Imagini ale paginilor
PDF
ePub

29 Kyá wuh sirf Yahúdíon ká| Khuda hai? aur gair qaumon ká nahín? Albatta, wuh gair qaumon ká bhí hai :

30 Kyúnki ek hí Khudá hai, jo makhtúnon ko ímán se, aur námakhtúnon ko bhí ímán hí ke wasíle rástbáz thahráwegá.

31 Pas kya ham shari'at ko ímán se bátil karte hain? Aisá na howe: balki ham to shari'at ko qáim karte.

IV BÁB.

PHIR

1
HIR ham kya kahen, ki
hamáre báp Abirahám ne
jism kí bábat kuchh páyá?
2 Kyúnki agar Abirahám a'amál
kí ráh se rástbáz giná gayá, to us
ke fakhr kí jagah hai; lekin
Khuda ke áge nahín.

3 Is liye ki nawishta kya kahta hai? Yihí, ki Abirahám Khudá par ímán láyá, aur yih us ke liye rástbází giná gaya.

4 Ab kám karnewále ko mazdúrí dená bakhshish nahín, balki us ká haqq hai.

5 Par us ke liye jo kám nahín kartá, balki us par jo gunahgár ko rástbáz thahráta, ímán látá hai, usí ká ímán rástbází giná játá. 6 Chunánchi Dáúd bhí us admí kí nekbakhtí ká zikr karta hai, jis ko Khuda bagair a'amál ke rástbáz thahrátá,

7 Ki Mubarak we jin ke gunáh bakhshe gaye, aur jin kí khatáen dhámpí gayín.

payá, ki us ímán kí rástbází kí muhr ho, jo use ná-makhtúní men milí thí: táki wuh un sab ká jo ná-makhtúní men ímán láte hain, báp ho, ki un ke liye bhí rástbází giní jáe:

12 Aur makhtúnon ká báp họ, na un ká jo sirf makhtún hain, balki jo hamáre báp Abirahám ke ímán kí bhí, jo use ná-makhtúní men thá, pairauí karte hain.

13 Kyúnki wuh wa'da, jo Abirahám aur us kí nasl ke sáth thán ki Tú dunyá ká wáris hogá, so shari'at ke wasíle se nahín, balki ímán kí rástbází ke wasíle se thá.

10 Pas wuh kab gina gaya? makhtúní, yá ná-makhtúní kí hálat men? Makhtúní men nahín, balki ná-makhtúní men.

11 Aur us ne khatne ká nishán

14 Kyúnki agar shari'atwále hí wáris hain, to ímán befáida, aur wa'da láhasil;

16 So is liye ímán se húá, ki wuh fazl thahre, táki wuh 'ahd tamam nasl ke liye qáim rahe: na sirf us nasl ke liye, jo sharî'atwálí hai, balki us ke liye bhí jo Abirahám ká sá ímán rakhtí; wuh ham sabhon ká báp hai,

17 (Chunánchi likhá hai, ki main ne tujhe bahut qaumon ká báp muqarrar kiyá,) us Khudá ke sámhne, jis par wuh ímán láyá, aur jo murdon ká jilánewálá, aur un chízon ká jo maujúd nahín yún zikr kartá goyá ki maujúd hain. 18 Wuh na-ummedí kí jagah men ummed ke sáth ímán láyá, táki wuh, us kalám ke muwáfiq, ki Terf nasl aisí hogí, bahut qaumon ká báp họ.

|

19 Wuh sust-i'atiqád na thá, aur na us ne apne murde se badan ká,

8 Mubarak wuh shakhs jis ke gunáhon ká hisáb Khudáwand na legá. 9 Pas kyá yih nekbakhtí makh-jo sau baras ke qaríb ká thá, aur túnon hí ke liye hai, yá námakh-na Sarah ke rihm ká, jo khushk túnon ke liye bhí? Ham to ho gayá thá, kuchh khiyál kiyá : kah chuke, ki Abirahám ke liye 20 Aur wuh be-ímání se Khudá us ká ímán rástbází giná gayá. ke wa'de men shakk na láyá, balki i'atiqád men mazbút hokar us ne Khudá kí baráí kí;

