Imagini ale paginilor
PDF
ePub

tauba kiye dil se us din kí khátir, jis men qahr aur Khudá kí 'adálat i haqq záhir hogí, apne liye gazab jam'a karta hai;

6 Wuh har ek ko us ke kámon ke muwáfiq badlá degá;

7 Un ko, jo nek kám par qáim rahke buzurgí aur 'izzat aur baqá ke tálib hain, hamesha kí zindagí degá:

8 Magar un par jo fasádí hain, aur sacháí ko nahín mánte, balki ná-rástí ke tábi hain, qahr aur gazab hogá;

9 Har ek ádmí kí ján, jo buráí karta hai, ranj aur 'azáb men paregí, pahle Yahúdí kí, phir Yúnání kí :

|

10 Aur har ek ko jo bhaláí kartá❘ hai, buzurgí aur 'izzat aur salámatí milegí, pahle Yahúdí ko, phir Yúnání ko:

11 Kyúnki Khudá ke huzúr kisí kí tarafdárí nahin hotí.

12 Is liye ki jin ko shari'at nahín mili, aur unhon ne gunáh kiye, we bagair sharíat ke halák honge; aur jinhon ne shari'at páke gunah kiye, un kí sazá sharí'at ke muwafiq hogí;

13 (Kyúnki Khudá ke nazdík shari'at ke sunnewále rástbáz na thahrenge, balki shari'at par'amal karnewale.

14 Is liye jab gair qaumen, jinhen shari'at na milí, agar tabi'at se shari'at ke kám kartí hain, so we shari'at na páke apne liye áp hí apní shari'at hain;

15 We shari'at ká khulása apne dilon men likhá húá dikháte hain; un kí tamíz bhí gawáhí detí, aur un ke khiyál ápas men ilzám dete, yá 'uzr karte hain;)

16 Us din men jab Khudá merí Injil ke mutabiq Yisú' Masíh kí ma'rifat ádmíon kí poshída báton ká insaf karegá.

17 Dekh, tú Yahúdí kahlátá, aur shari'at par takiya kartá, aur Khudá par fakhr karta hai,

18 Aur us kí marzí jántá, aur shari'at kí ta'lím páke mukh

|

talif chízon men imtiyaz kar jántá;

19 Aur áp par iatiqad rakhta hai, ki main andhon ka ráh-dikhánewálá, aur un kí jo andhere men hain roshní hún,

20 Aur nádánon ká sikhlánewálá, aur larkon ká ustád, aur ki wuh khulása, 'ilm o sacháí ká jo sharí'at men hai, mere pás maujúd hai.

21 Pas, kyá tú, jo auron ko sikhlátá hai, áp ko nahín sikhátá P tú jo wa'z kartá hai, ki chorí na karná, áp hí chorí kartá?

22 Tú jo kahtá ki Ziná na karná, kyá áp hí ziná kartá? tú jo buton se nafrat rakhtá, kyá áp hí haikal ko lúṭtá hai?

23 Tú jo shari'at par fakhr karta hai, shari'at ke 'udúl karne se Khudá ke nám kí be-'izzatí kartá?

24 Chunánchi likhá hai, ki tumháre sabab gair qaumon men Khudá ke nám kí takfír kí játí hai.

25 Khatna faidamand to hai, agar tú shari'at par 'amal kare; lekin jo tú sharí'at ke barkhiláf chalnewálá húá, to terá khatna ná-makhtúní ṭhahrá.

26 Pas agar ná-makhtún shari'at ke hukmon par 'amal karen, to kyá un kí ná-makhtúní khatna na giní jáegí?

27 Aur agar zátí ná-makhtún shari'at ko púrá kare, to kyá tujhe, jo báwujúd kitáb aur khatne ke shari'at se barkhilaf chaltá hai, gunahgár na thahráegá?

28 Kyunki wuh Yahúdí nahín, jo záhirí men hai; aur wuh khatna nahín, jo záhirí jism men hai:

29 Balki Yahúdí wuhí, jo bátin se ho; aur khatna wuhí, jo dil aur rúh se ho, na ki lafzí; jis kí ta'ríf ádmíon se nahín, balki Khudá kí taraf se ho.

