Imagini ale paginilor
PDF
ePub

1 QURINTÍON, IX. X.

kyá yih barí bát hai, ki ham tum- | hárí jismání chízen káṭen?

12 Agar auron ká tum par yih ikhtiyar hai, to hamárá kyá ziyáda na hogá? Lekin ham ne apná ikhtiyar záhir nahín kiyá, balki sárí báten sahte hain; na howe ki ham Masih kí Injil ke muzáhim howen.

13 Kyá tum nahín jánte, ki jo haikal ká károbár karte, so haikal men se kháte hain? aur jo qurbángáh men házir húá karte, so qurbángáh se hissa lete hain? 14 Yún hí Khudáwand ne bhí farmaya hai, ki jo Injíl ke sunánewále hain, Injil se asbáb i zindagí páwenge.

15 Par main un men se kuchh 'amal men na láyá: aur main ne is garaz se nahín likhá, ki mere waste yún kiyá jáwe: kyúnki us se mujhe marná bihtar hai, ki koí mere fakhr ko kho dewe.

16 Is liye ki agar main Injíl kí khabar dún, to kuchh merá fakhr nahín; kyúnki mujhe zarúrat parí hai, aur mujh par afsos hai, agar main Injil kí khabar na dún!

17 Ki agar main yih khushí se karún, to phal páúngá: par agar ná-khushí se, taubhí mukhtárí mujhe sompí gaí hai.

221

ká tábi thá,) táki main be-sharfat logon ko naf'a men páún.

22 Kamzoron men main kamzor sá thá, táki kamzoron ko naťa men páún; main sab ádmíon ke wáste sab kuchh baná, táki har ek tarah se kitnon ko bacháún. 23 Aur main yih Injil ke wáste kartá hún, táki main tumháre sáth us men sharík hoún.

24 Kyá tum nahín jánte ho, ki akháre men jab daurte hain, to sab daurte hain, par bází ek hí pátá hai? Pas tum aisa dauro, ki tum hí jíto.

25 Aur har ek kushtígír sab báton ká parhez rakhta hai. So we us táj ke liye jo fání hai; aur ham wuh táj páne ke, jo gairfání hai, yih karte hain.

26 So main dauṛtá hún, par bethikáne nahín; main ghúse laṛtá hún, par us kí mánind nahín, jo hawa ko mártá hai :

27 Balki main apne badan ko píse dáltá hún; aur bándhke ghasíte liye phirtá hún, na howe, ki main auron ko manádí karke áp ná-maqbúl thahrún.

1

X BÁB.

18 Pas to mujhe kya phal miltá PAR, ai bháío, main nahín

hai? Yih, ki jab main Injil kí manádí karún, Masíh kí khushkhabarí ko be-muzd thahráún, táki main apne is ikhtiyár ko, jo Injil ke sabab se hai, bejá taur par isti'amál na karún.

19 Kyúnki main ne, báwujúde ki sab se ázád hún, áp ko sab ká gulám thahráyá, táki main bahuton ko naf'a men páún.

20 Main Yahúdíon ke darmiyán Yahúdí sá thá, táki main Yahúdíon ko naf"a men páún; shari'atwálon men main sharíatwalá baná, táki | shari'atwalon ko naf'a men páún; 21 Aur be-sharíat logon men be-sharî'at sá, (har chand main Khudá ke nazdík be-shari'at nahín húá, balki Masíh kí shari'at

cháhtá, ki tum is se náwáqif raho, ki hamáre bápdáde sab bádal ke níche the, aur we sab samundar men se hokar nikal gae;

2 Aur sabhon ne us bádal aur samundar men Músá ká baptisma páyá;

3 Aur sabhon ne ek hí rúhání khurák kháí;

4 Aur sabhon ne ek hí rúhání pání piyá: kyúnki unhon ne us rúhání Chatán men se jo un ke sáth chalí, pání piya: aur wuh Chatán Masih thí

5 Par un men bahuton se Khudá rází na tha, aur we bayábán men máre pare.

6 Ye sáre májare hamáre wáste namúna húe, táki ham burí chí

zon kí khwahish na karen, jaise | but kuchh chíz hai, yá buton kí unhon ne kí.

