Imagini ale paginilor
PDF
ePub

par, jo Asia ke kináre kináre jáne | langar uthayá, aur Krete ká kinára par tha, charhke rawána húe; aur pakarke, rawána húe. Aristarkhús Maqadúní Tassaluníqe ká hamáre sath thá.

3 Dúsre din ham Saidá men pahunche. Aur Július ne Púlús se khushsulúkí karke ijázat dí, ki apne doston ke pás jáke chain kare.

4 Wahán se rawána hoke Kuprus ke níche níche guzre, is liye ki hawá mukhálif thí.

5 Aur jab ham Kilikiyá aur Pamfúliya ke samundar se guzre the, to Mura nám Luqia ke shahr men á,e.

6 Wahán Súbadár ne Iskandariá ká ek jaház Itáliá ko játe húe páke hamen us par biṭháyá.

7 Aur jab ham bahut din áhista áhista chale, aur mushkil se Knidus ke sámhne á,e, to is liye ki hawá hamen áge barhne na detí thí, Krete ke níche níche Salmone ke sámhne se guzre.

8 Aur us ko ba mushkil chhoṛke kisí maqám men, jo HusnBandar kahlátá hai, á,e: Lasaiá shahr us ke nazdík thá.

9 Itne men jab bahut waqt guzrá, aur ab jaház ke chalne men khatra pará, is liye ki roze ká din bhí guzár gayá thá, Púlús ne unhen yún kahke chitáyá,

10 Ai mardo, main dekhtá hún, ki is safar ke sath taklíf aur bahut nuqsán hogá, na sirf bojh aur jaház ká, balki hamárí jánon ká

bhí.

11 Par súbadár ne mánjhí aur jaház ke málik kí báton ko Púlús kí báton se ziyáda máná.

12 Aur is liye ki wuh bandar járá kátne ke liye achchhá na thá, aksaron ne salah kí, ki wahán se rawána hon, ki agar ho sake, to Fíníke men pahunchke járá káṭen; ki wuh Krete ka ek bandar thá, jo dakhin pachchhim aur uttar pachchhim ke rukh thá.

13 Jab kuchh kuchh dakhaniyá chalne lagí, unhon ne yih samajhke ki apne matlab ko pahunche,

|

[ocr errors]

14 Lekin thorí der ba'd ek barí túfání hawá ká, jo Yúrakludon kahlátí hai, us ko tamáncha lagá. 15 Aur jab jaház ikhtiyár men ná rahá, aur hawá ká sámhná na kar saká, to ham ne use chhor diyá, ki chalá jáe.

16 Aur ek tápú ke tale, jis ká nám Klaudá hai, bah ga,e, aur barí mushkil se dongí ko qábú men lá,e.

17 Use unhon ne pás láke tadbiren kín, aur jaház ko níche se bándhá; aur chorbálú men dhas jáne ke dar se, ham ne jaház ká pál wál girá diyá, aur yúnhí chale ga,e.

18 Par jab andhí ne hamen niháyat satayá, to dúsre din unhon ne jaház ká bojh phenk diyá.

19 Aur tísre din ham ne apne háthon se jaház ká asbáb bhí phenká.

20 Aur jab bahut dinon tak na súraj aur na táre nazar á,e, aur baṛí ándhí chaltí rahí, ákhir ko bachne kí ummed hamen bilkull na rahí.

21 Aur bahut fáqon ke ba'd Púlús ne un ke bích men khare hoke kahá. Ai mardo, lazim to thá, ki tum merí bát mánke Krete se rawána na hote, aur yih taklíf aur nuqsán na uṭháte.

22 Par ab tumhárí minnat kartá hún, ki khátirjam'a rakho; ki tum men se kisí kí ján ká nuqsán na hogá, faqat jaház ká;

23 Kyunki Khudá, jis ká main hún aur jis kí bandagí kartá hún, us ká firishta isí rát ko mere pás áyá aur kahá,

24 Ai Púlús, mat dar; kyúnki zarúr hai, ki tú Qaisar ke age házir ho; aur, dekh, Khudá ne sab ko, jo tere sath jaház men hain, tujhe bakhsh diya.