1

III. BÁB.

PAS Yahúdí ko kyá fazílat ?

hai?

yá khatne ká kyá fáida

2 Albatta har tarah bahut hai: kháss kar yih, ki we Khudá ke kalám ke amánatdár húe.

3 Phir agar ba'ze ímán na láe, to kyá un kí be-ímání Khudá ká i'atibár bátil kar saktí hai?

4 Aisá na howe; balki Khudá sachchá hai, agarchi har ek ádmí jhúthá ho; chunánchi likhá hai, ki Tú apní báton men rást thahre, aur 'adalat men jít jae.

5 Par agar hamarí ná-rástí Khudá kí rástí ko záhir kartí hai, to ham kya kahen? kyá Khudá ná-rást hai, jo qahr názil kartá? (main to ádmí kí tarah boltá hún)

6 Aisá na howe: warna Khudá kyúnkar dunyá kí 'adálat kar. egá?

7 Phir agar mere jhúth ke sabab Khudá kí sacháí us ke jalál ke liye ziyáda záhir húí; to mujh par kyún gunahgár kí tarah hukm hota hai?

8 Aur ham kyún buráí na karen, tá ki bhaláí nikle? (chunánchi yih tuhmat ham par kí játí, aur ba'ze bolte ki ham yún kahte,) aison par sazá ká hukm haqq hai.

9 Pas kya ham un se bihtar hain? Hargiz nahín: kyúnki ham áge sábit kar chuke, ki kyá Yahúdí aur kyá Yúnání, sab ke sab gunáh ke tale dabe hain;

10 Jaisá likhá hai, ki Koí rástbáz nahín, ek bhí nahín : 11 Koí samajhnewálá nahín, koí Khudá ká tálib nahín.

12 Sab gumráh hain, sab ke sab nikamme hain; koí nekokár nahín, ek bhí nahín.

13 Un ká galá khulí húí gor hai; unhon ne apní zubán se fareb diya hai; un ke honthon men sámpon ká zahr hai:

14 Un ke munh men la'nat aur karwáhat bhari hain:

15 Un ke qadam khún karne men tez hain:

16 Un kí ráhon men tabáhí aur pareshání hai :

17 Aur unhon ne salámatí kí ráh nahín pahchání:

18 Un kí ánkhon ke sámhne Khudá ká khauf nahín.

19 Ab ham jante hain, ki jo kuchh sharí'at farmátí, shari'atwálon hí se kahtí hai; táki sab ká munh band ho jáe, aur sárí dunyá Khudá ke sámhne gunahgár thahre.

20 Pas koí ádmí shari'at par 'amal karne se us ke sámhne rástbáz na thahregá; kyúnki shari'at ke wasíle se gunáh kí pahchán hí hai.

21 Par ab Khudá kí rástbází shari'at se bahar záhir húí, jis par shari'at aur nabí gawáhí dete hain;

22 Ya'ne Khudá kí wuh rástbází, jo Yisú' Masíh par ímán láne se milti hai, aur un sab ke liye aur un sab men hai, jo ímán láte hain: kyúnki kuchh farq nahín:

23 Is liye ki sabhon ne gunáh kiyá, aur Khudá ke jalál se mahrúm hain;

24 So we us ke fazl se us makhlasí ke sabab, jo Masíh Yisú' se hai, muft rástbáz gine játe hain :

25 Jise Khuda ne áge se ek kafára thahrává, jo us ke lahú par ímán láne se kám áwe, táki wuh apní rástí agle waqt kí bábat záhir kare, jis men us ne sabr karke gunáhon se tarah dí,

26 Aur is waqt kí bábat bhí apní rástí záhir kare; táki wuh áp hí rást rahe, aur use jo Yisú' par ímán láwe, rástbáz thahráwe.

27 Phir ab ghamand kahán rahá? Us kí jagah hí na rahí. Kis shari'at se? Kyá a'amál kí shari'at se? Nahín; balki ímán kí sharí'at se.