7 Aur tum butparast na bano, jis tarah un men kaí ek the, jaisá Fikhá hai, ki Ÿih qaum khane píne baithí, phir náchne uțhí. 8 Aur ham harámkárí na karen, chunánchi un men se kaí ek ne kí, aur ek hí din men teís hazár máre pare.

9 Aur ham Masíh ká imtihan na karen, chunánchi un men se ba'zon ne kiyá, aur sámpon se halák húe.

10 Aur tum mat kurkuṛáo, chunánchi un men se kaí ek kurkuráe, aur halák karnewále se halák húe.

qurbání kuchh chíz hai? 20 Balki yih kahtá, ki gair qaumen jo qurbání kartí hain, Shayátín ke liye kartí hain, na Khudá ke liye aur main nahín cháhtá, ki tum Shayátín ke sharík ho.

21 Tum Khudáwand ká piyála, aur Shayátín ká piyála, pí nahín sakte; tum Khudáwand ke dastarkhwán, aur Shayátín ke dastarkhwán, donon par sharík nahín hosakte.

22 Kyá ham Khudáwand ko gairat diláte hain? kyá ham us se zoráwar hain?

23 Sab kuchh mere liye halál hai, par sab kuchh faidamand nahín: 11 Ye sab wáqi'át jo un ko sab kuchh mujhe halál hai, par sab húín, namúna húín: aur hamáríkuchh taraqqi nahín bakhshtá. nasihat ke wáste, jo ákhirí zamáne 24 Koí apní bihtarí na dhúndhe, men hain, likhí gain. balki har ek dúsre kí bihtarí 12 Pas jo koí áp ko qáim samajhta hai, so khabardár rahe, aisa na ho ki gir pare.

13 Tum kisí imtihan men siwá us ke jo aur insán se kiyá játá hai nahín pare, aur Khudá wafadár hai, ki wuh tum ko tumhárí táqat se ziyada imtihan men parne na degá, balki wuh imtihan ke sath nikal jáne kí ráh bhí thahrá degá, táki tum bardásht kar sako..

14 Pas, ai mere piyáro, tum butparastí se bhágo.

15 Main tum se yún boltá hún, jaise 'aqlmandon se; so, jo main kahtá hún jáncho.

16 Yih barakat ká piyála jis par ham barakat mangte hain, kya Masih ke lahú kí sharákat nahín? Yih roțí jo ham torte hain, kya Masih ke badan kí sharákat nahín hai?

17 Kyúnki harchand ham bahut se hain par milke ek roțí, aur ek tan hain is liye ki ham sab ek hí roțí men sharík hain.

18 Un par, jo jism ke rú se Israelí hain, nazar karo; kyá we,

|

|

cháhe.

25 Jo kuchh qassábon kí dúkánon men biktá hai, so kháo, aur díní imtiyáz karke kuchh na púchho:

26 Kyúnki zamín aur us kí ma'múrí Khudáwand kí hai :

27 Phir agar be-ímánon men se koí tumhári da'wat kare, aur tum qabul karo, to jo kuchh tumháre sámhne rakhá jáwe, kháo, aur díní imtiyáz karke kuchh na puchho.

28 Par agar koí tumhen kahc, ki yih buton kí qurbání hai, to us kí khátir jis ne jatáyá, aur | imtiyáz i dín ke sabab mat khác: ki zamín aur us kí ma’múrí Khudáwand kí hai:

29 Imtiyaz karná hai usí dúsre ke liye aur na apne liye: ki kahe ko dúsre kí samajh merí ázádagí ko khalal kare?

30 Aur agar main shukr karke khátá hún, to jis chíz par shukr kartá hún, us ke sabab kis liye badnám hún ?

31 Pas, tum kháte yá píte, yá jo qurbání khánewále hain, qur-jo kuchh karte ho, sab Khudá ke bángáh ke sharík nahín ? jalál ke liye karo.