25 Is liye, ai mardo, khátirjam'a ho, kyúnki main Khudá par i'atiqád rakhtá hún, ki jaisá mujh se kahá gayá, waisá hí hogá.

[ocr errors]

26 Lekin zarúr hai ki ham kisí tápú men já parenge.

27 Jab chaudahwín rát á,í, ki ham darya e Adriá men takrá rahe the, ádhí rát ko malláhon ne atkal se ma’lúm kiya ki kis mulk ke nazdik pahunche;

40 So langar káṭke samundar men chhor díe, aur patwáron kí rassíán bhí kholín, aur pál hawá ke rukh par chaṛháke kináre kí taraf chale.

41 Aur ek jagah, jis kí donon taraf pání thá, pahunchke, jaház 28 Aur pání kí tháh leke, bís ko zamín par dauṛá diya; aur pursá páyá: aur thoṛá áge barhke galahí to dhakká kháke phans aur phir tháh leke, pandrah pursága,í, par píchhá lahron ke zor se páyá. tút gayá.

29 Aur is dar se, ki mabáda chatánon par já paren, jaház ke | píchhe se chár langar dále, aur subh kí ráh dekhte rahe.

30 Aur jab malláhon ne cháhá, ki jaház par se bhág já,en aur is bahane se, ki galahí se langar dálen, donge ko samundar men utárne lage,

31 Púlús ne súbadár aur sipáhíon se kahá, Agar ye jaház par na rahen, to tum nahín bach sakte.

32 Tab sipáhíon ne donge kí rassí kátke use girádiyá.

33 Aur din hone na páya ki Púlús ne sab kí minnat kí, ki

42 Aur sipáhíon kí yih saláh thí, ki qaidion ko már dálen, na ho ki koí pairke bhág já,e.

43 Lekin súbadár ne yih cháhke, ki Púlús ko bachawe, un ko is iráde se báz rakhá, aur hukm diyá, ki Jo log pair sakte hain, pahle kúdke kináre par já,en:

44 Aur báqí, ba'ze takhton par, aur ba'ze jaház ke tukron par. Aur yúnhin húá ki sab ke sab salámat khushkí par pahunche.

XXVIII BÁB.

Kuchh kháo, aur kahá, Áj chau-AUR jab bach nikle the, tab

ján ga,e ki us tápú ká

nám Malitá hai.

dah din húe, ki tum ráh dekhte ho, aur faqa kiyá, aur kuchh na 2 Aur us ke janglí báshindon kháy. ne ham par niháyat mihrbání kí: 34 Is liye tumhárí minnat kartákyúnki menh ki jharí aur járe ke hún, ki kuchh kháiyo, ki is men sabab unhon ne ág sulga,í aur tumhárí salámatí hai; kyúnki ham sabhon ko pás buláyá. tum men se kisí ke sir ká ek bál na bíkegá.

35 Aur yih kahke, us ne roțí lí, aur un sab ke sámhne Khudá ká shukr kiyá, aur torke kháne lagá.

36 Tab we sab khátirjam'a húe, aur áp bhí kháne lage.

37 Âur sab miláke jaház men do sau chhihattar the.

38 Aur unhon ne kháke aur ser hoke anáj ko samundar men phenk diyá, aur jaház halká kiyá.

39 Aur jab din húá, unhon ne us zamín ko na pahcháná: par ek kol dekhá, jis ke kináre par unhon ne cháhá, ki agar ho sake, to jaház ko chaṛhá le já,en.

3 Aur jab Púlús ne lakṛí ká gaṭṭhá jam'a karke ág men dálá, ek nág garmí páke niklá, aur us ke háth par lipat gaya.

4 Jyúnhín un janglíon ne wuh kírá us ke háth par liptá dekhá, ek ne dúsre se kahá, Yaqínan yih ádmí khúní hai, ki agarchi samundar se bach gayá, par Iláhí intiqám use jíne nahín deta hai.

