Imagini ale paginilor
PDF
ePub

13 Aur we, jinhon ne ápas men yih qasam khá,í, chálís se ziyáda

the.

24 Aur janwar bhí házir karo, ki Púlús ko sawar karke Fílikas hákim ke pás sahíh o salámat pahuncháwen.

25 Aur is mazmún ká khatt

14 So unhon ne sardár káhinon aur buzurgon ke pás jáke kahá, Ham ne lanat kí qasam khá,, ki|likhá: jab tak Púlús ko qatl na karen, kuchh na chakhenge.

15 Pas ab tum Sadr majlis se milke, fauj ke sardár ko khabar | do, ki kal use tumháre pás láwe, goya tum us kí haqíqat ziyáda daryáft kiyá chahte ho: par ham taiyár hain, ki us ke pahunchne se pahle use halák karen.

16 Aur Púlús ká bhánjá un kí ghát kí sunke chalá, aur qil'a men jáke Púlús ko khabar dí.

17 Tab Púlús ne súbadáron men se ek ko buláke kahá, Is jawán ko sardár ke pás le já; ki wuh us se kuchh kahá cháhtá hai.

18 Pas wuh use sardár pás le gayá, aur kahá, Púlús qaidí ne mujhe buláke darkhwást kí, ki is jawan ko tere pás láún, ki tujh se kuchh kahá cháhtả hai.

19 Tab sardár ne us ká háth pakarke, aur use alag le jáke, púchha, ki Wuh kya hai, jo mujh se kahá cháhtá hai?

20 Us ne kahá, Yahúdíon ne eká kiya hai, ki tujh se darkhwást karen, ki kal Púlús ko Sadr majlis men láwe, goyá ki we us ke hál kí aur bhí tahqiqát kiyá chahte hain. 21 Pas tú un kí na mániyo, kyúnki un men chálís shakhs se ziyáda us kí ghát men lage hain, jinhon ne la'nat kí qasam khá,í hai, ki jab tak use halák na karen, na khá,enge na pí,enge; aur ab taiyár, aur tere wa'de ke muntazir hain.

22 Tab sardár ne jawán ko rukhsat kiyá, aur hukm diyá, ki Kisí se mat kah, ki tú ne mujh par yih záhir kiya.

|

23 Aur do súbadáron ko pás buláke kahá, Do sau sipáhí, aur sattar sawár, aur do sau bhále- 1 bardár, rát kí tísrí gharí, taiyár rakho, ki Qaisaríya ko jáwen;

26 Qlaudiús Lusias ká Fílikas hákim bahadur ko salám.

27 Is mard ko Yahúdíon ne pakaṛke cháhá, ki halák karen; par main yih ma'lum karke ki Rúmí hai, fauj samet charh gayá, aur use chhurá láyá.

28 Aur jab cháhá, ki daryáft karún, ki unhon ne kis sabab se us par nálish kí, to use un kí Sadr majlis men le gayá;

29 Aur daryaft kiya, ki we apní shari'at ke maslon kí bábat us par nálish karte hain, par us ká koí qusúr nahín, jo qatl yá qaid ke láiq ho.

30 Aur jab mujhe ittilá' húí, ki Yahúdí is mard kí ghát men lage hain, main ne use jald tere pás bhej diyá, aur us ke mudda'íon ko bhí hukm diyá, ki tere pás us par da'wá karen. Ziyada salám.

31 Pas sipáhíon ne, hukm ke muwáfiq, Púlús ko leke ráton rát Antipatris men pahuncháyá. 32 Aur dúsre din sawáron ko us ke sáth rawána karke áp qil'a ko phire:

33 Unhon ne Qaisaríya men pahunchke hákim ko khatt diyá, aur Púlús ko bhí us ke áge házir kiyá.

34 Hákim ne khatt parhke púchhá, ki Wuh kis súbe ka hai? Aur ma'lúm karke ki Kilikiyá ká hai,

35 Kahá, Jab tere mudda'í házir honge, main terí sunúngá. Aur hukm diya, ki Use Herodís kí bárgáh men qaid rakhen.

XXIV BÁB.