28 Pas ham yih natíja nikálte hain, ki ádmí ímán hí se be a'amál shari'at ke rástbáz ṭhaharta hai.

29 Kyá wuh sirf Yahúdíon ká| Khuda hai? aur gair qaumon ká nahín? Albatta, wuh gair qaumon ká bhí hai:

30 Kyúnki ek hí Khudá hai, jo makhtúnon ko ímán se, aur námakhtúnon ko bhí ímán hí ke wasíle rástbáz thahráwegá.

31 Pas kya ham shari'at ko ímán se bátil karte hain? Aisá na howe: balki ham to shari'at ko qáim karte.

1

PHIR

IV BÁB.

HIR ham kya kahen, ki hamáre báp Abirahám ne jism kí bábat kuchh páyá?

2 Kyúnki agar Abirahám a'amál kí ráh se rástbáz giná gayá, to us ke fakhr kí jagah hai; lekin Khudá ke áge nahín.

3 Is liye ki nawishta kya kahtá hai? Yihí, ki Abirahám Khudá par ímán láyá, aur yih us ke liye rástbází giná gaya.

4 Ab kám karnewále ko mazdúrí dená bakhshish nahín, balki us ká haqq hai.

5 Par us ke liye jo kám nahín kartá, balki us par jo gunahgár ko rástbáz thahráta, ímán látá hai, usí ká ímán rástbází giná játá. 6 Chunánchi Dáúd bhí us admí kí nekbakhtí ká zikr karta hai, jis ko Khuda bagair a'amál ke rástbáz thahrátá,

7 Ki Mubárak we jin ke gunáh bakhshe gaye, aur jin kí khatáen dhámpí gayín.

8 Mubarak wuh shakhs jis ke | gunáhon ká hisáb Khudáwand na legá.

páyá, ki us ímán kí rástbází kí muhr ho, jo use ná-makhtúní men milí thí: táki wuh un sab ká jo ná-makhtúní men ímán láte hain, báp ho, ki un ke liye bhí rástbází giní jáe:

12 Aur makhtúnon ká báp họ, na un ká jo sirf makhtún hain, balki jo hamáre báp Abirahám ke ímán kí bhí, jo use ná-makhtúní men thá, pairauí karte hain.

13 Kyunki wuh wa'da, jo Abirahám aur us kí nasl ke sáth thả, ki Tú dunyá ká wáris hogá, so shari'at ke wasíle se nahín, balki ímán kí rástbází ke wasíle se thá.

14 Kyunki agar shari'atwále hí wáris hain, to ímán befăida, aur wa'da láhásil;

15 Ki shari'at qahr ká sabab hai, is liye ki jahán shari'at nahin, wahán ná-farmání bhí nahín.

16 So is liye ímán se húá, ki wuh fazl ṭhahre, táki wuh 'ahd tamám nasl ke liye qáim rahe: na sirf us nasl ke liye, jo sharî'atwálí hai, balki us ke liye bhí jo Abirahám ká sá ímán rakhtí; wuh ham sabhon ká báp hai,

17 (Chunánchi likhá hai, ki main ne tujhe bahut qaumon ká báp muqarrar kiya,) us Khudá ke sámhne, jis par wuh ímán láyá, aur jo murdon ká jilánewálá, aur un chízon ka jo maujud nahín yún zikr kartá goyá ki maujúd hain.

18 Wuh ná-ummedí kí jagah men ummed ke sáth ímán lává, táki wuh, us kalám ke muwafiq, ki Terf nasl aisí hogí, bahut qaumon ká báp họ.

19 Wuh sust-i'atiqád na thá, aur na us ne apne murde se badan ká, 9 Pas kyá yih nekbakhtí makh-jo sau baras ke qaríb ká thá, aur túnon hí ke liye hai, yá námakh- na Sarah ke rihm ká, jo khushk túnon ke liye bhí? Ham to ho gaya tha, kuchh khiyál kiyá : kah chuke, ki Abirahám ke liye us ká ímán rástbází giná gayá.