5 Pas us ne kíre ko ág men jhaṭak diyá, aur kuchh zarar na páyá.

6 Par we muntazir the, ki wuh súj já,egá, yá ekáek marke gir paregá: lekin jab der tak intizár kiyá, aur dekhá, ki us ko kuchh zarar na pahunchá, to aur khiyál

hai.

karke kahá, ki Yih ek dewtá 18 Unhon ne merá hál daryáft karke cháhá, ki mujhe chhor den, kyúnki mere qatl ká koí sabab na thá.

7 Aur us jagah ke áspás Publiús náme us tápu ke raís kí milkíyat thí; us ne hamen ghar le jáke tín 19 Parjab Yahúdíon me mukhádin tak barí dostí se mihmání kí. lafat kí, main ne láchárí se Qaisar 8 Aur yún húa, ki Publiús ká báp | kí duhái dí, aur is waste nahín, ki tap aur jiryán i lahú se bímár pará apní qaum par faryád karne ká thá: Púlús ne us ke pás jáke du'á merá koí sabab húá. mángí, aur us par háth rakhke use changá kiyá.

9 Pas jab yih mashhúr húá, tab aur log, jo tápú men bímár the, á,e, aur change húe :

10 Aur unhon ne hamárí baṛí 'izzat kí; aur chalte waqt, jo kuchh hamen darkár thá, lad diyá.

20 So isí liye main ne tumhen buláyá, ki tumhen dekhún, aur guftogú karún; kyúnki Israel hí kí ummed ke sabab main is zanjír se bandhá hún.

21 Unhon ne us se kahá, Ham ne na Yahudiya se tere haqq men khatt pá,e, na bháíon men se kisí ne áke terí kuchh khabar sunáí, yá badí bayán kí.

11 Aur tín mahine ba’d Iskandarí | jaház par, jo járe bhar us tápú 22 Par ham chahte hain, ki tujh men rahá, aur jis ká nishán Dí-se sunen ki tú kya samajhtá hai : oskúrí thá, rawána húe.

12 Aur Súrakús men lagáke tín |

din rahe.

13 Aur wahán se Regium men ghúm á,e: aur jab ek roz ba'd dakhaniyá chalí, dúsre din Púteolí men á,e:

14 Wahan ham bháíon ko páke, un kí minnat se sát din un ke| pás rahe aur yúnhín Rúm ko chale.

15 Wahán se bháí hamárí khabar sunke Apii-forum aur Tín- | sará tak hamáre istiqbál ko á,e: aur Púlús ne unhen dehhkar Khudá ká shukr kiya, aur khátirjam'a húá.

16 Jab ham Rúm men pahunche, súbadár ne qaidíon ko risála i kháss ke sardar ke hawále kiyá: par Púlús ko ijázat húí, ki akelá ek sipáhí ke sáth, jo us ká nigáhbán thá, rahe.

17 Aur yún húa, ki tín roz ba’d | Púlús ne Yahúdíon ke raíson ko báham buláyá: aur jab ikaṭṭhe húe, un se kahá, Ai bháío, harchand main ne qaum ke aur bápdádon kí tariqon ke khilaf kuchh na kiyá, taubhí qaidí hoke Yarúsalam se Rúmíon ke háthon men hawále kiyá gaya.

|

kyúnki is firqe kí bábat ham ko malúm hai, ki sab kahín use burá kahte hain.

23 Aur jab unhon ne us ke liye ek din thahráyá, bahutere us ke dere par á,e; us ne un ko Khudá kí bádsĥáhat par gawáhí de deke, aur Músá kí shari'at aur nabíon kí kitáb se Masíh ke haqq men dalílen lá láke, subh se shám tak ta'lím diyá kiya.