19 Pas main kyá kahtá hún ? ki

32 Tum na Yahúdíon, na Yú

náníon, na Khudá kí kalísiye ko thokar ke bá'is ho:

33 Chunánchi main sab báton men sab ko rází rakhtá hún, aur apná nahín, balki bahuton ká fáida dhúnḍhtá hún, táki we naját páwen.

XI BÁB.

1UM mere pairau ho, jaise Tmain bhí Masih ká hún.

2 Aur ai bháío, main tumhárí ta'ríf kartá hún, ki tum har bát men mujhe yád rakhte ho, aur un qánúnon ko hifz karte ho, jis tarah se main ne tumhen sompe hain.

3 Par main cháhtá hún, ki tum jáno, ki har ek mard ká sir Masíh hai, aur 'aurat ká sir mard, aur Masíh ká sir Khudá.

4 Jo mard du'a yá nubúwat karte waqt apne sir ko dhámptá hai, wuh apne sir ko behurmat kartá.

5 Aur har 'aurat jo bagair sir dhámpe du'a ya nubúwat kartí, so apne sir ko behurmat kartí hai, kyúnki yih us ke sir múnḍne ke barabar hai.

6 Kyúnki agar 'aurat orhní na orhe, to us kí chotí bhí kat jáwe; par agar 'aurat chotí kátne, yá sir múndne se behurmat hotí hai, to orhní orhe.

7 Mard ko na chahiye ki apne sir ko dhámpe, ki wuh Khudá kí súrat aur us ká jalál hai, par 'aurat mard ká jalál hai.

8 Is liye ki mard 'aurat se nahín, balki 'aurat mard se hai.

9 Aur mard 'aurat ke liye nahín, balki 'aurat mard ke liye paidá húí.

10 Pas chahiye ki 'aurat firishton ke sabab apne sir ko dhámp rakhe. 11 Magar Khudáwand men na mard 'aurat ke bagair hai, na 'aurat mard ke bagair.

12 Kyunki jaisá aurat mard se hai, waisá hí mard bhí 'aurat ke wasíle se hai, par sab Khudá se hain.

13 Tum áp hí tajwíz karo; kyá munásib hai, ki 'aurat bagair sir dhámpe Khudá se du'á mánge? 14 Kyá tabi'at se tum ko nahín maʼlúm hotá, ki agar mard chotí rakhe, to us kí behurmatí hai?

15 Par agar'aurat ke lambe bál hon, to us kí zinat hai: kyúnki bál use parde ke wáste diye gaye.

16 Lekin agar koí takrárí ho, to maʼlum rahe, ki na hamárá, na Khudá kí kalísiyáon ká yih dastúr hai.

17 Aur jo main ab tumhen kahtá hún, is men tumhárí ta'ríf nahín kartá, ki tum jab jam'a hote ho, to us men tumhárí kuchh bhaláí nahín, balki buráí hai.

18 Main suntá hún, ki jis waqt tum kalísiye men jam'a hote ho, tumháre bích ikhtilaf hote hain; aur main us ko thoṛá sá sach jántá hún.

19 Kyúnki zarúr hai, ki tumháre bích bid'aten bhí ho jáwen, táki we, jo tum men maqbúl hain, záhir ho jáwen.

20 Phir jo tum ek hí maqám men jam'a hote ho, yih 'Asha e Rabbání kháne ke liye nahín hai.

21 Kyúnki khane ke waqt har ek pahle apná hí kháná khá letá hai: aur koí bhúkhá rah játá, aur koí mast hota hai.

22 Kyá tum kháne píne ke liye ghar nahín rakhte ho? ya Khudá kí kalísiye ko náchíz jánte ho, aur muhtájon ko sharminda karte ho? Ab main tum se kyá kahún? kya tumhárí ta'rif karún? Main is men tumhárí ta'ríf nahín karne ká.

23 Kyúnki main ne yih bát Khudáwand se páí, aur tumhen bhí sompí, ki Khudáwand Yisú' ne, jis rát ki pakarwáyá gayá, rotí lí:

24 Aur shukr karke torí, aur kahá, ki Lo, kháo, yih mera badan hai, jo tumháre liye torá játá hai: tum merí yádgárí ke liye yih kiyá karo.