21 Aur use kamál yaqín húá, ki jo kuchh us ne wa'da kiyá, so use púrá karne par qádir hai.

15 Ki shari'at qahr ká sabab hai, is liye ki jahán shari'at nahin, wahán ná-farmání bhí nahín.

22 Isí waste yih us ke liye rástbází giná gaya.

23 Aur sirf us ke liye nahín likhá, ki yih us ke wáste giná gayá; 24 Balki hamáre liye bhí jin ke wáste giná jáegá, agar ham us par ímán láwen, jis ne hamáre Khudáwand Yisú' ko murdon men se jiláyá;

25 Wuh hamárí khatáon ke waste hawale kar diya gaya, aur phirke jiláyá gayá, tá ki ham rástbáz thahren.

1

12 Pas jis tarah ek shakhs ke wasíle gunáh dunya men áyá aur gunáh ke sabab maut áí, isí tarah maut sab men phailí, is liye ki sab ne gunáh kiya:

13 (Kyunki shari'at ke záhir hone tak gunah dunya men thá: giná nahín játá. par jahán shari'at nahín, gunáh

14 Tau bhi maut ne Adam se Músá tak un par bhí jinhon ne Ádam ká sá gunáh na kiyá, jo ánewále uská nishán thá, bádsháhat kí.

V BÁB

PAS jab rástbáz thahre, to
AS jab ki ham ímán ke

ham men aur Khudá men hamáre Khudáwand Yisú' Masih ke wasíle mel húá.

2 Aur us hí ke wasíle se ham fazl men jis par qáim hain ímán ke sabab dakhl páte, aur Khudá ke jalál kí ummed par fakhr karte hain.

3 Aur sirf yihí nahín: balki musíbaton men bhí fakhr karte, yih jánkar ki musíbat se sabr paidá hotá;

4 Aur sabr se tajriba-kárí; aur tajriba-kárí se ummed:

5 Aur ummed sharminda nahín kartí; kyúnki Rúh i Quds ke wasíle se jo hamen milí, Khudá kí muhabbat hamáre dil men járí

húí.

apne Bete kí maut ke sabab mel kiya, pas ham ab mel pákar us kí zindagi ke sabab kitná hí ziyáda bach jáenge?

11 Aur sirf yihí nahín, balki apne Khudáwand Yisú' Masih ke wasíle, jis ke sabab ab ham ne miláp payá, Khudá par fakhr bhí karte hain.

9 So ab, ki us ke lahú ke sabab hamrást báz thahre, to kitná ziyáda us ke wasíle qahr se bach rahenge. 10 Kyúnki jab Khudá ne ham se, jis waqt ki ham dushman the,

15 Par yih nahín, ki jis qadr khatá, isí qadr bakhshish. Kyúnki jab ek hí kí khatá ke sabab bahut se mar gae, to ek hí ádmí, ya'ne Yisú' Masih ke wasíle se, Khudá ká fazl, aur fazl se bakhshish, bahuteron ke liye kitná ziyáda húá. 16 Aur na ki jaisá ek ke gunáh karne ka anjám húá, so waisá bakhshish: kyunki ek hí khatá ke sabab sazá ká hukm húá, par rástbáz hone ke liye bahut khatáon kí bakhshish hai.

17 Kyúnki agar ek kí khatá ke sabab maut ne ek hí ke wasíle se bádsháhat kí; to we jo nihayat fazl, aur rástbází ká in'ám páte hain, ek ya'ne Yisú' Masíh ke wasíle, zindagí men kitná ziyada badshahat karenge.)