PANCH dik hin, buzurgon

ANCH din ba'd Hanániáh

aur Tartullus nám ek wakil ke

sáth wahán áyá, aur hákim ke | we mujh par ab tuhmat lagáte áge Púlús par nálish kí. hain, sábit kar sakte hain.

2 Jab wuh bulayá gayá, Tartullus faryád karne lagá, aur kahá, Liházá ki tere wasíle hamen bará chain, aur terí dúrandeshí se is qaum ko achchhe bandobast hain,

3 Ai Fílikas bahádur, ham is ká har waqt aur har jagah kamál shukrguzárí se iqrár karte hain.

4 Par is liye ki tujhe ziyáda taklíf na dún, main terí minnat kartá hún, ki tú apní mihrbání se hamárí do ek báten sun.

5 Ki ham ne is mard ko mufsid, aur tamám dunyá ke sab Yahúdíon men fitna-angez, aur Násaríon kí bid'at ka ek sardar páyá; 6 Us ne haikal ko nápák karne ká bhí qasd kiyá, aur ham ne use pakrá, aur cháhá, ki apní sharíat ke muwafiq us ki 'adálat

karen.

7 Par Lusias sardár fauj samet áke use hamáre háthon se chhín

le gayá,

8 Aur us ke mudda'íon ko hukm diyá, ki tere pás jáen: so tú áp tahqiq karke in sab báton ko, jin kí ham us par nálish karte hain, khud usí se daryáft kar saktá hai.

9 Aur Yahúdíon ne bhí us ke sáth da'wa kiya, aur kahá, ki ye báten yúnhín hain.

10 Tab Púlús ne, jab hákim se bolne ká ishára páya, jawab diyá, Azbaski main jántá hún, ki tú bahut barson se is qaum ká hákim hai, main barí khátirjam'aí se apná 'uzr bayán kartá hún:

11 Kyúnki tú daryáft kar sakta hai, ki bárah din se ziyada nahín húe, ki main Yarúsalam men 'ibádat karne gaya.

12 Aur unhon ne haikal men mujhe kisí ke sath bahs karte, yá logon men fasád uṭháte na páyá, na 'ibádatkhánon men, na shahr

men:

|

14 Lekin tere sámhne yih iqrár kartá hún, ki jis ráh ko we bid'at kahte hain, usí men apne bápdá don ke Khudá kí bandagí kartá, aur sab kuchh jo shari'at aur nabíon men likha hai, yaqín jántá:

15 Aur Khudá se yih ummed rakhta hún, jis ke we bhí muntazir hain, ki murdon kí qiyámat hogí, kyá ráston, kyá náráston kí.

16 Aur main isí sabab koshish kartá hún, ki hamesha Khuda aur ádmíon ke áge merá dil mujhe malámat na kare.

17 Ab kaí baras ba'd main apní qaum ko khairát pahuncháne, aur nazr charháne áyá hún.

18 Is par Asia ke ba'ze Yahúdion ne mujhe haikal men tahárat kíe húe payá, par na to dangal ke sáth hote, na fasád uṭháte dekhá. 19 So unhen tere sámhne házir honá, aur agar un ká mujh par kuchh da'wa ho, nálish karná wajib thá.

20 Ya yihí khud kahen, ki jab main Sadr majlis ke sámhne khará thá, mujh men kuchh badí páí;

21 Magar isí ek bát kí bábat, jo main un men khará hoke pukárá, ki murdon kí qiyámat ke sabab áj mujh par ilzám hota hai.

22 Fílikas ne, jo is taríqe kí báten khúb jántá thá, yih sunke unhen tákhír men dálá, aur kahá, Jab Lusias fauj ká sardár áwe, main tumhárá muqaddama faisal karúngá.

23 Aur súbadár ko hukm diyá, ki Púlús kí khabardárí kar, aur árám men rakh, aur us ke logon men se kisí ko us kí khidmat karne ya us pás áne se man'a mat kar.

