Imagini ale paginilor
PDF
ePub
[blocks in formation]

AUR jab Yisu, Herodis bád

sháh ke waqt, Yahudiya ke Baitlaham men paidá húá, to dekho, ka,í majúsíon ne púrab se Yarúsalam men ake kahá, ki. 2 Yahúdíon ká badshah jo paidá húa so kahán hai? ki ham ne purab men us ká sitára dekhá, aur use sijda karne ko á,e hain.

3 Jab Herodís bádsháh ne yih suná, tab wuh aur us ke sáth tamám Yarúsalam ghabráyá.

11 ¶ Aur us ghar men pahunchkar us larke ko us kí má Mariyam ke sáth páyá, aur us ke áge jhukke use sijda kiyá; aur apní jholíán kholke soná aur lubán aur murr use nazr guzráná.

12 Aur khwab men ágáhí pákar ki Herodís ke pás na jawen, we dúsrí ráh se apne mulk ko phire.

13 Jab we rawána húe, to dekho, Khudáwand ke firishte ne Yusuf ko khwab men dikhá,í

deke, kabá, th, us larke aur us

kí má ko sáth lekar, Misr ko bhág já, aur wahán rah, jab tak main tujhe khabar na dún; kyúnki Herodís is larke ko dhúndhegá, ki már dále.

14 Tab wuh uthke, rát hí ko, larke aur us kí má ko sáth lekar, Misr ko rawána húá:

15 Aur Herodís ke marne tak wahán rahá, ki jo Khudáwand ne nabí kí ma'rifat kahá thá, púrá ho, 4 Tab us ne, sab sardár Káhi-ki, Main ne apne bețe ko Misr se non aur qaum ke Faqihon ko jam'a buláyá. karke, un se púchhá, ki Masíh kahán paidá hogá?

5 Unhon ne us se kahá, Yahúdiya ke Baitlaham men; kyúnki nabí kí ma'rifat yún likha hai; ki, 6 Ai Yahudiya ke Baitlaham, tú Yahúdáh ke sardaron men hargiz kamtarín nahin hai; kyúnki tujh men se ek sardár niklegá, jo merí qaum Israel kí ri'áyat karegá.

7 Tab Herodis ne majúsíon ko chupke se bulákar un se tahqiq ki, ki wuh sitára kab dikhlá,í diya.

8 Aur unhen yih kahke, Baitlaham men bhejá, ki Jákar us larke kí bábat khúb daryáft karo; aur jab use páo, mujhe khabar do, ki main bhí jáke use sijda

karún.

9 We, badshah se yih sunke, rawána húe, aur dekho, wuh sitára, jo unhon ne púrab men dekhá thá, un ke áge áge chal rahá, aur us jagah ke upar, jahán wuh laṛká thá, jáke thahrá.

10 We us sitáre ko dekhke bahut hí khush húe.

16 Jab Herodís ne dekhá, ki us ne majúsíon se fareb kháyá thá, to niháyat gussa húá, aur logon ko bhejkar Baitlaham aur us kí sárí sarhaddon ke sab laṛkon ko, jo do baras ke aur us se chhote the, us waqt ke muwáfiq ki us ne majúsíon se tahqiq kí thí, qatl karwáya. 17 Tab wuh jo Yaramiyah nabí ne kahá thá, puá huá; kị,

18 Ráma men ek áwáz sunne men áí hai, nále aur rone aur bare mátam kí, ki Rákhil apne laṛkon par rotí, aur tasallí nahín chahtí, is liye ki we nahin hain.

19 Jab Herodis mar gayá, to dekho, Khudáwand ke firishte ne Misr men Yusuf ko khwab men dikhlá,í deke kahá,

20 Uth, aur us larke aur us kí má ko sáth lekar, Israel ke mulk men já; kyúnki jo us larke kí ján ke khwáhán the, mar ga,e.