25 Aur isí tarah us ne kháne ke

ba'd piyála bhí liyá, aur kahá, ki Yih piyála wuh nayá 'ahd hai, jo mere lahú se hai; jab jab tum pío merí yádgárí ke liye yún karo.

26 Kyúnki jab jab tum yih roțí kháte, aur yih piyala píte ho, to tum Khudáwand kí maut ko, jab tak ki wuh áwe, jatáte rahte

ho.

27 Is wáste jo koí námunásib taur se yih rotí kháwe, yá Khudáwand ká piyála píwe, to wuh Khudáwand ke badan aur lahú ká gunahgár hogá.

28 Pas ádmí pahle áp ko jánche, | aur yúnhí is rotí men se kháwe, aur is piyále se píwe.

29 Kyunki jo námunásib taur se khátá aur pítá hai, so Khudáwand ke badan ká liház na karke apní sazá khátá aur pítá hai.

30 Isí sabab se tum men bahutere kamzor aur bímár hain, aur kitne so gae.

31 Agar ham apne taín jánchte, to sazá na páte.

32 Aur Khudáwand hamen sazá deke tarbiyat .karta hai, tá na howe ki ham dunyá ke sath sazá ke hukm men sharík howen.

33 Pas ai mere bháío, jab tum khane ke liye jam'a ho, to ek dúsre kí ráh dekho.

34 Aur agar koí bhúkhá ho to apne ghar men kháwe, na ho ki tum sazá páne ko jam'a ho. Ab jo kuchh báqí hai, so main áke durust karúngá.

1

XII BÁB.

|

Yisú' ko Khud áwand kah nahín sakta hai.

4 Pas, ni'amaten tarah tarah kí hain, par Ruh ek hí hai.

5 Aur khidmaten bhí tarah tarah kí hain, par Khudáwand ek hí hại.

6 Aur tásíren tarah tarah kí hain, par Khudá ek hí hai, jo sabhon men sab kuchh karta hai. 7 Lekin Rúh ká zuhúr, jo har ek men kiyá játá, fäida i ’ámm ke liye hai.

8 Ek ko Rúh se hikmat kí bát miltí hai; aur dúsre ko usí Rúh se ’ilm kí bát ;

9 Aur ba'ze ko usí Rúh se ímán: aur ba'ze ko usí Rúh se changá karne kí ni'amaten;

10 Aur kisí ko karámaton kí qudraten; aur kisí ko nubúwat; aur ba'ze ko rúhon kí pahchán; aur ba'ze ko tarah tarah kí zubánen: aur ba'ze ko zubánon ká tarjuma karná :

11 Lekin wuhí ek Rúh yih sab kuchh karti hai; aur jaisá cháhtí, har ek ko bánṭtí hai.

12 Kyúnki jis tarah badan ek hai, aur us ke 'azú bahut, aur ek badan ke 'azú milkar, agarchi bahut, ek badan hote hain, Masih bhí aisá hí hai.

13 Ki ham sab ne kya Yahúdí, kyá Yúnání, kyá gulám, kyá ázád, ek hí Rúh se ek badan banne ke liye baptisma payá, aur ham sab ko ek hí Rúh se píne ko diyá gayá.

14 Kyúnki badan men ek 'azú nahín, balki bahut se hain.

15 Aur agar pánw kahe, is liye bháío, main nahín cháhtá ki main háth nahín, main badan

A ki tum ruhání ni'amaton ká nabín; to kya wuh is sabab

kí bábat be-khabar raho.

2 Tum jánte ho, ki tum gair qaum the, aur gúnge buton ke píchhe, jis tarah chaláe gae, chalte the.

3 Pas main tumhen jatátá hún, ki koí nahín, jo Khudá kí Rúh se boltá, Yisú ko mal'ún kahta hai: aur koí bagair Rúh i Quds ke

se badan ká nahin hai?

16 Aur agar kán kahe, is liye ki main ankh nahín, main badan ká nahín; to kyá wuh is sabab se badan ká nahín?

17 Agar sárá badan ankh hotá, to sunná kahán hotá? aur agar sab sunná hotá, to súnghná kahán?

18 Par ab Khudá ne har ek 'azú ko badan men apní marzí ke muwáfiq rakhá.

aar we sab ek hí

hote, to badan kahan hotá? 20 Par ab bahut se 'azú hain, lekin badan ek hai.