24 Aur chand roz ba'd Fílikas ne apní jorú Drúsilla ke sáth, jo Yahudin thí, áke, Púlús ko bulá bhejá, aur us se Masih ke dín kí

13 Aur na in báton ko, jin kí | suní.

25 Par jab wuh rástbází, aur parhezgárí, aur áyanda 'adálat kí bábat baten kar rahá thá, to Fílikas ne khauf kháke jawab diyá, Is waqt já; fursat páke, tujhe phir buláúngá.

26 Par us ko yih ummed bhí thí, ki Púlús se kuchh naqd páwe, táki us ko chhor de: is liye use aksar bulátá, aur us ke sáth guftogú kartá thá.

27 Aur jab do baras guzre, Porkius Fastus, Fílikas ká qáimmaqám ho áyá: aur Fílikas yih cháhke, ki Yahúdíon ko apná mamnún kare, Púlús ko qaid hí chhor gayá.

XXV BÁB.

1 AS Fastus súbe men dákhil

9 Par Fastus ne yih cháhke, ki Yahúdíon ko apná mamnún kare, Púlús ko jawab deke kahá, Kyá tú cháhtá hai, ki Yarúsalam ko já,e, aur wahán mere áge in báton kí bábat terá insáf ho?

10 Púlús ne kahá, Main Qaisar ke takht i 'adálat ke áge khará hún; chahiye ki yahín merá insaf ho: Yahúdíon ka main ne kuchh qusúr nahín kiyá, chunánchi tú bhí khúb jántá hai.

11 Par agar qusúrwár hún, yá main ne kuchh qatl ke láiq kiya, to máre jane se inkár nahín kartá; par jo un báton kí, jin kí we mujh par nálish karte hain, kuchh asl nahín, to koi mujh ko un ke hawále nahín kar saktá. Main Qaisar kí duháí detá hún. 12 Tab Fastus ne saláhkáron

Poke, un roz ba'd Qaisa-se

ríya se Yarúsalam ko gaya.

2 Tab Sardár Káhin, aur Yahúdíon ke raíson ne us ke áge Púlús par nálish kí;

3 Aur us ke muqaddame men yih mihrbání cháhí, kí use Yarúsalam men bulá bheje; aur ghát men the, ki us ko ráh men már dálen.

4 Par Fastus ne jawáb diyá, ki Púlús to Qaisaríya men band rahe, aur main áp jald wahán jáúngá;

5 Aur kahá, Pas tum men se jinhen maqdúr ho, sáth chalen; aur agar is shakhs men kuchh badí hai, us par nálish karen.

6 So un ke darmiyán din das ek rahke, Qaisaríya ko gayá; aur dúsre din 'adálat ke takht par baithke, hukm diyá, ki Púlús ko láwen.

7 Jab wuh házir húá, we Yahúdí, jo Yarúsalam se á,e the, us ke gird khare hoke, Púlús par bahuterí aur bhárí nálishen karne lage, jo sábit na kar sake.

8 Us ne apná 'uzr karke kahá, ki Main ne na Yahúdíon kí sharí'at ká, aur na haikal ká, aur na Qaisar ká gunáh kiya hai.

|

maslahat karke jawab diya,

ki Tú ne Qaisar ki duháí dí? Qaisar hí ke pás jáegá.

13 Aur kuchh din bíte Agrippa badshah aur Barníqí Qaisaríya men á,e, ki Fastus ko salám karen.

14 Aur jab kuchh din wahán rahe, Fastus ne Púlús ká hál badshah ke pesh kiyá, aur kahá, Ek shakhs hai, jise Fílikas qaid men chhor gayá:

15 Ús par jab main Yarúsalam men thá, sardár káhinon, aur Yahúdíon ke buzurgon ne nálish kí, aur us kí sazá cháhí.

16 Unhen main ne jawáb diyá, ki Rúmíon ká dastúr nahín, ki kisí ádmí ko halákat ke liye hawále karen, jab tak ki mudda'í 'alaihi apne mudda'íon ke rú-ba-rú na ho, aur da'wá ká jawab na dene páwe.