24 Aur ba'zon ne us kí báton ko

mánliyá, aur baze be-ímán rahe. 25 Jab ápas men muttafiq na húe, we Púlús ke yih kahte hí chale gaye, ki Rúh i Quds ne Yas'aiyah nabí kí ma'rifat hamáre bápdádon se khúb kahá,

26 Ki is qaum ke pás já, aur kah, ki Tum kánon se sunoge, par na samjhoge; aur ánkhon se dekhoge, par daryáft na karoge:

27 Kyunki is qaum ká dil motá húa, aur we apne kanon se ún chá sunte hain, aur unhon ne apní ankhen múnd lín: aisa na ho, ki ánkhon se dekhen, aur kánon se sunen, aur dil se samjhen, aur rujú láwen, aur main unhen changá karún.

28 Pas tum ko maʼlúm howe, ki Khudá kí naját gair qaumon ke

K

pás bhejí ga,í, aur we use sun lengín.

29 Jab us ne yih kahá, Yahúdí ápas men bahut bahs karte chale ga,e.

30 Aur Púlús púre do baras apne kirá,e ke ghar men rahá,

aur sab ko jo us pás áte the qabúl kiyá,

31 Aur kamál be-parwáí se biná rok tok Khudá kí bádsháhat kí manádí kartá, aur Khudáwand Yisú Masíh kí báten sikhátá rahá.

PÚLÚS KÁ KHATT RÚMÍON KO.

[merged small][ocr errors][merged small][merged small][merged small]

3 Apne Bete hamáre Khudáwand Yisú' Masih ke haqq men kiya hai, jo jism kí nisbat Dáúd kí nasl se húá,

4 Magar Rúh i Quds kí nisbat jí uthne kí mazbút dalíl se Khudá ká Bețá sábit húá;

Jis kí ma'rifat se ham ne fazl aur risálat páí, ki sab qaumen us ke nám par ímán láke tábi' hon;

tumhárá ímán tamám dunyá men mashhúr hai.

9 Aur Khudá jis kí 'ibádat main apní rúh se us ke Bete kí Injil men kartá hún, merá gawáh hai, ki kis tarah main bilá nága tumhárá zikr kartá;

10 Aur hamesha apní du'áon men darkhwást kartá hún, ki agar Khudá kí marzí se merá safar bakhair ho, to ab itní muddat ba'd tumháre pás aún.

11 Kyúnki main tumhárí muláqát ká nipat mushtáq hún, tá ki koí rúhání ni'amat tumhen pahunchá dún, ki tum mazbút ho jáo;

12 Ya'ne ki main tum se ápas ke ímán ke sabab, jo tum men aur mujh men hai, tasallí páún.

13 Bháío, main nahín cháhtá, 6 Jin men se tum bhí Yisú' ki tum is se náwáqif raho, ki Masih ke chune húe ho: main ne bárhá tumháre pás áne 7 Un sab ko jo Rúm men Khu-ká iráda kiyá, táki jaisá aur dá ke piyáre aur chune húe muqaddas hain, likhta hai; Hamáre Báp Khuda aur Khudáwand Yisú' Masih kí taraf se tum par fazl aur salámatí ho.

8 Pahle main Yisú' Masíh kí maʼrifat tum sab ke liye apne Khudá ká shukr kartá hún, ki

[ocr errors]

qaumon ke darmiyán phal payá, waisá hí kuchh tumháre darmiyán bhí páún; par áj tak ruká rahá.

14 Ki main Yúnáníon aur Barbaríon, dánáon aur nádánon ká, qarzdár hún.

15 So main tum ko bhí jo Rúm

khilaf hai badal dálá:

men ho, maqdúr bhar Injil kí | ba'í 'ádat ko us se jo tabi'at se khabar dene par taiyár hún. 16 Kyúnki main Masíh kí Injil se sharmátá nahín: is liye ki wuh har ek kí naját ke wáste, jo ímán látá, pahle Yahúdí, phir Yúnání ke liye, Khudá kí qudrat

hai.

