; aur us ká fazl jo mujh par húa, so befaida na húá, par main ne un sab se ziyáda mihnat ki; na main ne, balki Khudá ke fazl ne, jo mere sáth thả.

11 Pas kya main, kyá we, aisí | manádí karte hain, aur tum waisá hí ímán láe ho.

12 Ab agar manádí kí játí hai, ki Masih murdon men se jí uṭhá, to tum men se kaí ek kyun kahte hain, ki murdon kí qiyámat na hogí?

13 Jab murdon kí qiyámat nahín, to Masíh bhí nahín jí uțhá: 14 Aur agar Masih nahín uṭhá, to hamárí manádí 'abas hai, aur tumhárá ímán bhí 'abas.

15 Aur ham Khudá ke jhúthe gawáh bhí thahre; kyúnki ham ne Khudá kí bábat gawahí dí, ki us ne Masíh ko phir jiláyá hai: jis ko us ne nahín uthayá, agar murde nahín uthte.

16 Kyúnki agar murde nahín uthte to Masíh bhí nahín uṭhá: 17 Aur agar Masíh nahín uțhá, to tumhárá ímán befaida hai; tum ab tak apne gunáhon men giriftár ho.

18 Phir we bhí jo Masih men hoke so gae hain, so nest húe. 19 Agar ham sirf isí zindagí men Masih se ummed rakhte hain, to ham sáre ádmíon se kambakht hain.

20 Par ab Masíh to murdon men se jí utha hai, aur un men jo so gae hain pahlá phal húá.

21 Kijab ádmí ke sabab se maut hai, to ádmí hí ke sabab se murdon kí qiyámat bhí hai.

22 Ki jaisá Ádam ke sabab se sab marte hain, waisá hí Masíh ke sabab se sab jiláe jáenge.

23 Lekin har ek apní apní naubat men: pahlá phal Masíh; phir

we jo Masih ke hain, us ke ane par.

24 Ba'd us ke akhirat hai, tab wuh badshahat Khudá ke, jo Báp hai, supurd karegá, aur sárí hukúmat aur sáre ikhtiyár o qudrat ko nest kar degá.

25 Kyúnki jab tak ki wuh sáre dushmanon ko apne pánwon tale na láwe, zarúr hai ki saltanat kare. 26 Maut bhí, jo áķhirí dushman hai, nest hogí.

27 Ki us ne sab kuchh us ke pánwon tale kar diya hai. Magar jab ki wuh kahta hai, ki sab kuchh us ke tábi' men kar diyá, to záhir hai, ki wuhí alag rahá, jis ne sab kuchh us ke tabi' men kar diya.

28 Aur jab sab kuchh us ke tábi men áwegá, tab Beta áp hí us ká tabi'dár hojáwegá, jis ne sab chízen us ke tabi' men kar dín, táki Khudá sab men sab kuchh howe.

29 Nahin to we jo ki murdon ke úpar baptisma pate hain, so kyá karenge? agar murde mutlaq na uthen, to kyún murdon ke upar baptisma páte hain?

30 Aur phir ham kyún har gharí khatre men pare hain?

31 Mujhe tumhare is fakhr ki, jo hamáre Khudáwand Masíh Yisú' se hai, qasam, ki main har roz martá hún.

32 Agar main ádmí kí tarah Afasús men darindon ke sáth laṛá, to mujhe kyá faida, agar murde na uthen? pas áo, kháwen, píwen, ki kal ke din marenge.

33 Fareb na kháo: burí suhbaten achchhí 'ádaton ko bigártí hain.

34 Tum rástí karne ke liye jágo, aur gunáh na karo; ki kitnon men Khudá kí pahchán nahín hai: main tumhen sharm diláne ko yih kahtá hún.

35 Shayad koí kahe, ki Murde kis tarah uthte hain? aur kis jism men áte hain?

36 Ai nádán, jo chíz tú botá

hai, agar wuh na mare, to kabhí jiláí na jáegí:

37 Aur yih jo tú botá hai, wuh jism nahin hai, jo howegá, balki nirá ek dána hai, khwáh gehún, khwáh kuchh aur ká:

38 Par Khudá us ko jaisá us ne cháhá ek jism detá hai, aur har ek bíj ká ek kháss jism hai.

kí bát kahtá hún; ki ham sab soenge nahín, par ham sab badal jáenge,

52 Ek dam men, ek pal men, pichhlá narsingá phúnkte waqt: ki narsingá to phúnká jáegá, aur murde uthke gairfání honge, aur ham badal jáenge.

53 Kyúnki zarúr hai, ki yih fání baqá ko pahine, aur yih marnewálá hamesha kí zindagí ko pa

39 Sáre jism ek tarah ke jism nahín: balki ádmíon ká jism aur hai, chárpáe ká aur hai, machh-hine. líon ka aur hai, parindon ka aur. 40 Aur ásmání jism bhí hain, aur khákí bhí hain: par ásmáníon ká jalál aur hai, khákíon ká aur. 41 Áftáb ká jalál aur hai, aur máhtáb ká jalal aur, aur sitáron ká jalál aur hai: ki sitára sitáre se jalál kí ba nisbat farq rakhtá hai.