17 So jab we yahán báham húe, main ne kuchh der na kí, balki dúsre din takht par baithkar hukm diyá, ki Us mard ko láo.

18 Par jab us ke mudda'í khare húe, unhon ne us ke haqq men aisá koí sabab pesh na kiya, jis ká mujhe khiyál thá:

19 Balki apne dín aur kisí Yisú

ki babat, jo mar gayá, jise Púlús kahtá thá, ki zinda hai, us se

the.

babs karmth is tarah ki takrár

se shakk men pará thá, us se púchhá, kyá tú Yarúsalam jáne ko rází hai, ki wahán in bátou ká faisala ho?

21 Par jab Púlús ne duháí dí, ki merá insáf Janáb i 'Álí hí kí tahqiq par mauqúf rahe, main ne hukim diya, ki jab tak use Qaisar ke pás na bhej dún, us kí nigáhbání karen.

22 Tab Agrippa ne Fastus se kahá, main bhí cháhtá hún, ki is ádmí kí sunún. Wuh bolá, kal tú us kí sunegá.

23 Pas dúsre din jab Agrippa aur Barníqí bari shán o shaukat se, sardáron aur shahr ke raíson ke sáth, díwánķháne men dákhil húe, aur Fastus ke hukm se Púlús ko lá,e,

24 Tab Fastus ne kahá, Ai Agrippa bádsháh, aur sab mardo, jo hamáre sáth házir ho, tum is ko dekhte ho, jis kí bábat Yahúdíon kí sárí guroh Yarúsalam men aur yahan mere píchhe parí, aur chillatí hai, ki Us ká áge ko jítá rahná wajib nahín.

25 Par jab mujh se daryaft húá ki us ne kuchh qatl ke laiq nahín kiya, aur us ne áp Janáb i 'Alí kí duháí dí, to main ne tháná, ki use bhej dún.

26 Aur mujhe us ke haqq men kisi bát ka yaqin nahín, ki apne khudáwand ko likhún. Is waste main ne use tumháre áge, aur kháss kar tere huzúr, ai Agrippa badshah, házir kiya hai, táki tahqiqat ke ba'd kuchh likh sakún:

27 Kyunki qaidí ko bhejná, aur nálishen bhí, jo us par hain, na batáná, mujhe námunasib ma'lúm hota hai,

|

|

1

XXVI BÁB,

AGRIPPA ne Plús se kahá,

kí ijázat hai. Tab Púlús háth phailáke apná 'uzr yún bayán karne lagá

2 Ki, Ai bádsháh Agrippa, un sab báton kí bábat, jin ká Yahúdí mujh par da'wá karte hain, áj tere sámhne 'uzr karná apní sa'ádat jántá hún;

3 Kháss is liye ki tú Yahúdíon kí sab rasmon aur maslon se wáqif hai: is sabab main terí minnat kartá hún, ki tahammul se merí sun.

4 Pas merí chál ko jawání se, ki kis tarah shurú' se apní qaum ke darmiyán Yarúsalam men nibáhtá rahá, yih sab Yahúdí jánte hain:

5 So we mujhe shurú' se jánke, agar cháhen to gawáhí den, ki main Farísí hoke ham logon ke mazhab ke sab se parhezgár firqe ke muwáfiq zindagi káṭtá thá.

6 Aur ab us wa'de kí ummed ke sabab, jo Khudá ne hamáre bápdádon se kiyá thá, 'adálat men házir kiyá gayá hún :

7 Us hí ke páne kí ummed par hamáre bárah firqe dil o ján se rât din bandagi kiya karte hain. Isí ummed ke sabab, Ai bádsháh Agrippa, Yahúdí mujh par faryád karte hain.

8 Yih bát kyún be-i'atibár samajhte ho, ki Khudá murdon ko jilátá hai?

9 Hán, main ne bhí samjha, ki Yisú' Násarí ke nám kí bahut barkhilafí karná mujh par wajib hai.

10 So bhí main ne Yarúsalam men kiyá: aur sardár káhinon se ikhtiyar pake bahut se muqadda son ko qaidkhane men bind kiyá; aur jab qatl kíe játe the, main hámí bhartá thá.