10 Pas wuh kab gina gaya? makhtúní, yá ná-makhtúní kí hálat men? Makhtúní men nahín, balki ná-makhtúní men.

11 Aur us ne khatne ká nishán |

[ocr errors]

20 Aur wuh be-ímání se Khudá ke wa'de men shakk na láyá, balki i'atiqád men mazbút hokar us ne Khudá kí baráí kí ;

21 Aur use kamál yaqín húá, ki jo kuchh us ne wa'da kiyá, so use púrá karne par qádir hai.

22 Isí waste yih us ke liye rástbází giná gayá.

23 Aur sirf us ke liye nahín likhá, ki yih us ke wáste giná gaya; 24 Balki hamáre liye bhí jin ke wáste giná jáegá, agar ham us par ímán láwen, jis ne hamáre Khudáwand Yisú' ko murdon men se jiláyá;

25 Wuh hamárí khatáon ke wáste hawále kar diyá gayá, aur phirke jiláyá gayá, tá ki ham rástbáz thahren.

1

V BÁB

PASabab rástbáz thahre, to
AS jab ki ham ímán ke

apne Bete kí maut ke sabab mel kiyá, pas ham ab mel pákar us kí zindagi ke sabab kitná hí ziyáda bach jáenge?

11 Aur sirf yihí nahín, balki apne Khudáwand Yisú' Masih ke wasíle, jis ke sabab ab ham ne miláp payá, Khudá par fakhr bhí karte hain.

12 Pas jis tarah ek shakhs ke wasíle gunáh dunya men áyá aur gunah ke sabab maut áí, isí tarah maut sab men phailí, is liye ki sab ne gunáh kiyá :

13 (Kyúnki shari'at ke záhir
hone tak gunah dunya men thá:
giná nabín játá.
par jahán shari'at nahín, gunáh

ham men aur Khudá men hamáre
Khudáwand Yisú' Masih ke wa-
síle mel húá.
2 Aur us hí ke wasíle se ham uská nishán thá, bádsháhat kí.
fazl men jis par qáim hain ímán
ke sabab dakhl páte, aur Khudá
ke jalál kí ummed par fakhr karte
hain.

14 Tau bhi maut ne Adam se Músá tak un par bhí jinhon ne Ádam ká sá gunáh na kiyá, jo ánewále

15 Par yih nahín, ki jis qadr khatá, isí qadr bakhshish. Kyunki jab ek hí kí khatá ke sabab bahut se mar gae, to ek hí ádmí, ya'ne 3 Aur sirf yihí nahín: balki mu- Yisú' Masih ke wasíle se, Khudá síbaton men bhí fakhr karte, yihká fazl, aur fazl se bakhshish, jánkar ki musíbat se sabr paidá hotá;

4 Aur sabr se tajriba-kárí; aur tajriba-kárí se ummed:

5 Aur ummed sharminda nahín kartí; kyúnki Rúh i Quds ke wasíle se jo hamen milí, Khudá kí muhabbat hamáre dil men járí húí.

6 Kyunki jab ham kamzor the, Masih 'ain waqt par bedínon ke liye múá.

7 Ab mushkil se kisí rástkár ke liye koí apní ján degá: par sháyad kisí men yih jur,at ho, ki kisí nekokár ke liye apní ján de.

8 Lekin Khuda ne apní muhabbat ham par yún záhir kí, ki jab ham gunah karte játe the, Masíh hamáre wáste múá.

9 So ab, ki us ke lahú ke sabab hamrást báz thahre, to kitná ziyáda us ke wasile qahr se bach rahenge. 10 Kyunki jab Khudá ne ham se, jis waqt ki ham dushman the,

bahuteron ke liye kitná ziyada húá. 16 Aur na ki jaisá ek ke gunáh karne ka anjám húá, so waisá bakhshish: kyúnki ek hí khatá ke sabab sazá ká hukm húá, par rástbáz hone ke liye bahut khatáon kí bakhshish hai.

17 Kyúnki agar ek kí khatá ke sabab maut ne ek hí ke wasíle se bádsháhat kí; to we jo nihayat fazl, aur rástbází ká in'ám páte hain, ek ya'ne Yisú' Masih ke wasíle, zindagi men kitná ziyáda bádsháhat karenge.)

18 Pas jaisá ek ki khatá ke sabab sab ádmíon par sazá ká hukm húá, waisá hí ek kí rástbází ke sabab sab ádmí rástbáz thaharke zindagí páwen.

19 Kyunki jaise ek shakhs kí náfarmánbardarí se bahut log gunáhgár thahre, waise hí ek kí farmánbardárí ke sabab bahut log rástbáz thahrenge.