42 Murdon kí qiyámat bhí aisí hí hai. Wuh faná men boyá játá, aur baqá men uthtá hai:

43 Be-hurmatí men boyá játá hai, aur jalál men uthtá hai; kamzorí men boyá játá hai, qudrat men uthtá hai :

44 Haiwání jism boyá játá hai, aur rúhání jism uthta hai. Ek haiwání jism hai, aur ek rúhání jism.

45 Chunánchi likhá hai ki pahlá ádmí, ya'ne Adam, jítí ján húá; aur pichhlá Ádam jilánewálí rúh

húá.

46 Lekin rúhání pahle na thá, balki jismání; ba'd us ke rúhání. 47 Pahlá ádmí zamín se khákí hai: dúsrá ádmí Khudáwand ásmán se hai.

48 Jaisá khákí, waise we bhí jo khákí hain aur jaisá ásmání, waise we bhí jo ásmání hain.

49 Aur jis tarah ham ne khákí kí súrat páí hai, ham ásmání kí súrat bhí páwenge.

50 Ai bháío, main ab yih kahtá hún, ki jism aur khún Khudá kí bádsháhat ke wáris nahín ho sakte, aur na fání baqá ká wáris ho sakta hai.

51 Dekho, main tumhen ek bhed

|

54 Aur jab yih fání gairfání ko, aur yih marnewálá hamesha kí zindagi ko pahin chukegá, tab wuh bát, jo likhí hai, purí hog1, ki Fath ne maut ko nigal liya. 55 Ai maut, terá dank kahán? Ai qabr, terí fath kahán?

56 Maut ká dank gunáh hai: aur gunáh ká zor sharí'at hai.

57 Par shukr Khudá ká, jis ne hamen hamáre Khudawand Yisú Masih ke wasíle fath bakhshí.

58 Pas, ai mere 'azíz bháío, tum sábit-qadam aur páedár raho, aur Khudawand ke kam men hamesha taraqqí karte raho, yih jánkar, ki tumhárí mihnat Khudáwand men befaida nahín hai.

1

XVI BÁB.

A muqaddas logon ke waste

B us chande kí bábat jo

hai, jaisá main ne Galatiya kí kalísiyaon ko hukm kiyá, waisá tum bhỉ karo.

2 Ki har hafta ke pahle din tum men se har koí apní ámdaní ke muwáfiq, jahán tak ba khair húí, kuchh jam'a karke apne pás rakhe, táki jab main aún, to chandá karná na pare.

3 Aur main áke unhen, jin ko tum apne dastkhatton se mu'atabar thahráoge, tumháre faiz ká phal Yarúsalam men lejáne ko bhejúngá.

4 Aur agar merá hí jáná bhí munásib hogá, to we mere sáth jáenge.

5 Aur jab main Maqadúniya

men hoke niklúngá, ki albatta Maqadúniya men sair karke jáúngá, tab tumháre pás áúngá. 6 Shayad main tumhare pás thahrún, balki jáṛá bhí kátún, táki tum mujhe áge jahán merá jáná ho rawána kar do.

7 Ki main nahín cháhtá, ki ab ráh men tumhárí muláqát karún, par ummed wár hún ki agar Khudáwand ijázat de, to kuchh din tumháre pás rahún.

8 Aur main Pantekust ke din tak Afasús men rahúngá.

9 Ki ek bará darwáza jis se ek bare kám men dakhl pátá mere liye khula hai, aur mukhálif bahut se hain.

10 Aur agar Timtáús áwe, to us kí khabar lo, tá ki wuh tumháre pás bekhauf rahe, ki wuh meri tarah Khudáwand ká kám karta hai.

11 Pas koí us ko haqír na jáne; balki tum us ko salámat idhar ko rawána kíjiyo, ki mere pás pahunche: kyúnki main ráh dekhtá hún, ki wuh bháíon samet áwe.

12 Rahá Apallús bháí, so main ne us se bahut iltimás kiyá, ki wuh tumháre pás bháíon ke sath jáe; par us ká iráda ab ke mutlaq na thá, ki jáwe; par jab fursat páwegá, to jáwegá.

13 Jágte raho, ímán men qáim ho, mardánagí karo, zoráwar ho. 14 Tumhárí sab báten muhabbat ke sath hon.

15 Ab, ai bháío, main tum se arz kartá hún, (ki tum Stafanás ke khándán ko jánte ho, ki wuh Akhaia ká pahlá phal hai, aur we muqaddas logon kí khidmat karne ko musta'idd rahe hain,) 16 So tum aise logon ke aur har ek ke, jo kám aur mihnat men hamáre sharík hon, farmánbardár raho.

17 Aur main Stafanás, aur Fortúnátus, aur Akháikús ke áne se khush hún; kyúnki unhon ne tum se jo kam húá, so bhar diyá.

18 Ki unhon ne merí, aur tumhárí rúh ko táza kiyá, is liye tum aison ko máno.

19 Aur Asia kí kalísiyáen tumhen salám kahtí hain; aur Aqulá aur Prisqilla kalísiye samet, jo un ke ghar men hai, tumhen Khudáwand ke wáste bahut bahut salám kahte hain.

20 Sáre bháí tumhen salám kahte hain; tum pák bosa leke ápas men salám karo.

21 Salám mujh Púlús ká apne háth se.

22 Agar koí Khudáwand Yisú' Masih se muhabbat nahín rakhtá, wuh haram kiyá jáwe: Máránátá.

23 Khudáwand Yisú' Masih ká fazl tum par howe.

24 Meri muhabbat tum sab ke sáth Masíh Yisú' men ho. Ámín.

« ÎnapoiContinuă »