21 Tab wuh uțhá, aur us larke aur us kí má ko sáth leke, Isráel ke mulk men áyá.

22 Magar jab suná, ki Arķhilá,us

diya men bádsháhat kartá hai, to wahán jane se dará; aur khwab men ágáhí pákar Galíl kí taraf rawána húá.

apne báp Herodís kí jagah, Yahú- | liye pání se baptisma detá hún; lekin wuh jo mere ba'd átá hai, mujh se qawítar hai, ki main us kí jútíán uṭháne ke láiq nahín, wuh tumhen Rúh i Quds aur ág se baptisma degá:

23 Aur ek shahr men jis ká nám Násarat thá, jáke raha, ki wuh, jo nabíon ne kahá thá, púrá ho, ki Wuh Násarí kahlá,egá.

III BÁB.

N dinon

Yuhanná

12 Ús ke háth men ek súp hai, aur wuh apne khaliyán ko khúb sáf karegá, aur apne gehún ko khatte men jam'a karegá, par bhúse ko us ág men jo hargiz nahín bujhtí, jaláwegá.

13 Tab Yisú' Galíl se Yardan

1U baptisma denewála, Yahu ke kináre Yuhanná ke pás áyá, táki

diya ke bayábán men záhir hoke, manádí karne lagá, ki,

2 Tauba karo; kyúnki ásmán kí bádsháhat nazdík hai.

3 Ki yih wuhí hai, jis ká zikr Yas'aiyah nabí ne kiya, ki Jangal men ek pukárnewále kí áwáz hai, ki Khudawand kí ráh ko durust karo, aur us ke ráston ko sídhá banáo.

us se baptisma páwe.

14 Par Yuhanná ne use man'a karke kahá, ki Main tujh se baptisma páne ká muhtáj hún, aur tú mere pás áyá hai.

15 Yisú ne jawab men us se kahá, Ab hone de; kyúnki hamen munasib hai, ki yúnhín sab rástbází púrí karen. Tab us ne hone diyá.

4 Yih Yuhanná únt ke bálon kí 16 Aur Yisú baptisma páke poshák pahintá, aur chamre ká ka-wunhín pání se nikalke úpar áyá, marband apní kamar men bándhtá thá; aur tiddí aur janglí shahd us kí khurak thí.

5 Tab Yarúsalam aur sáre Yahúdiya aur Yardan ke sab ás pás ke rahnewále us pás chale á,e.

6 Aur unhon ne apne gunáhon ká iqrár karke Yardan men us se baptisma páyá.

7¶Par jab us ne dekhá, ki bahut se Farísí aur Sadúqí baptisma páne ko us pás á,e hain, to unhen kahá, ki Ai sámpon ke bachcho, tumhen ánewále gazab se bhágná kis ne sikhláyá?

8 Pas tauba ke láiq phal láo : 9 Aur apne dil men gumán mat karo, ki Abirahám hamárá báp hai; kyúnki main tum se kahtá hún, ki Khudá inhín pattharon se Abirahám ke liye aulád paidá kar sakta hai.

10 Aur darakhton kí jar par ab kulhárá rakha hai, pas har ek darakht jo achchhá phal nahín látá, kátá aur ág men dálá játá hai. 11 Main to tumhen tauba ke

aur dekho, ki us ke liye ásmán khul gayá, aur us ne Khudá kí Rúh ko kabútar kí mánind utarte, aur apne úpar áte dekhá.

17 Aur dekho, ki ásmán se ek áwáz á,í, ki Yih merá piyárá Bețá hai, jis se main khush hún.

1

IV BÁB.

AB Yisú Rúh kí hidayat se Tbaykban mbki hidayat ke

Shaitán use ázmá,e.

2 Aur jab chálís din rát roza rakh chuká, ákhir ko bhúkhá húa.

3 Tab ázmáish karnewále ne us pás áke kahá, Agar Tú Khudá ká beṭá hai, to kah, ki yih patthar roțí ban já,en.

4 Us ne jawab men kahá, Likhá hai, ki Insán sirf rotí se nahín, balki har ek bát se jo Khudá ke munh se nikaltí, jítá hai.

5 Tab Shaitán use muqaddas shahr men sáth le gayá, aur haikal kí munder par khará karke, us se kahá, ki

6 Agar tú Khudá ká bețá hai, to apne taín niche girá de; kyúnki likha hai, Wuh tere liye apne firishton ko farmá,egá, ki tujhe háthon par uṭhá len, aisá na ho, ki tere pánw ko patthar se thes lage. 7 Yisu' ne us se kahá, Yih bhí likhá hai, ki Tú Khudáwand ko jo terá Khudá hai, mat ázmá.