20 Aur shari'at darmiyán áí, ki

khatá ziyada ho. Par jahán gunáh ziyáda húá, fazl us se bhí niháyat ziyada húa hai:

21 Ki jaise gunáh ne maut se bádsháhat kí, waise hí fazl hamáre Khudáwand Yisú' Masíh ke | wasile hamesha kí zindagi ke liye rástbází se bádsháhat kare.

1

PAS

VI BÁB.

AS ham kya kahen? Kyá gunáh karte rahen, tá ki fazl ziyada ho?

2 Aisá na howe. Ham to jo gunáh kí nisbat múe hain, phir kyúnkar us men zindagi guzránen?

3 Kyá tum nahín jánte, ki ham men se jitnon ne Masíh Yisú' ká baptisma payá, us kí maut ká baptisma páyá?

4 Pas maut ke baptisma ke sabab us ke sáth gáre gae: tá ki jaise Masíh murdon men se Báp ke jalál ke wasíle se uthayá gayá, waise hi ham bhí nayí zindagí men qadam máren.

5 Kyunki jab ham us kí maut se mushabahat paidá karke us ke sáth boye gaye, to albatta jí uthne men bhí us kí mánind honge:

6 Ki ham jante hain, ki hamárí purání insaniyat us ke sath salíb par khainchí gaí, tá ki gunáh ká badan nest ho jáe, ki ham áge ko gunáh ke gulám na rahen.

7 Kyúnki jo mará, so gunáh se chhútá hai.

8 Pas agar ham Masih ke sath mare, to hamen yaqín hai, ki us ke sath jíenge bhí :

9 Yih jánke, ki Masíh murdon men se jí uțhá, phir nahín marne ká; aur maut phir us par ikhtiyár nahín rakhtí.

10 Kyunki wuh jo múá so gunáh kí nisbat ek bár múá: phir jo jítá, so Khudá kí nisbat jítá.

12 Pas gunáh tumháre făní badan par saltanat na kare, ki tum us ki shahwaton men us ke farmánbardár ho raho.

13 Aur na apne 'azú gunáh ke hawále karo, ki nárástí ke hathyár banen, balki apne taín is tarah Khuda ko sompo, jaise marke jí uthe ho, aur apne azú Khudá ke supurd karo, taki rástí ke hathyár banen.

14 Is liye ki gunáh tum par gálib na hoga; kyúnki tum shari'at ke ikhtiyar men nahín, balki fazl ke ikhtiyar men ho.

15 Pas kyá gunáh kiyá karen is liye ki ham shari'at ke ikhtiyár men nahín, balki fazl ke ikhtiyár men hain? Aisá na howe.

16 Kya tum nahín jánte ki jis kí tábi'dárí men tum áp ko gulám kí mánind sompte ho, usí ke gulám ho, jis kítábi'dárí karte; khwáh gunáh kí, jis ká anjám maut hai, khwáh farmánbardarí kí, jis ká phal rástbází hai?

17 Par Khudá ká shukr, ki tum jo áge gunáh ke gulám the, dil se us ta'lím ke, jis ke sánche men tum dhále gaye the, farmánbardár húe.

18 Aur gunáh se chhútkar rástbází ke gulám bane.

19 Main tumháre jism kí kamzorí ke sabab ádmí kí tarah bayán kartá hún: so jaise tum ne apne 'azú nápákí aur sharárat kí gulámí men sompe the, táki sharárat karen, waise hí ab apne 'azú rástbází kí gulámí men pák hone ke wáste sompo.

20 Kyunki jab tum gunáh ke gulám the, rástbází se ázád the. 21 Pas tum ne un kámon se, jin se ab sharminda ho, kyá phal páyá? kyúnki un ká anjám maut hai.

22 Par ab tum gunáh se chhúṭ11 Isi tarah tum bhí áp ko kar Khudá ke bande hoke pákígunáh kí nisbat murda, par Khu-zagí ká phal láte ho, aur akhir dá kí nisbat hamáre Khudáwand hamesha kí zindagi hai. Yisú' Masih ke wasíle zinda samjho.

23 Kyúnki gunáh kí mazdúrí maut hai; par Khudá kí bakh

« ÎnapoiContinuă »