18 Pas jaisá ek kí khatá ke sabab sab ádmíon par sazá ká hukm waisá hí ek kí rástbází ke sabab sab ádmí rástbáz thaharke zindagí páwen.

6 Kyúnki jab ham kamzor the, Masih 'ain waqt par bedínon ke liye múá.

7 Ab mushkil se kisí rástkár ke liye koí apní ján degá: par shayad kisí men yih jur,at ho, ki kisí nekokár ke liye apní ján de. 8 Lekin Khuda ne apní muhab-húá, bat ham par yún záhir kí, ki jab ham gunah karte játe the, Masíh hamáre wáste múá.

19 Kyunki jaise ek shakhs kí náfarmánbardarí se bahut log gunáhgár thahre, waise hí ek kí farmánbardárí ke sabab bahut log rástbáz thahrenge.

20 Aur shari'at darmiyán áí, ki

khatá ziyada ho. Par jahán gunáh ziyáda húá, fazl us se bhí niháyat ziyáda húa hai:

21 Ki jaise gunáh ne maut se bádsháhat kí, waise hí fazl hamáre Khudáwand Yisú' Masíh ke wasíle hamesha kí zindagí ke liye rástbází se bádsháhat kare.

|

VI BÁB.

1 AS ham kya kahen? Kyá gunáh karte rahen, tá ki fazl ziyada ho?

PAS

2 Aisá na howe. Ham to jo gunáh kí nisbat múe hain, phir kyúnkar us men zindagí guzránen?

3 Kyá tum nahín jante, ki ham men se jitnon ne Masíh Yisú' ká baptisma páyá, us kí maut ká baptisma páyá?

4 Pas maut ke baptisma ke sabab us ke sath gáre gae: tá ki jaise Masíh murdon men se Báp ke jalál ke wasíle se uthayá gayá, waise hí ham bhí nayí zindagí men qadam máren.

5 Kyunki jab ham us kí maut se mushabahat paidá karke us ke sáth boye gaye, to albatta jí uthne men bhí us kí mánind honge:

6 Ki ham jante hain, ki hamárí purání insaniyat us ke sath salíb par khainchí gaí, tá ki gunáh ká badan nest ho jáe, ki ham áge ko gunáh ke gulám na rahen.

7 Kyunki jo mará, so gunáh se chhútá hai.

12 Pas gunáh tumháre faní badan par saltanat na kare, ki tum us kí shahwaton men us ke farmánbardár ho raho.

|

8 Pas agar ham Masíh ke sáth mare, to hamen yaqín hai, ki us ke sath jíenge bhí :

9 Yih jánke, ki Masíh murdon men se jí uthá, phir nahín marne ká; aur maut phir us par ikhtiyár nahín rakhtí.

13 Aur na apne 'azú gunáh ke hawále karo, ki nárástí ke hathyár banen, balki apne taín is tarah Khuda ko sompo, jaise marke jí uthe ho, aur apne 'azú Khudá ke supurd karo, táki rástí ke hathyár banen.

[blocks in formation]

18 Aur gunáh se chhútkar rástbází ke gulám bane.

19 Main tumháre jism kí kamzorí ke sabab ádmí kí tarah bayán kartá hún: so jaise tum ne apne 'azú nápákí aur sharárat kí gulámí men sompe the, táki sharárat karen, waise hí ab apne 'azú rástbází kí gulámí men pák hone ke waste sompo.

20 Kyunki jab tum gunah ke gulám the, rástbází se ázád the. 21 Pas tum ne un kámon se, jin se ab sharminda ho, kyá phal páyá? kyúnki un ká anjám maut hai.

22 Par ab tum gunáh se chhúṭkar Khudá ke bande hoke pákíká phal láte ho, aur akhir hamesha kí zindagi hai.

10 Kyunki wuh jo múá so gunáh kí nisbat ek bár múá: phir jo jítá, so Khudá kí nisbat jítá.

11 Isi tarah tum bhí áp ko gunáh kí nisbat murda, par Khu-zagí dá kí nisbat hamáre Khudáwand Yisú' Masih ke wasíle zinda samjho.