17 Is wáste ki Khudá kí rástí, jo sarásar ímán se hai, us men záhir hai: : jaisá ki likhá hai, ki Jo ímán se rástbáz hai, so hí jítá rahegá. 18 Kyúnki Khudá ká gazab ád- | mí kí tamám bedíní aur nárástí par ásmán se záhir hai, is liye ki we sachái ko nárástí se rok

dete hain;

19 Ki Khudá kí bábat jo kuchh | maʼlum ho saktá un par záhir hai : kyúnki Khuda ne us ko un par záhir kiya.

20 Is liye ki us kí sifaten jo dekhne men nahín átín, ya'ne us kí azalí qudrat, aur khudáí, dunyá kí paidáish se, us ke kámon par gaur karne men, aisí sáf ma'lúm hotín, ki un ko kuchh 'uzr nahín:

21 Kyúnki unhon ne agarchi Khuda ko pahcháná, taubhí khudáí ke láiq us kí buzurgí aur shukrguzárí na kí: balki bátil khiyálon men par gaye, aur un ke

ná-fahm dil tárík ho gaye.

22 We áp ko dáná thahráke nádán ho gaye;

23 Aur gairfắní Khudá ke jalál | ko fání ádmí, aur chiriyon, aur chárpáyon, aur kíre-makoron kí múrat se badal dálá.

24 Is waste Khudá ne bhi un ke dilon kí khwahish par unhen nápákí men chhor diyá, ki apne badan ápas men be-hurmat ka

ren:

25 Unhon ne Khudá kí sacháí ko jhúth se badal dálá, aur banánewále ko, jo hamesha sitáish ke láiq hai, Ámín! chhorke, banáí húí chíz kí parastish aur bandagíkí. 26 Is sabab se Khudá ne un ko gandí shahwaton men chhor diyá; ki un kí 'auraton ne bhí apní ta

27 Yúnhín mard bhí 'auratcn se apne taba'í kám chhoṛke, apní shahwat se ápas men jale; mard ne mard ke sath rúsiyahí ke kám kiye, aur apní gumráhí ke láiq phal apne men paye.

28 Aur jaisá unhon ne pasand na kiyá, ki Khudá ko pahchánke yád rakhen, Khudá ne bhí un ko aql kí be-tamízí men chhor diyá, ki ná-láiq kám karen:

29 We tarah tarah kí ná-rástí, harámkárí, lálach, badzátí se bhar gae; aur dáh, khún, jhagra, da gábází, badkhoí se pur húe; kánáphúsí karnewale,

30 Tuhmat lagánewále, Khudá ke dushman, jabr karnewále, ghamandí, láfzan, badíon ke bání, má báp ke náfarmánbardár, 31 Be-'aql, bad-'ahd, be-dard, kínawar, be-rahm húe:

32 Aur agarchi we Khudá ká hukm jánte, ki aise kám karnewále qatl ke láiq hain, na faqat áp hí karte, balki karnewalon se bhí khush hain.

II BÁB.

14, jo tú aib lagátá, tujh

AS, ai ádmí, koí kyún na ho,

ko kuchh 'uzr nahín; kyúnki jis bát men tú dúsre par 'aib lagátá, áp ko gunahgár thahratá hai; ki tú jo 'aib lagátá, khud wuhí kám karta hai.

2 Lekin ham jante hain, ki aise kám karnewálon par Khudá kí taraf se sazá ká hukm durust hai. 3 Ai insán, tú jo aise kám karnewálon par 'aib lagátá, aur khud wuhí kartá, kyá yih khiyál kartá hai, ki Khuda ki 'adálat se bach niklegá?

4 Yá tú us kí kamál mihrbání, aur bardásht, aur muhlat ko haqír jántá; aur nahín samajhtá, ki Khudá kí mihrbání is hí liye hai, ki tú tauba kare?

5 Balki tú apne sakht aur be

« ÎnapoiContinuă »