8 Phir Shaitan use ek bare únche pahár par le gayá, aur dunyá kí sárí bádsháhaten, aur un kí shán o shaukat use dikhá,ín;

9 Aur us se kahá, Agar tú jhukke mujhe sijda kare, to yih sab kuchh tujhe dúngá.

10 Tab Yisú' ne use kahá, Ai Shaitán, dúr ho; kyúnki likhá hai, ki Tú Khudáwand ko jo terá Khuda hai, sijda kar, aur us akele kí bandagí kar.

11 Tab Shaitán use chhor gayá, aur dekho, firishton ne áke us kí khidmat kí.

12 Jab Yisú' ne suná, ki Yuhanná giriftár húá, tab Galíl ko chalá.

13 Aur Násarat ko chhorkar, Kafarnáhum men, jo daryá ke kináre, Zabúlún aur Naftálí kí sarhaddon men hai, já rahá : ki,

14 Jo Yas'aiyah nabí ne kahá thá, púrá họ ;

15 Zabúlún aur Naftálí ká mulk, ya'ne gair qaumon ká Galíl, jo daryá kí ráh Yardan kí taraf hai; 16 Wahan ke logon ne, jo andhere men baithe the, bari roshní dekhí, aur un par, jo maut ke mulk aur sáye men baithe the, núr chamká.

17 Usí waqt se Yisú'ne manádí karná, aur yih kahná shurú' kiyá, ki Tauba karo; kyúnki ásmán kí bádsháhat nazdík á,í.

18 Aur jab Yisú' Galíl ke daryá ke kináre chalá játá thá, to us ne do bháí, ya'ne Sham'aún ko, jo Patras kahlátá hai, aur us ke bháí Andryás ko, daryá men jál dálte dekha, ki we machhwe the.

hen ádmíon ke machhwe banáúngá.

20 We, usí waqt jálon ko chhorkar, us ke píchhe ho lí,e. 21 Wahán se barhke, us ne aur do bhaí ya'ne Zabadí ke bete Ya'qúb, aur us ke bháí Yuhanná ko apne báp Zabadí ke sáth náw par apne jálon kí marammat karte dekhá, aur unhen buláyá. 22 Wunhín náw aur apne báp ko chhorkar, we us ke pichhe ho lí,e.

23 ¶ Aur Yisú'tamám Galíl men phirtá húá, un ke 'ibádatkhánon men ta'lím detá, aur bádsháhat kí khush-khabarí kí manádí kartá, aur logon ke sáre dukh aur bímárí dafa kartá thá.

24 Aur tamám Súrya men us kí shuhrat húí, aur sab bímáron ko, jo tarah tarah kí bímárí aur 'azáb men giriftár the, aur díwánon, aur mirgíhon aur jhole ke máre húon ko us pás lá,e, aur us ne unhen changá kiya.

25 Aur bahut bhír Galíl aur Dikápolis aur Yarúsalam, aur Yahúdiya, aur Yardan ke pár se us ke píchhe ho lí.

1

V BÁB.

WUHI, bhír ko dekhkar, ek

pahár par charh gaya; aur jab baiṭhá, us ke shagird us pás a,e.

2 Tab apní zubán kholke, unhen sikhláne lagá, ki,

3 Mubárak we jo dil ke garíb hain; kyúnki ásmán kí bádsháhat unhín kí hai.

4 Mubarak we jo gamgín hain; kyúnki we tasallí páwenge.

5 Mubarak we jo halim hain; kyúnki we zamín ke wáris honge. 6 Mubárak we jo rástbází ke bhúkhe aur piyáse hain; kyúnki we ásúda honge.

7 Mubarak we jo rahmdil hain; kyúnki un par rahm kiyá já'egá. 19 Aur unhen kahá, ki Mere 8 Mubarak we jo pákdil hain; píchhe chale áo, ki main tum-kyúnki we Khuda ko dekhenge.