11 Aur har 'ibádatkháne men aksar unhen sazá diláke zabardastí un se kufr kahwátá; aur

un par niháyat junún karke gair shahron tak satátá thá.

12 Is hál men, jab sardár káhinon se ikhtiyar aur parwánagí páke, Dimishq ko bhí játá thá; 13 Do pahar ko, Ai bádsháh, main ne ráh men dekhá, ki ásmán se ek núr, súraj se barráq, mere aur mere sáthíon ke gird chamaktá hai.

14 Jab ham sab zamín par gir pare, main ne áwáz suní, jo mujh se boltí aur 'Ibrání zubán men kahtí thí, ki Ai Súlús, Súlús, tú mujhe kyún satátá hai? paine kí kil par lát márná tere liye mushkil hai.

15 Main ne kahá, Ai Khudáwand, tú kaun hai? Wuh bolá, Main Yisú' hún, jise tú satátá hai.

16 Lekin uth, aur apne páon par khará ho kyúnki main is liye tujh par záhir húá, ki tujhe un chízon ká khádim aur gawáh thahráún, jinhen tú ne dekhá, aur jo main tujh par záhir karúngá;

17 Aur main tujhe bacháúngá is qaum aur gair qaumon se, jin ke pás ab tujhe bhejtá hún,

18 Ki tú un kí ánkhen khol de, táki andhere se ujále, aur Shaitán ke ikhtiyár se Khudá kí taraf phiren, aur gunáhon kí mu'áfí, aur muqaddason men mírás páwen, us ímán ke wasíle, jo mujh par hai.

19 Is liye, Ai bádshah Agrippa, main us asmání royá ká náfarmán na húá:

20 Balki pahle unhen, jo Dimishq, aur Yarúsalam, aur sáre mulk Yahudiya men hain, aur gair qaumon ko bhí chitáyá, ki tauba karen, aur Khudá kí taraf phiren, aur tauba ke muwafiq 'amal ka

ren.

21 Inhín báton ke sabab Yahúdíon ne mujhe haikal men pakarke mere qatl ká qasd kiya.

22 Par Khudá se madad páke áj tak khará hún, aur chhote bare par gawáhí detá, aur kuchh nahín

kahtá hún, magar we báten jin ke wáqi' hone ki khabar nabíon aur Músá ne bhí dí hai;

23 Ki Masíh dukh uṭháwegá, aur murdon men se pahlá ji uthegá, aur is qaum aur gair qaumon ko núr dikhláwegá.

24 Jab wuh apná 'uzr yún kartá thá, Fastus ne barí áwáz se kahá, Ai Púlús, tú díwána hai; bahut 'ilm ne tujhe díwána kiya.

25 Wuh bolá, Ai Fastus bahádur, main díwána nahín; balki sacháí aur hoshyárí kí báten kahtá hún;

26 Ki bádsháh, jis ke sámhne ab main bedharak boltá hún, yih jántá hai aur mujhe yaqin hai, ki in báton men se koí us par chhipí nahin; kyúnki yih májará to kone men nahín húa. 27 Ai bádsháh Agrippa, kyá tú nabíon par yaqín látá? main jántá hún ki yaqin látá hai. 28 Tab Agrippa ne Púlús se kahá, Nazdík hai ki tere samjháne se main Masíhí hojáún.

29 Púlus bolá, Khudá kare, ki sirf tú hí nahín balki sab jo áj merí sunte hain, faqat nazdik nahín, balki bilkull aise howen, jaisá main hún, bagair in zanjíron ke.

30 Jab us ne yih kahá thá, bádsháh, aur hákim, aur Barníqí, aur un ke hamnishín uthe:

31 Aur alag jáke ek dúsre se báten karne aur kahne lage, ki Yih ádmí aisá kuchh nahín kartá, jo qatl yá qaid ke láiq ho.

32 Aur Agrippa ne Fastus se kahá, Agar Qaisar kí duháí na detá, to yih ádmí chhúț saktá.

[blocks in formation]
« ÎnapoiContinuă »