21 Ánkh háth se nahín kah saktí, ki main terí muhtáj nahín: aur sir bhí pánw se nahín kah saktá, ki main tumhárá muhtáj nahín.

22 Balki badan men we 'azú, jo kamzor maʼlum hote hain, bahut zarúr hain:

23 Aur badan ke un 'azúon ko, jinhen ham zalíl jante hain, unhín ko ziyada 'izzat dete hain; aur hamáre be-daul 'azú bahut khushdaul ho játe hain.

24 Kyunki hamáre khush-daul 'azú us ke muhtáj nahín: par Khudá ne zalíl 'azúon ko ziyada hurmat deke badan ko murakkab kiyá :

25 Táki judáí badan men na howe, balki sáre 'azú ápas men ek dusre ke ham-dard rahen. 26 Aur agar ek’azú kuchh dukh pátá hai, to sáre 'azú us ke sáth dukh páte hain; aur agar ek 'azú 'izzat páwe, to sáre 'azú us ke sáth khush hote hain.

27 Tum milke Masih ke badan ho, aur judá judá 'azú ho.

28 Aur kalísiye men Khudá ne kitnon ko muqarrar kiyá, pahle rasúlon ko, dúsre nabíon ko, tísre ustádon ko, ba'd us ke karámaten, tab changá karne kí qudraten, madadgárián, peshwáíán, tarah tarah kí zubánen.

[ocr errors]

XIII BÁB.

1 GAR main ádmí yá firish

muhabbat na rakhún, to main thanthanátá pítal, yá jhanjhanátí jhánjh hún.

2 Aur agar main nubúwat karún, aur agar main gaib kí sab baten aur sáre 'ilm jánún, aur merá ímán kámil ho, yahan tak ki main paháron ko chaláún, par muhabbat na rakhún, to main kuchh nahín hún.

3 Aur agar main apná sárá mál khairát men de dálún, yá agar main apná badan dún, ki jalayá jáe, par muhabbat na rakhún, to mujhe kuchh faida nahín.

4 Muhabbat sábir hai, aur muláim hai; muhabbat dah nahín kartí; muhabbat shekhí nahín kartí, aur phúltí nahín,

5 Be-mauqa' kám nahín kartí, khudgaraz nahín, gussawar nahín, badgumán nahín;

6 Ná-rástí se khush nahín, balki rástí se khush hai;

7 Sab báton ko pí játí hai, sab kuchh báwar kartí hai, sab chíz kí ummed rakhtí hai, sab kí bardásht kartí hai.

8 Muhabbat kabhí játí nahín rahtí: agar nubúwaten hain, to mauqúf hongí; agar zubánen hain, to band ho jáengí; agar'ilm hai, to láhásil ho jáegá.

9 Kyúnki hamárá 'ilm náqis hai, aur hamárí nubúwat ná-tamám. 10 Par jab kamál áwegá, to náqis nest ho jáegá.

11 Jab main larká thá, tab merí bolí larke kí sí, aur mizáj larke ká sá, aur samajh larke kí thí: par jab jawan hứa, tab main ne larkáí se háth uṭháyá.

29 Kyá sab rasúl hain? kyá sab nabí hain? kya sab ustád hain? kyá sab karámaten dikháte hain ? sí 30 Kyá sab ko changá karne kí qudrat hai? kyá tarah tarah kí zubánen sab bolte hain? kyá sab tarjuma karte hain?

31 Tum achchhí se achchhí ni- | 'amaton ke mushtaq raho, par main ek aur ráh jo un se kahín bihtar hai, tumhen batlátá hún.

12 Ki ab ham áíne se dhundhlá sá dekhte hain; par us waqt rúbarú dekhenge; is waqt merá 'ilm náqis hai, par us waqt main is tarah jánúngá, jis tarah wuh mujhe jántá hai.

13 Ab to ímán, ummed, muhab

« ÎnapoiContinuă »