9 Mubarak we jo sulh wále hain; kyúnki we Khudá ke farzand kahlá,enge.

karne- | hún, ki Agar tumhárí rástbází
Faqihon aur Farísíon kí se ziyada
na ho, tum ásmán kí bádsháhat
men kisí tarah dákhil na hoge.
21 Tum sun chuke ho, ki aglon
se kahá gayá, Tú khún mat kar;
aur jo koí khún kare, ’adálat men
sazá ke láiq hogá.

10 Mubarak we jo rástbází ke sabab sata,e játe hain; kyúnki ásmán kí bádsháhat unhín kí hai. 11 Mubarak ho tum, jab mere wáste tumhen la'n ta'n karen, aur satáwen, aur har tarah kí burí báten jhúth se tumháre haqq men kahen.

12 Khush ho aur khushí karo; kyúnki ásmán par tumháre liye bará badlá hai; is liye ki unhon ne un nabíon ko jo tum se áge the, isí tarah sataya hai.

13¶Tum zamín ke namak ho : par agar namak bigar já,e, to wuh kis chíz se mazadár kiyá já,e? wuh kisí kám ká nahín, magar phenke jáne, aur ádmíon ke pánw tale raunde jane ká.

14 Tum dunya ke núr ho; jo shahr, ki pahár par basá hai, chhip nahin saktá.

15 Aur chirág bálke, paimáne ke tale nahín rakhte, balki chirágdán par rakhte hain; tab un sab ko, jo ghar men hon, roshní detá.

22 Par main tumhen kahtá hún, ki Jo koí apne bhá,í par besabab gussa ho, 'adálat men sazá ke qábil hogá; aur jo koí apne bhá,í ko báola kahe, majlis men sazá ke lá,iq hogá; aur jo us ko ahmaq kahe, jahannam kí ág ká sazáwár hogá.

23 Pas agar tú qurbángáh men apní nazr le jáwe, aur wahán tujhe yád áwe, ki terá bhá,í tujh se kuchh mukhalifat rakhtá hai;

24 To, wahán apní nazr qurbángáh ke sámhne chhorke, chalá já; pahle apne bhá,í se mel kar, tab ake apni nazr guzrán.

25 Jab tak tú apne mudda',í ke sáth ráh men hai, jald us se mil já; na ho, ki mudda',í tujhe qází ke hawále kare, aur qází tujhe piyáde ke supurd kare, aur tú qaid men pare.

26 Main tujh se sach kahtá hún,

16 Isí tarah tumhárí roshní ádmíon ke sámhne chamke, táki we tumháre nek kámon ko de-ki Jab tak kaurí kaurí adá na kare, khen, aur tumháre báp ki, jo ásmán par hai, ta'ríf karen.

17¶ Yih khiyál mat karo, ki main tauret yá nabíon kí kitáb mansukh karne ko áyá; main mansukh karne ko nahín, balki púrí karne ko áyá hún.

18 Kyúnki main tum se sach kahtá hún, ki Jab tak ásmán aur zamín tal na já,en, ek nuqta yá ek shosha tauret ká hargiz na mitegá, jab tak sab kuchh púrá na ho.

19 Pas, jo koí in hukmon men se sab se chhote ko tál dewe, aur waisáhí ádmíon ko sikháwe, ásmán kí bádsháhat men sab se chhoțá kahlá,egá; par jo ki 'amal kare aur sikhláwe, wuhí, ásmán kí bádsháhat men, bará kahlá,egá. 20 Kyúnki main tumhen kahtá

tú wahán se kisi tarah na chhútega. 27 ¶ Tum sun chuke ho, ki aglon se kahá gayá, Tú ziná na kar.

28 Par main tumhen kahtá hún, ki Jo koí shahwat se kisí 'aurat par nigah kare, wuh apne dil men us ke sath ziná kar chuká.

29 So, agar terí dahní ánkh tere thokar khane ká bá'is ho, use nikál dál, aur phenk de; kyúnki tere angon men se ek ká na rahná tere liye us se bihtar hai, ki terá sárá badan jahannam men dálá jáwe.

30 Yá, agar terá dahná háth tere liye thokar khane ká bá'is ho, us ko kát dál aur phenk de; kyúnki tere angon men se ek ká na rahná tere liye us se bihtar hai, ki terá sárá badan jahannam men dálá já,e.