23 Kyúnki gunáh kí mazdúrí maut hai; par Khudá kí bakh

shish hamáre Khudáwand Yisu' 10 Yún mujhe ma'lúm hogayá, Masih ke wasile hamesha kí zin-ki wuh hukm, jo zindagí ke liye dagi hai. thá, maut ká sabab hai.

11 Kyúnki gunáh ne hukm ke wasíle qábú pákar mujhe bahkáyá, aur usí ke wasile már dálá. 12 Pas shari'at to pák hai, aur hukm pák, aur haqq, aur khúb hai.

13 Pas jo chíz khúb hai, kyá wuhí mere liye maut thahrí? Aisá na howe. Balki gunáh ne, táki us ká gunáh honá záhir ho, achchhí chíz ke wasile maut ko mujh men paidá kiyá, ki gunáh hukm ke wasíle niháyat hí bura ma'lúm ho.

14 Kyúnki ham jante hain, ki sharí'at rúhání hai: par main jismání aur gunáh ke háth bik gayá hún.

15 Ki jo kartá hún, so main jántá nahín: kyúnki jo main cháhtá, so nahín karta; balki jis se mujhe nafrat hai, wuhí kartá hún.

16 Pas jab main wuhí kartá hún, jo nahín cháhtá, to main qabúl kartá hún, ki sharí'at khúb hai.

VII BÁB.

A

I bháío, kyá tum nahínjánte, (main to un se kahtá hún, jo shari'at se wáqif hain,) ki koí ádmí jab tak jítá hai, us par sharí'at ká hukm hai?

2 Kyúnki byáhí 'aurat shari'at ke muwafiq apne khasam kí zindagí tak us kí band men hai; par agar khasam mare, to wuh apne khasam kí band se chhút jatí hai.

3 Pas khasam ke jíte jí agar wuh dúsre kí hojáwe, to zániya thahregí; par agar khasam mar gaya, to wuh us band se chhút gaí, ki agar dúsre mard kí hojáwe, zániya na hogí.

4 So, ai mere bháío, tum bhí Masih ke badan ke sabab shari'at kí nisbat mar gae ho, ki tum dúsre ke hojáo, jo murdon men se uthayá gayá, tá ki ham Khuda ke liye phal láwen.

5 Kyunki jab ham jismání the, gunáh kỉ khwahishen, jo shari'at ke sabab thín, hamare band band men maut ke phal láne ko asar kartí thín.

6 Par ab jo ham mar gae, to shari'at se, jis kí qaid men the, chhút gae, aisá ki rúh ke naye taur se, na ki harf ke puráne taur se, bandagí karen.

7 Phir ham kya kahen? Kyá shari'at gunáh hai? Aisá na howe. Balki bagair shari'at ke main gunáh ko nahín pahchántá; kyúnki main lálach ko na jántá, agar shari'at na kahtí, ki Tú lálach na kar.

8 Par gunáh ne shari'at ke sabab qábú pákar mujh men har tarah ká lálach paidá kiya. Kyúnki shari'at ke bagair gunah

murda hai.

9 Ki main age be-shar'a hoke jítá thá: par jab hukm áyá, gunáh jí uṭhá, aur main mar gayá.

17 So ab main us ká karnewálá nahín, balki gunáh jo mujh men basta hai.

18 Kyúnki main jántá hún, ki mujh men (ya'ne, mere jism men,) koí achchhí chíz nahín bastí; ki khwahish to mujh men maujúd hai, par jo kuchh achchhá hai karne nahín pátá.

19 Ki jo nekí main cháhtá hún, nahín kartá, balki wuh badí jise main nahín cháhtá, so hí kartá hún. 20 Pas jab ki main jise nahín cháhtá, wuhí kartá hún, to phir main us ká karnewálá nahín, balki gunáh jo mujh men bastá hai.