31 Yih bhí likhá gayá, ki, Jo | se kína rakhen, un ká bhalá karo ; koí apní jorú ko chhor de, use taláq náma likh de.

32 Par main tumhen kahtá hún, ki Jo koí apní jorú ko, ziná ke siwá, kisí aur sabab se chhor dewe, us se ziná karwátá hai; aur jo koí us 'aurat se, jo chhorí ga,í hai, byáh kare, ziná kartá hai.

33 Phir tum sun chuke ho, ki aglon se kahá gayá, ki Tú jhúṭhí qasam na khá; balki apní qasamen Khudáwand ke liye púrí

kar:

34 Par main tumhen kahtá hún, Hargiz qasam na kháná; na to ásmán kí, kyúnki wuh Khudá ká takht hai;

35 Na zamín kí, kyúnki wuh

aur jo tumhen dukh den, aur sa-
tawen, un ke liye du'á karo :
45 Táki tum apne Báp ke, jo
ásmán par hai, farzand ho; ky-
únki wuh apne súraj ko badon
aur nekon par ugátá hai, aur
ráston aur náráston par menh

barsátá hai.

46 Agar tum unhín ko piyár karo, jo tumhen piyár karte hain, to tumháre liye kyá ajr hai? kyá mahsúl lenewále bhí aisá nahín

karte ?

47 Aur agar tum faqat apne bháíon ko salám karo, to kyá ziyada kiyá? kya mahsúl lenewale bhí aisá nahín karte?

48 Pas tum kámil ho, jaisá tum

us ke pánw kí chaukí hai; aur na | h{rá Báp, jo ásmán par hai, kámil Yarúsalam kí, kyúnki wuh bu- | zurg bádsháh ká shahr hai;

36 Aur na apne sir kí qasam khá, kyúnki tú ek bál ko sufed yá kálá nahín kar saktá.

37 Par tumhárí guftogú men, hán ki hán, aur nahin ki nahín ho; kyunki jo is se ziyáda hai, so buráí se hota hai.

38 Tum sun chuke ho, ki kahá gaya, Ankh ke badle ankh, aur dánt ke badle dánt:

39 Par main tumhen kahtá hún, ki Zálim ká muqábala na karná; balki jo tere dahne gál par tamancha máre, dúsrá bhí us kí taraf pher de.

40 Aur agar koí cháhe, ki 'adálat men tujh par nálish karke terí qabá le, kurte ko bhí use lene de. 41 Agar koí tujhe ek kos begár le jáwe, us ke sath do kos chalá já.

42 Jo tujh se kuchh mánge, use 'inayat kar; aur jo tujh se qarz mánge, us se munh na mor. 43 ¶ Tum sun chuke ho, ki kahá gayá, Apne parosí se dostí rakh, aur apne dushman se 'adáwat. 44 Par main tumhen kahtá hún, ki Apne dushmanon ko piyár karo; aur jo tum par la'nat karen, un ke liye barakat cháho; jo tum

[ocr errors]

hai.

1

VI BÁB.

HABARDÁR, tum apne

K nek kámon ko logon ke

sámhne dikhláne ke liye na karo,
nahín to, tumháre Báp se, jo ás-
mán par hai, ajr na milegá.

|
2 Is liye jab ki tú khairát kare,
apne sámhne turhí mat bajá, jaise
riyákár 'ibádatkhánon aur ráston
men karte hain, táki log un kí
ta'rif karen; main tum se sach
kahtá hún, ki, We apná ajr pá
chuke.

3 Par jab tú khairat kare, to chahiye ki terá báyán háth na jáne, jo terá dahná háth karta hai.

4 Táki terí khairát poshída rahe, aur terá Báp jo poshída dekhtá hai, khud záhir men tujhe badlá dewe.

5 Aur jab tú du'á mánge, riyákáron kí mánind mat ho; kyúnki we 'ibádatkhánon men aur raston ke konon par khare hoke, du'á mángne ko dost rakhte hain, táki log unhen dekhen. Main tum se sach kahtá hún, ki We apná badlá pá chuke.

6 Lekin jab tú du'á mánge, apní kothrí men já, aur darwáza band

« ÎnapoiContinuă »