21 Garaz, main yih shari'at pátá hún, ki jab main nekí kiyá chahtá hún, to badí mere pás maujúd hotí. 22 Kyúnki main bátiní insániyat se Khudá kí shari'at men magan hún:

23 Magar dúsrí sharí'at apne 'azúon men dekhtá hún, jo merí 'aql ki shari'at se lartí, aur mujhe us gunáh kí shari'at ká, jo mere 'azúon men hai, giriftár kartí.

24 Áh! main to sakht musíbat men hún! is maut ke badan se mujhe kaun chhuṛáwegá?

25 Khudá ká shukr kartá hún, hamáre Khudáwand Yisú' Masíh ke wasíle se. Garaz, main to apní aql se Khudá kí sharí'at ká banda hún, par jism se gunáh kí shari'at ká.

VIII BÁB.

1

PAS AS ab un par jo Masih Yisú' men hain, aur jism ke taur par nahín, balki Rúh ke taur par chalte, sazá ká hukm nahín.

2 Kyúnki us Rúh i zindagí kí rí'at ne, jo Masíh Yisú' men hai, mujhe gunáh aur maut kí shari'at se chhurá diyá.

3 Is liye jo sharî'at se jism kí kamzorí ke sabab na ho saká, so Khudá se húá, ki us ne apne Bețe ko gunahgár jism kí súrat men gunah ke sabab bhejkar, gunáh par jism men sazá ká hukm kiyá: 4 Tá ki shari'at kí rástí ham men jo jism ke taur par nahín, balki Ruh ke taur par chalte hain, púrí ho.

5 Kyunki we jo jism ke taur par hain, un ka mizáj jismání hai; par we jo Rúh ke taur par hain, un ká mizáj rúhání hai. 6 Ki jismání mizáj maut hai, par rúhání mizáj zindagání aur salámatí.

15 Ki tum ne gulámí kí rúh sha-nahín páí, ki phir daro; balki lepálak hone kí Rúh páí, jis se ham Abbá, ya'ne, Ai Báp, pukár pukár kahte hain.

16 Wuhí Rúh hamárí rúh ke sáth gawáhí detí, ki ham Khudá ke farzand hain:

17 Aur jab farzand húe, to wáris bhí, ya'ne, Khudá ke wáris, aur mírás men Masih ke sharík; basharte ki ham us ke sáth dukh utháwen, táki us ke sath jalál bhí páwen.

18 Kyúnki merí samajh men zamána i hál ke dukh dard is láiq nahín, ki us jalál ke, jo ham par záhir honewálá hai, muqábil hon.

7 Is liye ki jismání mizáj Khudá ká dushman hai: kyúnki Khudá kí shari'at ke tabi' nahín, aur na ho saktá.

men Masíh kí Rúh nahín, wuh us ká nahín.

8 Aur jo jismání hain Khudá ko pasand nahín á sakte.

9 Par tum jismání nahín, balki rúhání ho, ba-sharte ki Khudá kí Rúh tum men bastí hai. Par jis

10 Aur agar Masih tum men hai, to badan gunáh ke sabab murda hai, par Rúh rástbází ke

sabab zinda.

11 Phir agar us kí Rúh jis ne Yisú' ko murdon men se jiláyá, tum men base, to Masíh ká jilánewálá tumháre murde badan ko bhí apní us Rúh ke wasíle, jo tum men bastí hai, jiláwegá.

12 Pas ai bháío, ham kuchh jism ke qarzdár nahín, ki jism ke taur par zindagi káṭen.

13 Kyúnki agar tum jism ke taur par zindagi karo, to maroge : par agar Rúh se badan kí burí 'ádaton ko maro, to jíoge.

14 Is liye ki jitne Khudá kí Rúh kí hidayat se chalte, we hí Khudá ke farzand hain.

[blocks in formation]
« ÎnapoiContinuați »